a:1:{s:7:"English";s:71733:"
Bazme Shoara
Tarhi misra:- Aabid ne Kaha ro ke na ab aayenge Baba So jaao Sakina
Misra by: NAUSHAD BIJANI.
1-Shaker sayyadi
2-Jafar Ali Dehradun
3-Sajjad Haider Naqvi
4-Nausha Bijani
5-Asmee kanodri
6-Gaazi Abbas Zainabi
7-Bober Nawab, Madrasi
8-Sibtain Sayyadi
9-Urooj Gopalouri
10-Raheman Ali Chaudhary(kakoshi)
11-Suhail wasti
12-Khateeb haider dandupuri ( allahabad)
13-Kausar Sitapuri
14-Mukhtar Ali A Malpara.
1
ZINDAAN SE AANE LAGI AWAAZ KHUDARA SOJAO SAKINA,,,,,
DIN DHAL GAYA ZINDAAN ME HAR SOO HAI ANDHERA SOJAO SAKINA,,,,
BABA KI TARHA TUJHKO MAI SEENE PE SULAUN,,,,,
AMMA KI TARHA TUMKO MAI LORI BHI SUNAUN,,,,,
ABID NE KAHA ROKE NA AB AAYENGE BABA SOJAO SAKINA,,,,,
IS PHOOL SE RUKHSAAR PE AB ZULM NA HOGA,,,,,
CHADAR BHI MILEGI TUMHE GOUHAR BHI MILEGA,,,,,
KARNA THA SITAM JITNA WO SUB KARGAYE ADAA SOJAO SAKINA,,,,,
AAYEGA NA AB KOI KHALAL NEEND ME JAAYI,,,,,
THAAME HUE HATON KO TERE PAAS HAI BHAI,,,,,
ZANJEER KI AWAAZ BHI HONE NAHI DOONGA SOJAO SAKINA,,,,,
SOJAO GI THO KHWAAB ME KUCH GHAM NAHI HONGE,,,,,
AMMU BHI MILENGE TUMHE BABA BHI MILENGE,,,,,
BABA SE MILO JUB TU MUJHE BHOOL NA JAANA SOJAO SAKINA,,,,,
ZINDAAN ME RATON KO BOHATH SARD HAWA HAI
DAMAN BHI JALA HAI TERA KURTA BHI PHATA HAI,,,,,
DAMAN ME TUJHE SARDI KA AHSAAS NA HOGA SOJAO SAKINA,,,,,
ZAKHMON KA AGAR DARD JO BADJAAYE SAKINA,,,,,
TUM NAADE ALI PADKE WO SAHLENA SAKINA,,,,,
KUCH DIN ME HARAM JAAYENGE SUB SOOYE MADINA SOJAO SAKINA,,,,,
ZAKHMI HAI BADAN PYAAS HAI SADMA HAI GILA HAI,,,,,
BABA BHI NAHI PAAS YE GHAM SUB SE BADA HAI,,,,,
ABID NE KAHA SAYYADI PURDARD YE NOUHA SOJAO SAKINA,,,,,
Shaker sayyadi
2
Abid ne kaha roke na ab aayenge baaba so jaao Sakina
Zinda ka Andhera hai na bister na bichhona so jaao Sakina
Durra liya aata hai yaha'n shimre sitamgar hye hye Meri khwahar
Paaogi na shafqat na kabhi baap ka seena so jaao Sakina
Pushte shuter se zakhmi huwa bacchi ka seena mushkil Huwa jeena
Kaano se lahu bahta hai rukhsaar hai neela So jaao Sakina
Baba ka liye goad me sar royi tadapkar bechain thi dukhtar
Ek shor utha mar gayi ro ro ke hazina so jaao Sakina
Qaide sitam me haaye tujhe maut hai aayi paayi na rehai
Kis tarah karu'n dafn mai phat'ta hai kaleja so jaao Sakina
Zindaan me mai kaise banau'n teri turbat hai aalame gurbat
Marqad me sulane ke liye aayenge baba so jaao Sakina
Ammu bhi so gaye hain tere ghat per jakar shano ko katakar.
Aayega lehad me tujhe milne tera Saqqa So jaao Sakina
Tumko na aziyat na waha'n dard milega Aaram milega
Aagosh me lene ko tumhe Aati hain Zehra so jaao Sakina
Jab ahle haram ko mili zinda'n se rihai bechain tha bhai
Jaate hain watan chhor ke zindaan me tanha So jaao Sakina
Rote hain azadaar bhi gurbat pe Ae Jafar bachchi ki tadapkar
Dooba hai masayab me Sakina ka Ye noha so jaao Sakina
Jafar Ali Dehradun
3
Zinda ke andhere mai ye maadar ka tha Noha
Soo jao Sakina
Ab kon hai aakar jo tumhe dega dilasa
Soo jao Sakina
Seene pe seena khaake sidhara Ali Akbar
Maqtal mai pada sota hai nanha mera Asgar
Har peero jawa'n karbobala mai gaya Mara
Soo jao Sakina
Abbas ne Paani ke liye shaane katae
Dariya ki tarai pe hain vo khoo'n mai nahae
Aayenge palat kar na kabhi ab vo dubara
Soo jao Sakina
Be goro kafan lasha Shahe dee'n ki padi thi
Parda tha na chadar thi qayamat ki ghadi thi
Mil paayega bachhi na kabhi baap ka seena
Soo jao Sakina
Maare hain laeeno'n ne bohot tere tamache
Kaano se lahu behta hai rukhsaar hain neele
Aa jaaye mere lal tujhe sabar khudara
Soo jao Sakina
Madar ki fugaa'n sun ke Sakina ye pukari
Jaati hun tumhe chod ke mai dard ki maari
Madar ne kaha sun ke ye phat ta hai kaleja
Soo jao Sakina
Beemar se kehne lagi phir bekaso muztar
Bhai mere marr jaayegi hamsheer tapad kar
Sar baap ka dikhla do magar tum na ye kehna
Soo jao Sakina
Sun kar ye sada bhai bohot roya tadap kar
Giriya kiya phir behna ko seene se laga kar
Aabid ne kaha roke na ab aayenge baba
Soo jao Sakina
Sajjad aseeri mai kazaa kar gai bachhi
Haye Haye mere baba kaha or marr gai bachhi
Mayyat se lipat kar ke bhi Baano ka tha nala
Soo jao Sakina
Sajjad Haider Naqvi
4
Baanu ka tha zindaan me ro ro ke yeh nawha
Sojaao sakeena.
Achha nahi din raat yuN ro ro ke tadapna
Sojaao sakeena
Kismat me teri reh gaya ab khaak pe sona.
Munh ashkoN se dhona.
Ab tere muqaddar me nahi baap ka seena.
Sojaao sakeena.
Takraao na zindaan ki deewar se yuN sar.
Pyari meri dukhtar.
Beemaar biraadar teri haalat pe hai rora.
Sojaao sakeena.
Maaloom hai tum yaade padar me ho pareshaN.
Ay pyaari meri jaaN
Lekin na kabhi laut ke ab aayenge baaba.
Sojaao sakeena.
Baaba ko na yuN yaad kar ab ay meri pyaari.
Zehra ki dulaari.
Sar tasht me unka hai to maqtal me hai laasha.
Sojaao sakeena.
Is pyaas pe teri yeh tere khushk laboN par.
Qurbaan hai maadar.
Lekin nahi zindaan me ik aaba ka qatra.
Sojaao sakeena.
Naushad baya karti thi ro ro ke yeh maadar.
Din raat tadap kar.
Be rehm sitamgaar hai zaalim hai zamaana.
Sojaao sakeena.
Nausha Bijani
5
Rokar ye fufi boli yateema ho Yateema Sojaao sakina..
Mazloom hai ham Sar pe kisi ka nahi saya Sojaao sakina..
Ashur se dekha hai masayeb ka samndar khuN roti hai madar..
Be dardi se karbal me hai Qunba gaya mara Sojaao sakina..
Maqtal me tere baba ne paani nahi paya mara gaya pyasa..
Hai Waqt e kaza tujko bhi paani na milega sojaao sakina..
Sone Ke liye dhundhe kaha seena padar ka ye waqt hai kaisa..
Zindan ki ye khakh hai ab tera bichhona sojaao sakina..
Baba se milado muje ye bol rahi thi zindaan me Bachhi..
Aabid ne kaha roke na ab aayenge baba sojaao sakina..
Masum ko uthne ki bhi taaqat hi nahi hai Marne ki ghadi hai..
dil thaam ke ye kehti rahi saani e zahra sojaao sakina..
ab Shano ko pakde huwe Kehti thi ye madar pyari meri dukhtar..
Khul jayegi hatho ki rasan dard na hoga sojaao sakina..
Shab aa gayi hai aakhri ay naazo ki paali kal tu na rahegi..
Asmee na sada aayegi na koi kahega sojaao sakina..
Asmee kanodri
6
Abid ney kaha rokey na ab aayengey baba, sojao sakina'
Terey liye maujood hai ab bhai ka seena', sojao sakina'
Maana ke bharaa hai mera zaqmo'n se ye seena, par tujhsey hai waada
Karwat bhi tu badleygi to shikwa na karoonga, sojao sakina'
Rukhsaar se ye nanhi si haatho'n ko hataakar, sojaa meri khwaahar
Ab koi na maareyga tujhey aakey tamaacha', sojao sakina'
Tum pyaas mey jo hichkiyaa'n leti ho meri jaa'n, my tumpey hoon qurbaa'n
Afsos ke paani bhi pilaa my nahi sakta, sojao sakina'
Baba ke liye karti ho din raat tu girya, par sun meri behna
Ab khwaab mey hi aayengey milney terey baba, sojao sakina'
Aajayengey baba to uthaadoonga my tumko, ye waada hai maano
Ab chain se aaraam se do pal ko aye dukhiya, sojao sakina'
Kuch aansu abhi roklo kaam aayengey bibi, hai baba bhi Zaqmi
Gar aaye jo sarr unka to moo ashk se dhonaa, sojao sakina'
Aaqir jo milaa baap ka sarr itna wo royi, ke saans rukii thi
Rotey huwey Sajjad Magar kartey they nauha', sojao sakina'
*"Gaazi"* sarr e zindaan ho gar jaana mayassar, tum dekhogey aksar
Tanhaayi bhi karti hai wahaa'n bass yehi girya, sojao sakina'
Gaazi Abbas Zainabi
7
Sajjad Ye Kahte They ke Pyari meri Bahna – Sojaajvo Sakina
Tum Roti ho Phat ta hai Mera Gham se Kalaija - Sojaavo Sakina
Hum Dono ki Qismat hi Kuch Istarha Se Ujdi – Aai Shaah ki Beti
Ab Sar se Hamare hai Utha Baap ka Saaya - Sojaavo Sakina
Majboor hun Beemaar hun Qaidi bhi Bana hun - Aafat me Phasa hun
Dafna bhi Na Paaya hun mere Baap ka Lasha – Sojaavo Sakina
Mai Jeeta Raha Margaya Nhanna Ali Asghar – Aur Saat me Akbar
Sab Maaregaye Hogaya Veeraan Ye kunba – Sojaavo Sakina
Taqdeer me Tumko hai Abhi Ranj Uthana – Aur Sailiyaan Khaana
Dunya me Tumey Sirf Yateemi hai Sahaara – Sojaavo Sakina
Maa Bahno ki Cheenigayi Sar se bhi Ridaayen – wo kisko bulaayen
Maaragaya Jab Nahr Pe Shabbeer ka Shaida – Sojaavo Sakina
Ab Shaam ke Zindaan me Manzil hai Tumhari – Shabbeer ki Pyari
Qismat me Tumhare Liye hai Sirf Andhera – Sojaavo Sakina
Suntehi Bober Bacchi ki Aankhen huvi Purnam – Roti Thi Wo Paiham
Abid Ne Kaha Roke Na Ab Aayenge Baba – Sojaavo Sakina
Bober Nawab, Madrasi
8
Zindaa'n me behen se tha ye sajjad ka kehna sojaao Sakina س
Ab laut ke wapas kabhi aayenge na Baba sojaao Sakina س
Abid ne behen se kaha rokar na rulvo aghosh me aavo
Seene pe sula kar main tumhe dunga dilasa sojaao Sakina س
Marhaam tere zakhmo'n ka mai kistar ha se laau Majboor khada hu'n
Ham jaise Aseero ka yaha kon hai Apna sojaao Sakina س
Chehre PE tamacho KE Nisha unko dikhana Jo guzra batana
Jab khwaab me Milne ke liye Aayenge Baba sojaao Sakina س
Baanu ne kaha roovo na istar ha tadapkar Mai hoti hu'n muztar
Jayenge reha hoke bohat jald Madina
sojaao Sakina س
Giriya se teri nehre pe barpa hai qayamat hai hai ye muhsibat
Sahil pe tadaptha hai Alamdaar ka Laasha sojaao Sakina س
Daman se hawa dungi mai seene pe sulakar pasaao ay duqtar
Madaar ka kaha maan lo Aaja o khudara Sojaao Sakina س
Kiyu'n hatho ko rukhsaar pe is tarha dhari ho Kiyu'n sehmi huyi ho
Kiya phir kisi zalim ne tumhe mara Tamacha sojaa o sakina س
"Sibtain" ye sar shaa'h ka kehne laga rokar zindaan ke andar
Kab tak meri mazloomi pe rovogi Sakina س sojaao Sakina س
Sibtain Sayyadi
9
Rone pa layino ne laga rakha hai pahra so jaao sakina
Ab hoga moyasser na tujhe baba ka seena so jaao sakina
Paani nahin ab koose me ammu bhi nahin hain
Onto'n pa tere kaun rakhe paani ka qatra so jaao sakina
Sajjad ne ro ro ke kaha ay meri bahna
Mayus tujhe dekh ke phat to hai kaleja so Jason sakina
Paawon me mere bedi hai hun qaide sitam me
Dun laake kafan tujhko Kahaa,n se meri bahna so jaao sakina
Mat ro ay bahan Sabra karo maan ki khaber lo
Aabid ne kaha roke na ab aayenge baba so jaao sakina
Zakhmi hain tere Kaan zabaan khushk hai teri
Dukh teta bahan dekh ke phatta hai Lakers so jaao sakina
Ek baar dekha de use onton pa tabassum
Bechain hai maan dekh ke utra tera chehra so Jason sakina
Urooj Gopalouri
10
Maarega nahi tumko koi aake tamacha sojaao sakeena
Ab aake adu tumko pareshañ na karega sojaao sakeena
Maalom hai neend aayegi seene pe padar ke kuch kar nahi sakte
Abid ne kaha roke na ab aayenge baba sojaao sakeena
Dada hai bu turaab hamare hi sakeena ye soch ke behna
Iss khaak ko tum baba ka seena hi samajhna sojaao sakeena
Pardes hai majboor hu beemaar hu behna dushman ka hai pehra
Ab kon mujhe paani tere waste dega sojaao sakeena
Rassi se gala ghut'ta tha har gaam pe tera ay baali sakeena
Shikva na karo lab se ho saabir ki yateema sojaao sakeena
Zindaañ ke andhere se tumhe dar jo lagega dam ghutne lagega
Bas naade ali ka hi wazeefa hai sahara sojaao sakeena
Seene pe padar ke sada sone ki tu aadi sun behna ay meri
Zindaañ me hamesha tujhe rehna hai akela sojaao sakeena
Baba ki judayi me bohot royi hai khvahar shabbir ki dukhtar
Ab tumko naseeb hoga na shabbir ka seena sojaao sakeena
Puchegi khabar teri madeene me jo sugra batlaau use kya
Raheman ye sajjad ka zindaañ me tha noha sojaao sakeena
Raheman Ali Chaudhary(kakoshi)
11
Lashe pe sakeena ke ye bano ka tha noha so jao sakeena
Weeraniye zindaan h or khaak bichona so jao sakeena
Ù„Ø§Ø´Û Ù¾Û Ø³Ú©ÛŒÙ†Û Ú©Û’ ÛŒÛ Ø¨Ø§Ù†ÙˆÚº کا تھا نوØÛ سو جاؤ سکینÛ
ویرانیٔ زندان ÛÛ’ اور خاک بچھونا سو جاؤ سکینÛ
Muddad se yateemi me sitam tum ne uthaye
Allah kisi ko bhi yateemi na dikhaye
Ab shimr na marega tumhe aake tamancha so jao sakeena
مدت سے یتمیی میں ستم تم نے اٹھاۓ
Ø§Ù„Ù„Û Ú©Ø³ÛŒ Ú©Ùˆ ÛŒÛ ÛŒØªÛŒÙ…ÛŒ Ù†Û Ø¯Ú©Ú¾Ø§Û“
اب شمر Ù†Û Ù…Ø§Ø±Û’ گا تمھیں Ø¢Ú©Û’ ØªÙ…Ø§Ù†Ú†Û Ø³Ùˆ جاؤ سکینÛ
Ujdi h meri maang bhi or god bhi ujdi
Bus ye hi nishani h mere paas me beti
Jhula ali asghar ka h or kurta tumhra so jao sakeena
اجڑی ÛÛ’ میری مانگ بھی اور گود بھی اجڑی
بس ÛŒÛ ÛÛŒ نشانی ÛÛ’ میرے پاس میں بیٹی
جھولا علی اصغر کا ÛÛ’ اور کرتا تمھارا سو جاؤ سکینÛ
Ham qaid se ab lot ke jaate hn madeena
Tanha h tumhe laadli zindaan me rehna
Ab koi nhi paas jo de tum ko dilasa so jao sakeena
ÛÙ… قید سے اب لوٹ Ú©Û’ جاتے Ûیں مدینÛ
ØªÙ†ÛØ§ ÛÛ’ تمھیں لاڈلی زندان میں رÛنا
اب کوئ Ù†Ûیں پاس جو دے تم Ú©Ùˆ Ø¯Ù„Ø§Ø³Û Ø³Ùˆ جاؤ سکینÛ
Roti thi bohot yaad jo karti h padar ko
Mot aa gai seh pai na wo dard e jigar ko
Aabid ne kaha ro ke ba ab aayenge baba so jao sakeena
روتی تھی Ø¨ÛØª یاد جو کرتی تھی پدر Ú©Ùˆ
موت Ø¢ گئی Ø³Û Ù¾Ø§Ø¦ Ù†Û ÙˆÛ Ø¯Ø±Ø¯ جگر Ú©Ùˆ
عابد Ù†Û’ Ú©ÛØ§ روکے Ù†Û Ø§Ø¨ آئینگے بابا سو جاؤ سکینÛ
Har waqt labon par h sada jaun madeena
Sughara ko sunau me hui kaise yateema
Poori nhi ho paygi ye dil ki tamanna so jao sakeena
ÛØ± وقت لبوں پر ÛÛ’ صدا جاؤں مدینÛ
صغریٰ Ú©Ùˆ سناؤں میں Ûوئ کیسے یتیمÛ
پوری Ù†Ûیں ÛÙˆ پاۓ Ú¯ÛŒ ÛŒÛ Ø¯Ù„ Ú©ÛŒ تمنا سو جاؤ سکینÛ
Thi qaid muqaddar me na mil pai rihai
Zindaan e sitam me hi use mot h aai
Sone ke liye mil na saka shah ka seena so jao sakeena
تھی قید مقدر میں Ù†Û Ù…Ù„ پائی Ø±ÛØ§Ø¦
زندان٠ستم میں ÛÛŒ اسے موت ÛÛ’ آئ
سونے Ú©Û’ لئے مل Ù†Û Ø³Ú©Ø§ Ø´Ø§Û Ú©Ø§ Ø³ÛŒÙ†Û Ø³Ùˆ جاؤ سکینÛ
ZindaaN me suhail aale eba giryaa kunaaN hn
Mayyat pe sakeena ki ye madar ke bayaaN hn
Muddat se ho jagi hui So jao sakeena so jao sakina
زنداں میں سÛیل آل٠عبا Ú¯Ø±ÛŒÛ Ú©Ù†Ø§Úº Ûیں
میت Ù¾Û Ø³Ú©ÛŒÙ†Û Ú©ÛŒ ÛŒÛ Ù…Ø§Ø¯Ø± Ú©Û’ بیاں Ûیں
مدت سے ÛÙˆ جاگی Ûوئی سو جاؤ Ø³Ú©ÛŒÙ†Û Ø³Ùˆ جاؤ سکینÛ
Suhail wasti
12
Hai raat ki taareeki me sajjad ka nauha
So jao sakina
Kal subha me ab baba ko rona meri bahna
So jao sakina
Rone se sitamgar koi jaag na jaye
Durre na lagaye
Beemaar hu ab aur sitam seh nahi sakta
So jao sakina
Tum jaagti rehti ho to soti nhi phuphiya
Jagti hai teri ma.
Kuch der ko ay khwahar e man maan lo kehna
So jao sakina
Zindaa.n me tmhe Seena e sarwar na milega
Bistar na milega
Kismat me teri likkha hai ab khaak pe sona
So jao sakina
Ashoor se tum raah e pidar dekh rhi ho
Soyi bhi nhi ho
Aabid ne kaha roke na ab aaege baba*
So jao sakina
Ye baat meri maan lo baba ki chaheti
Deta hu mai lori
Majboor hu goodi me tumhe le nahi sakta
So jao sakina
Zakhmi hain lave.n chain se tum so na sakogi
Seena bhi hai zakhmi
Soone se magar thoda suku.n tmko milega
So jao sakina
Zinda.n me ser e sheh jo mila so gayi dukhiya
Mahshar hua barpa
Bole na khateeb aabid e muztar ye dobara*
So jao sakina
Khateeb haider dandupuri ( allahabad)
13
Aabid ne Kahaa Ro ke na Ab Aayenge Baba , So jaao Sakina
Dekha nahi,n jata hai Tumhara Ye Tadapna , So jaao Sakina
Durre tumhe maarega Abhi Shimr,e Sitamgar , chup jaa meri Khhwaahar
Rukhhsaar pe Maarega Tamaache Tumhe Aa kar ,
Aor Chhinega Gaohar
Hangaam,e Safar Aor Abhi Dukh hai Uthana , So jaao sakina
Khaimo,n me Abhi Aag Laeeno,n ne Lagaai , har Soo hai Tabaahi
Maa,n Phuphiyaa,n Bahot Deti Rahi,n Ro Ke Dohaai, Dushman thi Khhudaai
Lut jaayega Kuchh pal me Mohammad Ka Gharaana , So jaao Sakina
is Dasht,e Biyaabaan me Apna na hai koi , Aor Raat hai Kaali
Zainab ne Kahaa Aao meri God me Beti , Dukhiyaari Phuphi ki
Ab hoga Mayassar na Kabhi Baba ka Seena, So jaao Sakina
Jangal hai Biyaabaan Qayaamat ka samaa,n hai. , Har Simt Dhuwaa,n hai
Kurte me lagi Aag Lahu Ab bhi Rawaa,n Hai , Beti tu Kahaa,n hai
Lillaah Chali Aao Shahe Binte Madeena ,So jaao Sakina
Abbas ne Paani ke Liye Shaane Kataaye ,Waapas Na Wo Aaye
Dariya ki Taraai pe hai,n wo Khhoo,n me Nahaaye , Hai,n Sar ko Kataaye
Hoyegi Mulaaqaat Na Ab Un se Dubaara , So Jaao Sakina
Us Waqt Ka Ab Haal Bayaa,n Kaise Ho *Kausar* , Ba Haalat,e Muztar
Ik Nannhi si Mayyat ko Kahaa Haatho,n Pe Le Kar , Aabid Ne Ye Ro kar
Ab Tera Yahi Ghar hai Watan hoga na Jana , So Jaao Sakina
Kausar Sitapuri
14
زینب Ú©Û’ لبوں پر ÛŒÛ ØªÚ¾Ø§ زندان میں نوØÛ سو جاؤ Ø³Ú©ÛŒÙ†ÛØŒ
آئینگے Ù†Ûیں لوٹ Ú©Û’ اب آپکے بابا سو جاؤ سکینÛÛ”
ماریگا تمÛیں شمر لعیں Ø¢Ú©Û’ تماچے دیکھوںگی میں کیسے،
بس اس کے سبب جلد سے سو
جا میری دکھیا سو جاؤ سکینÛÛ”
میں جانتی ÛÙˆÚº نیند Ù†Û Ø¢Ø¦Û’ Ú¯ÛŒ ÛŒÛØ§Úº پر ÛÛ’ خاک کا بستر ØŒ
پر اب Ù†Ûیں مل سکتا تمÛیں بابا کا Ø³ÛŒÙ†Û Ø³Ùˆ جاؤ سکینÛÛ”
دیکھا Ú©Û’ Ù¾Ú¾Ù¾Ú¾ÛŒ جان Ú©ÛŒ لوری Ú©Ùˆ بھی سن کر سوئ Ù†Ûیں Ø®ÙˆØ§ÛØ±ØŒ
عابد Ù†Û’ Ú©ÛØ§ رو Ú©Û’ Ù†Û Ø§Ø¨ آئینگے بابا سو جاؤ سکینÛÛ”
تم بھول گئی سب Ú©Ùˆ مگر بھولی Ù†Ûیں ÛÙˆ بس نام پدر کو،
اس بات Ú©Ùˆ بھی بھول Ú©Û’ سو جاؤ خدارا سو جاؤ سکینÛÛ”
Ù…Ù†Û Ú†ÙˆÙ… Ú©Û’ امّاں Ù†Û’ Ú©ÛØ§ گود میں آجا اب آئینگے بابا،
رونا ÛÛ’ سنا آپ Ú©Û’ بابا Ù†Û’ ØªÙ…ÛØ§Ø±Ø§ سو جاؤ سکینÛÛ”
عبّاس چچا Ø¢Ú©Û’ پلا دے تجھے پانی کب سے ÛÛ’ تو پیاسی،
اب ان سے بھی دیکھا Ù†Ûیں جاتا ÛŒÛ ØªÚ‘Ù¾Ù†Ø§ سو جاؤ سکینÛÛ”
سب سن Ú©Û’ Ø³Ú©ÛŒÙ†Û Ù†Û’ Ú©ÛØ§ سوؤ Ú¯ÛŒ اب میں مر جاؤں Ú¯ÛŒ جب میں،
پھر تو Ù†Û Ú©Ø³ÛŒ Ú©Ùˆ بھی ÛŒÛ Ú©Ûنا ÛÛŒ پڑیگا سو جاؤ سکینÛÛ”
"مختار" ÛŒÛ ØµØ¯Ù…Û Ø¬Ùˆ Ø³Ú©ÛŒÙ†Û Ú©Ùˆ Ûوا تھا بابا سے بچھڑنا،
ایسا Ú©Û Ú©ÙˆØ¦ÛŒ آج بھی تربت Ù¾Û ÛÙˆ Ú©ÛØªØ§ سو جاؤ سکینÛÛ”
Mukhtar Ali A Malpara.
";}