( By 1. Khadim Hussain Khadim. 2. Orooj Gopalpuri. 3. Sajjad Haider Naqvi 4. Mansur Raza jafri 5. Masoom Najaf Maroofi 6. Bober Nawab, Madrasi. 7. Imran Sandhavli 8. Paikar jalalpuri 9. Kausar Sitapuri 10. Jafar Ali Dehradun. 11. Naushad Bijani.
in )
Bazme Shoara
Tarhi misra by Naushad Bijani
Dulhan nabi ki beti hai dulha hai Buturab.
1. Khadim Hussain Khadim.
2. Orooj Gopalpuri.
3. Sajjad Haider Naqvi
4. Mansur Raza jafri
5. Masoom Najaf Maroofi
6. Bober Nawab, Madrasi.
7. Imran Sandhavli
8. Paikar jalalpuri
9. Kausar Sitapuri
10. Jafar Ali Dehradun.
11. Naushad Bijani.
1
KYA SHAAN HAI BATOOL KI HAIDER KI DEKHLO.
ALLAH KA ARSLAAN YE ALLAH KA WO HIJAAB.
BARAATI BANKE AMBIYA PADHTE YE MANQABAT.
DULHAN NABI KI BETI HAI DULHA HAI BUTURAAB.
Khadim Hussain Khadim.
2
Hur ke naseeb ne kiya jab haq ka intakhaab
Shabbir ne bana diya zarre ko aaftaab
Rukh se imaame waqt hataayenge jab naqaab
Aalam ke her elaaqe me aayega inqalaab
Lilha mere nabi ne resala kholoos ka
Shere khoda ne likhi shujaat ki hai kitaab
Rakhta nahin hai auron ki dahleez per qadam
Sayel ne paa liya dare haider se be hisaab
Hogi qaza namaaz ali ki kabhi nahin
Dikhla diya rasool ne palta ke aaftaab
Jis din se ker raha hun sana ahlebait ki
Us din se mere honton pa khilne lage gulaab
Kunde ki nazra ho chuki ab aap dhundiye
Maine kabbab rakh diya firni me hai janaab
Hubbe ali me hota hai purnoor dil orooj
Boghze ali me shaikh ka dil ho gaya kabaab
Orooj Gopalpuri.
3
Kono'n makaa'n mai dhum hai jodi hai Lajawab
Dulhan Nabi ki beti hai dulha hai Buturab
Shehra bandha hai Sar pe Ali o Batool ke
Kitna baland o bala hai Khailq ka intekhaab
Ek baadshah e Khuld hai ek malka e jinaah
Do noor ki shuaon se roashan hai Aaftaab
Madar balaen chehra e anwar ki le rahi
Pura hua hai Fatima binte asad ka khawab
Hoorane khuld Laine hain jodha Batool ka
Mehdi laga raha hai hatheli pe Mahataab
Ban kar baraati aayen hain jannat se Ambiya
Mehki hui hai khusboo e Amber gul o Gulab
Khush hain gulam e Haider e Karar dekhiye
Or Dushman e Ali ka jigar jal ke hai Kabab
Madhe Ali jo karta hai Sajjad hashr mai
Is ka sawab dega khuda tujko Behisab
Sajjad Haider Naqvi
4
ہر حرف ہوگا آج کے دن حرف باریاب
ہر دل سے آج نکلی دعا ہوگی مستجاب
دلہن نبی کی بیٹی ہے دولھا ہے بوتراب
دونوں ہی بینظیر ہیں دونوں ہیں لاجواب
اس بینظیر جوڑے پہ سو جان سے فدا
کلیوں کی کمسنی ہو کہ پھولوں کا ہو شباب
نوشاہ اور عروس کا صدقہ اتارنے
آئے ہیں آسمان سے مہتاب وآفتاب
محفل سجی ہےعقد علی و بتول کی
ہونے کو آج ایک ہیں دو آسماں جناب
خوش ہیں رسول پاک تو عمران شاد ہیں
ہے رشک دید دونوں کے چہرے کی آب وتاب
جھرمٹ میں اپنے حوروں نے زھرا کو لے لیا
کلیوں کے درمیان ہے اک جنتی گلاب
کلمہ یہی ہے عرش نشینوں کے لب پہ آج
واللہ کیا حسین ہے قدرت کا انتخاب
بارات ہے علی کی چلی فاطمہ کے گھر
سارے ملائیکہ بھی ہیں نبیوں کے ہمرکاب
باراتیوں میں بانٹ رہے ہیں ملائکہ
دیکھو خم غدیر سے لائی ہوئی شراب
مدح علی و فاطمہ زھرا کریگا جو
حاصل ثواب ہوگا اسے بے حد وحساب
نوشہ بنے ہوئے نظر آئے علی جونہی
دل دشمنوں کے کھانے لگے اور پیچ و تاب
حاصل ہے پنجتن کی اسے نصرت ورضا
منصور ہر محاذ سے پلٹا ہے کامیاب
منصور رضا جعفری
5
RaqsaaN zameeN hai aur khushi me hai aaftaab
Doolha bana hai aaj imamat ka pahla baab
HooreN haiN naghma zan to farishte haiN sab magan
Doolhan bhi be misaal hai doolha bhi lajawaab
Shamso qamar najoom sabhi dang rah gaye
Noore Ali ka chamka zamane me jab Shabaab
Jodi zameeN aisi na ab hogi dosari
Allah ki pasand hai Haidar ka intekhaab
Baarati ban ke aaye haiN aflaak ke makeeN
Noore Ali se ho gaya saaya fegan sahaab
Zuhra ne aake farshe zameeN par bata diya
*Doolhan nabi ki beti hai doolha hai butoraab*
Sajwado maikade ko NAJAF aaj hai Khushi
Aqde Ali me peena hai dil khol ke sharaab
Masoom Najaf Maroofi
6
Dulhan hai Bemisaal Toh Doolha hai Laajawaab
Dulhan hai Misle Chand Toh Doolha hai Aaftaab
Nayaab hai Ye Jodi Ali O Batool Ki
Dulhan Nabi ki Beti hai Doolha hai Booturaab
Sab Aurton Ke Waastey Zahra hai Ek Misaal
Karpaayega Na KOyi bhi Unki Tarha Hijaab
Jo Chaahte hain Betiyon Ka Rishta Nek Ho
Sadqe me Inki Shaadi Ke Wo Honge Kaamiyaab
Jinke Dilon me Buze Ali O Batool hai
Dena Padega Jaake Uney Khabr me Hisaab
Kieun Shaad Mustafa Na Hon Beti ka Aqd hai
Hoor o Malak Bhi Khush hain Ke hai Shaad Maahtaab
Khaaliq Ne Inko Khalq Kiya hai Bohot hi Khoob
Mouqe Pe hai Ye Biah Ke Dono Ka Pur Shabaab
Rishta Banaaya Istarha Pareardigaar Ne
Khilta hai Jistarha Se Chaman Me Naya Gulaab
Ahle Vila ko Kieun Na Khushi ka Khumaar Ho
Madhe Ali O Zahra ki Peete hain Wo Sharaab
Milta hai Noor Noor Se Is Waastey Bober
Tum bhi Pado Qaseeda Ke Tumko miley Sawaab.
Bober Nawab, Madrasi.
7
دلہن بھی لا جواب ہے دولھا بھی لا جواب
رب نے کیا ہے خود اسی رشتہ کا انتخاب
جسدم درِ علی ع پہ ستارہ اتر گیا
جل جل کے کتنے لو گوں کےدل ہوگیے کباب
عمران سندھاولی
8
کیا خوب رب نے جوڑا بنایا ہے یہ جناب
دلہن نبؐی کی بیٹی ہے دولھا ہے بوترابؑ
پیکر نا چھیڑ آج خوشی سے ہوں باغ باغ
پینے دے آج عقدِ علی کی مجھے شراب
Paikar jalalpuri
9
Dulhan Nabi ke ghar ki hai Dulha hai bu-turaab
Is ka koi jawaab na uska Koi jawaab
Baadal me Kyo,n na munh ko Chhipayega Maahtaab
Hai,n *Juzv,e* Noor,e Khhaaliq,e Rab Fatima janaab
Sehre Banege jin se Ali o Butool ke
Chun Chun ke Laaye khhud hai,n Amee,n Khhuld se Gulaab
Jodi Zamee,n pe dekhi na phir Aisi doosri
Us Rabb,e kaayenat ka Haidar hai intekhhaab
De kar Waseela inka Jo ho dil me Maangiye
Sadqe me inke hogi Doa Sab ki Mustajaab
Sab Sakinaan,e Arsh pe taari hai ik Suroor
Kya pi gaye sharaab,e Tahoora* Si Sab Sharaab
Zahra Si ik Kali jo hai hooro,n ke Darmiyaa,n
Nabiyo,n ke darmiyaan Ali Sa hai ik Gulaab
Sehre pe Boonde,n Kausar o Tasneem ki Dikhi,n
Jaise Radeef o Qaafiya ho,n aaj ham- Rakaab
Kausar Sitapuri
10
Apne Habeeb se kiya Khaliq ne ye khitab
Zohra karega hamsare Zehra a.s. ka intekhaab
Sunkar khabar madine me roshan huwe Charagh
Roshan maka'n the saare aur roshan the ghar ke Baab
Dil ki tamanna sab ki thi Taara jo ghar me aaye
Izzat milegi hoga ye Jeevan bhi kamyab
Haider to so rahe the badhe hi sukoo'n ke sath
Tha ratjaga madine me barpa tha Inqelab
Aankhe thi aasmaan pe sabki lagi huyi
Maangi duae'n Rab se ke ho Jaaye'n Mustajaab
Rab ki raza se Arsh se aakar zameen per
Zohra ne badh ke choom liya bas Ali ka baab
Manzar ye dekh kuch ke to chehre utar gaye
Armaan taar taar huwe tute dil ke khwab
Shahzadi e Konain se aqde Ali Huwa
Ahle wila me chhai masarrat hai behisab
Salle Ala ka shor hai ab kainaat me
Kaliya'n chatakh rahi hain mehakne lage gulaab
Hoore'n jina ki dekh Kar haira'n hain Noor ko
Nazre mila na paayenge Maahtaab Aaftaab
Karte hain sajda shukr ka Khush hoke mustufa
Daamaad paa ke saqiye kausar sa lajawab
Jafar hain bemisaal hi dono jahan me
Doolhan Nabi ki beti hai Dulha hai Booturab
Jafar Ali Dehradun.
11
Ishqe ali ki jhoom ke peelijiye sharaab.
Hota hai aaj aqde batoolo abuturaab.
Apni kaneeze khaas ki shaadi ke vaaste.
Rab ne kiya hai saaki e kausar ka intekhab.
Allah ne mila diye bahrayn noor ke.
Dulhan nabi ki beti hai dulha hai bututuraab.
Taqve ka taaj haidare safdar ke sar pe hai.
Binte rasoole paak hai ismat se ba-hijaab.
Chaukhat ali ki choom ke pahucha hai charkh pe.
Karta hai rashk tab se sitaare pe maahtaab.
Duldul pe hai savaar shahanshaahe do jahaN.
Thaami huvi hai bozaro salmaan ne raqaab.
Baaraati anbiya hai to khaadim malaaika.
Baarat murtaza ki hai aalam me la-javaab.
Shaadi me gungunati huvi naghma e suroor
HooreN zameeN pe khuld se barsaati hai gulaab.
Sehre se noor chhan ke bikharta hai is qadar.
Sharminda jisko dekh ke hota hai aaftaab.
Tohfe ali ko anbiya de kar durood ke.
Khayraat me hai baante shiyo ko sab savaab
Ash'aar likh ke karta hu *Naushad* yeh dua.
Maula ki baargaah me ho jaaye mustajaab.
Naushad Bijani.