Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka

( By Rizwan Karbalai, Anees Abr, Muntazir Abbas, Nawab Bober, Naushad, Kaifi kalkattavi, Husain Mir, ShakerSayyadi.

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    26/02/2019
Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka

بزم شعراء     BAZM-E-SHOARA
Tarhi misra: Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka
Misra by: Navshad Bijani
 
 
1. Rizwan Karbalayi.
2. Anees Abr.
3. Muntazir Abbas.
4. Janab Bober.
5. Navshad Bijani.
6. Kaifi Kalkatwi.
7. Shah Husain Mir.
8. Shaker Sayyadi.
 
 
 
 
1. Rizwan Karbalayi.
Pehle to AAP samjo imaan fatema s.a ka
Fir uske baad hoga Irfan fatema s.a ka
 
Gaire Khuda ki Midh'hat bid'at kaha SE hogi 
Padhta hai jab qaseeda kuraan fatema s.a ka 
 
Aashoor ko Kyu ummat khushiya Mana rahi hai
Kunba huwa hai is din kurbaan fatema s.a ka
 
Manga gya hai hamko Allah se Dua me
Kaise chukayenge ye ahsaan fatema s.a ka
 
Tum par thahar n paaye na mehramo ki nazre 
Pura Karo ay behno Arman fatema s.a ka
 
Roza Girane wale dozakh me jal rahe Hain
Kya ho gya batao nuksaan fatema s.a ka
 
Jitne bhi maatmi hai jannat ki or jaaye
Mehshar KE Roz hoga ailan fatema s.a ka
 
Likh kar mere mukaddar me jannatul bakayya
Ya rab muje bana de mehman fatema s.a ka
 
Ya kaam to Khuda ya kuraan ka hai logo
Likhna hai kab qaseeda aasan fatema s.a ka
 
Rehte hain isme do do firdos KE shahensha
Jannat SE Kam nahi hai daalaan fatema s.a ka
 
Jibreel Kar rahe Hain apne paaro SE Saya
Rizwan likh raha hai deewan fatema s.a ka
 
 

 
2. Anees Abr.
Karta hai tazkera yu quraan Fatema(sa) ka
Goya ke madhkhwaaN ho rehmaan Fatema(sa) ka
 
Har sogwaar e sarwar(as) khuld e bareeN me hoga
roz e azal se hai ye paimaan Fatema(sa) ka
 
Romaal baandhkar ye Sheh(as) ne bata diya hai
Hur asl me bana hai mehmaan Fatema(sa) ka
 
Ruhul ameeN se puchho tasdeeq wo karenge
Jannat se kam nahi hai daalan Fatema(sa) ka
 
Ye sochkar malaik sajdoN me gir rahe hain
Ban jau me bhi ek din darbaan Fatema(sa) ka
 
Be qeemat aansuoN ko gauhar bana diya hai
Dunya zara ye dekhe faizaan Fatema(sa) ka
 
Qaul e imam hai ye, wo Qadr ko bhi samjha,
Wo jisko hogaya hai irfaan Fatema(sa) ka
 
Ho jaaye ab zahoore maula ae mere allah
Ho jaaye abto poora armaan Fatema(sa) ka
 
AshqoN ke deep raushan kyukar na Abr honge,
Marqad dikha hai hamko weeran Fatema(sa) ka

 
 
 
3. Muntazir Abbas.
1) Mullla Isi se rutba Pehchan fatema ka
Karte he khud Nabi bhi Samman fatema ka
 
2) zahra ki rotiyo.n ne khilqat ki hal ata ki
Quraaa.n ke sar pe bhi he ehsaan fatema ka
 
3) Jannat se kyo.n aaye Rizwaan ban ke darzee
Jannat se kam nahi he dalaan fatema ka
 
4) Wo aakhri Ali ka pehla shikaar honge
RAUZA Kiya jinhone viraan fatema ka
 
5):Baabul Murad us Ko khaliq na kyon banaayee
Pura Kiya ho JIS ne Armaan fatema ka
 
6)Ek dar jalaaya jis ka aaj us ke laakho dar he
Batlaao ho gya kya nuksaan faatema ka
 
7) Ta'zeem Hur ki kyo.n na kul ambiya karenge
Peshaani pe likha he"Mehmaan faatema ka"
 
8) Mil jaaye khaaq me wo harghiz nahi he mumqeen
Ashqe aza pe  rehta he dhyaan faatema ka
 
9) Sarwar ke maatami Ko Behka Raha he Jo bhi
Mujrim he bil yaqee.n wo insaan faatema ka
 
10) Ay "Muntazir" yahi he Mafhoom  INNAMA Ka
Padhte raho qaseeda har Aan faatema ka.
 

 
4. Janab Bober sb:
*SAMJHENGE WO  KAHAA'N SE IRFAN FATIMA KA*
*JINKO NAHIN HAI KUCH BHI EEMAAN FATIMA KA*
 
*HUM KYA KARENGE MIDHAT UNKI KE JAB QURAA'N ME*
*PADTA HAI KHUD QASEEDA YAZDAAN FATIMA KA*
 
*KARTE HAIN NAUKRI JAB US GHAR KI SAB FARISHTEY*
*"JANNAT SE KAM NAHIN HAI DAALAAN FATIMA KA"*
 
*BAAGHE FIDAK KE GAASIB JAAYENGE QULD KAISE*
*HAI QUD IRAM ME SHOWHAR SULTAN FATIMA KA*
 
*DAALAAN KA SEHAN KA KIEUN ZIKR AB KAREN HUM*
*HAI ASL ME HI JANNAT AIWAAN FATIMA KA*
 
*HAALAAT SE ABHI KE MAHSOOS HO RAHA HAI*
*ROWZA KAREGA TAAMEER IRAN FATIMA KA
 
*AAI MUNKIRE VILAAYAT MAHSHAR KE ROZ TERI*
*BAQSHISH NA HOGI HAI YE ELAAN FATIMA KA*
 
PAIGHAMBARON KO QUD HI MUMKIN YE JAB NAHIN THA*
*SAMJHEGA KAISE RUTBA INSAAN FATIMA KA*
 
HOTA RAHEGA ZIKRE SHABBEER TAA QAYAMAT TAK*
*SHAMIL HAI ISME POORA ARMAAN FATIMA KA*
 
BADJAAYEGA BOBER KA USDAM ZAROOR RUTBA*
*JANNAT ME JAB WO HOGA MEHMAAN FATIMA KA*
            
 
 
 
5. Navshad Bijani.
Firdaus se hai behtar aywaan faatema ka.
Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka.
 
darbaane khuld rizwaa'N, sardaar uska lekin.
roohu-amee'N hai dekho darbaan faatema ka.
 
Hoorane khuldo jannat or arsh par malaaik.
Karte hai'n zikr milkar ba-shaan faatema ka.
 
Ammar aur boozar dete hain daado tehseen.
pdta hai jab qaseeda salmaan faatema ka.
 
karna baya'n hai barkat shaane nuzoole tat-heer.
shiyo'n ko hai yeh haasil fayzaan faatema ka.
 
Aansu ke badle gauhar baategi hashr me woh.
Hai aashiqaane sheh se paymaan faatema ka.
 
Samjo na ashk isko miftaahe khuld hai yeh.
Kunda hai jispe izne eeqaan faatema ka.
 
Rona khuloos dil se farshe aza pe Navshad.
Hai chashme nam ki jaanib rujhaan faatema ka.
 
 
 
 
6. Kaifi Kalkatwi.
Padhta hai jab ke khud hi yazdaan fatema ka
Kyu'n na padhe qaseeda quraan fatema ka
 
Aate nahi hai'n you'n hi dar par rasool e akram
Jannat se kam nahi hai dalaan fatema ka
 
Ya to khuda se poocho ya to nabi se poocho
Ya phir ali se poocho imaan fatema ka
 
Baad e azaa'n khuda ke aalam ka zarra zarra
Karta hai zikr dekho har aan fatema ka
 
Jisne namak harami ki aal e mustafa se
Us shakhs ko ho kaise irfan fatema ka
 
Islaam kyu'n na dar pe zehra ke sar jhukaye
Kunba hua hai us par qurbaan fatema ka
 
Naukar hai'n fatema ke rizwan aur fitrus
Roohul amee'n hai logo'n darbaan fatehma ka
 
Har aashiqaan e haider ke lab pe ye sada hai
Ban jao'n mai'n khudaya mehmaan fatema ka
 
Laanat bana hua hai jis shakhs ka muqaddar
Woh shakhs kya karega nuqsaan fatema ka
 
Baitha hua hai kaifi parde mei'n jo mohammed
Pura karega woh hi armaan fatema ka

 
 
7. Shah Husain Zamir.
Rutba baya'n kare kya Insaan Fatema ka 
Jabke huwa nahi hai Irfaan Fatema ka 
 
Is baat ki gawah to Qura'n ki aayate hai 
Padhta hai khud qaseeda Furqaan Fatema ka 
 
Munkir wila ke dekho sab aag me jalege'n 
Roze jaza ye hoga aelaan Fatema ka 
 
Dekha hai door se or najrani dar gae hai 
Kitna bulando bala hai Gyaan Fatema ka 
 
Baba ka lene wirsa darbaar me gaee'n thi 
Darasl me Wila tha Unwaan Fatema ka 
 
Bage'n fadaq ke gasib itna bata de hamko 
Kaise bharega hashr me Tawaan Fatema ka 
 
Hoti wila Ali ki sare jaha'n me qayam 
Dil me tha sirf ek ye Armaan Fatema ka
 
Aate hai khud Nabi bhi dar par salami dene 
Jannat se kam nahi hai dalaan Fatema ka

 
 
8. Shaker Sayyadi.
MEHSHAR  ME JUB  LAGEGA  MEEZAAN  FATEMA  KA,,,,,
AY  SHEIKH  TU BHAREGA  NUQSAAN  FATEMA KA,,,,,, 
 
DUNIYA ME JO BICHAYE FARSHE AZAA E SARWAR,,,,, 
WO  KHULD  ME  BANEGA  MEHMAAN  FATEMA KA,,,,
 
JISKA PIDAR JAHAAN KO EEMAAN BANTA HO,,,, 
IS  SE  PATA  LAGALO  EEMAAN  FATEMA  KA,,,,,
 
DEENE KHUDA BACHA KAR SAJDE ME SAR KATA KAR,,,,, 
NAIZE  PE  BOLTA  HAI  QURAAN  FATEMA  KA,,,,,
 
PALKON SE CHOOM KE DAR REZWAN E KHULD BOLE,,,,
JANNATH  SE  KAM  NAHI  HAI  DALAAN FATEMA KA,,,,,
 
AHLE WILA YAHAN SE KYUN JAAYEN KHULD JUB KE,,,,, 
JANNATH  SE  KAM  NAHI  HAI  DALAAN FATEMA KA,,,,,
 
FARSHE AZAA BICHA KAR SARWAR KA GHAM MANAKAR,,,,, 
POORA  KARENGE  BESHAQ  ARMAAN  FATEMA  KA,,,,,
 
AB  HASHRE  TAK  SALAAMI  DEGI  USE  KHUDAAYI,,,,, 
NOUKAR JO BAN GAYA HAI SALMAAN FATEMA KA,,,,, 
 
TAZEEM  KA  KARENGE  MEHSHAR ME LOG SAJDA,,,,, 
ALLAH  JUB  KAREGA  AYLAAN  FATEMA  KA,,,,,
 
TAFSEEL  SE  PADHEGA  QURAAN  SAYYADI  JUB,,,,,
TAB  JAAKE  USKO  HOGA  IRFAAN  FATEMA  KA,,,,,

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka ( By Rizwan Karbalai, Anees Abr, Muntazir Abbas, Nawab Bober, Naushad, Kaifi kalkattavi, Husain Mir, ShakerSayyadi. in BazmeShoara )

26/02/2019

Jannat se kam nahi hai daalaan faatema ka
VIEW WRITE UP