Mid-hat Abuturab ki Aasaan mat Samajh

( By Faiz Kanodari, Naushad Bijani, Asmee kanodari, Muntazir Sahab, Bober Navab Madrasi, Riyaz abidi, Paikar Jalaalpuri, Mirza Warisali navrozali, Mirza Warisali navrozali Rizwan karbalai, Suhail Wasti, Zehra Naqvi

in Mushyera )
  • Name:
  • Section:
    Mushyera
  • Number of pages:
  • Date Added:
    08/05/2019
Mid-hat Abuturab ki Aasaan mat Samajh

BAZM-E-SHOARA-27/04/2019

Tarhi misra
Mid'hat Abuturab(ع) ki Aasaan mat Samajh, 
 
Misra by
Janab Muntazir Merchant.
 
 
1. Faiz Kanodari
Tujh ko samajh na Aayegi Nadaan mat Samajh, 
Mid'hat Abuturab(ع) ki Aasaan mat Samajh, 
 
Meraaj waali Shab ke samajhney chala hai Raaz, 
Ho jaayegi ye Aql Pareshaan, mat Samajh, 
 
Bugz e Ali(ع) ka marz Laga hai agar tujhey, 
Quraan ko aye Qaari e Quraan mat Samajh, 
 
Qasmey Khuda ne khaayi hai is Rahwaar ki, 
Tu Zuljanah ko aam sa Haiwaan mat samajh..
 
Azaad kar chukey hai Shah e Karbala(ع) isey, 
Deen e Khuda ko Qaidi e Zindaan mat Samajh, 
 
Shaamil they jo bhi Qatl mei'n Binte Rasool(س) ke, 
Kuch bhi Samajh le un ko Musalmaan mat Samajh, 
 
Jo khums de raha hai tu wo tujh pe farz hai,
Us ko kabhi Imam(عج) pe Ehsaan mat Samajh, 
 
Jo keh rahey hai ek Fasaana Ghadeer ko, 
Aye Faiz un ko Saahib e Imaan mat Samajh..
 
 
 
 
2. Naushad Bijani
Qaule rasoole paak ko hizyaan mat samajh.
Samje jo aysa usko musalmaan mat samajh.
 
Nauke sinaaN se padte hai qur'aan baade maut.
Shohda e rahe haq ko tu bejaan mat samaj.
 
Ban kar chiraagh chaand chamakta hai raat bhar.
Turbat ko faatema ki tu veeraan mat samajh.
 
Zehra ka jisne loota hai baade nabi fidaq.
Hai chor usko deeN ka nigehbaan mat samaj.
 
Besheer se bhi khaufzada jang me huva.
Buzdil woh hoga usko tu balvaan mat samaj.
 
Karta hai kaaroobaar jo deene rasool ka.
Aale nabi ka usko sanaakhwaan mat samaj.
 
Hai kaat'te zabaan ko aghyaar daar par.
Mid'hat abuturaab ki aasaan mat samaj.
 
Marjaa pe chhorte hai tabarra ke teer jo.
Woh zar-khareed hai use naadaan mat samaj.
 
Navshad zindgi hai yeh ik maut tak safar.
Barzakh ko iske baad tu aasaan mat samaj.
 
 
 
 
 
3. Asmee kanodari
*_Tashreef rakh adab se gulistaan mat samjh.._* 
*_Farsh e aza pe khud ko sulemaan mat samjh.._*
 
*_Shajra ho paak misami teri jabaan ho.._*
*_Midh'hat abuturab ki Aasaan mat samaj.._*
 
*_Rutba haseen, mathe pe rumale sayyada..._*
*_Hur ko kabhi bhi sirf tu mehman mat samaj..._*
 
*_Parde me buturab ka pota hayaat hai.._*
*_Sargoshi unse karle pareshaan mat samaj.._*
 
*_Hurro malak ke kafile aate hai roz o shab.._*
*_Tu janntul baqi ko bayabaan mat samaj.._*
 
*_Aale saud waqt ke firaon ban gaye..._*
*_Musa ke pairokar ko hairaan mat samaj..._*
 
*_Katega ek waar se baiyyat ki sheh ragieN.._*
*_Hathiyar hai sagheer ka muskaan mat samaj..._*
 
*_Asmee bata de kufr ko dast e imam hai.._*
*_Iraan khush khushal hai hairaan mat samaj.._*
 
 
 
 
 
4. Muntazir Sahab
LEHJE KO APNE LEHJA E QUR'AAN MAT SAMAJ
 MIDHAT ABUTURAAB KI ASAAN MAT SAMAJ
 
MARZI ALI KO SAUNP KE ALLAH NE KAHA
 YE ULFATO.N KI BAAT HE EHSAAN MAT SAMAJ
 
EK QAAFERA BHI BETE SE HAQ BAAT KEH GAYEE
 MARHAB ,ALI SE KHUD KO TU BALWAAN MAT SAMAJ
 
YE DAR HE FATEMA KA IJAZAT HE LAAZMI
 AY MAUT IS KO BAAB E SULAIMAN MAT SAMAJ
 
MIL JAAYEGI ISI KE BAHAANE FAZEELATE.N
 FITRUS JO PAR KATE HE.N TO NUKSAAN MAT SAMAJ
 
TU AAJ SE ABHI SE ISI GHAR KA HO GAYA
 HUR KHUD KO TU HUSSAIN KA MEHMAAN MAT SAMAJ
 
BE TEGH HE TO KYA HUVA POTA ALI KA HE
 AY HURMULA MUQABLA ASAAN MAT SAMAJ
 
TERI CHHOORI HI SHIMR DAGA TUJ SE KAR GAYEE
 NAIZE PE SAR HUSSAIN KA BEJAAN MAT SAMAJ
 
MASJID BANA GAYA USE SAJDO.N KA BAADSHAA
 ZNIDA.N KO AB YAZEED TU ZINDAAN MAT SAMAJ
 
CHAUDA DIYE JALENGE WAHA.N ROZ MUNTAZIR​
 APNI LAHED KO TU KABHI VEERAAN MAT SAMAJ
 
 
 
5. BOBER NAWAB, MADRASI
*KHAIBAR KA DAR UTHAYE TOH IMKAAN MAT SAMAJ*
*PALTAYE SHAMS JO USEY ANJAAN MAT SAMAJ*
 
*KAAMIL YAQEE'N HO GARCHE VILAYAT KI BAAT HAI*
*GAR DAGMAGAYE TOH USEY EEMAAN MAT SAMAJ*
 
*ROZA NAMAZ ZIKRE ALI MAATAME HUSSAIN*
*SAUDA YE AAQIRAT KA HAI NUQSAAN MAT SAMAJ*
 
*JANNAT KA HI MAKAA'N KOYI BECHE ZAMEEN PAR*
*TU ISTARHA KE SHAQS KO NADAAN MAT SAMAJ*
 
*APNE HI RISHTEDAAR KA APNE HI BHAYI KA*
*JO DIL DUKHAYE USKO MUSALMAAN MAT SAMAJ*
 
*EHSAN KARKE USKO JATAANE LAGE TOH PHIR*
*AISI SAQAWATON KO TU EHSAN MAT SAMAJ*
 
*MAYYAT NABI KI CHORD KE BAITHE JO TAQT PAR*
*AISON KO DEENE HUQ KA NIGEHBAAN MAT SAMAJ*
 
*KITNO NE JAAN DI HAI FAQAT ISKE WAASTEY*
*"MIDHAT ABU TURAB KI AASAAN MAT SAMAJ"*
 
*MINBAR SE JO FAZAYELE MOULA NA PADSAKE*
*UNKO KABHI BHI SAHIBE IRFAN MAT SAMAJ*
 
*MAATAM PE SHA'H KE FATWE LAGAYE AGAR KOYI*
*SHAITAAN HAI USEY KABHI INSAAN MAT SAMAJ*
 
*ZIKRE HUSSAIN GARCHE BOBER KHULD ME NA HO*
*DOZAQ SAMAJLE USKO GULISTAAN MAT SAMAJ*
 
 
 
 
6. Riyaz abidi
Yeh qatil-e-batool hai rehman mat samaj_*
*_Dil me hamare honge yeh mehman mat samajh_*
 
*_Kya sochta hai milte hain ashaar khama'khañ_*
*_Midhat abuturab ki asaan mat samajh_*
 
*_bhikri huwi hai dast me fauje yazeed ki_*
*_kharo ki anjuman hai yeh guldan mat samjh_*
 
*_joh rokta ho tujhko wilayat ki raha se_*
*_shaitan usko maan tu rehman maat samjh_*
 
                                  
 
7 پیکر جلالپوری
بغضِ علی ہے دل میں تو انسان مت سمجھ 
کچرے کا ڈھیر ہے اسے گلدان مت سمجھ 
 
نیلام کر رہا ہے وہ جنت زمین پر 
بہلول کو اے شیخ جی نادان مت سمجھ
 
سولی چڑھے ہیں اور *کٹاٸی ہیں* گردنیں 
مدحت ابوتراب کی آسان مت سمجھ
 
 
                                   
 
8. Mirza Warisali navrozali Khambhat
मेहफील में सबको साहबे इरफान मत समझ.*
*तज़हीकदां को अपना कदरदान मत समझ.*
 
*खासीर हैं जीन्नों, इंन्सो, मलक इसके बाब में.*
*मीदहत अबुतुराब की आसान मत समझ.*
 
*दिल में हे कुछ.! ज़बान पे कुछ.! ओर अमल हे कुछ.!*
*वाइज़..! में सब समझता हुं.! अनजान मत समझ.*
 
*समझा गये रसूल जो सबको गद्दीर में.*
*तुझको नहीं समझना तो नादान..! मत  समझ..!!*
 
 
 
 
 
 
9. Rizwan Bijani
YE AAINA HAI ISKO GAREBAAN MAT SAMAJ
MASOOM APNE AAP KO INSAN MAT SAMAJ
 
HUKME KHUDA SE MOULA BANAYE GAYE ALI
WAIZ ISE RASOOL KA AILAAN MAT SAMAJ
 
ISHQE ALI DALEEL HAI PAKEEZA KHOON KI
KOULE NABI HAI MULLA KA FARMAAN MAT SAMAJ 
 
JO MOHSINE RASOOL KE  IMA'N PE SHAQ KARE
 AISE SHAKI KO SAHEBE IMAAN MAT SAMAJ
 
JANNAT KE BAADSHAHO KA GHAR HAI BAKIA ME
TUKDA BEHISHT KA HAI BAYABAAN MAT SAMAJ
 
YE DIN KHUDA KE DEEN KO BAKHSHEGA ZINDAGI
IS DIN KO SIRF TEESRI SHABAN MAT SAMAJ
 
PAIGAM DE RAHA HAI TUJE ITTEHAD KA
FARSHE AZA KO JANG KA MAIDAN MAT SAMAJ
 
SIBTE NABI KE DARZI SE MASH'HOOR HO GYA
JANNAT KE CHOKIDAAR KO RIZWAN MAT SAMAJ
 
DUSHMAN ABHI BHI FIRTE HAIN KHANJAR LIYE HUWE
MIDH'HAT ABU TURAAB KI AASAN MAT SAMAJ
 
SEEYAT PE AAJ ZULMO SITAM DHAA RAHE HAIN JO
HAIWA'N SE BAD TAREEN HAI INSAAN MAT SAMAJ
 
QAFIR HAIN SAB RASOOLE KHUDA KI NIGAAH ME
HAIDER KE DUSHMANO KO MUSALMAN MAT SAMAJ
 
AALE NABI KE BUGZ NE SHAMSHAAN KAR DIYA
AY SHAIKH APNE GHAR KO GULISTAAN MAT SAMAJ 
 
KURBAAN APNE AAP KO KAR DE HUSAIN PAR
YE SOUDA FAYDE KA HAI NUKSAAN MAT SAMAJ
 
BHUKHO KO DE KE ROTIYA ITRA RAHA HAI KYU
RIZWA'N YE TERA FARZ HAI AHSAAN MAT SAMAJ



10. Suhail Wasti
apne se unchi cheez ko bhagwan mat smjh*
*duniya ki har kitab ko quraaan mat samajh*

*aql o shaoor chhaiye ulfat ke sath me*
*Midhat abu turab ki asaan mat smjh*

*nazren jhuka ke chal na tu itni akad dikha*
*Tu khud ko kul jahan ka sultan mat samajh*

*khamosh hm hn waqt ke mare huye hn ham*
*Jor o jafa tu hamko hirasaan mat samajh*

*waqif h har hunar se ye jung o jidaal ke*
*e shimr tu sagheer ko nadaan mat smjh*

*dehshat sheaaar log hn haiwan se pare*
*har ek chalte phirte ko insaan mat smajh*

*ye jibareel sare frishto se h bada*
*dar par jo fatima ke h darbaan mat samjh*

*haider ki jansheeni h ailaan e krdegar*
*isko faqat rasool ka ka ailaan mat samajh*

*duniya se lo lagaye q baitha h tu suhail
*khuld e baree'n ka isko tu saamaan mat samajh*



11. Sisi Zehra Naqvi
Khairaat na Kare use insan mat samaj 
Kitna hi wo Ameer ho sultan mat smjh
 
Dukh Jaye Dil kisi ka tu aisa Amal n Kar
Rb dekhta hai sb use anjan mat smjh
 
Khidmaaat Kar raha hai agar waledain ki
Ye Tera farz hai ise ahsan mat samaj
 
Ye sb tera guroor to ho jayega fana
Baqi rhega tu  yhan nadaan,mat samajh
 
 
Ghar me khuda ke  shaho gada yksa hai sabhi.
Masjid me aake khud ko tu sultan mat smjh
 
Dar e fana mai Rakh tu gunahon se khud ko door
Dar e baqa ki zindagi  aasan mat samajh
 
Hoga naseeb wala use hogi ye naseeb 
*Midhat abutarab ki aasan mt smjh*
 
Rakhkha huwa hai aaj bhi sarwar ka tazeeya 
Zehra ke aashiyane ko veeraan mat samaj
Zehra Naqvi

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP