Tha adhoora bhaai ka jo kaam Zainab ne kiya

( By Naushad Bijani, Sarkil Nagri, Anees Abr, Ghazi Zainabi, Jaafar Dehraduni, Yusuf Rabdi, Mohammad Askari, Bober nawab, Paikar Jalalpuri, Arshad Sirsivi, Raheman Chaudhri, Husain Saabir, Imran Sandhawali.

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    10/01/2020
Tha adhoora bhaai ka jo kaam Zainab ne kiya

BAZM-E-SHOARA
 
Tarhi misra: Tha adhoora bhaai ka jo kaam Zainab ne kiya.
Misra by: Janab Navshad Bijani sahab.
 
 
 
 
1. Janab Navshad Bijani
Kar na paaya jo koi woh kaam zainab ne kiya.
Taalibe bay'at ko hai badnaam zainab ne kiya.
 
Karbala ke waaqea ko aam zainab ne kiya.
Tha adhoora bhaai ka jo kaam zainab ne kiya.
 
Likh di fat'he karbala ta hashr sheh ke naam par.
Aur mulke shaam apne naam zainab ne kiya.
 
Har imaarat past kar ke dushmanane deen ki.
Farshe geti par buland islaam zainab ne kiya.
 
KhutboN se gulzaar khaare dasht ko karti chali.
Kaebala se jab safar ta shaam zainab ne kiya.
 
Daastaane karbala ko aam karne ke liye.
Ayk lamha bhi nahi aaraam zaynab ne kiya.
 
Tha jahaN takhte sitamgar ja ke us darbaar me
Waqt ke haakim ko hai nilaam zainab ne kiya.
 
Sham e haq ki ban ke woh faanoos baade zulm me.
Kufr ke armaan ko naakaam zainab ne kiya.
 
Shukr kar Naushad is ashaar ke badle tujhe.
Aakherat me qaqbile inaam zainab ne kiya.
 



 
2. Janab Sarkil Nagri
KARBALA KO IS JAHA  ME  AAM ZAINAB NE KIYA
THA ADHOORA BHAAI KA JO KAAM ZAINAB NE KIYA
 
MAJILISE SARWAR BAPA KAR KE SITAM KE SHEHR ME
QATILE SHABBIR KO GUMNAAM ZAINAB NE KIYA
 
HASHAR TAK BARSEEGI TUJPE PE DEKHNA TU AYE YEZEED
LANNATO KO AAJ TERE NAAM ZAINAB NE KIYA
 
KHUTBO KI TALWAAR SE MARA HAI FOUJE SHAAM KO
KAR NAHI PAYA KOI WO KAAM ZAINAB NE KIYA
 
SHAAM O KUFA ME SADA AYI ALI PHIR AAGYE
QATILE SHABBIR KO BADNAAM ZAINAB NE KIYA

SHAAM KE DARBAAR SE SARKIL ZAMANE BHAR ME AAM
MAATAM E SHABBIR KA PAIGHAM ZAINAB NE KIYA
 



3. Janab Anees Abr 
Nashr e haq az Karbala ta Shaam Zainab(sa) ne kiya
Deen e paygambar ka uncha naam Zainab(sa)  ne kiya
 
Asr e ashoora ke waade ko wafa karte huwe
Tha adhoora bhaii ka jo kaam Zainab(sa) ne kiya
 
Dehr me khutboN se baatil ko bahot ruswa kiya
Shimr ke bhi naam ko dushnaam Zainab(sa) ne kiya
 
Karbala ke naam ko ek pal bhi mitne na diya
Zulm ke har waar ko naakaam Zainab(sa) ne kiya
 


4. Janab Ghazi Zainabi
Karbala waalo'n ka zinda naam Zainab Ney kiyaa
Darham o barham jo takht e Shaam Zainab Ney kiyaa
 
Jab talak Shabbir ke khaatil Ko ruswaa naa kiyaa
Tab talak ek pal bhi naa aaraam Zainab Ney kiyaa
 
Jis tarha bey-teyg Gaazi nehr qabza karliya
Waisey shehr e Shaam apney naam Zainab Ney kiya
 
Naamlewa aaj bhi koii nazar aata nahi
Yuu yazeed e nehs ko badnaam Zainab Ney kiyaa
 
Lehja e Sher e khuda se shaam ke darbaar mey
Dushman e islaam ko neelaam Zainab Ney kiyaa
 
Khaatil e insaaniyat ka kaam karna tha tamaam
Tha adhoora bhai ka jo kaam Zainab Ney kiyaa
 
Dhoondney par bhi nahi milpaayega naam e yazeed
Is tarha us naam ko gumnaam Zainab Ney kiyaa
 
Bankey khaidi Shaam tak har gaam khaayi thokarey 
Maqsad e Shabbir ko par aam Zainab Ney kiyaa
 
Andh bhakto ki tarha jo log they un log ka
Khutba e Haqq se buraa anjaam Zainab Ney kiyaa
 
Sher aal e mustafa ke *"Gaazi"* likhsaktaa kahaa'n ?
Ye hunar naacheez Ko in'aam Zainab Ney kiyaa
 



5. Janab Jaafar Dehraduni
Maqsade shabbir saranjam Zainab ne kiya
Tha adhoora bhai ka jo kaam Zainab ne kiya
           
Tha bulandi per sitam ka honsla darbaar me
Ek khutbe se use dhadaam Zainab ne kiya
 
Bandh gaye shane rasan me chin gayi chader Magar
Sar buland her haal me Islaam Zainab ne kiya
                
Karbala se shaam tak Zainul Aba ke sath sath
Zulm ke her waar ko nakaam Zainab ne kiya             
 
Chal saki na ghutniyo bhi Saazishe makkar ki
Lehja-e-Haider se Chakka jaam Zainab ne kiya
            
Fatema ke sheer ki taseer duniya dekh le
Karbala fatah ki Shah ne Sham Zainab ne kiya
               
Ho gaya ruswa sitam maqtal se qasre shaam tak
Zulm ka barbaad her godaam Zainab ne kiya
              
Jalte kheme se nikala Sayyade Sajjad ko
Kis tarha mushkil ye Jafar kaam Zainab ne kiya
 



       
6. Janab Yusuf Rabdi
THAA ADHOORAA BHAAI KAA JO KAAM ZAINAB NE KIYAA
MAJLISHO'N KAA YE SALIKHAA AAM ZAINAB NE KIYAA
 
LEHJAA E HAIDAR MEIN KHUTBAA DE KE KASR E SHAAM MEIN
LO YAZIDI TAKHT KO NEELAAM ZAINAB NE KIYAA
 
SHAAH KE WAADE KO LEKAR IS TARHAA MASROOF THI
ZINDAGI BHAR FIR NAHI'N AARAAM ZAINAB NE KIYAA
 
LAAFATAA ILLAAH ALI LAA SAIF ILLAAH ZULFIQAAR
TEG BAN KE SHAAM KO GUMNAAM ZAINAB NE KIYAA
 
KEEMATI THE JO KHAZAANE MAJLISHO'N SINAA ZANI
HUM HUSSAINI HAIN HAMAARE NAAM ZAINAB NE KIYAA
 
IS LIYE *YUSUF* SIMAT KAR AA GAYE SHAMS O QAMAR
KYU'N KE TERI SHAAYARI KAA DAAM ZAINAB NE KIYAA
 



7. Janab Mohammad Askari
مرسل اعظم کے دیں کو عام زینب نے کیا 
دخترشیر خدا ضرغام زینب نے کیا 
 
بعد غازی کس طرح سے قید میں  ہو کر سفر 
پا پیدہ کربلا سے شام زینب نے کیا 
 
ہاں یزیدِ بد نسب بد بخت کو بد شکل کو
اس کی ہی دربار میں بدنام زینب نے کیا
 
وقت آخر بھائی سے وعدہ کیا تھا اس لیے
ظلم کے ہر کام کو ناکام زینب نے کیا 
 
عابد بیمار کے ہمراہ جاکر شام میں 
تھا ادھورا بھائی کا جو زینب نے کیا
 
حیدر کرار کے لہجے میں کرکے گفتگو
مقصدِ شبیر کو گلفام زینب نے کیا
 
دختر سرور کی خاطر روتے روتے شمر سے 
جوڑ کر ہاتھوں کو اِستِرحام زینب نے کی
 
کوئی طاقت تاقیامت ڈھونڈ سکتی ہی نہیں 
اس لعیں اس طرح گمنام زینب نے کیا
 
عزؔم جانے کسطرح سے کسطرح سے کسطرح
قید خانے میں بسر ایام زینب نے کیا 
 



8. Janab Bober nawab
Hashr Tak Baatil Tujhe Badnaam Zainab Ne Kiya
Tha Adhoora Bhayi ka Jo Kaam Zainab Ne  Kiya
 
Jalte Sholon se Bachaakar Sayyade Sajjad ko
Dee’n ki Aasaan Mushkilen Har Gaam Zainab ne kiya
 
Aake Uske Shahr me Aur Uske hi Darbaar me
Hastiye Zalim ko hi Bedaam Zainab Ne Kiya
 
Baap ke Lahje me Bilkul Deke Qutba Gaiz se
Zulm ke Ghar me Bapa Kohraam Zainab ne Kiya
 
Fatha Paayi Qatle Sha’h se Ye Samaj Baitha Yazeed
Uske Mansoobe Magar Nakaam Zainab ne Kiya
 
Har Khadam Masroofe Dee’n Thi Jab Talak Zinda Rahin
KOyi Batlaaye ke Kab Aaraam Zainab Ne Kiya
 
Kuch Kasar Baaqi Na Rakha Maqsade Shabbeer me
Zikre Shaahe Karbala ko Aam Zainab Ne kiya
 
Majlise Sha’h Ne Bober Baqsha hai Mujko Martaba
Deke Izzat Mera Ooncha Naam Zainab ne Kiya
 



9. Janab Paikar Jalalpuri 
 مقصدِ شبیر کو ہے عام زینب نے کیا 
تھا ادھورا بھاٸی کا جو کام زینب نے کیا 
 
قصرِ ظالم میں بچھاکر فرشِ غم شبیر کا 
یوں ستم کو ہر جگہ بدنام زینب نے کیا 
 
ساتھ جب نیزوں پہ وہ لیکر بَہترّ سر چلی 
کربلا کوفہ و فتح شام زینب نے کیا 
 
کربلا حق ہے زمانے کو بتانے کے لٸے 
چادرِ تطہیر بھی نیلام زینب نے کیا 
 
خطبٸہ زینب کا اے پیکر اثر ایسا ہوا 
ظلم کے ہر وار کو ناکام زینب نے کیا 
 



10. Janab Arshad Sirsivi
कर्बला को लायक़ ए इकराम ज़ैनब ने किया
था अधूरा भाई का जो काम ज़ैनब ने किया
 
मरक़दे शब्बीर को काबा दिया पहले क़रार
फिर लिबासे सोग को अहराम ज़ैनब ने किया
 
कर दिये नापैद दुनिया से परसतारे यज़ीद
ज़ुल्म का ऐसा बुरा अंजाम ज़ैनब ने किया
 
दर्सगाहें दीं हमे फ़र्श ए अज़ा की शक़्ल में
इश्के मौला का अता इनआम ज़ैनब ने किया
 
शैह की क़ुर्बानी को देके कामयाबी का जमाल
शुक्र के सज्दे किये आराम ज़ैनब ने किया
 
दस्त बस्ता पुश्ते नाका पर अदा करके नमाज़
मक़सदे करबोबला को आम ज़ैनब ने किया
 


11. Janab Raheman Chaudhri
Banke haider kufr ko badnaam zainab ne kiya
Tha adhoora bhai ka jo kaam zainab ne kiya
 
Ho gaya darbaar mai apne hi rusva khud yazeed
Har iraado ko tere naakaam zainab ne kiya
 


12. Janab Husain Saabir
 بعدِ سرور دینِ حق کو عام زینب نے کیا
تھا ادھورا بھائی کا جو کام  زینب نے کیا
 
बादे सरवर दीने हक़ को आम ज़ैनब ने किया
था अधूरा भाई का जो काम ज़ैनब ने किया
 
ناملیوا نہ رہا کوئی بھی اُس کمبخت کا
یوں یزیدِ نحس کو گمنام زینب نے کیا
 
 नामलेवा ना रहा कोई भी उस कमबख़्त का
यूं यज़ीदे नहस को गुमनाम ज़ैनब ने किया
 
خطبہءِ زینب کو سُن دربار یہ کہنے لگا
 تیرے ہی گھر میں تجھے بدنام زینب نے کیا
 
ख़ुत्बए ज़ैनब को सुन दरबार ये कहने लगा
तेरे ही घर में तुझे बदनाम ज़ैनब ने किया
 
بانی۔ے۔فرشِ عزا بنکر دیارِ شام میں
ہر یزیدِ وقت کو ناکام زینب نے کیا 
 
बानिए फर्शे अज़ा बनकर दयारे शाम में
हर यज़ीदे वक़्त को नाकाम ज़ैनब ने किया
 
آٹھ نہ پایا پھر کبھی کوئی مخالف دین کا
فکرِ باطل کا بُرا انجام زینب نے کیا
 
उठ न पाया फिर कभी कोई मुख़ालिफ़ दीन का
फ़िक्रे बातिल का बुरा अंजाम ज़ैनब ने किया
 
کون ہے مظلوم باغی کون ہے یہ جان لو
فرق یہ تم پر عیاں ہر گام زینب نے کیا
 
कौन है मज़लूम बाग़ी कौन है ये जान लो
फ़र्क़ ये तुम पर अयां हर गाम ज़ैनब ने किया
      
 ہر قدم سجّاد کا بن کر عصا چلتی رہی
 ایک پل کو بھی نہیں آرام زینب نے کیا
 
हर क़दम सज्जाद का बनकर असा चलती रही
एक पल को भी नहीं आराम ज़ैनब ने किया
 
بھائی سے کہتی تھی *صابر* مرتضیٰ کی لاڈلی    
دو نگینوں کو تمہارے نام زینب نے کیا
 
भाई से कहती थी *साबिर* मुरतज़ा की लाडली
दो नगीनों को तुम्हारे नाम ज़ैनब ने किया
 




13. Janab Imran Sandhawali
 
Zulm ki tehreek ko nakaam zainab ne kiya 
Marka e sham o kufa naam zainab ne kiya 
 
Kar ke ruswa ahle imaaN ki nazar me kufr ko 
Tha adhoora bhai ka jo kaam zainab ne kiya 
 
 

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP