1. Navshad Bijani
Azaa shabbeer ki kar ke jahaa'n me aam zainab ne.
Zamaane ko diya shabbeer ka payghaam zainab ne.
Baraaye deen seh kar har sitam ta shaam zainab ne.
Piye hai sabr ke har ik qadam par jaam zainab ne.
Jaha'n hoti thi pooja zulm ki us vaadi me jaakar.
Sitam ke sabr se tode sabhi asnaam zainab ne.
Zameene karbala kar di husain ibne ali ke naam.
Kiya apne liye hai fat'h mulke shaam zainab ne.
Bhulakar apne beto'n ko lahoo roi biradar par.
Guzaare jitne baade karbala ayyam zainab ne.
Tamaacha hai rukhe baatil pe yeh Navshad zainab ka.
Kiya gham bhaai ka bhi shaamile islaam zainab ne.
Navshad Bijani