BAZM-E-SHOARA
Tarhi misra :- baraae kalaam
Dushman hai faatema ka khuda ke karam se doo
Misra by: NAUSHAD BIJANI.
1-Bober Nawab, Madrasi
2-Rizwan Karbalayi
3-Jafar Ali Dehradunl
4-Naushad Bijani
5-Imraan Sandhawali
6-Tofail Maroofi
7-Sajjad Haider Naqvi
8-Gaazi Abbas Zainabi
9-Orooj Gopal Puri
1
Jo bhi Rahega Majliso Maatam Alam Se Door
Kardega Khud Khuda Usey Apni Iram Se Door
Ranjo Alam me Honge Na Hargiz Wo Mubtela
Jo bhi Rahenge Jhoot Se Jhooti Khasam Se Door
Uski Ye Shakl Se hi Pata Chalta hai Hamey
Dushman hai Fatima ka Khuda ke Karam Se Door
Ghar me Na Tum Bichaavoge Farshe Aza Agar
Har Haal me Batool ke Honge Khadam Se Door
Abid Ko Taazyaane Lagata Tha Har Ghadi
Rahne Diya Na Unko Shaqi Ne Sitam Se Door
Karti hai Yaad Ab bhi Sakina Hussain ko
Beti Ka hai Mazaar Pidar Ke Haram Se Door
Karte Nahin Jo Khidmate Maa Baap Zeest me
Hote hain Wo Khuda ke bhi Rahmo Karam Se Door
Aansu Ghame Hussain Me Jo bhi Bahaayega
Hoga Wo Zindagi me Har Ek Ranjo Gham Se Door
Kidaar Apna Theek Nahin hai Isee Liye
Moula Hamare Rahte hain Aksar hi Humse Door
Padta Nahin Namaz Jo Sheeya Hussain Ka
Hota hai Bilyaqeen Wo Shaahe Umam Se Door
Likta hai Manqabat Wo Sadaa Ahlebait Ki
Maabood Tu Na Karna Bober Ko Khalam Se Door
Bober Nawab, Madrasi
2
ZAMZAM KE AASPAAS HO SHEH KE HARAM SE DOOR ?
QABA PUKARA HAJIYO HO JAO HAM SE DOOR
KARBOBALA KE BUGZ KI KAISI SAZA HAI YE
GHAR ME KHUDA KE MAR KE BHI HONGE IRAM SE DOOR
HAIWANIYAT KI SAARE HADE PAAR KAR GYA
INSAN JO BHI HO GYA SHAAHE UMAM SE DOOR
ASHQE GAME HUSAIN KE SADQE ME DOSTO
ALLAH MUJKO RAKHTA HAI DUNIYA KE GAM SE DOOR
ROKA THA SHEH KA RAASTA KYA KAM HE YE KHATA
HUR HO GYA YE SOCH KE AHLE SITAM SE DOOR
ABBAS KE JALAAL SE WAQIF HAI ISLIYE
DUSHMAN TAMAAM REHTE HAIN SHEH KE HARAM SE DOOR
USKA BHI HATH KAATNE WALO ME HE SHUMAAR
REHTA HAI JO BHI SHAKSH JARI KE ALAM SE DOOR
SULHE HASAN NE LE LIYA UN SAB SE INTKAAM
AHMAD KO KAR DIYA THA JINHONE QALAM SE DOOR
ROOMAAL SAR PE BANDH KE KEHNE LAGE HUSAIN
AB HUR KO KON RAKHKHEGA JAAHO HASHAM SE DOOR
TUM LAKH USKO SAR PE CHADHATE RAHO MAGAR
DUSHMAN HAI FATEMA (S.A)KA KHUDA KE QARAM SE DOOR
KAR DEGA FAT KE RAAKH AKIDAT KA GULSITAN
RIZWAN REHNA FIRQA PARASTI KE BAM SE DOOR
Rizwan Karbalayi
3
Wo badnaseeb hai jo hai Shahe umam se Door
Ishq-e-Ali se Door hai sarwar ke gham se Door
Thi maarefat Hussain a.s. ki Madar ki isliye
Hur karbala me ho gaya Ahle Sitam se Door
Qabre Nabi ke paas dafan hai to kya huwa
Dushman hai Faatema a.s. ka khuda ke Karam se Door
Yaari me Israel ke badnaam ho gaye
Aale Saood kya Mila hokar Ajam se Door
Shak karke laanati hai Nabuwat pe Aaj tak
Ae Sheikh rahna apne Guru ke waham se Door
Majlis me aa ke deti hain Zehra a.s. dua yahi
YA Rab tu azadaar ko rakh ranjo gham se Door
Jazba Na unme hoga wafa ka Ae Dosto'n
Rakhte hain apne bachcho'n ko jo bhi Alam se Door
Parda padha huwa hai gunaho'n ka hamare
Warna Imam Kab huwe ghaibat me Ham se Door
Manzil Na pa sakega kabhi bhi nijaat ki
Jo ho gaya Imam ke naqshe qadam se Door
Natiq ke sath mai bhi Najaf karbala chaloo'n
Jafar ko kaza aaye na maula Haram se Door
Jafar Ali Dehradunl
4
Dushman rahe nabi se yuN imraaN ke dam se door.
ik zinda jayse hota hai mulke adam se door.
Kaafir ali ke baap ko kehte hai aaj woh.
Ke jin ke baap reh nahi paaye sanam se door.
Hota kya hashr fauj ka jaate agar qareeb.
Asghar abhi to lete hai fauje sitam se door.
Paaye guhar jo hoke ghame sheh me ghotazan.
Ghawwas ayse kyu rahe is behre gham se door.
Mehshar me uske waaste kuchh bhi nahi bacha.
Dushman hai fatema ke khuda ke karam se door.
Azmat khuda ke ghar ki bachaane ke waaste.
Haj chhot ke chale gaye sarwar haram se door
Zehra ko muh dikhaayenge kayse woh hashr me.
Jo ho gaye hai seerate shaahe umam se door.
Naushad dushmano se na bach paate ham kabhi
ik pal imaame waqt jo ho jaate ham se door.
Naushad Bijani
5
Maula raha jo koi bhi tere haram se door
Usko rakha khuda ne bhi apne karam se door
Ham ne bichha ke farshe azaa ye bata diya
Honge na ham kabhi bhi khuda ki iram se
Imraan Sandhawali
6
Rahta hai har tarah ke wo ranjo alam se door
Shaitan ke jo rahta hai naqshe qadam se door
Rab ki raza ke baad razaye batool hai
Dushman hai Fatima ka khuda ke Karam se door
Tofail Maroofi
7
Rehta hai jo bhi fard Nabi ke khadam se door
Mehshar me bhi rahega wo baag e Iram se door
Haq baat bil yaqee'n wo karega zubaa'n se
Rakhta hai jo *Haraam* ko apne shikam se door
Ye ek chacha bhatiji ki Ulfat ka hai Asar
Mashq e Sakina ho nahi sakti Alam se door
Tum par Habeeb ibne mazahir salaam ho
Marqad bhi ho na paayi hai Sheh ke Haram se door
Quraan mai ye sura e Kausar ne keh diya
Dushman hai Fatima ka khuda ke karam se door
Parwardegaar Saqiye Kausar ka waasta
Sarwar ke Maatami Rahe'n har ek sitam se door
Zahra ke Dushmano se Na humko hai Dosti
Rehna hamesha Jaan le Mufti Tu ham se door
Sajjad Shubh o shaam ye khailq se hai dua
Rakhna Tu Momino'n ko sada ranj o gham se door
Sajjad Haider Naqvi
8
Dunya mey jo bhi rehtey hai sarwar ke Ghum se door
Marney ke baad hongey wo baagh e Iram se door
Khud hi banaaliye hai wo dozakh ka raasta
Jo Karbala mey hogaye Shaah e Umam se door
Khaibar mey baba jaan ko Haqq se milaa nahi
Betey hai bass iseeliye ab tak Alam se door
Wo khaum phir urooj pey aayegi na kabhi
Jisko Hasan ney Kardiya kaagaz Qalam se door
Karta hai jo bhi Fatema Zehra ka ehteraam
Hojaayega wo khud darr e ahley sitam se door
Kehtey hai faqr se ke gadaa e Ali hai hum
Phir bhi Ali ke rehtey hai naqsh e Khadam se door
Dil se pukaaro aaj hi aajaayengey imam
Hum unsey door rehtey hai naa ke wo Hum se door
Pehlu mey mustafa ke wo soyaa hi kyu na ho
Dushman hai fatema ka khuda ke karam se door
"Gaazi" imam e asr se milna hai gar tumhey
Rakkho haraam luqmey ko apney Shikam se door
Gaazi Abbas Zainabi
9
Kaise jiye'nge matami rahker alam se door
Mer jayenge rahenge jo serwer ke gham se door
Sabko gale lagaate hain kerte hain sabko pyaar
Jo dushmane ali hain wo rahte hain hum se door
Kaaghaz qalam jinhon ne nabi ko nahin diya
Unhi ke warisaan hain kaaghaz qalam se door
Orooj Gopal Puri