Misra by: NAUSHAD BIJANI.
1-Janab Chaman Rahmati Alipuri
2-Janab Baber Nawab Madrasi
3-Janab Imraan Sandhawali
4-Janab Navshad Bijani
5-Janab Aaftab Husain
6-Janab Gaazi Abbas sb
1. Janab Chaman Rahmati Alipuri
ZEHRA ki Zaba'n per hai Nouha
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai,,
Hai Ahle Jina may Hashr Bapa
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai..
Majlis hai Bapa Jannat may Chaman
Lab per hai REZA ke haaye Bahen,,
Karte hain Malak mil kar Girya
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai
Sunlo yeh Fugha'n ay Ahle Aza
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai..
Shehzaadi-e-Qhum ka hai Nouha,,
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai..
Sughrah ki Tarha Mai houn Tanha,
Akber ki Tarha Tum ho Bhaiyya,,
Marjaayegi Bin Tere Dukhiyya,,
Shehzaadi-e-Qhum ka Mataam hai..
2. Janab Baber Nawab Madrasi
Turbat me Tadapti hain Zahra - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Sar Peeto Azadaaro Apna - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Ranjeeda Nabi O Hydar hain - Poti ki Museebat ko Sunkar
Karte hain Malak Milkar Girya - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Hote hi Shahaadat Bhayi ki – Ek Kohe Alam Dil Par Toota
Is Gham me hi Chordi Ye Dunya - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
In me bhi Jhalak hai Zainab ki – Mar Mitne Ka Bhayi Par Jazba
Yaad Aaye Na Kieun Sha’h Ka Lasha – Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Zinda Rahin Dunya me Jab Tak – Behad Thi Mohabbat Bhayi Se
Marke bhi Na Toota Ye Rishta - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Sab Chaahne Waale Rote hain – Masooma ki Mayyat Par Aakar
Ek Hashr Na Kieunkar Ho Barpa - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Magmoom Imame Raza Honge –Turbat me Bahan ki Shahaadat Se
*Den Hum Unko Khaahar ka Pursa - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Mayyat Ko Phupee ki bhi Apne - Dafnaye hi Honge imame Taqi
Rokar Wo Pade Honge Nowha - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
Bechain Na Kieun Ho Marqad me - Is Gham Se Bober Roohe Kazim
Kieun Hoga Na Unko bhi Sadma - Shahzadi e Qum ka Maatam hai
3. Janab Imraan Sandhawali
Jibreel ke lab par hai nauha,, Shehzaadi e qum ka maatam hai
Karte haiN malak milkar girya,, Shehzaadi e qum ka maatam hai
Kaisi ye qayamat aai hai,, baichen lahad me haiN zahra
Paya hai ye dil ne phir sadma,, Shehzaadi e qum ka maatam hai
4. Janab Navshad Bijani
Hai dono jahaN me gham barpa Masooma e Qum ka maatam hai.
Harsu hai sadaa e waawayla Masooma e Qum ka maatam hai.
Firdaus me roti hai Zehra jannat me udaasi chhaayi hai.
Karte hai malak mil ka girya Masooma e Qum ka maatam hai.
5. Janab Aaftab Husain
Hai kon o Maka,n me Aaho buka masooma e qum ka maatam hai
Zahra Ko chalo dene pursa masooma e qum ka maatam hai
Hamrah Azadaro,n ke Raza her dasta e maatam me aa ke
Karte hain malak mil ke girya masooma e qum ka maatam hai
6. Janab Gaazi Abbas sb
Jab Zehra padhti hai nauha' Shehzadi e Qum ka maatam hai
kartey hai malak milkar girya Shehzadi e Qum ka maatam hai
Jannat mey bichaakar farsh e aza Rotey hai Nabi aur aal e Nabi
Sarr peeto aaj aye Ahley Aza Shehzadi e Qum ka maatam hai