Shahadat bibi Sakeena s.a.

( By Naushad Bijani-Mustafa Chopra

in Bibi Sakina(sa) )
  • Name:
  • Section:
    Bibi Sakina(sa)
  • Number of pages:
    https://www.youtube.com/embed/t5Fl-KFl0pY
  • Date Added:
    05/01/2019
Shahadat bibi Sakeena s.a.

Aai nahi hai neend yateema ko chain se
 
Jab se juda hui hai sakeena husain se.
 
 
1
 
Jo seena e husain pe soti thi raat din.
 
Baba ko yaad kar ke voh roti thi raat din.
 
Bekas yateem baap ke gham me thi bekaraar
 
Be chain gham me baba ke hoti thi raat din
 
 
2
 
Ek din sakeena baap ki yaado me kho gai.
 
Fir laadli husain ki ghamgeen ho gai.
 
Taari huvi jo neend yateema ki aankh me.
 
Rote huve vo good me zainab ki so gai.
 
 
3
 
Sote hi dekha khwab me chehra husain ka.
 
Bedaar ho ke fir kiya girya husain ka.
 
Hardam pukarti thi ke baba kidhar gae.
 
Bach-chi ko yaad aa gaya seena husain ka.
 
 
4
 
Zaynab se poochhti kabhi maadar se poochhti.
 
Aansu bahake apne biradar se poochhti.
 
Baba abhi abhi yaha aakar chale gae.
 
Ro ro ke be karaar voh khwahar se poocchti.
 
 
5
 
Zaynab dilasa deti thi roti thi bibiya'n
 
Umme rubaab karti rahi naala o fuga'n
 
Va hasrata ka shoor tha zindaan me bapa.
 
Karti rahi sakeena musibat bhara baya'n.
 
 
6
 
Har ayk dil kabaab tha yaade husain se.
 
Zindaan bhi larazta raha shoor o shain se.
 
Seene ko peet ta tha  koi peet ta tha sar.
 
Deevar o dar bhi roe sakina ke bayn se.
 
 
7
 
Zalim yazeed neend se bedaar ho gaya.
 
Sun kar yeh shoro shain voh bezaar ho gaya.
 
Zindaa'n ka haal sunte hi darbaane qayd se
 
Aamada e sitam voh jafaakaar ho gaya.
 
 
8
 
Darbaane qayd bola yeh haakim se us ghadi.
 
Zinda'n me ik yateem hai sarwar ki laadli
 
Girya kuna hai dekh ke baaba ko khwaab me.
 
Hai chaar saal ki woh sakeena husain ki.
 
 
9
 
Bola yazeed mar gaya lashkar husain ka.
 
Keh do yeh haal qayd me jaakar husain ka.
 
Inke dilo ko aur bhi dunga azyyate'n
 
Le jao qayd khaane me yeh sar husain ka.
 
 
10
 
Zinda'n ka paasbaan chala le ke sheh ka sar.
 
Zaynul aba ki baba ke sar pe padi nazar.
 
Ek aahe sard kheench ke bimaar ne kaha.
 
Gham se nidhaal ho gaya baba tera pisar.
 
 
11
 
Badh kar sare husain sakeena ne le liya.
 
Sar dekha baap ka to yateema ne le liya.
 
Kahti thi apni god me baba ka sar liye.
 
Baba ko muj se mere naseeba ne le liya.
 
 
12
 
Bosa labo ka leti kabhi choomti thi sar.
 
Aankho ko choom leti thi padti thi jab nazar.
 
Karti thi saaf baba ke zulfo se voh ghubaar
 
Rukhsaar apna rakhti thi rukhsasre shaah par.
 
 
13
 
Baba se roke karti thi shiqva yeh baar baar.
 
Barse hai taaziyaane meri pusht par hazaar.
 
Shimre lain le gaya gavhar bhi chheen kar.
 
Kano se mere khoon ki behne lagi thi dhaar.
 
 
14
 
Rukhsaar pe tamaache lagaae lain ne.
 
Baba hamare khayme jalae lalin ne.
 
Daaman me mere aag lagi thi reda na thi
 
Zulmo sitam pahaad se dhaae lain ne.
 
 
15
 
Faryaad karte karte voh khaamosh ho gai.
 
Or laadli husain ki khwabo me kho gai.
 
Bachi-chi ne sar husain ka tha hod me liya.
 
Sajjad bole dekho sakeena hai so gai.
 
 
Soi na thi bichhad voh baaba husain se.
 
Ab aa gai hai neend sakeena ko chain se.
 
 
16
 
Shaana hila ke dekha to zainab tadap gai.
 
Boli yeh roke haaye museebat ki hai ghadi.
 
Sar apna peet peet ke kehne lagi rubaab.
 
Afsos is jaha se sakeena hai chal basi.
 
 
Soi na thi bichhad voh baaba husain se.
 
Ab aa gai hai neend sakeena ko chain se.
 
 
17
 
Zindaa'n me ghusl bibi ko jis dadam diya gaya
 
Chipka huva tha pusht se kurta lahoo bhara.
 
Rehne diya bataure kafan payrahan vahi.
 
Laae kafan kaha'n se na sar pe ho jab rida.
 
 
Soi na thi bichhad voh baaba husain se.
 
Ab aa gai hai neend sakeena ko chain se.
 
 
18
 
Nanhi si qabr haatho'n se aabid ne khoodkar.
 
Gham me bahan ke roya bahut shaah ka pisar
 
Zindaa'n me dafn kardi amaanat husain ki.
 
Royi rubaab keh ke sakeena ki qabr par.
 
 
Soi na thi bichhad voh baaba husain se.
 
Ab aa gai hai neend sakeena ko chain se.
 
 
19
 
Arshe bari'n larzta hai baanu ke bayn se.
 
Navshad aaj soi sakeena thi chain se
 
Ahle haram me shoor hai rone ka Mustafa.
 
Deevaaro dar larzte rahe shoro shayn se.
 
 
Soi na thi bichhad voh baaba husain se.
 
Ab aa gai hai neend sakeena ko chain se.

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Shahadat bibi Sakeena s.a. ( By Naushad Bijani-Mustafa Chopra in Bibi Sakina(sa) )

05/01/2019

VIEW WRITE UP