Jo dushman e batool(sa) hai kausar se door hai.

( By Rizwan Karbalayi, Muntazir Abbas, Kaifi Kalkatwi, Anees Abr, Chaman Rahmati, shams Baharvi, Asmee Sarkaar, Navshad Bijani, bober Ali, sarkil Raza, saif kanodari, gulzar naqvi, Raheman Chaudhary, faiz kanodari, SHAKER SAYYADI, TAHERABBAS SUNASARA

in Mushyera )
  • Name:
  • Section:
    Mushyera
  • Number of pages:
  • Date Added:
    08/03/2019
Jo dushman e batool(sa) hai kausar se door hai.

بزم شعرا

BAZM-E-SHOARA

   
     SalamunAlaikum.

TARHI MISRA BARA E KALAM
Jo dushman e batool(sa) hai kausar se door hai.

*Qafiya....... Kausar*

*Radeef......se door hai*


Misra by
Janab Anees 'Abr' sahab





1. Janab Rizwan Karbalayi

WO RAB KI REHMATO KE SAMNDAR SE DOOR HAI
JO AADMI WILAYATE HAIDER SE DOOR HAI

JANNAT ME HUR HAI OR JAHANNUM ME HURMALA
USKA NASEEB HUR KE MUKADDAR SE DOOR HAI

RAKH DE ALAM KE SATH ME CHOTA SA TAZEEYA
GAR ROUZ E HUSAIN TERE GHAR SE DOOR HAI

USKO AZAAN DENE KA HAQ HI NAHI KOI
JO SHAKSH HAM SHABIHE PAYMBUR SE DOOR HAI

SAB JAANTE HUWE BHI MUSALMA KO DEKHIYE
KAMTAR KE AASPAAS HAI BEHTAR SE DOOR HAI

MUDDAT KE BAAD SOG UTAREGI BIBIYA
MUKHTAR KUCH HI QATILE ASGAR SE DOOR HAI

AY DUNIYA WALO AAJ BHI SAJDE ME HAIN HUSAIN
WO OR KOI HOGA JO DAAWAR SE DOOR HAI

MOULA ALI KA BUGZ KAYAMAT SE KAM NAHI
PEHLU ME SO KE BHI WO PAYMBUR SE DOOR HAI

HAALATE HAZRA KA MUSALMA RASOOL KE
BAAHAR SE AASPAAS HAI ANDAR SE DOOR HAI

JIS SHAKSH NE LIYA NAHI MOULA GADEER SE
MASJID ME BAITH KAR BHI WO MIMBUR SE DOOR HAI

ROZA RAKHE NAMAAZ BHI PADTA RAHE MAGAR
JO DUSHMANE BATOOL(S.A)HAI KOUSAR SE DOOR HAI

DEGI USI KE SHER PE DAADO DUA BATOOL(S.A)
MADDAH JO LIFAFE KE CHAKKAR SE DOOR HAI

CHAT PAR LAGA HAI PARCHAME ABBAS DOSTO
GURBAT ZAMANE BHAR KI MERE GHAR SE DOOR HAI

JANNAT BHI KEH RAHI HAI WO DOZAKH ME JAYEGA
RIZWAN JO BHI MAATME SARWAR SE DOOR HAI




2. Janab Muntazir Abbas

1) JO BHI GHADEER KE HASEE.N MANZAR SE DOOR HE
PATTHAR KE SAATH SAATH HE GAUHAR SE DOOR HE

2) ZIQR E ALI TO ROOH ME BHAR DETA HE KHUMAAR
MEESAM FARAAZ E DAAR PE BHI DARR SE DOOR HE

3) JANNAT HE US KE KHWAAB ME , BAS KHWAAB ME HI HE
HUM KYA KARE AGAR KOI HAYDER SE DOOR HE

4) JAAYE TO SHAHR E ILM ME JAAYE KAHA.N SE WO
BATLAAYA JO NABI NE USI DAR SE DOOR HE

5) BISTAR UTHAA KE AYSE BHATAKNA HI HE DALEEL
MUNQEER WILA KA AAJ BHI REHBAR SE DOOR HE

6) ISHQ E ALI ME DOOB KE HAM TO UBHAR GAYE
TUM JIS JAGAH PE HO WO, SAMANDAR SE DOOR HE

7) HE YE TO KHUD HI SAAQEE E QAUSAR KA FAYSLA
DUSHMAN JO HE BUTOOL KA QAUSAR SE DOOR HE

8) TATHEER BOLI "RIJS HE AAL E NABI SE DOOR
SHAIKH IS LIYE TO MAJLIS E SARWA SE DOOR HE

9) AASHOOR KO MANAATA HE JO SHAKHS JASHNE IDD
WO HURMULA HE HUR KE MUQADDAR SE DOOR HE

10)KAR TA HE JO HUSSAINI KO GUMRAAH "MUNTAZIR"
MIMBER PE BAYTH KE BHI WO MIMBER SE DOOR HE




3. Janab Kaifi Kalkatwi

Haider se door hai woh payamber se door hai
Jo dushman e batool hai kausar se door hai

Salmaa'n se door yasir o buzar se door hai
Ghasib fidak ka misam o qumber se door hai

Jis ne sataya bint e payamber ko dehr mei'n
Dar asl woh hi khaliq e akbar se door hai

Zarra woh aaftaab kabhi ho na payega
Aye bint e mustafa jo tere dar se door hai

Izzat talab" zuban faham" khair aashna
Beshak ghulam e fatema har shar se door hai

Us ko milegi kaise shafa'at batool ki
Jiska naseeb ulfat e haider se door hai

Aalim hamesha rehta hai mimber ke aas paas
Jahil faqat ghadeer ke mimber se door hai

Paakizgi hai in ke ghulamo'n ki nasl mei'n
Napaak zada aal e payamber se door hai

Kandhe pa jis ko dhona pade apne shaikh ji
Aashiq ali ka aese hi bistar se door hai

Aayi nida e ghaib muqaddar sanwaar le
Aa ja aye hur tu kyu'n dar e sarwar se door hai

Ya rab baraa e fatema zehra ose mila
Momin jo koyi apne bhare ghar se door hai

Kaifi ose imam e zama'n ki ho maarefat
Woh shakhs jo bhi waqt ke rehbar se door hai





4. Janab Anees Abr

Bas ye nahi ke aale payambar(saw) se door hai
Jo dushmane Batool(sa) hai kausar se door hai

Kuch aise hu me karbobala ki firaaq me
Jaise ke koi pyasa samandar se door hai

Kyu ho nahi raha hai qayaam e Imam e asr(atfs)
Wo kaun Hur hai jo abhi lashkar se door hai

Hyder(as) ka pota hoke ye dar jaaye jung se
ye baat chhe(6) mahine ke Asgar(as) se door hai

Chadar kaneez e Fatema(sa) apni sambhalna
Khushnudi e Batool(sa) khule sar se door hai

Jiski Sama'atoN pe azaaN ka asar nahi,
Wo naujawaan hoke bhi Akbar(as) se door hai

Tere amal me sajda o matam nahi hai sath,
Mehshar ke din tu shaafi e mehshar se door

Ye haath sogwaar e shah e deeN(as) ka hath hai
Parcham se ye qareeb hai khanjar se door hai

Paalaan par Ali(as) o Muhammad(as) baland haiN
Na-ahl tha jo aaj wo mimbar se door hai

Gumraahi ke alawa muqaddar me kuch nahi
Us raahzan ka kya ho jo rehbar se door hai

Oves door rehke payambar(saw) ke pass hai
Wo paas baithkar bhi payambar(saw) se door hai

WeeraaniyaaN ye Abr baqayya ki hai gawaah
Zahra(sa) ka eyk beta hai jo ghar se door hai




 
5. Janab Chaman Rahmati

Hyder se Door hai Toh Payanmber se door hai..
Ya youn kaho'n ke Khaliq-e-Akber se door hai..

Yeh kehne may jhijak na karo kehdo ay Chaman,
Jo dushman-e-Batool hai Kousar se door hai..




6.janab shams Baharvi

 جو فرد فرش  ماتم سرور سے دور ہے
ہے بد نصیب اپنے مقدر سے دور ہے 

صبحِ کا بھلا شام کو حر لوٹ آئیگا 
مانا کہ پل دو پل کے لیے گھر سے دور ہے 

عاشق بتول کے تو ہیں کوثر میں گوتازان 
جو دشمنِ بتول ہیں کوثر سے دور ہیں 





7.janab Asmee Sarkaar

Khatoon jo bhi khud ki hi Chadar se door hai.._
_Beshaq Dua e Zainab e muztar SE door hai.._

_Karta aza (azadari) hai sirf jo Padhta nahi Namaz..._
_Aisa jawan NaujawaN akbar se door hai.._

_ye sunke khush bahot hai azadaar shah ka.._
*_Jo dushman e batool hai Kausar door hai..._*

_Dil pe wafa ka Naksh tere kaise aayega.._
_Tu to dar e Ali ke ghazanfar se door hai.._

_Dubega wohi apne paseene me roz e hashr.._
_Jo shaks bhi wila ke samandar se door hai..._ 

_Sarwar ne ek raat ki Mohlat Jo maang li..._
_Ye Kon hai Jo ishq ke Lashkar se door hai.._

_Maahe aza me qalb o jigar beqaraar hai.._
_Kya matami watan se koi Ghar se door hai...?_

_Hargiz na kehna Khud ko sukhnwar batool ka.._
_"Asmee" Abhi tu lafzo ke Sagar se door hai.._




8. Navshad Bijani

Taqleed ko jo chhor ke rehbar se door hai 
Kamtar se woh qareeb hai behtar se door hai.

Tatbeer ka hai maathe pe uske nisha'N magar.
Peshaani uski sajda e daawar se door hai.

Hai beshumaar pusht pe zanjeer ke nisha'n
Lekin namaaze sibte pyambar se door hai.

Uske amal pe haavi aqeeda hai is liye.
Aashiq yeh sheh ka maqsade sarwar se door hai.

Mimbar se deen bech ke laakho'n me molvi.
Zar se to hai qareeb abuzar se door hai.

Beh-ka raha hai maulvi mimbar se is liye.
Yeh qaum aaj apne biraadar se door hai.

Farshe aza pe hasna yeh fitrat ke hai khilaaf.
Rota nahi woh aabide muztar se door hai.

Navshad usko paani milega na ta abad.
Jo dushmne batool hai kausar se door hai




9. Janab bober Ali

*JO JO BHI APNI ZEEST ME HYDAR SE DOOR HAI*
*SAMJHO KE WO KHUDA VO PAYAMBAR SE DOOR HAI*
           
*AAYE NA KAAM JISKO MARAZ KI KOYI DAWA*
*SAMJHO WO SHAQS ABIDE MUZTAR SE DOOR HAI*

*SHAK HI NAHIN ZARA SA BHI IS QOWL ME KOYI*
*"JO DUSHMAANE BATOOL HAI KAUSAR SE DOOR HAI"*

*AALE NABI SE DOOR KOYI BHI RAHEY AGAR*
*WO RAHMATE KHUDA KE HAR EK DAR SE DOOR HAI*

*OONCHI SADA SE BAAT JO KARTA HAI BAAP SE*
*WO SHAQS ASL ME ALI AKBAR SE DOOR HAI*

*HAI KOUN IMAME ASR PATA HI NAHIN AGAR*
*JAHIL HAI WO JO WARISE HYDAR SE DOOR HAI*

*PADTA NAHIN NAMAZ HI DUNYA ME JAB KOYI*
*WO  BILYAQEEN MAQSADE SARWAR SE DOOR HAI*

*DUNYA ME US SE BADKE NAHIN KOYI BADNASEEB*
*JO BHI ATAAYE BINTE PAYAMBAR SE DOOR HAI*

*DASTE BOBER HO AUR KHADAM HO IMAM KE*
*BECHAIN HAI JO AISE MUQADDAR SE DOOR HAI*



10. Janab sarkil Raza

*ALLAH AUR ALI SE PAYAMBAR SE DOOR HAI*
*WO DARBADAR HAI JO KOYI RAHBAR SE DOOR HAI*

*ALLAH NE KAHA HAI FAZEELAT KA DAR HAI WO*
*MUSHKIL ME MUBATELA HAI JO HAIDER SE DOOR HAI*

*MOHTAJ HOGA BUS WAHI DEKHO JAHAN ME*
*AALE NABI KE  RAHTA HAI  JO DAR SE DOOR HAI*

*KOUSAR KA JAAM USKO NA PILVAVUNGA KABHI*
*KAHTE THEY YE NABI KE JO HAIDER SE DOOR HAI*

*SUNKAR SADAA AZAA'N KI JO PADTE NAHIN NAMAZ*
*AISA JAWAAN DAHER ME AKBAR SE DOOR HAI*

*FARSHE AZA KO GHAR ME BICHA TE NAHI WO LOG*
*JANAAT USEY NAHIN   JO KE SARWAR SE DOOR HAI*

*FASHE AZA PE BAITE KE  JANAT KARID LI*
*WO KAY SAMJHE SAKENGE JO SHABBAR SE DOOR HAI*

*ISHQ ALI KA JAAM JO QISMAT ME HAI NAHI*
*WO BADNASEEB HAI JO MUQADDAR SE DOOR HAI*

*KITNI BHI CHAAHE KARLE WO RAB KI IBAADATEN*
*JO DUSHMAN E BATOOL HAI KAUSAR SE DOOR HAI*

*SARKIL USEY MILEGI NA JANAAT BATOOL KI*
*JO  ZINDAGI ME AALE PAYAMBAR SE DOOR HAI*




11. Janab saif kanodari

*Munkir wila ka Shafi e meh'shar se door hai...*
*Jo Dushman e batool hai Kausar se door hai...*

*Ishq e ali ke jo bhi samandar se door hai...*
*GehrayiyoN me rehke bhi Ghohar se door hai..*

*Sher e khuda ki jung mai talwar dekhiye...*
*Jis tan pe chal gayi hai wo tan sar se door hai*

*Hur ko nahi hai chain ye kehta hai bar bar...*
*Tu sirf ek rat hi sarwar se door hai...*

*Quraa'N me "saif" de gayi tat'heer ye sanad....*
*Saare hi rijs aale paymber se door hai*




12. Janab gulzar naqvi

Hai badnaseeb jo dar e sarwar se door hai,
Wo asl mei Rasool ke Mimber se door hai.

Hafiz agar wilaye Ali ke baghair hai,
Samjho ke uska qalb hi dawar se door hai.

Ishqe Ali mei jine ka ye fayda hua,
Gulzar apni zindagi har dar se door hai.





13. Janab Raheman ali Chaudhary

Hasnain se Rasool se Haider se door hai 
Jo dushmane batool hai kausar se door hai 

Haalat aise hain ke bhatakta hi jaaega
Wo aadmi jo apne hi rehabar se door hai

uske nasib me nahi khushboo bahisht ki...
wo shaqs jo wilaayate haidar se door hai..

Shabbir ki aza mai na roya faqat vahi
Duniya me fatema ke jo dilbar se door hai

Hifz o amaan milti h parcham k saaye me
Hai door jo alam se wo sarvar se door hai

Islam k jo nam pe failaaye ranjisheN 
Har tarH se wo shakhs payambar se door hai

Raheman kaise jayega firdaus me wo shakhs
Jo fard madhe aale payambar se door hai





14. Janab faiz kanodari

Jannat se door Shaafa e Mehshar se door hai, 
Jo Dushmane Batool(س) hai Kausar se door hai, 

Ulfat rakhey jo Qatile Binte Rasool(س) se, 
Wo Bad-Naseeb Aale Payambar(ع) se door hai, 

Kyu kar karengey Naat Payambar(ص) teri Qubool, 
Aye Sheikh jab tu Hazrat e Haider(ع) se door hai, 

Mujrim hai wo Batool(س) ka, Chouthey Imam(ع) ka, 
Duniya mei'n jo bhi Matam e Sarwar(ع) se door hai,

Mehfooz mai'n hu'n Naade Ali(ع) ke Hisaar mei'n, 
Shukre Khuda ke Jism mera Shar se door hai, 

Uth kar Salam karney lagi Mouje Alqama , 
Haider(ع) ka Laal jab ke Samandar se door hai, 

Zainab(س) ye bain karti thi Baba Bachaaiye, 
Khanjar abhi bhi Shehrage Sarwar(ع) se door hai.. 

Aye Faiz jo bhi darta hai khud apni Mout se, 
Dar Asl wo Imam(عج) ke Lashkar se door hai..




15. SHAKER SAYYADI

KHAMBAR SE DOOR HAI NA ABUZAR SE DOOR HAI,,,,, 
MERI  ANAA THO  MARHAB O ANTAR SE DOOR HAI,,,,,

JAL JAAYEGA AY SHEIKH NA JAA KHULD KE QAREEB,,,,, 
JO  DUSHMAN  E  BATOOL  HAI KOUSAR SE DOOR HAI,,,,,

SHAJRE KHARAAB KYUN NA HO UN WAALDAIN KE,,,,, 
AULAAD JIN KI MAATAM E SARWAR SE DOOR HAI,,,, 

ZAALIM  YAZEEDIYON  KO  YE  SHAYAD  PATA NAHI,,,,,
RAHMO KARAM KHUDA KA SITAMGAR SE DOOR HAI,,,,,

RAAHE KHUDA ME MAAL KO JO KAHRCH NA KARE,,,,, 
AISA  BAQEEL SHAAFA E MEHSHAR  SE  DOOR HAI,,,,,

KAISE  KARE  QUBOOL DUA KHALIQ E JAHAAN,,,,, 
JISKI DUA DUROOD E PAYAMBER SE DOOR HAI,,,,,

FARSHE AZAA NEJAAT MUSALMAAN KI HAI MAGAR,,,,, 
YE  BE WAQOOF  AB  BHI SAMUNDAR  SE  DOOR HAI,,,,,

INSAAN  E  BA  FAHEM  KO  YE  MALOOM HOGAYA,,,, 
KYUN MOULVI GHADEER KE MIMBER SE DOOR HAI,,,,,

RIZQ E  HALAAL  PAAYEGA  WO  SHAKHS  SAYYADI,,,,, 
WAQTE NAMAAZ E FAJRE JO BISTAR SE DOOR HAI,,,,,




16. TAHERABBAS SUNASARA

Jo bhi Ali Se Aur Payamber Se Door Hai._
_Firdaus se Wo Door Hai Kausar Se Door Hai._

_Hai Dil Me Uske Ulfat-e-Ahmed To kya hua_
*_Jo Dushmane Batul Hai Kausar Se Door Hai._*

_Farshe Aza Pe Deti Hai sabko Duaa Batul;_
_Wo kon hai jo Matame Sarwar Se Door Hai ?_

_Haider Ka Rutba Kaise Samaj Aayega Tuje_
_Har fikr Teri dashte Kalanadar Se Door Hai._

_Milti Nahi Mariz Ko Hakim Se Har Shifa;_
_Jo ishk sheh door hai Dawar Se Door Hai._

_Gadh Gadh Ke Aaj Dete Ho Khutba Magar Khatib;_
_Teri Ada Ye Aabide Muztar Se Door Hai._

_*"TAHER"* Ye Tera ishk bhi ishke Ali Me Hai;_
_Is Watse Azab tere Sar se Door Hai._

 

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP