Ai Khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe

( By 1.SHAKER SAYYADI 2. Janab Mohsin Banarsi 3. Janab Kumail Nagri. 4. Janab Jaafar Dehraduni 5. Janab Rahmaan chaudhary 6. Janab Qambar kalkatvi 7. Janab Imran muzaffarpuri 8. Janab Sarkil Nagri 9. Janab Sibtain Sayyady 10. Janab Ghazi Abbas Zainabi 11 Naushad Bijani

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    25/12/2019
Ai Khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe

BAZM-E-SHOARA  
 
Tarhi misra:  Ai Khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe
 
Qafiya.......mazhar
Radeef.......dekhe
 
Misra by: Janab Altaf Maroofi sahab
 
 
Shoara
1.SHAKER SAYYADI
2. Janab Mohsin Banarsi
3. Janab Kumail Nagri.
4. Janab Jaafar Dehraduni
5. Janab Rahmaan chaudhary
6. Janab Qambar kalkatvi
7. Janab Imran muzaffarpuri
8. Janab Sarkil Nagri
9. Janab Sibtain Sayyady
10. Janab Ghazi Abbas Zainabi
11 Naushad Bijani
 
 
 
 
1.SHAKER SAYYADI
DAR PE ZAHRA KE FAZILATH KE SAMANDAR DEKHE,,,,,
KABHI FIZZA KABHI SALMANO ABUZAR DEKHE,,,,,
 
CHASHME IDRAAK NE ASGAR SE ABU TALIB TAK,,,,,
AI KHUDA HAMNE TERE WASFE KE MAZHAR DEKHE,,,,,
 
CHAND SIKKON KE LIYE KHWAHISHE DUNIYA KE LIYE,,,,,
HUM NE IS DOUR ME BIKTE HUE RAHBAR DEKHE,,,,,
 
AHLE KUFFAR SE AHMAD KO BACHANE KE LIYE,,,,,,
HUM BADALTE HUE IMRAN KO BISTAR DEKHE,,,,,,
 
APNE JAISA NA KAHO AHMAD E MUQTAR KO TUM,,,,,
HAATH PAR APNE KAHAN BOLTE KANKAR DEKHE,,,,,
 
HO NAJAF KARBOBALA SHAAM HO YA QUM MASHHAD,,,,,
HAR KHADAM HUM NE WAHAN KHULD KE MANZAR DEKHE,,,,,
 
RUN ME ABBAS SE BACHKAR JO ADU BHAAGE HAI,,,,,,
UNME HIMMATH NA THI ABBAS KO MUDKAR DEKHE,,,,,,
 
SAAMNE HAZRATH E ABBAS KE KHAIMON KO ZARA,,,,,
DAM AGAR HAI THO KOI HAATH LAGAKAR DEKHE,,,,,,
 
SAYYADI GAHR PE TERE DEKH KE GHAZI KA ALAM,,,,,
FARSH PE AASMAAN WAALE BHI UTARKAR DEKHE,
 



2. Janab Mohsin Banarsi
Haar Maqtal Me Hui Kis ki Sitamgar Dekhe
Hum ne Jeete Hue Naizoñ Pa Kai Sar Dekhe
 
Kisme Jur'at Hai Ke Abbas (as) Ke Tewar Dekhe
Dar se mar jaye agar chehra hi pal bhar Dekhe
 
Aa Gaya Sher (as) Ke Panje Me Simat Kar Dariya
Fauje Aa'da Se Kaho Mojiza Aa kar Dekhe
 
Is Qadar Jaun (as) Ke Chehre Ko Nikhara Shaih (as) Ne
Ke Zulekha (sa) Bhi Kayi Baar Palat Kar Dekhe
 
Ran me Nau Laakh ke Lashkar Ko akele maara
Humne Asgar (as) Ke Tabassum Me Wo Jauhar Dekhe
 
Maut Ko Maat Di Shabbeer (as) Ke Ansaaroñ Ne
Aisa dekha na koi jaise Bahattar Dekhe
 
Aasmaañ Se Ho Jise Nazreñ Mila kar Chalna 
Parcham E Hazrat E Abbas (as) Utha Kar Dekhe
 
Kabhi Rahib Kabhi Fitrus To Kabhi Hurr E Jari (as)
Ham ne bante hue kitne hi Muqaddar Dekhe
 
Jis Ne Dekha Nahi Sarkar e Risalat (saww) Ka Shabab
Karbala Ja ke Zara Chehra E Akbar (as) Dekhe
 
Minbaroñ se bahot aasan hai Mid'hat karna
Koi Meesum (as) Ki Tarah Daar Pa Chadh kar Dekhe
 
Kat Ke Shabbeer (as) ka Sar Aur Bulandi Pa Gaya
Sar Jhuka Kiska Ye kuffar Ka Lashkar Dekhe
 
Lanateñ Qaatil E Sarwar (as) Pa kiya Karte haiñ
Kalma goyoñ se bahot achchhe Kabutar Dekhe
 
Jab bhi Masoomoñ ko Dekha to ye Mahsoos kiya
Ay Khuda! Hum ne Tere Wasf Ke Mazhar Dekhe
 
Un ko Roomaal Hai Zahra (sa) ka Mayassar Mohsin
Shaih (as) Ke Ghamkhwar Ki Aankhoñ Me jo Gauhar Dekhe
    




3. Janab Kumail Nagri.
Ashke gham she'h ke jo palko'n pe sajakar dekhe.
Farsh par baith ke wo khuld ke manzar dekhe.
 
Apne jaisa jinhe kehte ho, suno nadaano. 
Un ke hatho'n pe to hum bolte kankar dekhe.
 
Uska kiya martaba hoga ye khuda hi jaane.
Aake jis bibi ko har roz payambar dekhe.
 
Aisa ghar fatema zahra ke siwaa. Kis ka hai?
Kaam darbani ka rizwaan jo aakar dekhe.
 
Noor se jiske tha raushan ye zamana Sara.
Chadare zahra me wo noor ke paikar dekhe.
 
Chamane fatema zahra  ke jahaa'n walo'n ne.
Pust par ahmade mursal ke gule tar dekhe.
 
Puste ahmed pe kabhi doshe nabuwwat pe kabhi. 
Ay khuda hum ne tere wasf ke mazhar dekhe.
 
Ek faqat rahibo fitrus pe nahi hai mehdood.
Hum ne nabiyo'n ke yahaa'n bante mukhaddar dekhe.
 
Karbala me nazar aaye hai'n hame shamso qamar.
Hum ne anmol sitaare bhi bahattar dekhe.
 
Khinch kar qat ye ~ yadullah ka beta bola.
Kis me himmat hai jo khaimo ke baraabar dekhe.
 
Unki haibat se adu chod ke maidaa'n bhage. 
Nehr ki simt jab abbase dilawar dekhe.
 
Dekhkar chawdhwe'n ka chaand bhi Sharma jaaye.
Jab nazar usko uthakar ali akbar dekhe.
 
Lashkare shaam pe aajayegi shamat ran me.
Laal banu ka agar thoda sa hanskar dekhe.
 
Sabr ka karbobla me tha sitam par hamla. 
Sookhe halqoom se kat te huye khanjar dekhe.
 
Ye dare haidare safdar ki fazeelat hai *Kumail*
Hum ne bante jaha'n  be zar se abuzar dekhe. 
 



4. Janab Jaafar Dehraduni
Ae khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe
Ek nukte me fazayel ke samunder dekhe
                   
Khud ba khud girne lage sajde me but kaabe ke
Dosh per Ahmad-e-Mursal ke jab Haider dekhe
                      
Adl se waar kiya karti hai tege haider
Tukde Marhab ke jo dekhe to barabar dekhe
 
Jisko Pana hai koi ilm ka nayaab gauhar
Ishq-e-Haider ke samunder me utarkar dekhe
                   
Koi budha hai jawa'n koi hai besheer magar
Ek sanche me dhale hamne bahatter dekhe
                      
Mere honto per hai Abbase Alamdaar ka naam
Koi dushman na mujhe aankh uthaker dekhe                     
 
Ilm ke shahar se tumko bhi milega waaiz 
Shart itni hai dare ilm per aaker dekhe                      
 
Pass daulat hai mere ashk-e-game sarwar ki
Kis me himmat hai koi isko churakar dekh                 
 
Hai dare Aale Nabi ka ek sukhanwar Jafar
Meri parwaz ko na koi bhi kamter dekhe
                     




5. Janab Rahmaan chaudhary
Ishq mai doob ke bante yu qalandar dekhe
Ay khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe 
 
Jang mai dekh ke haidar ko adu Kehne lage
Jee te jee hamne to ab maut ke manzar dekhe 
 
Bole abbas ke kis mai hai suno dam itna?
Samne mere koi nazre utha kar dekhe
 
Ghaiz e abbas pata chal hi tumhe jaayega
Mujhse pal bhar jo koi nazre mila kar dekhe
 
Deeñ pe mar mitne ki aayi thi ghadi jis dam
Sar pe yu pehne kafan sirf bahattar dekhe
 
Kasam allah ki ho jaaye bala hal uski
Alam abbas ka ek baar utha kar dekhe
 
Kaisa darja hai ali aapka ye dunya mai
Dar pe jhukte huve hamne to tavangar dekhe
 
Koyi shehbaaz bana Koyi bana qambar bhi
Teri chaukhat pe savarte yu muqaddar dekhe
 
Waqte chehlum jo najaf se hai chala karbobala 
Usne har gaam pe tab khuld ke manzar dekhe
 
Jinke sadqe se bane shamso qamar hai rahman
Fatema aapki chaadar mai vo paikar dekhe
 



6. Janab Qambar kalkatvi
Dekhne walo'n ne kya kya nahi manzar dekhe.
Noor o ismat ke taharat ke samander dekhe
 
Zere chadar inhe aflak ne dekha to kaha.
Ay khuda humne tere wasf ke mazhar dekhe.
 
Dono alam me faqat aale muhammed ke siwa.
Noore khaliqu se bhare koi nahi ghar dekhe.
 
Misamo qumbar o salman abu zar jaise.
Khake haide se bane kitne qalandar dekhe.
 
Ghaize abbas e jari ka ye asar tha malik.
Bhagte kitne zamane ne hai lashkar dekhe.
 
Dekh ke karbobala kahne lage sare nabi.
Ba khuda humne yaha'n jung ke jauhar dekhe.
 
Teri chaukhat ka sharaf hai ye shahe karbobala.
Zulm ke chukte hoye humne jaha'n sar dekhe.
 
Jo bhi aata hai'n dare binte nabi pe qumber.
Unke bante hoye sab bigde muqaddar dekhe.
 



 
7. Janab Imran muzaffarpuri
Fatema dar pa tumhare hi ye manzar dekhe 
Lamho mai bante huwe bigde muqddar dekhe
 
Daad dene ko chale aay zami par jibreel 
Sher moula ki jo midhat mai sunakar dekhe
 
kimti phulo se daman ko sajaya tere 
Karbala pehle khaaN tune ye gouhar dekhe
 
Fatema zehera ka to bad mai lekar aana
Pehle hamsar koi fizza ka to laakar dekhe
 
Jab ziyarat ke liye ham dar e sarwar pa gay
Ai khuda hamne tere wasf ke mazhar dekhe 
 
khech hai hazrat abbas ne khat maqtal mai 
Kis mai dam hai jo koi aage nikalkar dekhe
 
Aaya maidaan mai qasim ke muqabil usne 
Tan se katte huwe lamhe mai faqt sar dekhe
 
khoon shabbir ka behta hai rago mai iski
Hurmula teer ko asger tere haskar dekhe
 
Teer hulqoim pe aur lab pa tabssum ki lakeer 
Mout hairat mai khadi cheray asgar dekhe
 
Chad ke sooli pa bhi kar jaay jo haider ki sana 
Aese imraan zamane ne shukhanwar dekhe
 



 
8. Janab Sarkil Nagri
ISHQ E HAIDER KI SAMDAR ME UTAR KAR DEKHE
JAL NE WALO KO ZARA MAAR KE KHANJAR DEKHE
 
HAM BHI KASHKOL PASAARE HUWE BAITHE HAIN YAHA
DARE SARWAR PE BADALTE JO MUQADDAR DEKHE
 
AK FATWE SE KARE NIND JO DAISH KI HARAM
HAMNE IS DEHR ME KUCH AISE BHI REHBAR DEKHE
 
KHEECH KE KAR GYA AILAAN ALI KA BETA
KHAT KE IS PAAR ZARA KOI TO AAKAR DEKHE
 
ZAYEEQA YAAD N AAYEGA FIR IS DUNIYA KA
MAJLISE SHEH KA  TABARUK ZARA KHA KAR DEKHE
 
AATE HAI DAR PE  MALK BEHS BADAL KAR AKSAR
DAR E ZAHEERA PE FAZEELAT KE SAMANDAR DEKHE
 
QATL KE BAAD BHI BOLE HAI SINA SE MOULA
SHAQ JISE HAI ZARA TAREEKH UTHA KAR DEKHE
 
YE ALI WALE HAIN MARNE SE KAHA DARTE HAIN
LABE ASGAR PE HASI RAN ME SITAMGAR DEKHE
 
SHABE MEERAJ KE PARDE KE HASI MANZAR ME
 AI KHUDA HAMNE TERE WASF KE MAZHAR DEKHE
    
 DEKHNA HAI JISE JANNAT KA NAZARA SARKIL
US SE KEH DO DARE SHABBIR PE JAKAR DEKHE
 


 
9. Janab Sibtain Sayyady
Ghaiz me Aake jab Abbase Dilawar Dekhe
Phir kahaa'n khaima e Shabbir ko Lashkar Dekhe
 
Aisa lagta hai Ulat'de NA  kahi'n Dashte Bala 
Roze Ashoor koyi Robe Gazanfar Dekhe
 
Asmano se bhi ooncha hai ye ghazi ka Alam 
Ab Fazeelat bhi ise Sar ko Uthaakar Dekhe
 
Jake wo Chand pe kehte hain Khuda hai ke Nahin
Jo bhi kehete hai wo Suraj pa bhi Jakar Dekhe
 
Jange Shabbir baya kar nahi Sakta koi 
Wadiye karb me bas Udte huwe sar Dekhe
 
Kamiyabi na mile tum ko ye Momkin hi Nahi 
Ya Ali keh ke Qadam apna Badhakar Dekhe
 
Sura e Hamd se Quraa'n ke Safe Aqir takk
Ai Khuda Hamne tere Wasf ke Mazhar Dekhe
 
Ham batate hain tumhe Daste Naboowat kya hai 
Kalma is hath pe padte huwe kankar Dekhe
 
Abe zamzam ki tarha wobhi shifa deta hai
Koyi paani to Nishapure ka peekar Dekhe
 
Mahfile Midhate imran Sajee hai"Sibtain"
Khusbu aati hai wahan khuld ki Jaakar Dekhe
 



 
10. Janab Ghazi Abbas Zainabi
Bigdey bantey huwey pal mey yu muqaddar dekhey
Daaman e Sher e khuda jisney pakad kar dekhey
 
Beech shamsheero'n ke sokar merey maula ke siwaa
Marzi e rabb e jalii ko koi paakar dekhey 
 
Lafz e kun mey kabhi tatheer ki chaadar mey kabhi
Aye khuda humney terey wasf ke Mazhar dekhey
 
Teer khaakar bhi koii hasta rahaa Maidaa'n mey
Teer pakdey huwey par rota sitamgar dekhey
 
Dekhna hai jo qayaamat to suye khaima e shaah
Teer hotey huwey Gaazi ke chalaakar dekhey
 
Mar hi jaatey they kayii laakh sitamgar yuu bhi
Apni aankho'n ko agar Gaazi uthaakar dekhey
 
Jab bhi aati thi shah e dee'n Ko payambar ki yaad
Muskuraatey huwey wo chehra e akbar dekhey
 
Hum sabeelo'n pey pilaatey huwey Paani aksar
Gaazi Abbas alamdaar ke naukar dekhey
 
Eak seestaani ki tooti si makaa'n hai ke jahaa'n
Sarr jhukaaye huwey dunya ke sikandar dekhey
 
Chauda sadiyo'n se tamanna hai yehii mehdi(ajtf) ki
Pyaas saqqa e sakina ki bujhaakar dekhey
 
Dil mey *"Gaazi"* ke ye Armaan hai yaa rab sunley
Phirsey ek baar darr e rauza e Sarwar dekhey
 



 
11 Naushad Bijani
Shere yazdaan ko bar daushe payambar dekhe.
Butshikan koun hai yeh soch samajh kar dekhe
 
Ek pyaase ne labe khusk pe feri hai zabaN.
Ran me 9 laakh ka rota huva lashkar dekhe.
 
Shiddate pyaas me pyase ko karega sayraab 
Tishna darya ko taraai pe ghazanfar dekhe 
 
Saath Naushad tere qabr me hai khaake shifa.
Rausani uski zara qabr ke andar dekhe

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP