Mohammed ke jigar par daag he gehra khadeeja ka

( By Rizwan Bijani, Naushad Bijani, Bobar Navab, Suhail wasti Faseeh Naqvi.

in Mushyera )
  • Name:
  • Section:
    Mushyera
  • Number of pages:
  • Date Added:
    20/05/2019
Mohammed ke jigar par daag he gehra khadeeja ka

BAZM-E-SHOARA

Misra:- Mohammed ke jigar par daag he gehra khadeeja ka*

Misra by:- Janab Muntazir Merchant Sahab*



1. Rizwan Bijani
KHUDA KE DEEN PAR AHSAN HAI KITNA KHADEEJA(S.A)KA
MUSALMA KHA RAHE HAIN AAJ TAQ SADKA KHADEEJA(S.A)KA 

RASOOLE PAAK KI ZOUJA HAI YE UMMAT KI MAADAR HAI
BANAATE KYU NAHI HO QALMA GO ROUZA KHADEEJA(S.A)KA

PADO TAREEKH PEHLA MOHSINE ISLAM KA HAI OR 
KHUDA KE DEEN PE HAI DOOSRA SAYA KHADEEJA(S.A)KA 

JO APNE BAAP KI MAA HAI YE US ZAHRA(S.A) KI MAADAR HAI
SAMAJ PAYEGI KAISE MARTABA DUNIYA KHADEEJA(S.A)KA

KHUDA KE DEEN PE APNE KHAZANE KAR DIYE KHALI
FALAQ SE BHI KAHI UCHA HAI YE JAZBA KHADEEJA (S.A)KA

LUTA KAR MAAL KI HAI MAZHABE ISLAM KI NUSRAT 
AB IS SE BADH KE KYA HO KUFR PAR HAMLA KHADEEJA(S.A)KA 

NIGAAHE RAB ME HAI AHSAN KA BADLA SADA AHSAN
NABI KE SATH HOGA HASHR TAQ CHARCHA KHADEEJA(S.A)KA

BALA KE DASHT ME ISLAM PAR SAB KUCH LUTA AAYE
HUSAIN IBNE ALI NE YU BHARAM RAKH'KHA KHADEEJA(S.A)KA 

SARE ZAHRA SE UTH'THA AAJ KE DIN S.A SAYA E MAADAR
MOHAMMAD KE JIGAR PAR DAAG HAI GEHRA KHADEEJA(S.A)KA

AGAR ISLAM PAR MUSHKIL PADE IMDAD HAI LAZIM
AQEEDA KIS QADAR RIZWAN HAI AALA KHADEEJA(S.A)KA




2. Naushad Bijani
Raha azvaje ehmad me maqaam uncha khadeja ka.
Nabi ne umr bhar hai yun kiya charcha khadeeja ka.

Nabi ke waaste tha umr bhar jeena khadeeja ka.
Mohammad ka jo tha mansha woh tha mansha khadeeja ka.

Raha hai deen ki bunyaad me hissa khadeeja ka.
Rahega hashr tak islaam par saaya khadeeja ka.

Zamaane vaale jab jhutla rahe the shaahe batha ko.
Dilaasa tab mohammad ko mila karta khdeeja ka.

Laqab tha taahera jiska jahaalat ke zamaane me.
Haya ka taaj  bhi khud ban gaya gehna khdeeja ka.

Nahi maasoom thi fir bhi sifat maasoom jaysi thi.
Raha darya e ismat se sada naata khadeeja ka.

Mohammad ke liye qurbaan kardi daulate dunya.
Chaleega hashr tak ab deen me sikka khadeeja ka

Jab aayega jahaaN me aakheri beta khadeeja ka.
AyaaN ho jaayega *Navshad* tab rutba khadeeja ka.





3. Naushad Bijani
Imaame asr ne maatam kiya barpa khadeeja ka
Baha kar ashke khoo'n roya bahut beta khadeeja ka.

Falaq se gham manaane aae hai isa khadeeja ka.
Imaame asr ko dete hai woh pursa khadeeja ka.

Judaai me khadeeja ki rasulillah rote hai.
Manaae hashr tak fir gham na ky'u dunya khadeeja ka.

Nabi ki laadli bhi ro rahi hai aahe'n bhar bhar ke.
Utha hai aaj inke sar se bhi saaya khadeja ka.

Bani haashim ke ghar vaale the sab mashghool maatam me.
Janaza jis ghadi ghar se nikalta tha khadeeja ka.

Karo ay momeeno maatam tum apna peet kar seena.
Baha kar ashk tum zehra ko do pursa khadeeja ka.

Labe darya bhi zalim ne nahi di boond paani ki.
Navasa qatl karbal me huva pyasa khadeeja ka.

Sakeena ko tamaache par tamaache maare aada ne.
Chukaaya jaa raha hai dasht me badla khadeeja ka.

Saro'n se bibiyon ki chheen li chaadar laeeno'n ne.
Firaya jaa raha hai nange sar kumba khadeeja ka.

Nabi se ba adab *Navshad* ki hai ilteja itni.
Kare tasleem ye binte nabi navha khadeeja ka.





4. Bobar Navab Madrasi
*SAMAJ PAAYEGA KOYI KISTARHA RUTBA KHATEEJA KA*
*BADA ANMOL HAI ISLAM SE RISHTA KHATEEJA KA*

*NA MILPAAYA KISI KO AAJ TAK AB USKA ANDAAZA*
*HUVA HAI KHARCH JO KUCH DEEN PAR PAISA KHATEEJA KA*

*KAREGA KISTARHA INKAAR KOYI DAHR ME USKA*
*JO KHAATE HAIN MUSALMAA HAI WAHI SADQA KHATEEJA KA*

*NA HOPAAYEGI DAULAT RAAYEGAA'N AHMAD KE ZAUJA KI*
*HAI MAQSAD AUR JAZBA AAJ BHI ZINDA KHATEEJA KA*

*NIBHAAYA HAI NABI KE SAAT JO KIRDAAR DUNYA ME*
*NA KIEUN HO HAR ZABAA'N PAR ISLIYE CHARCHA KHATEEJA KA*

*JO GAAFIL HAIN MUSALMAA UNKE RUTBE SE WO YE SAMJHEN*
*ABHI BHI SAR PE HAI ISLAM KE SAAYA KHATEEJA KA*

*GAYEE HAIN CHORDKAR JAB SE WO IS DUNYA KO AAI LOGON*
*"MOHAMMAD KE JIGAR PAR DAAGH HAI GAHRA KHATEEJA KA"*

*NA KIEUN HO DIL NABI KA AAJ DO TUKDE ISEE GHAM SE*
*UNEY TADPAATA HOGA QABR ME SADMA KHATEEJA KA*

*BOHOT MAGMOOM HONGI AAJ KE DIN FATIMA ZAHRA*
*CHALO DEN AAJ MILKAR SAB UNEY PURSA KHATEEJA KA*

*BOBER YE DIN WAFAATE MAADARE BINTE NABI KA HAI*
*JAHAA'N ME HO RAHA HAI HAR JAGAH GIRYA KHATEEJA KA*





5. Suhail wasti
*Khuda ke deen par ahsan h itna khadeeja ka*
*K rab ne sab se alaa rakh diya rutba khadeeja ka*

*Luta di umr bhar ki saari dolat raah e emaaa’n me*
*mashiyyat dekh kar nazaa’n hui jazba khadeeja ka*

*ziyada sabse Mehboob e khuda Mehboob rakhte the*
*nabi ki biwiyon se badh ke h rutba khadeeja ka*

*zamana ab bhi khata h unhi ke maal ka sadqa*
*zamane bhr pe ab bhi baqi h qarza khadeeja ka*

*janab e Fatima zehra o haidar se ziya paakar*
*giyara phulo’n  ne mehka diya ghuncha khadeeja ka*

*mitane karbala ke dasht me zulmat ki hasti ko*
*bhattar soormaon se bana dasta khadeeja ka*

*are o dushman e dee’n koi bhi tera nahi baqi*
*abhi bhi parda e ghaibat me h beta khadeeja ka*


*gham o andooh ke baadal ise choo bhi nhi sakte*
*(suhail e wasti) h chahne wala khadeeja ka*




6. Suhail wasti: 
*NOHA*
*mohammad mustufa ko aj h sadma khadeeja ka*
*madeene wale akar dete hn pursa khadeeja ka*

*milega kis trha ab fatime ko piyar madar ka*
*sar e zehra se ab to uth gaya saya khadeeja ka*

*hui weeran ye duniya mera ghar ho gya khali*
*janaze par ye noha padhti hn zehra khadeeja ka*

*lahu ke ashq barsate hn ankhon se qayamat h*
*mohammad ke jigar par daagh h gehra khadeeja ka*

*waseele se inhi ke deen e haq pe ye jawani h*
*h lazim gham manaye aj ye duniya khadeeja ka*

*ijazat gar mile bibi ki to jakar sar e mimbar*
*ho hasil mujh ko bhi ek marsiya padhna khadeeja ka*

*(suhail e wasti) h aarzoo jakar baqiyya me*
*sunaun Fatima zehra ko me noha khadeeja ka*


7. Faseeh Naqvi. image

Video

Images

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Mohammed ke jigar par daag he gehra khadeeja ka ( By Rizwan Bijani, Naushad Bijani, Bobar Navab, Suhail wasti Faseeh Naqvi. in Mushyera )

20/05/2019

Mohammed ke jigar par daag he gehra khadeeja ka
VIEW WRITE UP