Roze mehshar yeh mera ask bhi gauhar hoga

( By Taki, Shamsh, Gazi, Naushad, Mohsin, Bober, Asmee, Kaifi, Sibtayn, Mehdi, Rizwan

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    22/02/2019
Roze mehshar yeh mera ask bhi gauhar hoga

بزم شعراء
BAZM-E-SHOARA
12/02/2019
Tarhi Misra
Roz e mehshar ye mera ashq bhi gauhar hoga
Misra by
Janab Anees Abr Kanodri sahab
 
BAZME SHOARA
1. Taki kazmi
2. Shamsh Baharvi

3. Ghaazi Abbas Zainabi
4. Naushad Bijani
5. Mohsinali Banarasi
6. Bobar-navab
7. Asghar Asmee Kanodri.
8. Kaifi kalkatvi 
9. Sibtaynsyyadi
10. Anees Abr Kanodri
11. Sarkar Mehdi Zaidi
12. Rizwan Bijani



1. Taki kazmi
Jab tarayi pe khada shere dilawar hoga.
Ak ajb sakte me no lakh ka lashkar hoga.
 
Ak tute hue neze se tarayi le li.
Kon Abbas e Jri Tere barabar hoga.
 
Sunle o shimr e layin karbobala me ak din.
Zibha ak sukhe gle se Tera khanjar hoga.
 
Maa Siva Zahra ke koi na kharidega ise.
Roz e mehshar ye mera ashq bhi gohar hoga.
 
 
Har taraf dekhna bs Shar ki fiza phailegi.
Jab bhi jahil ke kabhi hath me mimbar hoga.
 
Hurmala ne na kabhi kwhaab me Socha hoga.
Uski zillat ka sabab dasht me asghar hoga.
 
Khuld me hota hai tameer har ak Sher pa Ghar.
Khuld me dekhna har simt Mera Ghar hoga.
 
Jab Ali ko hi sunaunga taqi unke kalaam.
Kya hasi.n khuld ka us wakht wo manzar hoga.
 
 
 
 
2. Shamsh Baharvi
 
koe marhab to koe waqt ka antar hoga.
teen m aik bhi gar barsar e minmbar hoga .
 
sare rubao k seeno m y hi dar hoga.
sath shabbir k Abbas e dilawar hoga.
 
lag k seene p tabar pusht se bahar hoga 
dhad kanhi hoga kanhi khak pe har sar hoga.
 
ye hamara hai tumhara  to woh abtar hoga .
dusra gar kanhi quraan m kosar hoga.
 
es mehsoos karo kitne the piyase sarwar .
khushk halkhom se seqal jo ye  khanjar hoga .
 
asa kuch hashr k hangaam ka hoga manzar
koe andar to koe khuld k bahar hoga.
 
matami halke me aaenge sawa lakh nabi
jis ghadi kabe m ha,n  matam e sarwar hoga.
 
 
 
 
 
3. Ghaazi Abbas Zainabi
 
Jo bhi kehta hai hamey Durr, wohi kankar hoga
Aashiq e Sher e khuda Durr nahi, gauhar hoga
 
Rann mey aatey hai Ali dekh Tera aye marhab
Khoon behta huwa tann, udta huwa sarr hoga
 
Zikr e rabb zikr e nabi zikr e Ali dhaalkey paal
Phir Tera laal bhi salmaan o aboozar hoga
 
Rakhdey rabb par tu bharosa, na pareyshaa'n hona
Jo bhi hoga terey taqdeer mey behtar hoga
 
Jo bhi pyaaso'n ka lagaaya tha sabeel, uskey liye
Jaam kausar ka liye saaqi e kausar hoga
 
Murtuza, rabb ka walii, Sher e khuda, nafs e nabi
Hai laqab jiskey ye zehra ka wo hamsar hoga
 
Muskuraatey huwey asgar ko zaraa aaneydo
Dasht mey aansu bahaata huwa lashkar hoga
 
Teyz raftaar se Gaazi ko Jo aatey dekha
Ab kahaa nehr ke pehrey pey sitamgar hoga
 
Tera zarbo'n se sarr e karbobala pyaas nahi
Qatl qudd pyaas ke ek waar se khanjar hoga
 
Hyderi lehjey mey hamshakl e nabi dedo azaa'n
Hurr isii waqt muqaddar ka sikandar hoga
 
Koiley kii tarha Sab Sheikh ke sajdey hongey
*Roz e mehshar ye Mera ashq bhi gauhar hoga*
 
Dehr mey aaqri Shabbir ka hotey hi zahoor
Kaabey par parcham e Abbas e dilaawar hoga
 
Chashm *"GAAZI"* ki tarastii hai wo manzar ke liye
waaris e karbobala jab sarr e mimbar hoga
 
 
 
 
 
 
4. Naushad Bijani
 
Ay azaadaaro bapa jis ghadi mehshar hoga.
Din fakat ayk woh sadiyo'N ke baraabar hoga.
 
Murde utthenge sabhi qabr se ho kar zinda.
Koi nanga to kafan kuchh ke badan par hoga.
 
Dusmane aale nabi ban ke uthenge kutte.
Aur har ayk laee'N shakl se suwwar hoga.
 
Baal baccho'N ke bhi ho jaaenge us waqt sufayd.
Taari har qalbe gunahgaar me yu'N dar hoga.
 
Momino ki jo kiya karte the gheebat har dam.
Qahr allah ka un sab ki zaba'n par hoga
 
Shams aa jaayega us waqt zamee'N ke nazdeek.
Aadmi apne paseene se har ik tar hoga.
 
Jal rahi hogi zamee'N pyaas ka hoga aalam.
Saari dunya me har ik khushk samandar hoga.
 
Nafsi nafsi ki har ik simt se aayegi sada.
Haal har shakhs ka tab bad se bhi bad-tar hoga.
 
Takht pe ayk taraf shaafiye mehshr hoga.
Hauz pe ayk taraf saakiye kausar hoga.
 
Honge Ammaar va Miqdaad Mohammad ke qareeb.
Saath Imraan va Salmaan ke Jaafar hoga.
 
Ayk taraf honge azaadaraane shaahe mazloom.
Aur shabber azaadaaro'N ka rehbar hoga.
 
Maatami us ghadi saaye me alam ke honge.
Haath me thaame alam faatehe khaybar hoga.
 
Ayse haalaat me yeh arsh se aayegi nida
Aaj allah ka insaaf baraabar hoga.
 
Apni aankho'N ko karo band ay ahle mehshar.
Aana ab binte payambar ka yaha'N par hoga.
 
Hukm yeh sunte hi kar lega har ik band aankhe'N.
Aur har shakhs ka us waqt jhuka sar hoga.
 
Fatema aayegi roti huvi tab maydaa'N me.
Ay azaadaro ajab gham ka woh manzar hoga.
 
Saath woh laayegi gaazi ke kate shaano'N ko.
Haah me khoon me tar aasha e asghar hoga.
 
Kho'N bhara kurta bhi shabbeer ka woh laayegi.
Aur mazlooma ke dil me ghame sarwar hoga.
 
Ayk roomaal bhi saath apne woh laai hogi.
Jisme ashko'N se bana ayk samandar hoga.
 
Ashk sab moti ke maanind nazar aayenge.
Ayk ik moti wo har neki se badh kar hoga.
 
Fakhr ke saath yeh Navshad kaho dunya se.
Roze mehshar yeh mera ask bhi gauhar hoga.
 
 
 
 
 
 
5. Mohsinali Banarasi
 
*Jism To Hoga Kahiñ Aur Kahiñ Sar Hoga.!!
*Jo Khat-E-Hazrat-E-Abbas Ke Baher Hoga.!!*
 
*Karbala Me Wo Ajab Dekhna Manzar Hoga.!!*
*Run Me Rota Huwa 9 Laakh Ka Lashkar Hoga.!!*
 
*Maarka Jeetega Besheer Tabassum Se Faqat...*
*Na Koi Teer Na Talwaar Na Khanjar Hoga.!!*
 
*Izne Shabbeer Ka Paaband Huñ Warna Sun Lo...*
*Tum Jise Tanha Samjhte Ho Wo Lashkar Hoga.!!*
 
*Mere Marqad Me Farishtoñ Ki Qataareñ Hoñgi...*
*Tazkera Haider-E-Qar'raar Ka Din Bhar Hoga.!!*
 
*Dil Me Hai Bugze Ali Aur Tawaaf-E-Qaaba...*
*Shaikh Ji Haj To Nahi Sirf Ye Chak'kar Hoga.!!*
 
*Tere Ajdaad Barabar Na Huwe Qambar Ke...*
*Kaise Mul'la Tuñ Payumbar Ke Barabar Hoga.!!*
 
*Usko Gahwaar-E-Shabbeer Se Mash Hone Do...*
*Fir Ye Fitrus Bhi Moqad'dar Ka Sikandar Hoga.!!*
 
*Sar Pe Shabber Ki Madar Ka Hai Rumaal Bandha...*
*Kitni Uñchaayi Pe Ab Hur Ka Moqad'dar Hoga.!!*
 
*Is Liye Chhod Diya Hur Ne Yazeedi lashkar...*
*Usko Maloom Tha Kal Kon Sikandar Hoga.!!*
 
*Arsh Pe Bole Malaq Aao Chaleñ Karobala...*
*Aaj Shabbeer Ka Sajda Tahe Khanjar Hoga.!!*
 
*Shimr Dekhega Abhi Haar Ka Manzar Apni...*
*Kat Ke Shabbeer Ka Sar Aur Bhi Uper Hoga.!!*
 
*Tahr Ja Aane De Darbaar Me Zainab Ko Yazeed...*
*Ek Kohraam Bapa Shaam ke Andar Hoga.!!*
 
*Majlis-E-Sibte Payumbar Me Jo Nikla Mohsin...*
*Roze Meshshar Wo Mera Ashq Bhi Gauhar Hoga.!!*
 
 
 
 
 
 
 
6. Bobar-navab
 
*LAB PE JIS WAQT MERE NAARAYE HYDAR HOGA*
*MERI IMDAAD KO ABBASE DILAAWAR HOGA*
           
*KISLIYE FIKR RAHE ROZE QAYAAMAT KI MUJHE*
*QATME MURSAL MERA JAB SHAAFIYE MAHSHAR HOGA*
 
*LEKE AAYENGI WO ROOMAAL ME ZAHRA JIS DAM*
*"ROZE MAHSHAR YE MERA ASHK BHI GAUHAR HOGA"*
         
*DEKHNE KE LIYE FIRDOUS ME BAZME MIDHAT*
*SAAT QASIM KE BADE ROB SE SHABBAR HOGA*
 
*AAYEGA SAAMNE JAB BHI WO AZADARON KE*
*ALI AKBAR KA FAQAT NOOR KA PAIKAR HOGA*
       
*HONGI KULSOOM YAHEE SAB KO BATAANE KE LIYE*
*MERI MAA AATE HI JHUKTA HUVA HAR SAR HOGA*
 
*ZIKR SHABBEER KA JANNAT ME AGAR HOTE HI*
*JAAM DENE KE LIYE SAAQIYE KAUSAR HOGA*
 
*SAAT ZAINAB KE WAHAA'N AUNO MOHAMMAD HONGE*
*HAR KHADAM QULD ME KHUSHBOO SE MO'ATTAR HOGA*
 
HONGI HUMRAAH SAKINA BHI CHACHA JAAN KE SAAT*
*BAATEN KARTA HUVA SOGHRA SE JO AKBAR HOGA*
   
*QUSHNUMA HOGI FIZA NOOR KI BAARISH HOGI*
*GOAD ME MAA KE HUMAKTA HUVA ASGHAR HOGA*
 
HONGE PAHLU ME KABHI ZAINABO SAJJAAD WAHAA'N*
*BAITKAR FARSHE NASHEEN PAR MERA SARWAR HOGA*
            
*JO TU KAHTA HAI BOBER SAB KO SAMAJ AAHI GAYA*
*BUS KHULAASA HAI KE NAAYAAB WO MANZAR HOGA*
 
 
 
