Rahe Daste Karam Hum Par Hamesha Binte Kazim ka

( By 1. Bober Nawab, Madrasi 2. Imraan Sandhawali 3. Saiyad Javed Ali Zaidi 4. ASHFAQUE HUSSAIN ASHFAQUE. 5. Mustafa Moosvi 6. Naushad Bijani 7. Jafar Ali Dehradun

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    23/06/2021
Rahe Daste Karam Hum Par Hamesha Binte Kazim ka

Bazme Shoara
Tarhi misra by Naushad Bijani
Rahe Daste Karam Hum Par Hamesha Binte Kazim ka.


1. Bober Nawab, Madrasi
2. Imraan Sandhawali
3. Saiyad Javed Ali Zaidi
4. ASHFAQUE HUSSAIN ASHFAQUE.
5. Mustafa Moosvi
6. Naushad Bijani
7. Jafar Ali Dehradun



Bohot hi hai Badha Dunya me Rutba Binte Kazim ka
Samajlo Momino Ab bhi hai Charcha Binte Kazim ka

Bahan Shaahe Khurasan ki hai ye Poti hai Jafar ki
Bohot hai Motabar Jug me Gharana Binte Kazim ka

Agarche Sidqe Dil Se Koyi bhi Jaakar Dua Maange
Yaqeenan Usko Mil jayega Sadqa Binte Kazim ka

Hai Behad Shaahzadi ko Mohabbat Apne Bhayi Se
Na Kieun Ho Jaan Se bhi Badke Bhayya Binte Kazim ka

Pata Sab ko Ye Chalta hai Bahan Bhayi ki Ulfat Se
Hai Bilkul Saaniye Zahra Sa Jazba Binte Kazim ka

Labon Par hai Dua Sab Momino ke Aai Mere Maalik
Rahe Daste Karam Hum Par Hamesha Binte Kazim ka

Yaqeenan Pal hi Pal me Kieun Na Khismat Uski Badlegi
Jo Koyi Dekhlega Jaake Rowza Binte Kazim ka

Bober Bazme Masarrat hai Tu Karle Jhoomkar Midhat
Milega Tujko Beshak Dar Se Tohfa Binte Kazim ka
Bober Nawab, Madrasi





Hamari bazm me hota hai charcha binte kazim ka
Shabaahat me hai zainab ka saraapa binte kazim ka

Dua shamo sahar rehti hai bas ye apne honton par
Khudaya hamko dikhlade tu rawza binte kazim ka
Imraan Sandhawali






Rahe daste karam hum par hmesha binte kaazim ka

अगर हो जाये क़िस्मत को इशारा बिन्ते काज़िम का
तो देख आऊंगा जाकर के मे रोज़ा बिन्ते काज़िम का

Agar ho jaaye qismat ko ishara binte kaazim ka
To dekh aunga jakar k me roza binte kaazim ka

मुझे  उम्मीद  है   रोज़े   पा  वो  मुझको    बुलाएंगी
मगर जाने मिलेगा कब ये तोहफा बिन्ते काज़िम का

Mujhe ummeed hai roze pa vo mujhko bulaayengi
Magar jaane milega kab ye tohfa binte kaazim ka

मुराद हर एक पुरी कर रहा है खुद खुदा उसकी
दिया  जिसने भी उसको है वसीला बिन्ते काज़िम का

Muraad har ek puri kar rha hai khud khuda uski
Diya jisne bhi usko hai vaseela binte kaazim ka

हैं ये ज़ेहरा सिफ़त ओर फ़ातिमा है नाम इनका भी
मगर मासुमा ऐ क़ुम से है शोहरा बिन्ते काज़िम का

Hai,n ye zehra sifat Or fatima hai naam inka bhi
Magar maasuma ae qum se hai shohra binte kazim  Ka

घिरे हर सम्त से शिया अली के ऐ मेरे मालिक
रहे दस्ते करम हम पर हमेशा बिन्ते काज़िम का

Ghire bar sam,nt se shiya Ali k ae mere maalik
Rahe daste karm hum par bmesha binte kaazim ka

अगरचे क़ुम मे ज़ेहरा की ज़ियारत को चले जाओ
मिलेगा अज्र दोहरा है ये वादा बिन्ते काज़िम का

Agrche qum mai zehra ki ziyarat ko chle jaao
Milega ajr dohra hai ye vada binte kaazim ka

मे ऐसी बेटी पा सो जान से कुर्बान हो जाऊ
यही बे साख्ता कहता है बाबा बिन्ते काजिम का

Me aesi beti pa so jaan  se qurbaan ho jaao
Yahi be sakhta kehta hai baba binte kaazim ka

जहाँ मे शोहरा है जावेद दो बहनो की उलफत का
हैं एक हमशीरा ऐ शब्बीर दुजा बिन्ते काज़िम का 

Jaha,n me shohara hai javed do behno ki ulfat ka
Hai ek humsheera ae shabbeer duja binte kaazim ka
Saiyad Javed Ali Zaidi





KIYA HAI NOK E KHAMA NE ,WAZIFA BINTE KAZIM KA, 
QALAM QIRTAAS PA LIKH KHE QASIDA BINTE KAZIM KA.

MITAA SAKTA NAHI TOOFAN E ZULMAT BIL YAQEEN HUMKO,
PAYE NUSRAT DIYA RAB NE SAFEENA BINTE KAZIM KA.

SAWALI MUTMAEEN KEHTE HUE PALTE MADINE SE,
IMAMAT TAK PAHAUCH NE KA HAI ZEENA BINTE KAZIM KA.

YAQEENAN JAAFRI MILLAT KI HAR AURAT PÉ LAAZIM HAI,
KE WO HAR DAUR ME SEEKHE QAREENA BINTE KAZIM KA.

ATA ,AULAAD ,ROZI ZAR ,MAKA’N HO SHART HAI LEKIN,
TALAB MAULA RAZA SE HO WASEELA BINTE KAZIM KA.

DUA’EN HAI MERI AALE MUHAMMAD KI KAREEMA SE, 
RAHE DASTEY KARAM HUM PAR HAMESHA BINTE KAZIM KA.

ZAMANE KO AGAR MALOOM HOTA NAAM BIBI KA,
JALANE DAR CHALA AATA SAQIFA BINTE KAZIM KA.

NICHHAWAR BHAI PAR HOKAR DIYA PAIGHAM DUNYA KO,
HAI AKS E SAAN’YE ZAHRA SARAPA BINTE KAZIM KA. 

ZIYARAT INKI KARLE TOH MILE ZAWWAR KO JANNAT, 
IMAMAT KE TASADOOQ SE HAI TOHFA BINTE KAZIM KA.

HAR EK BETI BEHEN KE WASTEY ASHFAQUE HAI LAAZIM ,
AMAL ME DHAAL LE SAARA TARIQA BINTE KAZIM KA.
ASHFAQUE HUSSAIN ASHFAQUE.





مدینہ کی گلی میں ہے اُجالا بنتِ کاظم کا
ہر اک مومن کے لب پہ بس ہے شہرہ بنتِ کاظم کا
چلوکاظم کے در پہ تہنیت دینے علی والو
ملیگا موسوئ تجھکو بھی صدقہ بنتِ کاظم کا
مصطفیٰ موسوی





Nabi naana hai to haydar hai daada binte kaazim ka.
Hai har rukh se gharaana sab se aala binte kaazim ka.

Mujhe ye zaaere Masooma e qum ne khabar di hai.
Nazar aata hai misle khuld roza binte kaazim ka.

Falak ko cheer kar ta arsh ik lamhe me pahuchegi.
Dua me gar koi de de waseela binte kaazim ka.

Pahuch sakte nahi Qum tak woh maange bayth kar ghar me.
Basa kar dil me apne aastaana binte kazim ka.

Dua yeh raat din naushad mai karta hu maalik se.
Rahe daste karam ham par hamesha binte kazim ka.
Naushad Bijani




            
Likha qirtaas per maine qaseeda Binte Kazim ka 
Bada ahsaan hai Mujh per kareema Binte Kazim ka 

Malak bhi choomne Dar ko Yaha'n aa jaate hain aksar
Zami Kya Aasma'n saara zamana Binte Kazim ka

Wo Jinki shaan me Qur'aan ki aayaat utri hain 
Hai aisa azmato wala gharana Binte Kazim ka

Bana hai saaye me inke hi Qum bhi Ilm ka Markaz
Rahe daste Karam ham per hamesha Binte Kazim ka

Chale aao paresha'n haal Ho Kyo'n Ae jaha'n waalo'n 
Bulata hai sabhi ko Aastana Binte Kazim ka
               
Behan ke sath hi logo'n ki taqdeere banate hain 
Raza bhai imamat ka nageena Binte Kazim ka

Jhuka na paayi hai duniya ki koi bhi super power 
Mila Iraan ko jab se Sahara Binte Kazim ka

Tamanna hai yahi jaaye ziyarat ke liye Jafar 
Khudaya dekh loo'n Roza dobara Binte Kazim ka
Jafar Ali Dehradun

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP