Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN.

( By Chehlum-e-Husain a.s. Arbaeen

in CHEHLUM )
  • Name:
  • Section:
    CHEHLUM
  • Number of pages:
  • Date Added:
    19/10/2020
Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN.

BAZM-E-SHOARA
Tarhi misra :- Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN.

Misra by: NAUSHAD BIJANI.
 
1-Paikar-jalalpuri
2-Naushad Bijani
3-Bober Nawab, Madrasi
4-Jafar Ali Dehradun
5-Sajjad Haider Naqvi
6-Imraan Sandhawali
 
 
 
1-Paikar-jalalpuri
کیا بتاوں آپ کو کیسے ہوا ہے اربعیں 
زینبِ کبریٰ کے غم کا ترجمہ ہے اربعیں 
 
غربتِ سرور رقم پیکر یہ ہے تاریخ میں 
اک برس کے بعد سید کا ہوا ہے اربعیں
 
 
 
2
YuN to har insaan ka hota raha hai arbaeeN.
HaaN magar shabbeer ka sab se juda hai arbaeeN.
 
HaajioN se dugne hai zawwaar chhote shehr me.
Aysa lagta hai ki jayse mojeza hai arbaeeN.
 
Ahele keeN hayraan hai karbal me majma dekh kar.
Kasre baatil ke liye ik zalzala hai arbaeeN.
 
Ho na paaya or nahi hoga kisi ka hashr tak.
Jis tarah shaahe huda ka ho raha hai arbaeeN.
 
Kon hai ibne yazeed or kon hai sheh ka ghulaam.
Yeh jahaaN vaalo ko ab deta pata hai arbaeeN
 
Kehti hai Naushad yeh har saal zainab aap se.
Ay azaadaro chalo karbobala, hai arbaeeN.
Naushad Bijani
 
Nauha
 
Momino yaade shahe karbobala hai arbaeeN.
Apna seena peet ke karlo buka, hai arbaeeN.
 
Aarzu e dukhtare shere khuda hai arbaeeN.
Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN.
 
Aaye hai ahle haram zindaN se chhut kar dasht me.
Aale Ahmad ke liye yaume aza hai arbaeeN.
 
Qabre sarwar se lipat kar karti hai Zainab yeh bayn.
Teen din ke pyaase mere bhaai ka hai arbaeeN.
 
Umr bhar tadpega ro ro kar mera beemar imaam.
HaaN ghame zainul aba ki ibteda hai arbaeeN.
 
Jo kare sheh ki ziyaarat ki dua Naushaad aaj.
BilyaqeeN hogi qubool uski dua, hai arbaeeN
Naushad Bijani
 
 
 
 
3
Karbala Walon ka Zinda Moujiza hai Arayeen
Zainabe Kubra ke Gham Ka Tarjuma hai Arbayeen
 
Gaur se Dekho Samaj me Aayega Ahle Aza
Dar Haeeqat Karbala Ka Marsiya hai Arbayeen
 
Wo Jo Guzre hain Sitam Saare Nabi ki Aal Par*
Karbala se Shaam Tak Ka Saaneha hai Arbayeen
 
Kya Bataayen Isqadar Jo Tukde Tukde Hogaya
Wo Ghamo Aalaam ka Ek Aayina hai Arbayeen
 
Sahke Har Ranjo Alam Aaye hain Phir Se Karbala
Beebiyon ke Har Museebat ki Sadaa hai Arbayeen
 
Khud ko Naaqe se Giraakar Gutniyon ke Bal Chalee
Qabr Par Bhayi  Ki Zainab ki Buka hai Arbayeen
 
Dafn Karne Sar Shaheedon ke Jo Abid Aaye hain
Sar ko Milvaane ka Tan se Marhala hai Arbayeen
 
Beebiyon Ke Naala O Shevan se Phat ta hai Jigar
Kya Kahen Kistarha Un Sab Ne Kiya hai Arbayeen
 
Aate Rahna Bhayi ke Rowze Pe Zaayer Har Baras
Zainabe Kubra ki Khahish Aur Dua hai Arbayeen
 
Rokne Waalon Ghame Sha’h ko Bus Itna Jaanlo
Ruk Na Paaye Hashr Tak Wo Silsila hai Arbayeen
 
Zainabo Sajjad ki Kul Mehnaton se Aai Bober
Aaj Tak Saare Jahaa'n me Ho Raha hai Arbayeen
Bober Nawab, Madrasi
 
 
 
 
4
Sogwaro'n chehlume Shahe Huda hai Arbaee'n
Her Zuba'n pe wa Hussaina ki sada hai Arbaee'n
                   
Bhai ka laasha tha uriya'n  kis tarah Deti kafan
Chhin gayi sar se rida majboor thi kitni bahan
Zainabe Kubra ke gham ka tarjuma hai Arbaee'n
                     
Jisse thi zainab ko dharas shah ke dil ko qaraar
Kaat daale Uske bazu ashkiya ne ek baar 
Un kate shaano ka ab bhi dabdaba hai Arbaee'n
                    
Lag rahe hain ye yazeedi Sahme sahme aaj bhi
Dekh kar zaayer carodo karbala me aaj bhi 
Shah ki fatah ka ela'n kar raha hai Arbaee'n
                    
Qasime Noshah ka paamal laasha Haaye Haaye
Barchhi ka phal seene me Akbar ke tuta Haaye Haaye
Her azadaare Hussaini ghamzada hai Arbaee'n
                      
Bhool baithe the sitamgar Shah ki tauqeer ko
Teer maara Hurmula ne Asghare besheer ko
Bezuba'n ka aaj bhi Matam bapa hai Arbaee'n
                      
Sajde me jab kat gaya sar hazrate Shabbir ka
Haal tha behaal us dam Zainabe Dilgeer ka
Neze pe aake wo sar Goya Huwa hai Arbaee'n
                    
Khak per bikhre the laashe aur bala ki dhoop thi
Aabide muztar ke Seene me tadap thi hook thi
Kis tarah Zainab ne Ye sadma saha hai Arbaee'n
                     
Baijazaai imamat dafn karne ke liye
Aaye hain Zainul Aba Baba pe rone ke liye
Ro raha Dil Chehlume aale aba hai Arbaee'n
                     
Shahe dee'n ko kar rahe hain yaad saare matami
Pursa de ke kar rahe fariyad saare maatami
Lab pe Jafar ke bhi shah ka marsiya hai Arbaee'n
Jafar Ali Dehradun
 
 
 
 
5
Ro raha hai sara aalam Shaha ka hai Arbaeen
Be watan ka aaj Haye ho raha hai Arbaeen
               
Kar nahi paae haram matam Shahe Majloom ka
Momeeno'n peeto sar o seena hua hai Arbaeen
             
Farsh majlis ka bicha kar shaam ke zindaan mai
Saniye Zehra ne bhai ka kiya hai Arbaeen
                 
Gham se hai labrez seena Sayyade Sajjad ka
Shajjehatt mai shor o matam ki sada hai Arbaeen
              
Dhoop mai lasha pada tha sayyad e Abrar ka
Zainab e Kubra ky gham ka tarjuma hai Arbaeen
              
Kis kadar bechain hain Firdous mai binte Nabi
Fatima Zehra ke zakhmo ki dawa hai Arbaeen
              
Jo hue qurbaan dee'n par karbala ke dasht mai
Un ki hi Qurbaaniyo'n ka marsiya hai Arbaeen
               
Dekh lo Sajjad ja kar karbala mai aaj bhi
Saari duniya mai bahattar ka juda hai Arbaeen
Sajjad Haider Naqvi
 
 
 
 
6
Fatta hai gham se kaleja ae khuda hai arbaeen 
Bekso mazloom ka ye tazkera hai arbaeen 
 
Ho gaye jo karbala ke dast me haq par fida 
Saare aalam me unhee ka ab bapaa hai arbaeen 
Imraan Sandhawali

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN. ( By Chehlum-e-Husain a.s. Arbaeen in CHEHLUM )

19/10/2020

Zainabe kubra ke gham ka tarjuma hai arbaeeN.
VIEW WRITE UP