 
 
 
 
7. Asghar Asmee Kanodri.
 
Jaise hatho me Ali ke dar e khaibar Hoga..*
*Waise Abbas ke chullu me samandar Hoga..*
 
*Jo wilayat ko liye aashiq e sarwar Hoga..*
*Hath me jaam liye wo lab e Kausar Hoga..*
 
*Aasmaano ki balandi ke barabar Hoga..*
*Shimr harghiz na samjh sar tahe khanjar hoga..*
 
*Farsh majlis ka bichhayenge jo aakar mehdi..*
*Khana e kaba me ek Noor ka mimber hoga..*
 
*Phir wahi qaba me jab mehfil e Haider Hogi..* 
*Tazkera Fatema Zahra ka bhi din bhar Hoga..*
 
*Jis ghadi Katile zahra ko bulaenge imam..*
*Dekhne wala juda sab se woh  manzar hoga..*
 
*_Mere amaal namazo.n se bhare honge magar.._* 
*_Roz e mehshar ye Mera Ashq bhi Gauhar Hoga.._* 
 
*Maine "Asmee" Jo khilaya hai sada risk e halaal..*
*Mere jaise Mera beta bhi sukhanwar Hoga..*
 
 
 
 
 
 
 
8. Kaifi kalkatvi 
 
_*Khum ke maidaa'n mei'n jo aelaan e payamber hoga*_
_*Jaam ulfat ka liye buzar o qumber hoga*_
 
_*Ik taraf honge khade roab se mehboob e khuda*_
_*Ik taraf hansta hua saqi e kausar hoga*_
 
_*Ambiya saf ba aaf aayenge ziyarat ke liye*_
_*Noor e yakta jo jama bar sar e mimber hoga*_
 
_*Zarre zarre se sada aayegi maula hai'n ali*_
_*Shaad us waqt bada khaliq e akbar hoga*_
 
_*Dushman e haider e karrar ke sar par logo'n*_
_*Ban ke aazaab gira arsh se patthar hoga*_
 
_*Ishq e haider mei'n samata hi chala jaonga*_
_*Kal mera dekhna is aaj se behtar hoga*_
 
*-------------------*
 
*6 mahine mei'n hi woh hu-bahu haider hoga*
*Dast e sarwar pe mehekta jo gul e tar hoga*
 
*Waar asghar jo tabassum ka karega ran mei'n*
*Qatl us waar se 9 laakh ka lashkar hoga*
 
*Taigh qasim ki chalegi jo sar e dasht e bala*
*Chashm e pur aab mei'n khaibar ka sa manzar hoga*
 
*Jisko bakhshe ga khuda husn e payamber ran mei'n*
*Woh koyi aur nahi shah ka akbar hoga*
 
*Bole abbas ke mil jaye agar izn e wigha*
*Nehr kya cheez hai qadmo'n mei'n samandar hoga*
 
*Tu jo shabbir ke qadmo'n pa chala aaya hai*
*Auj par aaj aye hur tera muqaddar hoga*
 
*Qasr e baatil bhi laraz jayega maare dar ke*
*Khutba e aabedei'n gar bar sar e mimber hoga*
 
*Munaqid kar ke aza zainab e kubra ne kaha*
*Majlis e shah e zama'n aaj se ghar ghar hoga*
 
*Jab ke darbaar e khuda wand mei'n peshi hogi*
*Roz e mehshar ye mera ashq bhi gauhar hoga*
 
*Khoon e asghar ka taqaza jo karenge mehdi*
*Daad deta hua khud saqi e kausar hoga*
 
*Ba khuda taigh e ali aese chalegi kaifi*
*Gid-gidata hua har ek sitamgar hoga*
 
 
 
 
 
9. Sibtaynsyyadi
 
*Ye Nishaan Sajde KA Mathe pe Munawwar Hoga*
*Roz E Mehshar YE Mera Ashq Bhi Gauhar Hoga*
 
*Majlise Shah PE Lagaata hai ye Kieun TU Fatwe*
*Tuj'h se Mufti kabhi Raazi NA payambar Hoga*
 
*Dekhkar Rowzaye shabeer yahi Dil NE Kaha*
*Such hai Firdous bhi is KE hi Barabar Hoga*
 
*Apna Roomal JO Shabeer NE baandha Hur ko*
*Koi isa NA muqadar KA Shikindar Hoga*
 
*Kaata istarha SE Batil ka Jigar Asgar NE*
*AB Muhkhabil ME Kabhi Teer NA kanjaar Hoga*
 
*Khud ko Ahmad SA Batha Tha hai tho YE Bhi Kare LE*
*Kya Tere Haat PE Kehth Huwa KanKar Hoga*
 
*Leke Abbas KE Parcham ko Baroze Mahshar*
*Sab SE Aagay mere Moula KA Sukanwar Hoga*
 
*Hur NE Thukradiya Batil ko hi Bus YE Kahkar*
*Mere Shabbeer SA  AB Koi Na Rahbar Hoga*
 
*Zindagi Ho ya Lahad ho ya KE Mahshar "Sibtain"*
*Sirf Lab par mere har waqt hi Haidar Hoga*
 
 
 
 
 
10. Anees Abr Kanodri
 
Hur ne socha na tha raushan yu muqaddar hoga
Sheh(as) ke zaanu pe dam e naz'a mera sar hoga
 
Naahi mehraab me naahi sar e mimbar hoga,
Zikr allah ka karbal me sina par hoga..
 
Aaj jin hanthoN me azdar hai khilone ki tarah,
Kal inhi hathon me darwaza e khaibar hoga..
 
Teg allah ki hai haath bhi allah ka hai,
Par hataale ae malak warna tu be par hoga..
 
tashnagi kaun bujhayega nabi ke deeN ki
kaun is pyaas ke sehra me samandar hoga
 
gam e Sarwar(as) me bhi aankhen nahi nam hoti teri
dil nahi hoga tere sine me paththar hoga
 
ha yahi roza e Abbas(as) hai jo baad e zahoor
saari dunya me wafadari ka mehwar hoga
 
Abr ek nazre karam karde jo Zahra(sa) mujhpar
roz e mehshar ye mera ashk bhi gauhar hoga
 
 
 
 
 
 
11. Sarkar Mehdi Zaidi
 
पहरा दरया पे  किये  ज़ुल्म का लश्कर होगा
गैज़  मे  एक  तरफ अब्बासे दिलावर होगा
 
एक  इशारे  पे  ही  दरया को  उलट  देगा जरी 
हुक्मे   शब्बीर से कदमो  मे  समुंदर होगा
 
मौत से पहले ही यू  मौत  नज़र आऐगी
सामने  आंखों के  जो  शेरे  गज़नफर होगा
 
फौजे   आदा को ये   बात तो मालूम ना  थी
तनहा असगर  ही  लश्कर के  बराबर होगा
 
ये   हकीकत हैं वही शेरे गज़नफर होगा 
इल्म का शहर नबी  और वो  दर   होगा   
 
टुट  कर गीर जायेंगे काबे  के  बुत  सारे 
जिस घड़ी शेरे खुदा  दोशे   पयम्बर होगा
 
मन कुंतो मौला कि सदा गूंजे की चारों जानीब
बीच मेदान मे  रखा  हुआ मिम्बर होगा
 
जो भी मुनकिर है विलाऐ अली  का  सुनले
उसके ही वास्ते बन्द नुर का  दर होगा
 
मेंहदी लगाता  नहीं डर  कब्र की तनहाई से
मेरा  वारिस मेरी  कब्र के अन्दर होगा
 
 
 
 
 
 
12. Rizwan Bijani
 
ye bhi rutba mere moula ko mayassar hoga
Shabe hijrat ko ye ik sHab ka paymbur hoga 
 
Fouje aada ko tabassum SE masal daalega
Fouje Shabbir me aisa bhi Gazanfar hoga
 
Bhaagne wale tuje Dekhte reh jayenge
JIS ghadi moula Teri ungli PE khaibar hoga
 
Muftiyo aane do gaibat se mere moula ko
MAATAME shahe Hoda qabe KE andar hoga
 
Zulm jis SAR ko jukane ke liye nikla hai
Nouke naiza PE wo SAR or bhi upar hoga
 
Badh raha hai mere moula tere joole ki taraf
Par kuchi der me do tukdo me ajdar hoga
 
Bhokta rehta hai Jo maatme sarwar KE khilaaf
Mera dawa hai wo kutte SE bhi badtar hoga
 
Dehr me Dekha hai ham shaqle paymbur lekin
Baade Akbar na koi dusra Akbar hoga
 
Farsh majlis ka bicha Kar ye pukaari zaynab (s.a)
Karbala walo ka Gam aaj se Ghar Ghar hoga
 
Misle Hur baabe shahe Karbobala PE aaja
Ay musalman Tere haq me ye behtar hoga
 
Arsh PE saare malaik ka hai sardaar magar
Farsh PE aate hi Hasnain ka Noukar hoga
 
Deene Islam ko lashqar ki zaroorat Kya hai
AK besheer hi lakho KE barabar hoga
 
Teer besheer ki gardan PE lagega lekin
Qatl maidan me khud qatile asgar hoga
 
Arsh wale bhi azadari me shamil honge
Farsh PE jab bhi kahi maatme sarwar hoga
 
Apni taqreer SE Sajjad karenge hamla
Zulm KE mehl me ik hashr ka manzar hoga
 
Aane Wala hai koi joole SE maqtal ki taraf
Shamiyo dekhna maidan me mehshar hoga
 
AK bhi aadmi gumraah nahi ho sakta 
Khamnaai sa agar koum ka rehbar hoga
 
Bar sare nouke Sina dekh KE sheh ka jalwa
Sog me dooba huwa shimr ka khanjar hoga
 
Dushmane aale Mohammad ki tabahi tey hai
Jalwa gar JIS ghadi narjis ka guletar hoga
 
Jisne fera hai zakria KE gale pe khanjar
Shaqle insan me wo hu b hu path'thar hoga
 
Sher padta hai Jo bas doulato shohrat KE liye
Aisa maddah bhi Kya shaah ka shayar hoga
 
Koul Ahmad ka kabhi jooth nahi ho sakta 
Dushmane shahe najaf Deen SE baahar hoga 
 
Dekha marhab ko to ye keh KE bhagode bhaage  
Ham to samje the koi aalu tamatar hoga
 
Ye bhi gehware se cheerega sitam ka ajdar 
Che maheene ka Ali waqt ka Haider hoga
 
Mout aayegi to moula ki ziyarat hogi
Mujko hasil ye sharaf kabr KE andar hoga 
 
Jab bhi maddahe Ali keh KE pukarega koi 
Fakhr SE ucha ay rizwan Mera SAR hoga 

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Roze mehshar yeh mera ask bhi gauhar hoga ( By Taki, Shamsh, Gazi, Naushad, Mohsin, Bober, Asmee, Kaifi, Sibtayn, Mehdi, Rizwan in BazmeShoara )

22/02/2019

Roze mehshar yeh mera ask bhi gauhar hoga.
VIEW WRITE UP