Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai dar Hasan

( By Rizwan Bijani., Sibtain Sayyadi, Naushad Bijani, Zeeshan azmi, Mukhtar ali A Malpara, Paikar Jalalpuri, Raheman ali chaudhary, Husain saabir, Bober Nawab, Suhail wasti

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    24/05/2019
Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai dar Hasan

BAZM-E-SHOARA.....Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai dar Hasan (a.s.)
 
Wiladate imaame hasan a.s.
 
Misra...Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai dar Hasan (a.s.)
 
Misra by...Janab Muntazir Saheb
 
 
 
 
1. Rizwan Bijani.
Sulh ki sharto SE ibne fat'he khaibar Hasan 
Kaat aaye Waqt KE sab marhabo KE  SAR Hasan 
 
Jaane Zahra(s.a) jaane Haider Sibte paygambur Hasan 
Ho raha hai aaj Tera tazkara Ghar Ghar Hasan
 
Joliya Khali hai sab ki fikr or alfaaz SE 
Bheekh lene aaye Hain ham aapke dar par Hasan
 
Teg ke fan se bhi hoti khoob waqif kayenaat 
Karbala KE dasht me moujood hote gar Hasan
 
sulh se zulmo sitam ke aslhe ruswa huwe
Juk gaye tere qalam ke samne khanjar hasan
 
Inke qadmo me nazar aati hai saari kayenaat
Farsh pe moujood reh ke bhi rahe ambur hasan 
 
Qatle arzakh par faza me shor utha Qasim hai ya
Lad rahe Hain jannatul firdos se aakar hasan
 
Ay jaha walo meri shaahi pe hairat mat karo
Chahne walo ko karte hain ata aksar hasan
 
Shere haider ne wafao ke qalam se likh diya
Ak bazu par husain ibne ali ik par hasan
 
Dekhte Hain Kon baazi maarta hai ay laee'n
Waqt ka marhab tu hai to waqt ka haider Hasan
 
De rakha hai paalne wale NE apna ikhteyaar
Chahe to kun keh KE Kar de mom ko path'thar hasan
 
aa rahi hai khum Ke maida SE musalsal ye sada
ummate sarkaar KE Hain doosre rehbar hasan 
 
Kya Kare rizwa'n zami PE baith Kar teri Sana
Tera rutba arsh SE bhi hai Kai upar Hasan.
 
 
 
 
2. Sibtain Sayyadi
Lag raha hai shaklo soorat me qamar SE bhi hasee'n
Keh rahe the god me lekar tuje Haider Hasan
 
Ye qalam ka nuk hai ya haidari talwaar hai
Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai dar Hasan
 
 
 
 
 
3. Naushad Bijani
Haamile ilme ladunni deen ke mehwar hasan.
Raahate qalbe payambar waarise haidar hasan.
 
Raakibe daushe nabi shabbeer ke hamsar hasan.
Jaane zehra o ali ummat ke hai rehbar hasan.
 
Fakhre hawwa fakhre maryam aap ki maadar hasan.
Aap ki khwahar hai zaynab bhaai hai sarwar hasan.
 
Amn ka ghar ilm ka dar sabr ka paykar hasan.
Do jahaaN me naam hai bas aap ka shabbar hasan.
 
Apna sar kham kar ke karte hai malak mil kar tawaaf.
Arsh par khulta hai jab jab aap ka daftar hasan.
 
Sulh ka naamo nishaaN islaam me hota nahi.
Aam gar karte nahi tum sulhe payghambar hasan.
 
Suuara e kawsar ki is se bad ke kya tafseer ho.
Nasle baatil kar gaye tum sulh se abtar hasan.
 
Dushmane deene nabi ko maat dene ke liye
Chalti hai ban kar tere nauqe qalam nashtar hasan.
 
Barq ki raftaar se parwaaz jannat tak kare.
Tum ata Navshad ko kar dena aysa par hasan.
 
