( By Chaman Rahmati, Ghalibzama mirza, Kaifi Kalkatwi, Navshad Bijani, Rizwan Karbalayi, BOBER NAWAB, MADRASI, Gulzar Hasnain.
in BazmeShoara )
بزم شعراء BAZM-E-SHOARA
TARHI Misra
Labo'n pe naam rahe sub'ho shaam kaazim ka. (a.s)
Misra by Navshad Bijani
1. Janab Chaman Rahmati
Tamam Shiyoun se Yeh Hai Kalaam Kazim ka.
Karega Sabr yaqeenan Ghulaam Kazim ka..
Jo Pee ke Ghusse ko Chain-o-Sukoon chahtay hain,
Laboun pe Naam rahe Subh-o-Sham Kazim ka..
تمام شیعوں سے یہ ہے کلام کاظم کا
کرےگا صبر یقیناََ غلام کاظم کا
جو پی کے غصّہ کو چین و سکون چاہتے ہیں
لبوں پہ نام رہے صبح و شام کاظم کا
Chaman Rahmati
2. Janab ghalibzama mirza
*Azal se me to hoo.n logo ghulaam kaazim ka.*
*Sukoon e qalb o jigar hai ye naam Kaazim ka.*
*Agar jo chaahte ho tum sukoon e dil ghalib.*
*Labo.n pe naam rahe subho shaam Kaazim ka.*
Ghalibzama Mirza
3. Janab Kaifi Kalkatwi
*Khuda ka kaam hai har ek kaam kazim ka*
*Baland o bala hai itna maqaam kazim ka*
*Jo chahte ho namazo'n me ho kushu o khuzu*
*Labo'n pe naam rahe subh o shaam kazim ka*
*_خدا کا کام ہے ہر ایک کام کاظم کا_*
*_بلند و با لا ہے اتنا مقام کاظم کا_*
*_جوچاہتےہونمازوں میں ہوخشوع وخضوع_*
*_لبوں پے نام رہے صبح و شام کاظم کا_*
Kaifi Kalkatwi
4. Navshad Bijani
Yaqeen mujh pe karo yeh bhi isme aazam hai.
Tum aazmaalo museebat me naam kaazim ka.
Duae'n teri bhi ho jaaye mustjaab agar.
zaba'n pe naam rahe subho shaam kaazim ka
Navshad Bijani
5. Janab Rizwan Karbalayi
HUSAIN WALO SUNO JAB BHI NAAM QAZIM KA
DUROOD PAD KE KARO AHTRAAM QAZIM KA
AGAR CHE BANNA HAI SACHCHA GULAAM QAZIM KA
ZABA PE NAAM RAHE SUBHO SHAAM QAZIM KA
Rizwan Karbalayi
6. Janab BOBER NAWAB, MADRASI
*BOHOT HI OONCHA HAI JUG ME MAQAAM KAZIM KA*
*MALAK BHI KARTE RAHEY EHTERAAM KAZIM KA*
*YE CHAND AUR YE SOORAJ ZAMEEN AUR FALAK*
*YE KAYENAAT ME JO HAI TAMAAM KAZIM KA*
*JO JANASHEENE VILAYAT THA DAUR ME APNE*
*RAHA OROOJ PE HAR PAL NIZAM KAZIM KA*
*YE SAB KE BAABE HAWAEJ HAIN TEESRE JUG ME*
*SAQAWATON KA HAI CHARCHA BHI AAM KAZIM KA*
*HUNAR HAI GUSSE KO PEENE KA UNKE PAAS BOHOT*
*ISEELIYE HAI JUDA SAB SE NAAM KAZIM KA*
*NA KIEUN HO RAB SE DUA SAARE MOMINO KI YAHEE*
*"LABON PE NAAM RAHEY SUBHO SHAAM KAZIM KA"*
*RUKI NA QAID ME RAHKAR BHI DEEN KI TABLEEG*
*KHUDA KA DEEN NA BHOOLEGA KAAM KAAZIM KA*
*KARENGI USKI SHIFAA'AT BATOOL MAHSHAR ME*
*RAHEGA JO BHI HAMESHA GHULAM KAZIM KA*
*KARAM KHUDA KA SADA HOTA RAHTA HAI UNPAR*
*KE ZIKR KARTE HAIN JAB QAASO AAM KAZIM KA*
*UNHEY ZAROOR MILEGA SHARAF YE JAÑNAT ME*
*PIYENGE SAARE AZADAAR JAAM KAZIM KA*
*HILA KE RAKDIYA HAROON JAISE HAKIM KO*
*KE WO BHI QOUF SE LETA THA NAAM KAZIM KA*
*GINA SE DOOR RAHEN ZINDAGI ME TUM APNI*
*YE MOMINO KE LIYE HAI PAYAAM KAZIM KA*
*BOBER KE SEENE ME DHADKAN HAI JAB TALAK BAAQI*
*KAREGA ZIKR HAMESHA IMAM KAZIM KA*
BOBER NAWAB, MADRASI
7. Syed Gulzar Hasnain
Hai Baad Jafar e Sadiq ke Naam Kazim ka,
Baland kitna hai dekho maqam Kazim ka.
Amal ho Aisa ke ay paalne waley mere,
Labo'n pe Naam rahe Subho Shaam Kazim ka.
Syed Gulzar Hasnain