( By Naushad Bijani
in Prophetmuhammadsaw )
Rab ne ye kaha sun mera farmaan mohammad.
Kar khum me wilaayat ka tu ailaan mohammad.
Maa'loom hai kuchh khum me fasaadi bhi hai lekin.
Hai saath tere bozaro salmaan mohammad.
Sadiyo'n se hai veeraan padi waadiye khum ab.
Mimbar se use karde gulistaan mohammad.
Barsaaunga patthar sare haaris pe falak se.
Dushman tere sab honge pashemaan nohammad.
Dushman se tu maydaa'n me na ghabraana na darna.
Kam hone na dunga mai teri shaan mohammad.
Khutba de tu aysa ke jise sun ke kahe sab.
Sultaane jaha'n fakhre sulaymaan mohammad.
Dushman bhi kahenge ke mubark ho ya haidar.
*Man kunto* se goonj utthega maydaan mohammad.
Haydar ko jo maanenga nahi dee'n ka khaleefa.
Ho jaayega khaak ayso ka imaan mohammad.
Navshaad ki jaa'n tujpe hai qurbaan mohammad.
Bakhshish ka hame de gaya saamaan mohammad