 
 
 
4. Zeeshan azmi.
हर मुसलमां    के हैं मौला,  सिब्ते पैगंबर हसन
दो     जहां के   वास्ते हैं    दूसरे    रहबर हसन
 
देखिए कितनी   मुबारक    है विलादत आपकी
देता है हर एक फरिश्ता तहनियत आकर हसन
 
कर्बला होती   ना होता   नाम   का कोई यज़ीद
ग़ैज़ में   तलवार    हाथों में   उठाते    गर हसन
 
सुल्ह नामे    में हकीकत  वह लिखी   थी आपने
आज भी बातिल के दिल में आपका है डर हसन
 
मोमिनो के   लब पे होगी  मनक़बत हर दम मेरी
मदख़ां ज़ीशान   है मेरा  यह  कह   दें गर हसन
 
ہر مسلماں کے  ہیں مولا    سبطِ پیغمبر حسن
دو جہاں کے واسطے   ہیں دوسرے رہبر حسن
 
دیکھئے   کتنی    مبارک    ہے ولادت    آپ کی
دیتا ہے    ہر اک     فرشتہ    تہنیت  آکر حسن
 
کربلا ہوتی   نہ ہوتا    نام    کا    کوئی   یزید
غیظ میں   تلوار ہاتھوں میں اٹھاتے  گر حسن
 
صلح نامہ   میں حقیقت وہ لکھی تھی آپ نے
آج بھی  باطل کے  دل میں آپ کا ہے  ڈر حسن
 
مومنوں   کے   لب  پہ ہوگی منقبت ہر دم مری
مدح خواں ذیشان ہے میرا یہ کہ دیں گر حسن
 
 
 
 
5. Mukhtar ali A Malpara
Waaris-e-shere khuda ay deen ke rahebar Hasan, 
Fatema ke dilruba Shabbir ke humsar Hasan...
 
Aap ke Dar pe kisi ne jo kabhi maañga hai kuchh,
De diya hai aap ne bhi jholiyaa bhar kar Hasan...
 
Jung ke badle me aisi sulh ki hai aapne, 
Aaj bhi baatil ke dil me aap ka hai Dar Hasan...
 
Ilm me to Mustufa jaise nazar aaye ho tum, 
Gaiz me gar aa gaye to aap hai haidar Hasan...
 
Mad'h karne aap ki "Mukhtar" bus jeeta rahe,
Lafz lene ke liye bus aap ka hai Dar Hasan.
 
 
 
 
 
6. پیکر جلالپوری
فاطمہ کی جان وہ حیدر کے ہیں دلبر حسن 
بے سہاروں کے سہارا جانِ پیغمبر حسن 
 
زینب و کلثوم بہنیں بھاٸی ہے سرور حسن 
آپ کے در سا نہیں کوٸی جہاں میں در حسن 
 
قصرِ ظالم میں بپا ہوتا ہے یہ محشر حسن 
صلح سے فتحیٰ کیا ہے آپ نے خیبر حسن 
 
معجزہ یہ آپ کا تھا صلح نامے پر حسن 
دشمنِ دیں ہو گیا حیوان سے ابتر حسن 
 
یوں کیا ہے آپ نے رسوا قلم کی نوک سے 
*آج بھی باطل کے دل میں آپ کا ہے ڈر حسن*
 
آپ کے دورِ خلافت میں نا تھا بھوکا کوٸی 
دو جہانوں میں سخی بس آپ کا تھا گھر حسن 
 
کر دیا بیکار ہر اک معرکہ تحریر سے 
تھی قلم کی نوک ظالم کے لٸے نشتر حسن 
 
ہو سخی ابنِ سخی کر دو کرم کچھ اس قدر 
منقبت بس آپ کی پڑھتا رہے پیکر حسن 
 
 
 
 
7. Raheman ali chaudhary
Murtuza ke laadle aur sibte payghambar hasan
Bhai hai shabbir aur zehra ke hai dilbar hasan
 
Chehre se hai mustufa aur gaiz mai hai murtuza 
Zainabo kulsoom ke hai bhai vo shabbar hasan
 
Hu bahu haider ke jaisi hai sakhavat aapki
Taarikhe islaam ke hai dusre rehbar hasan
 
Dushamno se hai karayi aapne aisi suleh
 Aaj bhi baatil ke dil mai aapka hai dar hasan
 
Koi bhi khali nahi jaata aapke dar se kabhi 
Do jahaN mai hai anokha aapka wo dar hasan
 
Manqabt ke waaste rahman pe kardo ata
Uss ata mai mujhko de do lafz ka lashkar hasan
 
 
 
 
8. Husain Chachuliya Saabir
Maah-e-ramzaa'n' me Ali-o-Fatima ki god me
Ummat-e-Ahmad ka utraa doosra rehbar Hasan
Tod di talwaar ko apne qalam ke zor se
Aaj bhi baatil k dil me aapka hai dar hasan.
 
 
 
 
 
9. Bober Nawab.
*CHAND ZAHRA KE HO AUR HYDAR KE HO DILBAR HASSAN*
*SAARI DUNYA AAJ BHI QURBAAN HAI TUM PAR HASSAN*
 
*AAMADE SIBTE NABI HAI MAANGLO JO CHAAHIYE*
*MISLE HYDAR HI SAQAAWAT KA AJAB HAI DAR HASSAN*
 
*NAUJAWANO KE HAIN DO SARDAR HI FIRDOUS ME*
*EIK HAI SHABBEER AUR TUM DOOSRE RAHBAR HASSAN*
 
*ZALIMON KO DI HAI TUMNE SULHA SE AISI SHIKAST*
*HAI GUMAA SAB KO QALAM HAI YE KE HAI KHANJAR HASSAN*
 
*TUMNE BIN TALWAAR KE HI KI QALAM SE JUNG EUN*
*"AAJ BHI BAATIL KE DIL ME AAP KA HAI DARR HASSAN"*
 
*RIZQ BEWAAVO YATEEMO KO JO PAHONCHATA RAHA*
*BAAD HYDAR KE TUMHI HO MOONISO YAAWAR HASSAN*
 
*BICHTA RAHTA HAI GHARON ME PANDRA RAMZAN KO*
*AAJ BHI MASH'HOOR HAI BUS AAP KA DASTAR HASSAN*
 
*DIL YAHEE KAHTA HAI WO DIN BHI YAQEENAN AAYEGA*
*AAPKE ROWZE KI JAALI HO MERA HO SAR HASSAN*
 
*KIEUN NA BADLEGI BOBER KI PAL ME QISMAT AAJ HI*
*GAR BANAVOGE USEY TUM AAPKA NAUKAR HASSAN*

 
 
11. Suhail wasti
*E ghareebo ke maseeha ,devta ,rehbar hasan*
 
*mujh ko bhi kar do ataa kuch ilm ka saghar hasan*
 
*jan e ahmad, rooh e haider noor ke paikar hasan*
*fatima zehra pe h haq ki ata dilbar hasan*
 
*is se badhkr or kya hogi fazilat apki*
*hain husain ibn e ali ke aaqa o rehbar hasan*
 
*noor hn to naaam bhi rkhega khaliq noor ka*
*naam rkha h khuda ne apka shabbar hasan*
 
*fathyaabi sulh se mil jaye to talwaar kyun*
*dete hn pigham duniya ko ye paighambar hasan*
 
*sulh lekar bhi na fateh ho saka islaam par*
*maawiya ke dil pe aise chal gya khanjar hasan*
 
*zulmaton ki andhiyo me mar rha tha deen e haq*
*tu ne bakhshi jawedani deen ke parwar hasan*
 
*baad e qatl e shah deen e haq bachane ke liye*
*deen ka mehwar bani h apki khwahar hasan*
 
*is qadar qirtas ne ghalba kiya h apke*
*aj bhi batil ke dil me apka h dar hasan*
 
*bakhs do isko gadai apne dar ki ya imam*
*h suhail e wasti bhi apka nokar hasan*

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP