( By 1. Khadim Hussain. 2. Kaifi Kalkatwi. 3. Imraan Sandhawali. 4. "Gaazi Abbas Zainabi" 5. Ashfaq Hussain 6. Qum Kalkattavi 7. Sajjad Naqvi 8. Masoom Najaf Maroofi 9. Syed Javed Akhtar 10. Naushad Bijani 11. Jafar Ali Dehradun
in )
Bazme shoara.
Tarhi misra.by Naushad Bijani
Jaha'n mei'n chhaya hai matam imam e Jafar ka
1. Khadim Hussain.
2. Kaifi Kalkatwi.
3. Imraan Sandhawali.
4. "Gaazi Abbas Zainabi"
5. Ashfaq Hussain
6. Qum Kalkattavi
7. Sajjad Naqvi
8. Masoom Najaf Maroofi
9. Syed Javed Akhtar
10. Naushad Bijani
11. Jafar Ali Dehradun
1
SITAARE ARSH KE ROKAR YE KEH RAHE BAAHAM,
JAHAÑ MAIN CHAAYA HAI MAATAM IMAM-E-JAAFAR KA,
ISI LIYE HI HAMARA YE DIL BHI ROTA HAIÑ,
DILOÑ MAIN AAJ BHI HAI GHUM IMAM-E-JAAFAR KA...
Khadim Hussain.
2
Sitamgaro'n ne kiya hai sitam hi kuch aesa
Kabhi na hoga ye gham kam imam e Jafar ka
Falak pe Fatema kartei'n hai'n girya o zaari
Jaha'n mei'n chhaya hai matam imam e Jafar ka
Kaifi Kalkatwi.
3
Hamare dil me basaa gham Imame Jafar ka
Manaye soag ye aalam Imame Jafar ka
Biccha hai farsh azaa ka Rasool roote haiN
JahaaN me chaaya hai matam Imame Jafar ka
Imraan Sandhawali
4
Zabaa'n pey wird hai har damm imam e jaafar ka
Basaa hai dil mey merey ghum imam e jaafar ka
Farishtey padhtey hai nauha imam haaye imam
Falak pey hota hai maatam imam e jaafar ka
Jalaaya aapka ghar bhi bamisl e bayt e Ali
Lahoo rulaata hai ye ghum imam e jaafar ka
Khamoosh sehtey rahey zulm saarey aadaa ke
Tha kaisa sabr ka aalam imam e jaafar ka
Lagaaya pusht pey maula ke taaziyaana layee'n
Tha kaisa dard ka aalam imam e jaafar ka
Uthaakey maula ki taaboot detey hai pursa
Janaab e zehra tumhey hum imam e jaafar ka
Sarr apney peeto azadaro'n aur karo girya
Jahaa'n mey chaaya hai maatam imam e jaafar ka
Hai ghum mey aaj bhi Zehra isiiliye "Gaazi"
Bukaa karo na kabhi kamm imam e jaafar ka
"Gaazi Abbas Zainabi"
5
Libaaz kaale hai momin ke ghum zada chehre.
Ke jaise aya muhharam imam e Jafar ka.
Siyaha posh zameen asmaan lagte hai.
Jahan mei chaaya hai matam imam e Jafar ka.
Ashfaq Hussain
6
Dua e Fatema Zahra ka mujiza hai ye
Dilo'n se hoga na kam gham imam e Jafar ka.
Ba misle mahe muharram zameen taba falak.
Jaha'n me chaya hai matam imam e Jafar ka.
Qum Kalkattavi
7
Rahega gham sada paiham Imam e Jafar ka
Na hoga gham ye kabhi kam Imam e Jafar ka
Imam e waqt ko pursa do ae Azaadaaro
Jaha'n mai chhaya hai maatam Imam e jafar ka
Sajjad Naqvi
8
Khushi ka gham ka ho mausam Imame Jafar ka
DiloN me ishq hai hardam Imame Jafar ka
JahaN jahaN bhi haiN shiyaane Haidare Karrar
Sabhi ke ghar me hai parcham Imame Jafar ka
Sada ye dete haiN jibreel arsh se rokar
Bhula na pawoNga wah gham Imame Jafar ka
Hamari aankh se nikla huwa har ik moti
Bane ga zakhm ka marham Imame Jafar ka
GhamoN me dooba hai kunba tamam nabiyoN ka
JahaN me chhaya hai matam Imame Jafar ka
Wah aake lega har ek khoon ka hesaabo ketaab
"NAJAF" hai ghaib me zaigham Imame Jafar ka
Masoom Najaf Maroofi
9
जहां में छाया है मातम इमामे जाफर का
मलक उठाए है परचम इमामे जाफर का
Jaha,n me chaya hai maatam imame jaafar ka
Malak uthaaye hai parcham imame jaafar ka
ये किस तरह का ज़हर दे दिया लईनो ने
के जिससे जिस्म हुआ ज़म इमामे जाफर का
Ye kis trah ka zehar de diya laino ne
K jisse jism hua zam imame jaafar ka
हुआ ना देर तलक गश से फाक़ा काजिम को
निकल गया है जो अब दम इमामे जाफर का
Hua na der talak gash se faaqa qaazim ko
Nikal gya hai jo ab dam imame jaafar ka
हरेक चाहने वाला है अश्क बार बोहोत
जो देखा जिस्म है बे दम इमामे जाफर का
Harek chahne vala hai ashkbaar bhot
Jo dekha jism hai bedam imame jaafar ka
ये रो के कहते हैं मूसा ना जाइए बाबा
उठा जनाज़ा जो बाहम इमामे जाफर का
Ye ro ke kehte hai musaa na jaaiye baba
Utha janaaza jo baham imame jaafar ka
फुपी को दादी को करबल को याद कर कर के
हुआ है लाशा भी पुरनम इमामे जाफर का
Phupi ko dadi ko karbal ko yaad kar kar k
Hua hai lasha bhi purnam imame jaafar ka
लेहद से आने लगी वा मुसीबता की सदा
जो उतरा जिस्मे मुजस्सम इमामे जाफर का
Lehad se aane lgi va musibta ki sda
Jo utra jisme mujssam imame jaafar ka
तड़पती आई है रूहे बतूल मक़तल से
हुआ जो कब्र से संगम इमामे जाफर का
Tadapti aayi hai ruhe batool maqtal se
Hua jo qabr se sangam imame jaafar ka
जो डूबे रहते है गम में हुसैन के जावेद
करम उन्हीं पा है पैहम इमामे जाफर का
Jo dube rehte hai gam mai hussain k javed
Karam unhi pa hai paiham imame jaafar ka
Syed Javed Akhtar
10
Lahoo rulaati hai sab jo shahaadate ja'far.
Hai sogwaar yeh aalam imame ja'far ka.
Rulaaya ahle haram ko sitam ne fir Naushad
JahaN me chhaaya hai maatam imame ja'far ka.
Naushad Bijani
11
Zuba'n per Naam hai hardam Imame Jafar (a.s.) ka
Lahu rulata hai per gham Imame Jafar (a.s.) ka
Zehar Mansoor ne Hye hye dilaya Sadiq ko
Jaha'n me chhaya hai maatam Imame Jafar (a.s.) ka
Jafar Ali Dehradun