Bana hai naam gham,o ki dawa sakina ka
Gauhar naqvi
Beyan kaise karu martaba sakina ka
Maqam,e sabr hai sabse bada sakina ka
Yazeed ye teri hasti mita ke dam legi
Hai khoon eik hi ser,e khuda sakina ka
Cali to andhiya baiyat ki bohut thi,n lekin
Na rok payi koi rasta sakina ka
Maqaam aap ne aisa hijaab ko
baqsha
Tawaf karti hai abtak haya sakina ka
Ab is se bad ke koi aur baat kiya hogi
Bana hai naam gham,o ki dawa sakina ka
Yazeed tere irade kiu mar gaye ghut ke
Yu dekhi,e to bandaha tha gala sakina ka
Wahaa rasool salami ko roz aate hain
Jahaa jahaa bhi pada naqshe pa sakina ka
Jo cahta hai ke kausar ka jaam mil jaye
Bana sabeel ko pani pila sakina ka
Hussain ke liye liye nusrat bana ke bhej diya
Khuda ko naam hi itna jacha sakina ka
Jahaa jahaa bhi sabile,n banai jati hain
Har eik sher wo mujh ko laga sakina ka
Jo cahta hai ke suraj se aankh mil jaye
Chiragh ghar me tu apne jala sakina ka
Agar jo dam hai to karbobala me ajaye
Hai har yazeed se dawa khula sakina ka
Ye aur baat ke rassi thi haat me lekin
Magar na zulm se panja muda sakina ka
Aza ka farsh bicha ya yazeed ke ghar me
Har eik kaam hai sabse juda sakina ka
Hai khali gaud to asgar ka wata dede
Hai gar aleel tabbrruk khila sakina ka
Sawaal mar ke na gauhar se kuch huwa lekin
Kaha malak ne qasida suna sakina ka
Gauhar naqvi
Naushad Bijani
Aya'n jahaan me hai martaba sakeena ka.
Adab se karyte hain sab tazkera sakeena ka.
Padar hai hazrate shaahe huda sakeena ka.
Chacha hai saaniye shere khuda sakina ka
iram me sunti hai hawwa o maryam o saara.
Qaseeda padti hai jab faatema sakeena ka.
Sakeena karti thi karbal ki khaak par sajde.
Qadam thi choomti khaake shifa sakeena ka.
Jo yaad pyaasi sakeena ki ham ko aati hai.
To yaad aata hai ham ko chacha sakeena ka.
Kiya hai sabr sakeena ne karbala me magar.
Hai sabr shaam me be-inteha sakeena ka.
Khuda ka kyu naho Navshad par karam hardam.
Ke uske sar pe hai daste ata sakeena ka.
Naushad Bijani
+46 704 852 187