Ay Momino Ramzaan hai Rahmat ka Maheena

( By Rizwan Karbalai, Hussain Saabir, Naushad Bijani, Rahman Ali, Kaneez Zehra, Gulzar Faizabadi, Bober Navab, Suhail Wati, Paikar Jalalpuri.

in MaheRamadhan )
  • Name:
  • Section:
    MaheRamadhan
  • Number of pages:
  • Date Added:
    11/05/2019
Ay Momino Ramzaan hai Rahmat ka Maheena

BAZM-E-SHOARA
 
AAMAD E MAAHE RAMZAN MUBARAK
     
Misra...Ay Momino Ramzaan hai Rahmat ka Maheena
اے مومنوں  رمضان ہے  رحمت  کا مہینہ
 
Misra by...Janab Noushad Bijani
 
 
1. Rizwan Bijani
MAT SAMJE MUSALMA ISE GAFLAT KA MAHEENA
AAYA HAI FIR IK BAAR BASHARAT KA MAHEENA
 
BANDO KE LIYE RAB NE ISE QAID KIYA HAI
SHAITAN KI KHATIR HAI  KAYAMAT KA MAHEENA
 
IK OR TAMACHA HAI YE SHAITAAN KE MUH PAR
YE MOULA HASAN KI HAI WILADAT KA MAHEENA
 
HAR ROZ TILAWAT KA BADA AJR HAI LEKIN
YE KHAAS HAI KUR,AA KI TILAWAT KA MAHEENA
 
JO KUCH TUMHE KARNA HAI ISI MAAH ME KAR LO
FIR AGLE BARAS AAYEGA BARKAT KA MAHEENA 
 
KUR,AAN ME IS BAAT KI TASDEEK HUI HAI 
AY MOMINO RAMZAAN HAI REHMAT KA MAHEENA 
 
ALLAH KI NAZRO ME BADA RUTBA HAI ISKA
HARGIZ N SAMAJNA ISE ZEHMAT KA MAHEENA
 
RAMZA,N KE ALAWA BHI KAI MAAH HAI LEKIN
 IS JAISA NAHI KOI FAZILAT KA MAHEENA
 
GAIBAT ME RULATA HAI USE KHOON KE AASU
DAMAADE PAYMBUR KI SHAHADAT KA MAHEENA
 
RIZWAN YE ROUZE HAIN AMEERO PE BHI WAJIB
KEHTE HAIN ISE RAB KI ADALAT KA MAHEENA
 
 
 
 
 
2. Husain Chachuliya Saabir
Ae momino ramzaan hai rahmat ka mahina
Mahkaata hai eemaan ye shafqat ka mahina
 
*Tableegh ke ho dars muhabbat ki fiza me*
Yoon hi na guzar jaye ye ulfat ka mahina
 
Ghaflat me na guzre kahin ae momino dekho
Kuch roz ka mehmaan hai Azmat ka mahina
 
*Hai bughz-e-Ali dil me to kya roze kya sajde*
Kuch ho na ho, ho jata hai Zehmat ka mahina
 
*Dushman hai bana khalq me jo aal-e-nabi ka.*
*Hai us ke liye sirf ye la'anat ka mahina*
 
*De waasta Ahmad tu 'Saabir' tere rab ko*
Sab kuch tujhe dilwaayega ne'mat ka mahina.
 
 
 
3. Naushad Bijani
Ay naadaaN samaj mat ise zehmat ka maheena.
Ramzaan to hai neamato barkat ka maheena.
 
Ay saahebe imaaN hai yeh hurmat ka maheena.
yeh khaas khuda ki hai ibaadat ka maheena.
 
Ahmad se rajab, shaabaN ali se kiya mansoob.
Ramzaan kaha jaata hai ummat ka maheena.
 
Ho jaayegi roze se tere nafs ki islaah.
Isko tu bana nafs ki kuwwat ka maheena.
 
Tu hashr me paayega yahaN boyega jaysa.
Ramzaan hai mehshar ki zaraa'at ka maheena.
 
BhookoN ki madad karte haiN woh rab ko hai pyaare.
Khayraat karo yeh hai sakhaawat ka maheena.
 
Kar nafs ki islaah na kar zulm tu khud par.
Ramzaan hai nafsoN ki tahaarat ka maheena.
 
Roze me rahe yaad sada maahe moharram
Tha pyaas me woh dhoop ki shiddat ka maheena.
 
Khud apne hi qaatil ko tha jisne kiya sayraab.
RamzaN ko samaj uski tu seerat ka maheena.
 
Aelaan yeh qur'aan ki aayat ka hai Navshad
Ay momino ramzan hai rehmat ka maheena.
 
 
 
4. Rahman Ali 
Ay momino ramzaan hai rehmat ka mahina
Yaane vo hai sab barkato ne'mat ka mahina
 
Do chaar hi din mai ye guzar jaaega logo
Tum bhul na jaana ye hai barkat ka mahina
 
Har fard pe laazim hai rakhe pure vo roze
Kyu ke hai ye allah ki rehmat ka mahina
 
Aapas mai rakhe bair ko tum bhool hi jaana
Ay ahle musalmaaN!! Hai mohabbat ka mahina
 
Maabud ne shaitaan ko hai qadi banaya
Hai waaste iske ye hi ummat ka mahina
 
Ekkisvi ki raat mai ghamgeen fiza hai
Ramzan hai haider ki shahadat ka mahina
 
Jitni bhi karo nekiya tum kam hai baradar
Allah se tohfa hai ibadat ka mahina
 
Ramzaan mai Rahman gunaho se bacha kar
Kyu ke ye mahina hai fazilat ka mahina.
 
 
 
 
 
5. Kaneez Zehra
Kr toba gunaho se hai rehmat ka maheena
Jo mangega payega hai ummat ka maheena
 
Mai iski fazeelat ko bhla  kese btaun
QuraN hua nazil hai tilawat ka maheena
 
Is maah mai shaitaN na qareeN aaye kisi k 
Sb maah mai afzal  ye ibadat ka maheena
 
Ye baat rahe yaad n bhookha ho koi bhi 
Ramzan hai sbke liye barkat ka maheena
 
Aapas KE fasaado KE charago ko buja do  
Ramzaan hai aaps mai mohabbat ka maheena
 
Gr  nfs ko qabu mai rakhega koi insaN 
Dr asl ye uski hai taharat ka maheena 
 
Hai qaid mai shaitan na aa payega bahar 
Uske liye ramzaN hai qayamat ka maheena 
 
Is maah me Zahra s.a ka pisar dehr me aaya
Ye maah hai shabbar ki wiladat ka maheena
 
Is baat SE anjaan nahi chahne wale 
Ye moula Ali ki hai shahadat ka maheena
 
Ikkeswe din baap ka saya na rahega
Zainab ke liye hai ye qayamat ka maheena
 
Jo chahiye wo mang le allah se Zehra
hai sare mahino me ye barkat ka mahina
 
 
 
 
 
6. Gulzar Faizabadi
Ham sab ke liye hai ye *ibaadat* ka maheena,
Kasrat se hai Quraa"n ki *tilawat* ka maheena.
 
Tum Jashn karo farsh e masarrat ko bhichha kar,
Hai Maula Hasan ki ye *Wilaadat* ka maheena.
 
Mayoos na hona kabhi mil jayega sab kuch,
Ay momino Ramzaan hai *Rahmat* ka maheena.
 
Kar dena gunaaho'n se mujhe dorr ya Maula,
Ho jaye ye bas meri *Zamanat* ka maheena.
 
Behlana yateemo'n ko ghareebo'n ko khilana,
Ho waaste ye tere  *sakhawat* ka maheena.
 
Hon Fatima khush mujh se Nabi aur Ali bhi,
 Kuch is tarha ho jaye ye *midhat* ka maheena.
 
 Ho Dil mei sada khaliq e Akbar ka tasawwur,
Hamko ye sikhata hai *Mohabbat* ka maheena.
 
Sajde mei hue Sher e khuda zakhmi hamare,
Ye hai mere Maula ki *shahadat* ka maheena.
 
Aaya hai shab e qadr mei Qur'aan Nabi par,
Hamil bada ramza''n hai *Fazeelat* ka maheena.
 
Sachchai hai Gulzaar ke ye maahe Mubarak,
Hai apne ye Nafso'n ki *Taharat* ka maheena.
 
 
 
 
 
7. Bober Navab Madrasi
*RAMZAAN HAI ALLAH KI BARKAT KA MAHEENA*
*SAB SE HI BADA HAI YE FAZEELAT KA MAHEENA*
 
*ALLAH KE RAHMAT KI AJAB SHAAN HAI DEKHO*
*ROZA JO HAIN UN SAB PE INAAYAT KA MAHEENA*
 
*HAR MAAH KI AZMAT HAI BADEE APNI JAGAH PAR*
*RAMZAAN HAI JI KHAAS IBAADAT KA MAHEENA*
 
*HAR EK KI DUA KIEUN NA BAR AAYENGI ISEE ME*
*"AAI MOMINO RAMZAAN HAI RAHMAT KA MAHEENA"*
 
*AZMAT HAI SHABE QADR KI IS MAAH ME NAYAAB*
*IS WAASTE HAI RAB SE YE KHURBAT KA MAHEENA*
 
*QUR'AAN KE PADNE KA SADAA HI HAI fazeelat
*LAIKIN HAI YE RAMZAN TILAAWAT KA MAHEENA*
 
*MEELAAD HASSAN KI BHI HAI IS MAAH ME AAYI*
*RAB NE HAI RAKHA IS KO HIDAAYAT KA MAHEENA*
 
*GAMGEEN BOHOT ISLIYE SAB AHLE VILA HAIN*
hai MOULA ALI KI YE SHAHAADAT KA MAHEENA*
 
*AZMAT HAI SHABE QADR KI IS MAAH ME BEHAD*
*IS WAASTE HAI RAB SE YE KHURBAT KA MAHEENA*
 
*ROZA NA RAKHE GARCHE BILA uzr KOYI BHI*
*HAI USKE LIYE RAB KA YE NAFRAT KA MAHEENA*
 
*TOHFA HAI SABHEE KE LIYE ALLAH KA IS MEY*
*HAI SAARE MUSALMAAN KO NEIMAT KA MAHEENA*
 
*BARKAT BHI TUMEY RIZQ ME HAR WAQT MILEGI*
*TUM ISKO BANAVO JO SAQAAWAT KA MAHEENA*
 
*IS MAAH ME KARLE TU BOBER SAARI IBAADAT*
fir AGLE BARAS AAYEGA NEIMAT KA MAHEENA*



8. Suhail Wati
Allah se qurbat ka  mawaddat ka maheena
E momino ramzan h barkat ka maheena
 
Zanjeero me jakda h ise  qaid me rab ne
Shaitan se azad h rehmat ka maheena
 
Jo mangna chaho wo ata jald krega
Allah ki bakhshis h ye Nemat ka maheena
 
Is maah me aamad h hasan ibn e ali ki
Nayab h quraa’n ki tilawat ka maheena
 
Bakhsih ka sabab roz e qayamt ye banega
Insan se Allah ki qurbat ka maheena
 
Har maah se badhkr h fazeelat ka maheena
ye saare maheeno ki sadarat ka maheena
 
Baaran e ata rab ki barsti h jahaa’n par
Allah ne rakha ise sarwat ka maheena
 
Ayaat se Bharpoor h nuzhat ka maheena
Islam ke daman me h nikhat ka maheena
 
Sab dil se shikayaat ko apno ki mita do
Aya h hamare liye  ulfat ka maheena
 
Tum apne gunaho ki abhi mang lo maafi
Allah ne bakhsha h ye mohlat ka maheena
 
Rakhe na agr roze namazen na ada ki
Ban jaye na phir ye kahin aafat ka maheena
 
Is maah me maara gya allah ka jaani
Zainub ke liye ban gya riqqat ka maheena
 
Allah ne quraan isi maah me bheja
Yani h ye quraa’n ki wiladat ka maheena
 
Is maah me hi jeeta gya  maarka e badr
Islam ki h sitwat o taqat ka maheena
 
Kya mujhse fazilat ho byaa’n wasti iski
Al gharz ke ramzan h JANNAT KA MAHEENA



9. Paikar Jalalpuri.
اک بار یہ پھر آیا ہے برکت کا مہینہ 
*اے مومنوں رمضان ہے رحمت کا مہینہ*
 
اس ماہ میں ہوتی ہے گناہوں کی معافی 
ہے خاص یہ بندوں کی شفاعت کا مہینہ
 
خالق نے ہے قرآن کو یہ کہہ کے اتارا 
مومن کے لٸے ہے یہ تلاوت کا مہینہ
 
آمد ہے اسی ماہ میں شہزادہ حسن کی 
ہے جشنِ مسرت و فضیلت کا مہینہ
 
روزہ رکھو تو یاد کرو کربوبلا کو 
اصغر کی زباں دھوپ کی شدت کا مہینہ
 
آٸی شبِ اکیس علی کی ہے شہادت
ہم سب کے لٸے ہے یہ قیامت کا مہینہ
 
جو مانگنا ہے مانگ خدا بانٹ رہا ہے 
پیکر یہ خدا کی ہے عبادت کا مہینہ

 

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP