Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar.

( By Naushad , Zia Haidar, Shakir Syyedi, Anees Abr

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    03/05/2019
Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar.

Bazme Shoara
tarhi misra: Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar.
Misra by Anees Abr



1. Navshad Bijani
Umr ko meri jalaati hai yeh naare intezaar.
Tod do jald aake maula ab jedaare intezaar.
 
Hai badan majnu mera dunya ke peechhe raat din.
Hai baraaye naam dil mera dayaare intezar
 
Bech kar imaaN ko kuchh taqleede marjaa chor kar
Tod kar farrar hote hai hisaare intezaar.
 
Kufr dastak de raha hai ab dare imaan par.
Aur momin ko banaata hai shikaare intezaar.
 
Umr bhar udta raha, manzil se fir bhi door hu.
Is qadar ghaybat ka hai ucha minaare intezaar.
 
Ishqe maula chor kar kehte hai daulat ke raqeeb.
Mujhse ab uthta nahi gaibat me baare intezaar.
 
Al-ajal Navshad kehta hai zabaN se baar baar.
Rooh me baaki nahi lekin waqaare intezaar.
 
 
 
 
 
2. Zia Haidar
Jaise jaise jaate haiN lailo nahaar e intezaar,
Waise waise aur chadhta hai khumaar e intezaar.
 
Falsafaaye zindagi koyi nahi iske siwa,
Aap aayeNge to dekheNge bahaar e intezaar.
 
Dhadkano ko kya kahuN aaNkhe bhi ab pthra gayiN,
MuddatoN ka toot na jaaye dayaar e intezaar.
 
Mere maula aaiye kitna zamaanaH ho gaya,
Ab pachhade khata hai khud intezaar e intezaar.
 
Ab judaayi aapki humse sambhalti hai nahi,
Aap aayeNge to hoga khatm naar e intezaar.
 
Sudbudaahat hai hava me aur charcha hai tamaam,
Jald hi dhaane wo aayeNge mazaar e intezaar.
 
Ankareeb aana hai unka aap aamaada raheN,
Ye khabar deta hai aake raazdaar e intezaar.
 
Kya tere aamaal haiN or kya teri tayyari hai,
Aane waala hai tera jo taajdaar e intezaar.
 
Isse pahle dum nikal jaaye khudaara aaiye,
Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar.
 
Khwaab poora hoga uska bas isi ummeed me,
Ye ZIA baitha hai kab se baa sahaare intezaar.
 
 
 
 
 
3. Shakir Syyedi
THAK GAYE HAI KARTE KARTE CHAND TAARE INTEZAAR,,,,, 
KAR RAHE HAI TERI CHAHATH KE SAHARE INTEZAAR,,,,, 
 
AY IMAM E WAQT DEKHO WAQT BHI KAHNE LAGA,,,,, 
MUJHSE AB UTH TA NAHI GHAIBATH ME BAARE INTEZAAR,,,,,,
 
 
 
 
 
4. Anees Abr
Mujse ab uthta nahi gaibat me baare intezaar,
Kaise kaatu me bhala lail'O'nahaar e intezaar....
 
Haal mera hogaya hai maahi-e-be-aab sa,
Mar na jaau ab kahi me bekaraar e intezaar...
 
Aapke aanese pehle mout aajaaye agar
Qabr na hogi meri hoga mazaar e intezaar
 
Aapke bin zindagi ye qabr se kuch kam nhi
Roz o shab sehta hu maula me fishaar e intezaar
 
Ham lagaate jaa rahe hain khisht apne fail se
Unchi hoti jaa rahi hai yu jedaar e intezaar
 
Dil hamaare har gadi ummeed se raushan rahe
Rehm ham par kijiyo parwardigaar e intezaar
 
Gaib se 'iqra' ki tarha aaye 'unzur' ki sada
Yu sajaau Abr me bhi eyk gaar e intezaar

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar. ( By Naushad , Zia Haidar, Shakir Syyedi, Anees Abr in BazmeShoara )

03/05/2019

Mujhse ab uthta nahi gHaibat me baar e intezaar.
VIEW WRITE UP