Zahra ka hai ye nauha lo aa gaya moharram

( By Aghaze Muharram

in Muharram )
  • Name:
  • Section:
    Muharram
  • Number of pages:
  • Date Added:
    28/09/2020
Zahra ka hai ye nauha lo aa gaya moharram

Tarhi misra in bazme shoara.
Zahra ka hai ye nauha lo aa gaya moharram
 
1-Rizwan Bijani
2-Jafar Ali Dehradun
3-Bober Nawab, Madrasi
4-Shaker sayyadi 
5-Sajjad Haider naqvi
6-Naushad Bijani
7-Imraan Sandhawali
8-Anees Abr
9-Raheman ali
10-Asmee Kanodari
11-Gaazi Abbas Zainabi
12-Sibtain Sayyadi
 
 
 
 
1
PEHLI KA CHAND NIKLA LO AAGYA MOHARRAM
HAI SOG ME ZAMANA LO AAGYA MOHARRAM
 
MAQQE KI WADIYO ME CHAAI HAI IK UDASI
BECHAIN HAI MADINA LO AAGYA MOHARRAM
 
MEHMA NAWAZI ME TUM KOI KAMI N RAKHNA
AAYENGE HIND MOULA LO AAGYA MOHARRAM
 
SADQE ME MAJLISO KE SAB KO AMA MILEGI
BHAAGEGA AB CORONA LO AAGYA MOHARRAM
 
BID,AT KI WADIYO ME SARWAR KA GAM KARENGE 
DAM TOD DEGA FATWA LO AAGYA MOHARRAM
 
 MAATAM KI YE SADAAYE RAKH DEGI NIND UDA KAR
KYA HOGA MUFTIYO KA LO AAGYA MOHARRAM
 
ZIKRE HUSAIN SE AB NASLE YAZEEDIYAT KA 
JAL JAYEGA KALEJA LO AAGYA MOHARRAM
 
HASIL HAI MAATMI KO ASHQE AZA KI DOULAT
AANKHE BANEGI DARIYA LO AAGYA MOHARRAM
 
IS KAAM KE LIYE TO KHILQAT HUI TUMHARI 
LAZIM HAI TUMPE PURSA LO AAGYA MOHARRAM
 
MAJLIS KI AAD ME MAT FERO NAMAZ SE RUKH 
KEHTA HAI SHEH KA SAJDA LO AAGYA MOHARRAM
 
MAATAM KUNA MALAQ HAI HOORE TADAP RAHI HAIN
ZAHRA S.A KA HAI YE NOUHA LO AAGYA MOHARRAM
 
MARHAM HUSAIN KA HAI RIZWAN TERE AASU
ISME KAMI N KARNA LO AAGYA MOHARRAM
 
 
 
2
Matam jaha'n me hoga Lo aa gaya Moharram
Bibi ko denge pursa Lo aa gaya Moharram
                   
Phir se nazar Falak pe aaya hai chand jab se
Dil ro raha hamara Lo aa gaya Moharram
                    
Phaili hai mahamari phir bhi Ye azadaari
Ghar Ghar me hogi barpa Lo aa gaya Moharram
                   
Sab lut gayi kamai faryad hai duhai
Zehra (s.a.) ka hai Ye Noha Lo aa gaya Moharram
                    
Haye Hussain kehkar marqad me roye Haider
Gham ho gaya hai taza Lo aa gaya Moharram
                    
Baalo'n me khak daale Dil kis tarah sambhale
Ujda Nabi ka kunba Lo aa gaya Moharram
                    
Farshe Aza bichhao phir se Alam sajao
Giriya kuna hai kaba Lo aa gaya Moharram
                    
Akbar ka bezuba'n ka Qasim ka bawafa ka
Matam Zaroor hoga Lo aa gaya Moharram
                   
Zainab ke Ladlo'n per her peer aur jawa'n per
Royega zarra zarra Lo aa gaya Moharram
                    
Kehte hain sab ye Jafar Aankho'n me ashq bharker
Gham hai Dilo'n pe chhaya Lo aa gaya Moharram
Jafar Ali Dehradun
 
 
 
 
3
*Ghar Ghar hai Shore Girya  - Lo Aagaya Muharram*
*Suntehi Dil hai  Rota  - Lo Aagaya Muharram*
 
*Ye Chand Aasmaa Par Dekhenge Maatami jab*
*Tadpega Dil bhi Unka – Lo Aagaya Muharram*
 
*Abbas ke Alam ko Jab Jab bhi Dekte hain*
*Phat ta Hai Gham se Seena – Lo Aagaya Muharram*
 
*Aankhon me Ashk Lekar Baba ko Yaad Karke*
*Bechain Hogi Soghra – Lo Aagaya Muharram*
 
*Baazu Kataake Ghazi Soyenge Nahr Par hi*
*Royegi Jab Sakina - Lo Aagaya Muharram*
 
*Ek Dopahar me Ya Rab Lutjayega Mera Ghar*
*“Zahra Ka hai Ye Nowha - Lo Aagaya Muharram”*
 
*Jee Bhar ke Dekhlo Tum Akbar ko Phir se Laila*
*Dekhogi Phir Na Chehra – Lo Aagaya Muharram*
 
*Ghode se Jab Girega Maqtal me Haye Qasim*
*Paamaal Hoga Lasha – Lo Aagaya Muharram*
 
*Dekhegi Aake Zainab Bhayi ka Run me Lasha*
*Phatjayega kalaija – Lo Aagayaa Muharram*
 
*Naamoose Mustafa ke Sar se Chinegi Chaadar* 
*Qaidi Banega Kunba  - Lo Aagaya Muharram*
 
*Pyasa Shaheed Hoga Asghar bhi Teer Khaakar*
*Veeraan Hoga Jhoola – Lo Aagaya Muharram*
 
*Gham Sha’h Ka Kaise Khul kar Ab Hum Bober Manaayen*
*Hai Sabke Dil ko Sadma – Lo Aagaya Muharram*
Bober Nawab, Madrasi
 
 
 
4
BECHAIN DIL HAI SUB KA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
LEKAR GHAMO KA SAAYA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
APNE WATAN KO JAKAR HUM BHI KARENGE MATAM,,,,,
MILJAAYE PHIR SE MOUQA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
SHAH KI MUSIBATHON PAR ANSOO BAHAYE HUM BHI,,,,,
TOUFEEQ DE KHUDAYA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
CHALTI HAI SAANS JUB TAK ROKENGE HUM NA MATAM,,,,,
HUM HAI DUA E ZAHRA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
SUB KUCH LUTA DO JAAKAR MAJLIS ME SHAHEDEEN KE,,,,,
LUT THA HAI SHAH KA KUNBA LO AAGAYAMUHARRAM,,,,,
 
IS SAAL SHAH KE GHAM ME JEE BHAR KARENGE MATAM,,,,,
KAL KYA PATA HAI APNA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
AABAAD THA MERA GHAR BARBAAD AB YE HOGA,,,,,
ZAHRA KA HAI YE NOUHA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
ABBAS SE YE SARWAR ANKHON SE KAH RAHE HAI,,,,,
BHAI DO SAATH MERA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
BAANU GULUYE ASGAR HAR BAAR CHOOMTI HAI,,,,,
AB YE GALA CHIDEGA LO AAGAYA MUHARRAM,,,,,
 
NOUHA YE SHAH KA SUN KAR AY SAYYADI BAQI ME,,,,,
LARZAA,N HAI KHABRE ZAHRA LO AAGYA MUHARRAM,,,,,
Shaker sayyadi 
 
 
 
 
5
Dil ye tadap ke bola lo aagaya moharram
Matam bapa hai Mola lo aagaya moharram
 
Hamraha bibiyo'n ke nikle hain Ghar se Sarwar
Aao madad ko meri ab to najaf se Haider
Sugra ka hai ye nala lo aagaya moharram
 
Kese rahungi tanha Akbar hain or na Asgar
Fariyaad ye Khudara Fariyaad ye Payamber
Kehti hai roke Sugra lo aagaya moharram
 
Rukhsat ko Shah e Wala roze pe jaa rahe hain
Qabr e Nabi pe akar  kar aansu baha rahe hain
Suni hai qabr e Zehar lo aagaya moharram
 
Karbobala basane Shabeer ja rahe hain
Basti nai basane Shabeer ja rahe hain
Suna hua Madina lo aagaya moharram
 
Karbobala ke ban mai ghar lut gaya hai Mera
Islam bach gaya hai or khoo'n baha hai Mera
Zehra ka hai ye Noha lo aagaya moharram
 
Charo'n taraf fiza mai gham ki ghata hai chaai
Jannat ki Shahazaadi farsh e aza pe aai
Ghamgeen hai nazara lo aagaya moharram
 
Jese luta hai ban mai kunba Shah e Umam ka
Sajjad ki Dua hai Ghar na lute kisi ka
Rokar jaha'n pukara lo aagaya moharram
Sajjad Haider naqvi
 
 
 
 
6
Kehta hai baccha baccha, Lo aa gaya moharram.
Paheno libaas kaala, Lo aa gaya moharram.
 
Lekar payaam haq ha, Lo aa gaya moharram.
Baatil ko karne rusva, Lo aa gaya moharram.
 
Aanshu banenge gauhar, Sarwar ke gham me beh kar.
Zehra ka hai yeh waada, Lo aa gaya moharram.
 
Rona husain par yeh, Fitrat ka hai taqaaza.
Kehti hai saari dunya, Lo aa gaya moharram.
 
Doobenge sab yazeedi, AankhoN se ab bahega.
Ashke aza ka darya, Lo aa gaya moharram.
 
Maatam nahi rukega, Keh do yeh zaalimoN se.
Dam hai to rok lena, Lo aa gaya moharram.
 
Ji bhar ke ro lo sheh par, kya maut ka bharosa.
Fil haal tum ho zinda, Lo aa gaya moharram.
 
Maatam ki goonj se tum, Zaalim ke dil hila do.
Hai behtareen nuskha, Lo aa gaya moharram.
 
Ay sheh ke sogwaro, Zaalim ko tum jala do.
Aanshu bana ke shola, Lo aa gaya moharram.
 
*Naushad* dha ke rakh do, Maatam se kasre baatil.
Tum ko mila hai mauqa, Lo aa gaya moharram.
Naushad Bijani
 
 
Nawha
Gham fir jahaN me chhaaya, Lo aa gaya moharram.
Maatam hai sehra sehra, Lo aa gaya moharram.
 
Harso hai sheh ka girya, Lo aa gaya moharram.
Har dil hai gham me dooba, Lo aa gaya moharram.
 
Paani me or zameeN par, Ro ro ke saare hayvaN.
Padte hai milke Nauha, Lo aa gaya moharram.
 
AankhoN se apni haaye, Khoone jigar baha kar.
Ghaybat me bole maula, Lo aa gaya moharram.
 
Kehti hai peet ke sar, Yasrab me ro ke sughra.
Aaya na mera bhayya, Lo aa gaya moharram.
 
Kehti hai umme layla, Akbar ka karbala me.
Doobega khuN me sehra, Lo aa gaya moharram.
 
Karbobala ke ban me, Jalti zameeN pe sheh ka.
Sajde me sar katega, Lo aa gaya moharram.
 
Seene pe shaahedee. Ke, Qaatil sawaar hoga.
Tadpegi roohe zehra, Lo aa gaya moharram.
 
Ta Shaam karbala se, Aale nabi pe Naushad.
Dhaayenge zulm aada, Lo aa gaya moharram.
Naushad Bijani
 
 
Bibi fatema s.a. ki zabaani.
Kehti thi roke zehra, Lo aa gaya moharram.
Peetu na kyn mai seena, Lo aa gaya moharram.
 
KhuN me nahake pyaasa, Karbobala ke ban me.
Ujdega mera kunba, Lo aa gaya moharram.
 
Besheer ke gale par, Maarega teer zaalim
Tadpega mera baccha, Lo aa gaya moharram.
 
Dauda ke ghaode zaalim, Paamaa ab karenge.
Shabbeer ka janaaza, Lo aa gaya moharram.
 
Har ik qadqm pe kha kar, Aghyaar ke tamaache
Royegi ab sakeena, Lo aa gaya moharram.
 
Tasveer mustafa ki, Paamaal hogi ran me.
Seene me hoga neza, Lo aa gaya moharram.
 
Maarenge taziyane, Sajjade natavaN ko.
Qaydi bana ke aada, Lo aa gaya moharram.
 
*Naushad* kar ke maatam, Farshe aza pe hardam.
Do faatema ko pursa, Lo aa gaya moharram.
Naushad Bijani
 
Bibi sakeena ki zabaani
Kehti thi yeh sakeena, Lo aa gaya moharram.
Bichhdenge mujh se baaba, Lo aa gaya moharram.
 
Das din ke baad mai bhi, Karbobala ke ban me.
Ho jaaungi yateema, Lo aa gaya moharram.
 
Kha kar tamaache mere, rukhsaar honge neele.
Mujh par sitam yeh hoga, Lo aa gaya moharram.
 
Chheenega mere ghauhar, Mujhko rulake zaalim.
KaanoN se khuN bahega. Lo aa gaya moharram.
 
Baaba ko rote rote, Sooungi khaak par mai.
Aayega yaad seena. Lo aa gaya moharram.
 
Qaydi bana ke ham ko, Be parda karbala se.
Leke chalenge aada, Lo aa gaya moharram.
 
Pushte shutar se mujh ko, Baandhege jab rasan se.
Ragdega mera seena, Lo aa gaya moharram.
 
Baazaare shaam hoga, Barsenge ham pe patthar.
Koi na hoga apna, Lo aa gaya moharram.
 
ZindaN ki teergi me, Rooungi mai bilak kar.
Aayenge yaad baaba, Lo aa gaya moharram.
 
Behlaane mujhko baaba, Aayenge khwaab me jab.
Uth kar karungi girya, Lo aa gaya moharram.
 
Baaba ka sar milega, Marne se pahele mujh ko.
Pur gham woh hoga lamha, Lo aa gaya moharram.
 
Mai apni god me sar, Baaba ka leke ro kar.
Dungi laboN pe bosa, Lo aa gaya moharram.
 
Aayegi maut mujh ko, jis waqt baap ka sar.
Seene pe mere hoga, Lo aa gaya moharram.
 
Apne ghame qalam ko, Naushad rok lo tum.
Degi dua sakeena, Lo aa gaya moharram.
Naushad Bijani
 
 
 
7
Fir gam ka chand nikla lo aa gaya moharram 
Behad hai dil ko sadma lo aa gaya moharram 
 
Afsurda aasmaN hai aur muztarib zami hai 
Badla faza ka lehja lo aa gaya moharram 
 
Matam ke shor se fir gunjengi ye fazaaye 
Gam sheh ka hoga taza lo aa gaya moharram 
 
Farsh e aza bicha kar zahra ke laal ki ab 
Zahra ko denge pursa lo aa gaya moharram 
 
Kab tak rahungi tanha koi to ye bata de 
Roti hai keh ke sughra lo aa gaya moharram 
 
Furqat me sare ghar ki din raat ro rahi hu 
Chutaa hai mujh se kunba lo aa gaya moharram 
 
Aaunga lene behna ye keh gaye the akbar 
Wada bhulaya apna lo aa gaya moharram 
 
Turbat pa dadi jaaN ki roze pe nana jaaN ke 
Kehti thi roke sughra lo aa gaya moharram 
 
Chohdungi ab lehed me baite ka lungee pursa 
Zahra ka hai ye nauha lo aa gaya moharram 
 
Imraan fat raha hai gam se mera kaleja 
Mehshar huwa hai barpa lo aa gaya moharram 
Imraan Sandhawali

 
 
8
Har su sama hai gam ka lo aagaya Muharram
*Zahra(sa) ka hai ye nauha lo aagaya Muharram*
 
Kis par karu me girya  aur kiska du me pursa
AankhoN me ab hai darya lo aagaya Muharram
 
Ashq e aza e Sarwar(as) marham hai zakhme Sheh(as)par
Ye sochkar ho girya lo aagaya Muharram
 
Phir Bint e Mustafa(saw) bhi turbat me gam karegi
Phir zakhm honge taza lo aagaya Muharram
 
Mahtaab aasmaaN par kehta hai sabko rokar
Do Fatema(sa) ko pursa lo aagaya Muharram
 
Sughra(sa) ne khat me likhkha kab tak me dekhu rasta
Lene na aaye bhaiyya lo aagaya Muharram
 
Raste pe Hur(as) ke chalkar aao qareeb e Sarwar(as)
Hogi qubool tauba lo aagaya Muharram
 
Bhule kabhi na dunya karbobala ka sajda
Maqsad bataane sheh(as) ka lo aagaya Muharram
 
Na dilme khauf e aatish, na khuld ki ho khwaish
Khaalis zabaaN se kehna lo aagaya Muharram
 
Dil me ho ik talaatum ae Abr jab suno tum
Kehte huwe ye jumla lo aagaya Muharram
Anees Abr
 
 
 
 
9
Aflaak me ye gunja lo aa gaya moharram
Ghar fatema ka ujda lo aa gaya moharram
 
Bechain fatema hai aur qalbe murtuza bhi
Pehli ka chand dekha lo aa gaya moharram 
 
Dasvi ko poora kunba lutt jayega nabi ka
Iss maah me ye hoga lo aa gaya moharram 
 
Kaaba bhi sog me hai yasrab ka haal hai ye
Rota hai har ilaaqa lo aa gaya moharram 
 
Bibi masaaebo me gir kar ye keh rahi hai
Ujdega mera kunba lo aa gaya moharram 
 
Ek dopahar me mera ghar poora ye lutega
Zehra ka hai ye noha lo aa gaya moharram
 
Nehre furaat hogi paani nahi milega
Pyaasa rahega kunba lo aa gaya moharram
 
Shimre laeeñ ka khanjar hay hay khudaya manzar
Shabbir pe chalega lo aa gaya moharram 
 
Ashqo ka kaarvañ ab mere nahi rukega
Farshe aza bichega lo aa gaya moharram  
 
Doobi hai sheh ke gham me 'rahman' poori duniya
Maatam huva hai barpa lo aa gaya moharram
Raheman ali
 
 
 
10
Har ghar me hoga Girya lo aag aya moharram..
Lab par hai Wa Hussaina lo aa gaya Moharaam..
 
Aahq e Aza se Bhar do Roomal Aaj mera. 
Zahra ka hai ye Noha Lo Aa gaya Moharaam...
Asmee Kanodri
 
 
 
 
11
Zehra ka hai ye nauha' lo aagaya Moharram
Kunba' mera luteyga lo aagaya Moharram
 
Aaoongi ghar tumhaarey my bass isii bahaaney
Farsh e aza bichaana lo aagaya Moharram
 
Kaaley libaas pehney haatho'n mey lekey parcham
Majlis mey aana jaana lo aagaya Moharram
 
Aankho'n se aansuo'n ka darya bahaao logo'n
Mujhko sukoo'n mileyga lo aagaya Moharram
 
Naa pyaar karna apney baccho'n ko in dino tum
Rakhna khayaal itna lo aagaya Moharram
 
Har ghar se waa husainaa ki goonjegi sadaa jab
Nikleyga taaziyaana' lo aagaya Moharram
 
Naam e Husain leykar paani pilaao sabko
Koi rahey na Tashna' lo aagaya Moharram
 
Farsh e aza bichaakar Majlis ke baad uspar
Keejey khuda ka Sajda' lo aagaya Moharram
 
Aisey karo bayaan e mazloomi e shah e dee'n
Maatam Karey Mohalla lo aagaya Moharram
 
Mazloom e karbala ke chey maah ke pisar par
Royega baccha' baccha' lo aagaya Moharram
 
Ye karbala hai ispar hii aal e mustafa ke
Khoo'n se baheyga darya lo aagaya Moharram
 
Jis laadley ko chakki my peeskar hai paala
Marjaayega wo pyaasa lo aagaya Moharram
 
Pyaasey galey pey kaisey Khanjar chalaaya zaalim
Tum ye bayaan karna lo aagaya Moharram
 
Seeney pey soney waali bacchi yateem hokar
Ab khaayegi tamaacha' lo aagaya Moharram
 
Zaqmi hai mera pehlu leykin merey pisar ka
Ghum ussey hai Zyaada' lo aagaya Moharram
 
Mazloom e karbala pey aye bibi taa qayaamat
Royega har Zamaana' lo aagaya Moharram
 
Zehra ke Zaqmi dil ko aaraam pahunchey *"Gaazi"*
Nauha' likho kuch aisa lo aagaya
Moharram
Gaazi Abbas Zainabi
 
 
 
 
12
Nikla hai chand gham ka lo aagaya Muharram
Sar peet,ti hai Zehra lo aagaya Muharram
 
Farshe aza bhichaao aur taziya sajaao
Aayenge mere moula lo aagaya Muharram
 
Avolade mustafa pe Aafat ke ye ghadi hai
Doobi hai gham me duniya lo aagaya Muharram
 
Dashte bala me meri lut jayegi kamaayi
Zahra ka hai ye nauha lo aagaya Muharram
 
Sar peete hai'n haidar Mahwe buka payambar
Giriya kuna hai zehra lo aagaya Muharram
 
Seene PE baba ja Ke So jao ab SAKINA 
Fir na milega seena lo aagya moharram
 
Kahdo ye matami se amada rehna phir se
Khismat saNwar dega lo aagaya Muharram
 
Maango duayee'n rab se Ashke aza bahakar
Mitjayega karona lo aagaya Muharram
 
Zaqme husain ka hai  marham hamare aansu'n
Ashko'n ka dena pursa lo aagaya Muhrram
 
Jazbaat keh rahe hai'n "Sibtain" matami ke
Purdarad likho Nauha lo aagaya Muhaream
Sibtain Sayyadi

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Zahra ka hai ye nauha lo aa gaya moharram ( By Aghaze Muharram in Muharram )

28/09/2020

Nawha
VIEW WRITE UP