Tabassum e Aliasghar

( By Maddahe aale aba

in HazratAliAsghar )
  • Name:
  • Section:
    HazratAliAsghar
  • Number of pages:
  • Date Added:
    08/01/2019
Tabassum e Aliasghar

1
Ashiq Muntazir
Diya hai Jaun e Habash ko Sheh ki Madad Ne aisa Shabaab Ran Mein.
Falak ka Suraj Hijab se Aa gaya hai Zer e Hijaab Ran Mein.
 
Bahaduri ka Likha hai Asghar ne Hanske aisa Nisaab Ran Mein.
Faqat tabassum se kar diya dushmano'n ka khana kharaab ran Mein.
 
Sadaa e Halmin Suni tau jhoole se Gir ke Bola Ali e Asghar.
Main Aa raha Ohad se Ab Tak ka Baba Lene Hisaab Ran Mein.
 
Talaash e Jaa e Aman ki khatir mein Daudte hain Udu e Sarwar.
Tehalka Dekho Macha raha hai Wo Aake Jaan e Rabaab Ran Mein.
 
Jari ke Hatho'n mein Shah e Dee'n gar Husaam de dete ek Pal ko.
Tau Khu'n ke Dariya mein Behte Farq e Udu bhi Misl e Hubaab Ran Mein.
 
Hai Jaan Jinko Bhi Apni Piyari Wo bhaag lei'n  keh rahe hain Aadaa.
Husain ki Zarbato'n se Dekho Pata pada hai Azaab Ran Mein.
 
Nahi hai Ghazi Nahi hai Akbar Na Aun o Qaasim hain Aur na Asghar.
Hai Saiyada ka Husain Tanha koi Nahi Hum Rakaab Ran Mein.
 
Yazidiyat ka Jaha'n mein baqi Nishaan koi Nahi hai Logo.
Khile Hue hain ALI ke Dekho Abhi Bahattar Gulaab Ran Mein.
 
Na Kar Saka hai Na kar sakega Ye Kaar Naama koi bhi Aashiq.
Kiya hai Nauk e Sina'n pe Jakar Husain ne Jo Khitaab Ran Mein.
Ashiq Muntazir
 






2
Ghalibzama Mirza

Dukhaya Zehra ka dil jo tumne sabhi ka hoga hisaab rann me.
Karega barpa wo aake parde se ek naya inqelaab rann me.

Ali ke pote ne dushmano pe kiya tha is tarha waar sunlo.
Fakat tabbassum se kar diya zalimo ka khaana kharab rann me.

Zara bhi chehre pe na thakan thi buzurg ki na koi nishaani.
Palat ke aaya kuch is tarha se Habeeb par ye shabaab rann me.

Uthata haatho.n ko jo dua me Ali ka beta to jaanlo ye.
Barasta rehta phir aasmaa.n se hamesha logo ye aab rann me.

Kaha ye dushman ne lag raha hai, Ali o jafar se jung he ye.
Kuch is tarah se lade hain Binte Ali ke dono gulaab rann me.

Sawaal e baiyat jo kar rahe the wo pher kar muh bhi ro rahe the.
Diya tha Asghar ne is ada se yu.n haske apna jawab rann me.

Ali ka beta hai ghaib me jo, ye yaad rakhna tum aye laeeno.
Wo aake karbobala ka lega zaroor ik din hisaab rann me.

Na paani honto.n se tha lagaya na tegh raan me thi isne khinchi.
Likhi hai ghaazi ne khud lahoo se wafa ki puri kitaab rann me.

Ali hi samjhe the saare dushman pata chala ye dua hai unki.
Thahar ke aakhir me jab ussi ne uthaya rukh se naqaab rann me.

Safaya kaafir ka ho raha tha to kehke bhaage ye ran se kaafir.
Ke tegh Haider ki chal rahi ya khuda ka aaya azaab rann me.

Gaya tha maidaa.n me jo  bhi ladne bataya usne tha dushmano ko.
Sipaah e Sarwar ka har sipaahi hai dekhlo la-jawab rann me.

Kisiko shaq na raha phir isme Ali ke baazu hi hai.n khuda ke.
Utha ke haatho.n pe jo dikhaaya Ali ne khaiber ka baab rann me.

Mile ijaazat jo Shaahedee.n se karega is tarha jung Ghaazi.
Udenge sab shaamiyo.n ke phir sar hawa me misl e hubaab rann me.

Sipaahi dushman ke keh rahe the ye ek duje se rann me ghalib.
Bacha ke jaane.n tum apni bhaago Hai.n aaye ab buturaab rann me.
Ghalibzama Mirza

 







3
Orooj Gopal Puri

Dekha raha tha ali ka zaigham ali ka ahde shabaab ran me
Zamaana kahta jari ko haider ager na hat-ta hejaab ran me

Sepahe serwer ke Bachche Bachche badon badon se nahin hain derte
Moqaabela hurmula se kerne chala hai jaane robaab ran me

Khate tabassum kuchh aisa khaincha ke zaalimon ka ghoroor Toota
Phir ek chashme shaqee ne dekha tha ansuon ka azaab ran me

Alag alag sin ke Sab ke Sab hain qabeele sabke juda juda hain
Zamaana hairat se dekhta hai Hussain ka intakhaab ran me

Khoda ke zaigham ka ye hai zaigham ise samajhna na aam bachcha
Yahi hai Chhe maah ka mojaahid ye  laayega inqalaab ran me

Husssin izne wegha jo dete dekhaata ghaizo Ghazab layein ko
Abhi to ye sabra ker raha hai dikhega iska ataab ran me

Zohair se ye Kaha jari ne karunga misle Ali wegha main
Kahegi fauje layein bhaago ke aagaye butoraab ran me

Taweel roodaad hai wafa ki padhenge ahle jahaan abad tak
Orooj likkhega shere haider wafa ki khoon se kitaab ran me
Orooj Gopal Puri






4
Naushad Bijani
Zabaan sookhi dikha ke barpa hai kar diya inqelaab ran me.
Fakat tabasdum se kar diya zaalimo ka khaana kharaab ran me.

Khiza'n ke mausam me ayk baccha hai banke chhaaya gulaab ran me.
Na dekha hoga zulaikha tune jaha'n me sysa shabaab ran me.

Yeh baade halmin husain kehte the zaalimo se ruko zara tum.
Abhi to khayme se aake asghar karega sab ka hisaab ran me.

Banaake sookhi zaba'n ko nashtar sitam ka har ik pahaad toda.
Bahaaya besheer ne yu'n pattah dilo ki aakho'n se aab ran me.

Ba aslaha hai savaar laakho muqabile me hai ik pyaada.
Adam se lekar abad talak jang ka hai iklauta baab ran me.

Na kar sakenge jaha'n me baatil kabhi bhi haq se savaale bay'at.
Ali ke pote ne ne kar diya paara paara baatil ka khwaab ran me.

Zaeef mujhko na kehna hargiz ke ishqe sarwar java'n hai hardam
Habeeb kehte hai baal karkae lahoo se anpe khizaab ran me.

Jari ne khat kheech kar kaha kisme dam hai ke isko paar karle.
Hai jisme himmat woh aae bas karke maut ka intekhaab ran me.

Chala jo saahil pe ibne haidar to ghoda jayse uda falak par.
Nazar na aaye nishaa'n qadam ke udi jo garde turaab ran me.

Adu ne tasveere shere yazda'n ko dekh kar nehr par kaha ye.
Bacha ke sab jaan apni bhaago ke aagaye buturaab ran me.

Ata mujhe bhi karo rukhe jaun jaisa noor aap mere maula.
Falak se aakar husain se keh raha tha yeh maahtaab ran me.

Ghuroor mat kar kalaf pe reh kar ke noor tera hai sheh ka sadqa.
Nazar utha ke tu dekh ke aa gaya hai ik aaftaab ran me.

Azaane akbar jo fajr ke waqt goonji karbobala ke ban me.
To yu'n laga jaise de rahe hai azaa'n risaalat m'aab ran me

Kaha tha ik maa'n ne apne bete se ke na haidar se ladna hargiz.
Ali ne marhab pe khol di waar karke taabeere khwaab ran me.

Sadaa e halmin husain ki goonjti thi navshad ban me jab bhi.
tadap ke har laash kehke labbayk deti sheh ko javaab ran me.
Naushad Bijani


 






5
Ja'afar Ali
Chala jo kheme se ek sipahi Hussain ka ban jawab ranme.
Fakat tabassum se kar diya zaalimo ka khana kharab ranme.
 
Hai kisme himmat nazar milae labo ki khuski ki taab laye.
Chamak raha hai damak raha hai Ali ka ek aftab ranme.
 
Ye tego'n khanjar tumhe mubarak ladunga mai khali haath tumse. 
Na la sakoge sitamgaro tum mere tabassum ki taab ran me.
 
Mujhe na nazuk mijaz samjho Ali ka pota hoon e laeeno.
Tumhare teeron sitam ka doonga bas ek hansi se jawab ran me.
 
Bagair tego'n tabar k jisne palat diye zulm k safeene.
Nai ibarat me wo likhega shujato'n ki kitab ran me.
 
Sipahi the jitne dushmano k phira k munh apna ro rahe the.
Ali ka pota tha bhuka pyasa mila na ek qatra aab ranme.
 
Sitam ye kehta tha hurmala se laga nishane pe teer apna.
Kiya hai ek bezuba'n ne Jafar sitam ko yu benaqab ranme.
Ja'afar Ali

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Tabassum e Aliasghar ( By Maddahe aale aba in HazratAliAsghar )

08/01/2019

Fakat tabasdum se kar diya zaalimo ka khaana kharaab ran me.
VIEW WRITE UP