Tadap ke roti hai zehra Hasan shaheed huve

( By Shahadat imam Hasan a.s.

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    21/10/2020
Tadap ke roti hai zehra Hasan shaheed huve

 
🏴🏴 BAZM-E-SHOARA 🏴🏴
  
Tarhi misra
 Tadap ke roti hai zehra Hasan shaheed huve
        
تڑپ کے روتی ہے زہراء حسن شہید ہوے
 
Misra by
 Naushad Bijani
 
 
1-Chaman Rahmati Alipuri.
2-Mir Bober Nawab, Madrasi
3-Gaazi Abbas Zainabi
4-Jaafar Ali Dehraduni.
5-Sibtain Sayyadi
6-Rizwan Karbalayi
7-Mohammad Ali. H. Palsaniya
8-Imraan Sandhawali
9-Navshad Bijani
 
 
 
1
Chaman Rahmati Alipuri.
Hova udaas Madina  HASSAN shaheed Hove
Tadap ke Rooti hai Zehra  HASSAN shaheed Hove
 
Asar Zaher ka jo hone laga hai Moula per
Toh Surkh hogaya Chehra  HASSAN shaheed Hove
 
Lagan may Tukday Jigar k ugalte the Moula,
Hova jo Chalni Kaleja  HASSAN shaheed Hove
 
Wo chaak kar ke giraibaa'n kaha ye QHASIM ne
Yateem hogaya Beta  HASSAN shaheed Hove
 
Sar'oun pe Khaak udaati hain ZAINAB o KULSOOM
Uthayein kaise yeh Sadma  HASSAN shaheed Hove
 
Baha ke khoon ke Aansoo'n yeh kehte the ABBAS
HUSSAIN dekho ay Aaqha  HASSAN shaheed Hove
 
NABI ke Rooze pe jaa kar yeh FATHEMA ne kaha
Chalo ab ghar ko ay Baba  HASSAN shaheed Hove
 
Yeh shoor kaisa hai Yasrab may koyi gar puche
Toh Roo ke kehti hai FIZZHA  HASSAN shaheed Hove
 
HASSAN ki laash pe barsaaye Teer Zalim ne
Phir aaya ghar ko Janazah  HASSAN shaheed Hove
 
Nahi hai taab CHAMAN ko  larazraha hai khalam
Likh'oun mai kaise yeh Nouha  HASSAN shaheed Hove
 
 
 
2
Mir Bober Nawab, Madrasi
Hai Ashkbaar Madeena –  Hassan Shaheed Huve
Har Eik Karta hai Girya – Hassan Shaheed Huve
 
Kuch istarha se Diya Zahr Sha’h Ko Joda Ne
Ke Phat Raha hai Kalaija  -  Hassan Shaheed Huve
 
Jigar Ke Tukdon ko Jaise hi Bhayi ke Dekha
Hai Ghash me Zainabe Kubra – Hassan Shaheed Huve
 
Asar Ne Zahr ke Moula ko Maar Daala hai
Tadapke Roti hain Zahra  -  Hassan Shaheed Huve
 
Na Royen Kisliye Qasim Lipatke Mayyat Se
Utha hai Baap Ka Saaya –   Hassan Shaheed Huve*
 
Na Dafn Karne Diya Dushmano Ne Pahlu me
Dile Nabi hai Shikasta  - Hassan Shaheed Huve
 
Chalaaya Zalimo Ne Teer Aise Mayyat Par
Shaheed Hoke Dobara – Hassan Shaheed Huve
 
Na Dekha Hoga Kisi ne Kahin bhi Dunya me
Palat ke Aaya janaza – Hassan Shaheed Huve
 
Hussain O Zainab O Kulsoom Gham me Rote hain
Hai Dooba Ranj me Kunba –  Hassan Shaheed Huve
 
Bahaate Ashk hain Mayyat Pe Bhayi ke Abbas
Hai Unke Dil ko Ye  Sadma – Hassan Shaheed Huve
 
Bober bhi Majlise Shabbar me Peet kar Seena
Ye Kahke Padta hai Nowha – Hassan Shaheed Huve
 
 
 
3
Gaazi Abbas Zainabi
Hai shaah e dee'n ka ye nauha' Hasan shaheed huwey
Huwa akela my bhayya Hasan shaheed huwey
 
Galey lagaakey yu qasim ko ropadey sarwar
Yateem hogaya beta Hasan shaheed huwey
 
Sarr apna peetkey Rotey hai aal e paigambar
Labo'n pey hai yehi naala Hasan shaheed huwey
 
Abhi to yaad e pidar mey na roye jee bharkey
Aur ab se tumpey hai Rona Hasan shaheed huwey
 
Bahaakey aankh se Abbas khoon Rotey hai
Ke unkey Aaqa o Maula Hasan shaheed huwey
 
Layee'n ke zehr ka aisa asar huwa haye haye
Ugalkey Moo se Kaleyja' Hasan shaheed huwey
 
Jigar ko dekhkey bhai ki gash mey hai zainab
Milaa badaa usey Sadma' Hasan shaheed huwey
 
Jigar ko takht mey betey ko khoo'n mey tarr dekha
Tadap ke roti hai Zehra Hasan shaheed huwey
 
Bichaakey farsh e aza apney ghar mey do "Gaazi"
Janaab e Zehra ko Pursa' Hasan shaheed huwey
 
 
 
 
4
Jaafar Ali Dehraduni.
Hussain karte hain giriya Hasan Shaheed Huwe
Hai sogwaar madina Hasan Shaheed Huwe
                  
Abhi to baba ko jee bhar na roye the sarwar
Mila Ye taza hai sadma Hasan Shaheed Huwe
                  
Tadap ke roti hain Zainab a.s. tadapti hain Kulsoom a.s.
Hai gham me dooba gharana Hasan Shaheed Huwe
                   
Ae Jaada binte Ashas tune Kya ghazab dhaya
Zehar kyo'n tune pilaya Hasan Shaheed Huwe
                    
Sarhane Roti hain Farwa bhi peet kar sar ko
Hai tukde tukde kaleja Hasan Shaheed Huwe
                  
Khade hain sar ko jhukae yu'n ghamzada Abbas
Labo'n pe unke hai naala Hasan Shaheed Huwe
                     
Hasan Musanna bhi rote hain sath Qasim ke 
Yateem ho gaye Baba Hasan Shaheed Huwe
                   
Laraz rahi hai baqiya me qabr Maadar ki
Tadap ke roti hai Zehra A.s. Hasan Shaheed Huwe
                   
Likha hai noha Ye Shabbar ka aaj Jafar ne 
Hai dena Zehra a.s. ko pursa Hasan Shaheed Huwe
 
                   
 
 
5
Sibtain Sayyadi
Ye Zaqm dil me hai taza Hasan shaheed huve
Tadap ke roti hai zehra Hasan shaheed huve
 
Pilaya Aab me sam ghoul kar ke jooda ne
Huwa jo tukde kaleja Hasan shaheed huve
 
Ugalte tasht me dekha jigar ke tukudon ko
Pukari saniye zehra Hasan Shaheed huve
 
Sar apna peet ke roti he zainabo kulsoom
Hussain hogaye thanha Hasan shaheed huve
 
Laga ke seene se Qasim ko ro diye Shabbir
Ghareeb hogaya kunba Hasan shaheed huve
 
Phachade khate hai Qasim ye keheke rothe hai
Pidar ka  uth gya saaya Hasan shaheed huve
 
Cha,le jo teer e sitam tho tadap ke bole hussain
Sitam Kyu dhaya dubara Hasan Shaheed huve
 
Jikar ko kardiya tukde Zehr ne jab "Sibtain"
Lahu se tar hua Kurta Hasan Shaheed huve
 
 
 
 
 
6
Rizwan Karbalayi 
FAZA ME GUNJA YE NOUHA HASAN SHAHEED HUWE
HAI AAJ SHEEYO ME GIRYA HASAN SHAHEED HUWE
 
ALI KE CHAAHNE WALO BICHAO FARSHE AZA
N RUKNE PAAYE IN AANKHO SE ASHQ KA DARIYA
HAMARE DUSRE MOULA HASAN SHAHEED HUWE 
 
IMAME WAQT PE UMMAT NE ZULM DHAYA HAI
SITAM KE ZEHR NE APNA ASAR DIKHAYA HAI 
HUWA HAI TUKDE KALEJA HASAN SHAHEED HUWE
 
ALI KE KUNBE PE FIR SE KAYAMAT AAI HAI
NABI KE SHEHR ME HAR SU UDAASI CHAAI HAI 
BILAKH RAHA HAI MADEENA HASAN SHAHEED HUWE
 
AY BABA AAPKI UMMAT NE KYA KYA GAM DHAAYE 
MERE PISAR KE JANAJE PE TEER BARSAAYE 
TADAP KE ROTI HAI ZAHRA(S.A)HASAN SHAHEED HUWE
 
BALA KE DASHT ME FIR TAZA HO GYI YAADE
UTHA KE DASHT SE QASIM KI LASH KE TUKDE 
PUKAARE SHAAH DUBARA HASAN SHAHEED HUWE
 
RASOOLE PAAK NE HAM SE YAHI TO MANGA HAI
KHUSHI ME AAL KI KHUSH GAM ME GAM MANANA HAI
KAHO YE PEET KE SEENA HASAN SHAHEED HUWE
 
PACHAADE KHATA HAI MARKAD ME KHULD KA SULTAAN 
AZA KE FARSH PE AAKAR AY SARWARO RIZWAN
ALI KO DIJIYE PURSA HASAN SHAHEED HUWE
 
 
 
 
7
Mohammad Ali. H. Palsaniya
Haiñ gham meiñ duba madeena hasan shaheed huve
Tadap ke roti hai zahra hasan shaheed huve
 
Laraz uthi haiñ jo qabre batool aur ahemad
Laga haiñ unko bhi sadma hasan shaheed huve
 
Kaha ye tabute ibne ali pe zainab ne
Ke phat gaya hai kaleja hasan shaheed huve
 
Diya jo ibne ali ko zahar wo joda ne
Ye kaisi asr hai barpa hasan shaheed huve
 
Jigar ke tukde bahattar huve hai mola ke
Hai larzi turbate zahra hasan shaheed huve
 
Tadap rahe hai farishte tadap rahe hai hussain
Gaye hai duniya se mola hasan shaheed huve
 
Shaheed mola hasan jab huve madeene meiñ
To kehke royi ye duniya shaheed huve
 
Lage the teer jo tabute mujtaba par wo
Hai karte roke ye noha hasan shaheed huve
 
Utha janaza madeene se jab hasan ka tha
To tab ye shor huva tha hasan shaheed huve
 
Bahake ashq 'mohammad' ghame hasan meiñ aur
Padha hai roke ye noha hasan shaheed huve
         
 
 
 
8
Imraan Sandhawali
Ujad gai meri dunya hasan shaheed hue 
Pukaree roke ye farwa hasan shaheed hue 
 
Sadaye'n rone ki aati haiN ghar se zahra ke 
Hai dooba ranj me kunba hasan shaheed hue 
 
Diya hai zahr jo shabbar ko haaye jodaa ne
Huwa hai zakhmi kaleja hasan shaheed hue 
 
Sar apna peette jibreel aaye jannat se 
Ke dene shaah ko pursa hasan shaheed hue 
 
Yateem ho gaye qasim khaa ye fizza ne 
Uttha hai baap ka saya hasan shaheed hue 
 
Gujar rahi hai qayamat hussain ke dil par 
Ye waqt kaisa hai aaya hasan shaheed hue 
 
Pachade Khati haiN maiyyat pa bhai ki zainab 
Huwa hai dil ko jo sadma hasan shaheed hue 
 
Sar apna peet ke kulsoom ne khaa rokar 
Sitam jahaaN ne hai dhaya hasan shaheed hue 
 
Dahaade maar ke abbas ho gaye behosh 
Gazab huwa hai ye kaisa hasan shaheed hue 
 
Lahad me khaaq udate haiN haidere safdar 
Hai dooba soog me kaba hasan shaheed hue 
 
Na dafn ho saka pehlu me mera lakhte jigar 
Nabi ke lab pa hai nauha hasan shaheed hue 
 
Qarar gahmzada madar ko ab nahi milta 
Tadap ke roti hai zahra hasan shaheed hue 
 
Qalam ki nook se imraan likh ke ye nauha 
Bahaya ashkon ka darya hasan shaheed hue 
 
 
 
 
9
Navshad Bijani
Muaaviyah pe ho laanat khuda ki har lamha.
 
Usi ke zulm se maula hasan shaheed huve.
 
Zareeah usne banaaya tha binte as'as ko.
 
Kitabo me hai yeh likkha hasan shaherd huve.

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Tadap ke roti hai zehra Hasan shaheed huve ( By Shahadat imam Hasan a.s. in BazmeShoara )

21/10/2020

28 safar hijra 1442
VIEW WRITE UP