HO GAYI 18 SAALO ME ZAIFA FAATEMA s.a

( By Sibtain, Naushad, Zaidi, gaazi. Chaman, Rizwan, Abr, Asmee, Taqi, Shahid, Altaf.

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    16/02/2019
HO GAYI 18 SAALO ME ZAIFA FAATEMA s.a

Ayyame fatemiyah
Mushayera: Bazme shoara.
Misra: Ho gayi 18 saalo me zaeefa fatema s.a.
tarhi misra by Altaf Haidari Maroofi.

1. Sibtain sayyadi
2. 
Naushad Bijani
3. Sarkar mehdi zaidi
4. Gaazi Abbas Zainabi
5. Chaman Rehmati Alipuri
6. Rizwan Karbalai
7. Anees abr Kanodari
8. Asghar Asmee Kanodari
9. Taqi Kazmi Taqi
10. Shahid Husain Shahid
11. 
Altaf Haidari Maroofi


1. Sibtain sayyadi
HAATH PAHLU PE HI RAKKHE THI'N HAMESHA FAATEMA s.a
GHAM MILA BAADE PAYAMBBAR TUJHKO KITNA FAATEMA s.a

RAAS KAB AAYA MUHARRAM KA MAHINA FAATEMA s.a
KARBALA ME LUT GAYA GHAR BHI TUMHARA FAATEMA s.a

BAS GAYI AANKHO ME MERE PASLIYAA'N TOOTI TERI
KAH KE ROTE HAI YE HAIDAR MERI DUKHIYA FAATEMA s.a

YAAD ME TERI TADAPKAR RO RAHEY HAR DAM ALI a.s
BAAD TERE HO GAYA DUSHWAAR JEENA FAATEMA s.a

KHA GAYA BEKAS KO HAAYE BAAP KI FURQAT KA GHAM
HO GAYI 18 SAALO ME ZAIFA FAATEMA s.a

DAR GIRA ZEHRA PE JAB FIZZA TADAP KAR KAH PADI
IN SITAMGAARO NE MOHSIN KO BHI MAARA FAATEMA s.a

KUCH MAHEENE HI RAHI ZINDA FAQAT BAADE NABI
MAR GAYI SAH NA SAKI SADME PE SADMA FAATEMA s.a

CHEEN KE HAQ FATMA ZAALIM NE TUJHKO BA KHUDA
BAADE AHMAD KHOO'N RULATA HI RAHA YA FAATEMA s.a

CHEEKH KE "SIBTAIN" ROKE MURTUZA KAHNE LAGE
HO GAYI HAI WAQT SE PAHLE ZAIFA FATMA s.a
Sibtain sayyadi
 






2. Naushad Bijani
Ashkiya ne milke tera ghar jalaaya faatema.
Aur dar jalta huva tujh par giraaya faatema.
 
Dar ke neeche tu thi or upar se guzre ashkiya.
Zaalimo'n ne payro'n se tujhko hai ronda faatema.
 
Vazn aane se shikam par ho gaye mohsin shaheed.
Saans tak bhi le na paaya tera baccha faatema.
 
Is sitam se teri chakna-choor pasli ho gai.
Aur pahelu bhi huva tera shikasta faatema.
 
Thaam fizza mujhko *haaye mar gaya baccha mera .*
Qable ghash tere labo'n par tha yeh jumla faatema.
 
Dar me thi keele'n woh sab tere badan me chubh gai.
Ho gaya tar khoo'n me har aaza tumhaara faatema.
 
ik shaki ne maari pehlu me tujhe nok-e-nayaam
Dooje zaalim ne tujhe maara tamaacha faatema.
 
ik shaki ne daali thi haidar ki gardan me rasan.
Dooje ne maara tha tujko taaziyaana faatema.
 
Jis tarah se maahiye be aab tadpe dhoop me.
Zere dar tha is tarah tera tadapna faatema.
 
Rone par bandish thi lekin ashk bhi thamte na the
Kis qadar mushkil tha tera haaye jeena faatema.
 
Din me baytul huzn me karti thi giryah faatema.
Ashko se karti thi shab me tar musalla faatema.
 
Raat din ro ro ke baaba par yateema faatema.
Bas bahaati aakho'n se ashko'n ka darya faatema.
 
Turbate baaba pe jab karti thi shikva faatema.
Peet kar kehti thi sar subbat alayya faatema.
 
Haath me thaame asa mushkil se chal paati thi woh
*Ho gayi 18 saaloN me zaeefa Fatema.*
 
Rote rote kar gai ik din safar sooye iram
Chhor kar dunya ko woh khaatoon ulya faatema.
 
Ghusl khaane se sada purdard aai yak-ba-yak.
Rote rote keh rahe the mere maula faatema.
 
Apne zakhmo ka nahi mujh se kabhi shikva kiya.
Baar yeh gham ka uthaaya tune tanha faatema.
 
Paara paara pasliya'n hai teri ay binte nabi.
Or tera pehlu bhi hai haaye shikasta faatema.
 
Zindgi bhar zakhm tere ab rulaayenge mujhe.
Fat raha hai mera is gham se kaleja faatema.
 
Dehr ke mushkil kusha kehte the seena peet kar.
Hai bahut mushkil yeh tera gham bhulaana faatema.
 
Khidmate zehra me hai Navshad ki yeh ilteja.
Aap mujho hashr me dena sahaara faatema.
Naushad Bijani
 




2. Naushad Bijani
Fakhre maryam fakhre saara fakhre havva faatema.
Binte Ahmad paara e qalbe khadeejah faatema.
 
Qurrate ayne sahanshaahe madeena faatema.
Zauja e shaahe najaf umme abeeha faatema.
 
Maadare hasnain sardaare nesaail aalmi'n.
Maalike khuldo iram dee'n ka safeena faatema.
 
Rahmatul-lil aalmee'n payghambare islaam hai.
Aur hai unke liye rehmat ka chashma faatema.
 
Aayate tat'heer hai jiski tahaarat ki sanad.
Maryame kubra hai woh ismat ka darya faatema.
 
Jis mohammad ki sana karti hai dunya raat din
Us mohammad ki zaba'n ka hai vazeefa faatema.
 
Majlise shabbeer me Navshad baitho ba-adab.
Aati hai lekar yaha'n roomaal zehra faatema.
Naushad Bijani
 




3. Sarkar mehdi zaidi
Gunjte h ye sda hay fatima ya fatima.
Hay ummat ne tumhe kitna staya fatima.
 
Bad baba ke hue zulmo setam ki emteha.
Tere mohsen ko shekham me maar dala fatima .
 
Hay tadap ke ro pade mushkil kusha ye dekh kr .
Pasliya tute h hamko na btaya fatima .
 
Karbala se sham tak ek hue zainab zahef .
ho gye attahara saloun m zahefa fatima
Sarkar mehdi zaidi
 




4. Gaazi Abbas Zainabi
Rotey hai sarr peetkar ahley aza ya fatema'
Jab sunaa Darbaar mey khaayi tamaacha' fatema'

Khulkey baba par tujhey roney na detey they adoo
Raas ummat ko na aaya Tera girya fatema'

Jalta darwaaza giraakar tujhpey dushman Deen ke
Terey Mohsin ko shikam mey maardaala fatema'

Apney Mohsin ko fidaa karkey wilaa e Deen par
Mohsina tuu qudd wilaayat kii banii ya fatema'

Zindagi bhar bhool paaye hi nahi betey terey
Thaamkar pehlu Tera Darbaar jaana fatema

Narga e aadaa mey bintey Ahmad e muqtaar hai
Khaagaya ye dard Hyder ko zyaada' fatema'

Ghar jalaakar tujhpey jaltaa darr giraakar ummati
Baap ka detey hai aisey tujhko pursa' fatema'

Qabr ke baahar tujhey aansu bahaatey dekhkar
Rorahey hai qabr mey shaah e madeena' fatema'

Khoon Hyder umr bhar is baat par rotey rahey
Hogayi atthaara saalo'n mey zaeefa' fatema'

Zulm baad e baap tujhpar Jo huwey wo sochkar
Gaib mey rotaa hai ab bhi Tera potaa fatema'

Izn deydeejey faqat aakar baqeea' eak din
Aapko "GAAZI" sunaayega ye nauha' fatema'
Gaazi Abbas Zainabi




5. Chaman Rehmati Alipuri
Fathema ya Fathema ya Fathema  Ya Fathema..
Dono'n aalam may Tera matam hai BarPa Fathema..

Padhrahi thi Qabr-e-Ahmed per ye Nouha Fathema..
Aapke bin Jee nahi sakti ye dukhya Fathema..

Marsiya Subbat Allaiya ka wo padhna hai gawaah,
Badd BaBa ke Tujhe kitna tha Sadma Fathema..

Ghar jalaya  Dar giraya hogaye Mohsin Shaheed,,
Aur Pehlu hogaya Tera Shakista Fathema..

Zainab o Kulsoom haye hogaye hain ab Yateem,,
Utth gaya hai sar se inke Tera Saya Fathema..

Jaane kitne dard o ghum tootay hain Nanhi jaan per,
Haaye Bachpan may hi lagti hai Sakina Fathema..

Khoon ke aansoun bahaatay hain imam-e-waqt phir,
Dekhtay hain jab Tera weeran Rouza Fathema..

Dard o Ghum kaise baya'n ho bas ye likhta hai Chaman,,
Hogayi at'thara saal'oun may Zayifa Fathema..
Chaman Rehmati Alipuri




6. Rizwan Karbalai
AAP KE DUSHMAN PE KARTA HU TABARRA FATEMA(S.A)
CHAAHE BAN JAYE MERA DUSHMAN ZAMANA FATEMA(S.A)

UN SABHI KE CHAHNE WALO SE KAISA ITTEHAAD
JIN LAEENO NE TERE MOHSIN KO MARA FATEMA(S.A)

ZALIMO KO CHAHNE WALE BHI IK ZALIM HUWE
KOULE AHMAD PAR ME RAKHTA HU AKEEDA FATEMA(S.A)

AAP KE DAR KO JALA KAR HAS RAHE THE KON KON
AK DIN IS RAAZ SE PARDA UTHEGA FATEMA(S.A)

AK DIN LAYENGE AYYAME AZA WO INQLAAB
HOVEGA BE PARDA HAR QATIL TUMHARA FATEMA(S.A)

AHMADE MUKHTAAR DUNIYA SE KYA RUKHSAT HUWE
QALMA GO SHAITAAN SE BAD HO GYA YA FATEMA(S.A)

WAQTE GURBAT AA PADA JAB MAZHABE ISLAM PAR
KAAM AAI AAPKI MAADAR KHADEEJA(S.A)FATEMA(S.A)

KUCH AMAAME WALE AB FARSHE AZA KI AAD ME
KAR RAHE HAIN MAJLISE SARWAR KA SOUDA FATEMA(S.A)

WAASTA SHABBIR KA KAR LO AZADAARI KUBOOL
WARNA ROZE HASHR KYA HOGA HAMARA FATEMA(S.A)

CHAAHE DUNIYA JAAN SE BHI MAAR DE TO GAM NAHI
HAM SADA KARTE RAHENGE YA ALI YA FATEMA(S.A)

TERE QATIL KO YAHA ZINDA JALAYA JAYEGA 
WADI E GAIBAT SE JAB PARDA UTHEGA FATEMA(S.A)

HAI YAHI SUBBAT ALAYYA KA MUKAMMAL TARJUMA😭
HO GYI ATHTHARA SAALO ME ZAEEFA FATEMA(S.A)😭

SAB MASA'IB PAISH KARNE KO QALEJA CHAHIYE
KIS TARAH RIZWAN LIKHTA TERA NOUHA FATEMA(S.A)
Rizwan Karbalai





7. Anees abr Kanodari
mehwar e tatheer ae pehlu shikasta Fatema(sa)
aapko dete haiN ham Muhsin ka pursa Fatema(sa)
محورِ تطہیر اے پہلو شکستہ فاطمہؐ
آپکو دیتے ہیں ہم محسن کا پرسہ فاطمہؐ
aapki turbat hai tapti dhoop me ye sochkar
ro raha hai gumbad e khizra ka saya Fatema(sa)
آپکی تربت ہے تپتی دھوپ میں یہ سوچ کر
رو رہا ہے گنبدِ خضرا کا سایہ فاطمہؐ
hamd ke aadi Ali(as) karte rahe shikwa yahi
ho gayi aththara saaloN me zaeefa Fatema(sa)
حمد کے عادی علیؑ کرتے رہے شکوہ یہی
ہو گئی آٹھارہ سالوں میں ضعیفه فاطمہؐ
parda e gaibat ki tanhaii me rota hai Imam
lamha lamha hai labo par Fatema(sa) ya Fatema(sa)
پردہِ غیبت کی تنہائ میں روتا ہے امامؑ
لمحہ لمحہ ہے لبوں پر فاطمہ یا فاطمہؐ
Roza e Zainab(sa), baqayya banne denge na kabhi
hogaye hain matami shana ba shana Fatema(sa)
روضہء زینبؐ بقیہ بننے دینگے نہ کبھی
ہو گئے ہیں ماتمی شانہ بشانہ فاطمہؐ
Ya Rasulallaah(saw) beti ki khabar lije zara,
khaa rahi hai zaalimoN se ab tamacha Fatema(sa)
یا رسول اللہﷺ بیٹی کی خبر لیجے زرا
کھا رہی ہے ظالموں سے اب طمانچہ فاطمہؐ
aapke dar par lagi is aag ne batla diya
kitni jaldi se badalta hai zamana Fatema(sa)
آپکے در پر لگی اِس آگ نے بتلا دیا
کتنی جلدی سے بدلتا ہے زمانہ فاطمہؐ
Abr ke aamaal me bas madh ke kuch sher hain
roz e mehshar laaj rakh lena meri Ya Fatema(sa)
ابرؔ کے اعمال میں بس مدح کے کچھ شعر ہیں
روزِ محشر لاج رکھ لینا میری یا فاطمہؐ
Anees abr Kanodari





8. Asghar Asmee Kanodari
Silsila hai dard o gham ka aap par ya fatema..
Sir jukaye ro rahe hai ghar me moula fatema.. 
 
Chhin lete ho fidak bhi kyu nahi dete ho haq.. 
Ay muslmano nabi ka hai ye tukda fatema..
 
Chhoti si thi umr lekin ho gaye lakho sitam... 
Kaisa ummat se mila hai tujko taufa fatema.. 
 
Ibn haider keh rahe the ay Aliakabr suno... 
*Ho gayi 18 ra salo'N me zaeefa fatema...*
 
Tujko naiza bhi lagega dard hoga ha magar... 
Yaad kar lena ke thi pehlu Shiksta Fatema.. 
 
Jab nikalunga tumhare sine se beta  sina.. 
Leke aayegi yaha'N par pehlu toota fatema.. 
 
Ab qalam kaghaz ke hontho par lahoo aane laga.. 
Likh diya asmee ne kaisa haaye Noha fatema... 
Asghar Asmee Kanodari





9. Taqi Kazmi Taqi
Aaj bhi hairaan Hai ye sari duniya fatema.
Kaise utra aapke dar pr sitara fatema.

Us bulandi pr koi khatoon ja sakti nahi.
Aapka dono jhaa.n me Hai wo rutba fatema.

Khaki insa.n Kya samaj paye Tere maiyaar ko.
Khuld me jata Hai Tere Ghar ka khana fatema.

Paye Jate Hain adab or ilm ke moti jhaa.n
Tere aangan se hi behta Hai wo dariya fatema.

Tu Jo kehde is zami.n pr Haq use pura kre.
Kitna Hai mazboot rab se tere rishta fatema.

Jb kha ye aapne jannat se aayenge libas.
Banke darzi Tere Ghar Rizwaan aaya fatema.

Yun to shayar or bhi guzre zamane me magr.
Har koi na likh saka tera qasida fatema.

 Masayib
kis qadar logo ne tum pr zulm dhaya fateme.
Haq ki khatir tumne khaya Hai tamacha fatema.

Apna haq lene tujhe darbaar me Jana pda.
Baag China or tumhara Ghar jalaya fatema.

Kis qadar the zulm tumko dekh ker sabit hua.
Ho gyi 18 salo me zaeefa fatema.

Ashq aankhon se rwa.n Hain kaanpti Hain ungliyan.
Kis tarha likkhun tumhare gham ka nouha fatema.

Mai rhu tameer me shamil dua Hai ye taqi.
Jis ghadi tameer ho wo tera roza fatema.
Taqi Kazmi Taqi





10. Shahid Husain Shahid
Ahmad e Mukhtar ke hai dil ka tukda Fatema 
Or Khadija ki nigaho me nagina Fatema  
 
Itni siddiqa jaha'n me koi bhi dekhi nahi 
Dusri tarikh me dhude se mil sakti nahi 
Haidar e karrar ki hai aesi zoja Fatema 
 
Rotiya'n lene farishte jiske ghar aate rahe 
Aur Rizwane jina bhi aayate late rahe 
Kitna pakiza jalaya ghar tumhara Fatema 
 
Jinka dar tha un laeeno'n ne sataya hai mujhe 
Or bhare darbaar me jhuta bataya hai mujhe 
Kesi guzri kya batae tum se baba Fatema 
 
Aapki tahrir ko phada shaqi ne baba ja'n 
Ho rahi hai zulm ki dekho yaha'n par inteha 
Bin tumhare ji na paegi ye dukhya Fatema 
 
Daag'n Mohsin ki shahadat ka jigar par kha gaee'n 
Gardan e Haidar me phanda dekh kar gabra gaee'n 
Kya kare kisko sada de'n besahara Fatema 
 
Tasbiyo tahlil ki jab tak sada aati rahi 
Shukr e Rab Fizza labo par apne dohrati rahi 
Kya masayab aagae hai meri malka Fatema 
 
Deen par ghar ko lutaya or shahadat pa gae 
Bage'n Zahra ke hai jitne phul sab murjha gae 
Karbala ki ret par hai'n ashq e girya Fatema
Shahid Husain Shahid





Altaf Haidari Maroofi
فاطمہ یا فاطمہ پہلو شکستہ فاطمہ
سانس بھی لینا ہوا دشوار تیرا فاطمہ
 
Fatema ya Fatema pahlu shikasta Fatema
SaaNs bhi lena Hua dushwaar tera Fatema
 
دل ہِلا دیتا ہے ہم اہل عزاء کا فاطمہ
بعدِ پیغمبر تمہارا خون رونا فاطمہ
 
Dil hila deta hai ham Ahle aza ka Fatema
Baade paigambar tumhara khoon Rona Fatema
 
اے لعینوں کیوں تمہیں آئی نہیں شرم و حیاء
 جب گئی  دربار  تک  ام ابیہا  فاطمہ
 
Ay laEeno Q nahi Aayi tumhe sharmo haya
Jab gayi darbaar tak UMME ABEEHA Fatema
 
کانپتے ہونٹوں سے پڑھتے ہیں علی یہ مرثیہ
بولتے مجھ سے نہیں اہل مدینہ فاطمہ
 
KaaNpte hotoN se padhte hain Ali ye Marsiya
Bolte Mujh se nahi Ahle Madeena Fatema
 
اے مسلمانوں بتاؤ باپ کے جانے کے بعد
کیا ہوا جو رات دن کرتی ہے گریہ فاطمہ
 
Ay musalmano bataao bap k jane k bad
Kya hua jo raat din karti hai giriya Fatema
 
پسلیاں یوں چور تیری ہوگئیں یا فاطمہ
ٹوٹ جائے جسطرح چکی میں دانہ فاطمہ
 
PasliyaN yuN choor teri ho gayiN ya Fatema
Toot jaaye  jis tarah chakki me daana Fatema
 
وہ ستم جھیلے ہیں تونے ہائے شہزادی میری
سہہ نہیں سکتا جنھیں دن کا اجالا فاطمہ
 
Wo sitam jhele hain tune haaye shahzadi meri
Sah nahi sakta jinhe din ka ujala Fatema
 
رو پڑے شبیر و شبر سینہ و سر پیٹ کر
جب لگا رخسار پر تیرے طمانچہ فاطمہ
Ro pade Shabbeer o Shabbar seena o sar peet kar
Jab laga rokhsaar pr tere tamaacha Fatema
 
زینب و کلثوم کے دل غم سے تھرّانے لگے
جس گھڑی مارا تجھے ظالم نے دُرّہ فاطمہ
 
Zinab o Kulsoom k dil gham se tharraane lage
Jis ghadi maara tujhe Zalim ne durra Fatema
 
یاد آتا ہے ہمیں محسن تمہارا فاطمہ
کربلا میں دیکھکر قاسم کا لاشہ فاطمہ
Yaad Aata hai hame Mohsin tumhara Fatema
Karbala me dekh kar Qasim ka lasha Fatema
 
کیا ملا اجرِ رسالت ہے.. دکھانے کیلئے
آرہی ہے آپ سے ملنے اے بابا فاطمہ
 
Kya mila Ajre Resaalat hai dekhaane k liye
Aa rahi hai ap se milne Ay Baba Fatema
 
رو کے اے *الطاؔف* کہتی تھی علی سے ذوالفقار
ہوگئی اٹھارہ سالوں میں ضعیفہ فاطمہ
Ro k Ay *Altaf* Kahti hai Ali se Zulfeqar
Ho gayi 18 saaloN me zaEefa Fatema
Altaf Haidari Maroofi

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

HO GAYI 18 SAALO ME ZAIFA FAATEMA s.a ( By Sibtain, Naushad, Zaidi, gaazi. Chaman, Rizwan, Abr, Asmee, Taqi, Shahid, Altaf. in BazmeShoara )

16/02/2019

HO GAYI 18 SAALO ME ZAIFA FAATEMA s.a
VIEW WRITE UP