koofe me zulm hote hai muslim pe be khata

( By 1. Naushad Bijani 2. Hasnain Maroofi 3. Syed Javed 4. Jafar ali Dehradun

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    27/07/2021
koofe me zulm hote hai muslim pe be khata

BAZM E SHOARA
Tarhi misra...koofe me zulm hote hai muslim pe be khata



1. Naushad Bijani
2. Hasnain Maroofi
3. Syed Javed
4. Jafar ali Dehradun





Sare muslim a.s. aur sare husain a.s. ke darmyan guftagu.

Karbobala se sehte huve zulm jabaja.
Koofe me aagaya jab aseeroN ka kaafela.

Nauke sinaN pe dekh ke shaahe zaman ka sar.
Muslim ke sar se aayi yeh rote huve sada.

Aaqa husain aap pe mera salaam ho.
So baar aap par yeh meri jaan ho fida.

Baad uske sheh se apna kaha hoga haale dil.
Jo zulm koofiyoN ne guzaare the be khata.

Aaqa sitamgaro ne ki haalat meri tabaah.
MehmaN bulake mujh se laeeno ne ki dagha.

Ghurbat me mujhse mere pisar bhi bichhad gaye.
Woh ho gaye yateem mujhe aagai qaza.

Gulshan me mere aysi khizaN ki hawa chali.
TufaN me jiske mera gulistaN ujad gaya.

Angaare chhat se fenke gaye mujh ghareeb par.
Dhoke se mujh ko milke ga.dhe me gira diya.

Barsaaye sang mujh pe laeeno ne is qadar.
Ghaltaan jis se khooN me saraapa mai ho gaya.

Patthar ki maar se mere dandaaN huve shaaed.
Zakhmi badan se behne laga khoon jabaja.

Qaydi bana ke mujh ko gunahgaar ki tarah.
Dardabaare ahle keeN me mujhe pesh kar diya.

Haakim yeh bola tu mujhe tasleem kar ameer.
Tujh ko ata amaan krunga mai ba-khuda.

Or shart yeh bhi hai ke tabarra ali pe kar.
Waada yeh kar ke saath na dega husain ka.

Kar dunga tujh ko daulate dunya se maalaamaal.
Bay'at tu meri kar le nahi fir koi gila.

Inqaar meri baat ka karna na ay safeer
Kar dunga varna tan se tere sar ko mai juda.

Maine kaha ki mera to aaqa husain hai.
Woh laal hai ali ka navaasa rasool ka.

Rehmat mere husain pe naazil khuda ki ho.
Haqdaar hai voh rab ke duroodo salaam ka

Dono jahaan me woh hidayat ke hai chiraagh.
Ibne ali se tera bhala kya muqabala.

Hargiz na murtaza pe tabarra karunga mai.
Shauhar woh faatema ka hai daamaade mustafa.

Baade rasool woh hai musalmaano ke ameer.
Bakhsha hai murtaza ko khuda ne yeh martaba.

Shere khuda hai saakie kausar hai hashr me.
Sardaare auliya hai shahanshaahe ambiya.

Rab ne kiya hai khalk use apne noor se.
Auqaat buturaab ke aage hai teri kya?

Karta hai tu ali pe tabarra to yeh bhi sun.
Dushman abuturaab ka dozakh me jaayega.

Laanat ho tujh pe aur tere takhto taaj par.
Tere liye muhaal hai mujh ko khareedna.

Kar dega qatl mujh ko tu mai jaanta hu yeh.
Mai haashmi hu maut se mujhko tu mat dara.

Mujh ko teri amaan se koi gharaz nahi.
Maalik fakat khuda hai hayaato mamaat ka.

Ibne ziyaad ne ye sune jab mere sukhan.
Meri saza e maut ka elaan kar diya.

Sunkar yeh hukm lashakare ibne ziyaad ne.
Saamaan meri maut ka tayyar kar liya.

Bar baame kasr le gaye mujh ko kashaN kashaN.
Ghurbat pe meri haste the sab milke be haya.

Taua ke ghar se nikla tha jab se baraa e jang.
Qatra ik aab ka mujhe tab se na tha mila.

Mehsoos maine pyaas ka ghalba kiya shadeed.
Maine sitam ki fauj se paani talab kiya.

Dandaan ho gaye the mere khooN me tarbatar.
Paani ka jaam aaya magar mai na pi saka.

Paani ka jaam maine laboN se lagaaya jab. Makhlot aab me lahoo daanto ka ho gaya.

Daanto se khoon behta tha patthar ke maar se.
Pyaase rahe baghayr na tha koi raasta.

Maangi laeeN se mai ne ijaazat namaaz ki.
Sad shukr qable maut yeh mauqa mujhe mila.

Jab mai dahekti dhoop me padne laga namaaz.
Farshe tapaN pe mera har ik zakhm jal utha.

Faarigh huva ma jis ghadi apni namaaz se.
Gardan pe meri khanjare jallaad chal gaya.

zaalim ne baade maut ye mujh par kiya sitam
Sar kaat ke jasad mera chhat se gira diya.

Barsa ke meri laash pe patthar laeenoNo ne.
ZakhmoN se choor choor badan mera kar diya.

Rassi me bandh kar mere laase ko kheench kar.
Koofe ki har gali me firate the ashkiya.

Sun kar yeh haal shaah huve honge gham zada.
Nauke sinaN se ro ro ke di hogi yeh sada.

Tum par bhi ho salaam mera ay mere safeer.
Naazil hamesha tum pe bhi ho rahmate khuda.

Koofe me tum pe misle qayaamat sitam huve.
Rote hai jisko sunke aseerane karbala.

Labrez dardo gham se musibat tumhaari hai.
Ab haale dil suno mera dil thaam ke zara.

Kheti hari bhari meri barbaad ho gai.
Karbobala me ghar mera taaraaj ho gaya

Jangal me jaN ba-lab mere bacche the pyaas se.
Ham sab pe teen din se ghalba tha pyaas ka.

Pahere laga diye the sitamgar ne nehr par.
Jalta tha dasht dhoop se or garm thi hawa.

Tadpe hai bacche maahiye be-aab ki tarah.
KhaymoN me al-atash ki sadaaoN ka shor tha.

Sab qatl ho gaye mere ansaaro aqroba.
Bete bhateeje bhaanje sab ho gaye fida.

Zaalim se kar ke jaafare tayyar si wigha.
Deene nabi pe Aun-o-Mohammad huve fida.

Qaasim ki laash ho gai maqtal me choor choor.
Pyaasa shaheed ibne hasan ran me ho gaya.

ik mashk aab ke liye bhaai ka khooN baha.
Shaane kata ke nehr pe abbas so gaya.

Akbar bhi mera jaanibe maqtal gaya magar.
Kadyal javaan laut ke zinda na aa saka.

Seene pe uske maar ke zaalim ne barchiyaN.
Hai hai mila di khaak me tasveere mustafa.

Bhaai ke gham se thi meri tooti huvi kamar.
Aankho ka noor bhi ghame akbar se chal basa.

Khaata huva mai thokareN maqtal me pahucha jab 
Haale javaN mai dekh ke ghash kha ke gir pada.

Kadyal jawaan mera ragadta tha ediyaN.
Daaghe psar kisi ko dikhaaye na yuN khuda.

Barchhi nikaali bete ke seene se kheench kar.
Dam tod ke jahaan se rukhsat woh ho gaya.

Chehre pe khaak mal ke mai rota tha zaar zaar.
Daaghe pisar se jeena mera khaak ho gaya.

Uthti nahi thi laashe javaN mujh zaeef se.
Haalat pe meri haste the maqtal me ashkiya.

Asghar bhi 6 maheene ka pyaasa huva shaheed.
Teere sitam se uska bhi chheda gaya gala.

Karbobala me khod ke nanhi si ik lahad.
Tapti zameeN me dafn use maine kar diya.

Lashe pe laashe maine uthaye the sub'h se.
Mera badan bhi choor tha zakhmoN se jabaja.

Tanha mai ran me ho gaya dushman ke darmiyaN
Zinda meri madad ke liye ab koi na tha.

Talwaar maarta tha koi aur koi teer.
Ghode pe dagmagata huva aage mai bada.

Chaaro taraf se waar huve mujh ghareeb par.
Jalti huvi zameen pe ghode se mai gira.

Paywast teer mere badan me the behisaab.
Girte hi jism teeroN pe mera thaher gaya.

Pephu ke teer daaye se baaye nikal gaye.
Sookhi zabaN thi khushk the lab khushk tha gala.

Karwat badal badal ke tadapta tha dhoop me.
Zulmo sitam ki ho gai jangal me inteha.

Rege tapaN se zakhmo me hoti rahi chubhan.
Roti thi ran me dekh ke yeh roohe faatema.

Us waqt goonjne lagi maydaan me azaN.
Woh waqte asr meri shahaadat ka waqt tha.

Baaraane teer me bhi mai padne laga namaaz.
Sajda khuda ko aakheri karne laga ada.

Jaldi thi mere qatl ki zaalim ko dasht me.
Qaatil sawaar pusht pe khanjar liye huva.

Gardan pe meri firne laga khnjare jafa.
Kaata laeeN ne kund chhuri se mera gala.

Sar kat ke mera jab gira zahera ki god me.
Ran me tadap tadap ke woh karne lagi buka.

Sooraj ghahen me aagaya or aandhiyaN chali.
Larze me tha falak to zameeN me tha zalzala.

Baarish lahoo ki hone lagi aasmaan se.
Toote sitaare arshe moalla bhi kaanp utha.

Nauke sina pe kar diya mera buland sar.
Laasha bhi mera ghodoN se paamaal kar diya.

Or karbala me shaame ghareebN ayaN huvi.
Jaari huva sitam ka naya fir se silsila.

Fauje sitam ne loot ke khayme jala diye.
Nauke sina se chheen li naamoos ki rida.

Jab lashkare yazeed ne shohda ke sar gine.
Asghar ka zaalimoN ke khazaane me sar na tha.

itne me hurmala se kaha ik laeen ne
Deta hu tujh ko nanhe se ik sar ka mai pata.

ik baccha ban me dafn kiya hai husain ne
Us jisme naazneeN ka tha tar khoon me gala.

Yeh sun ke hurmala ne ghazab ka sitam kiya.
Jalte huve khayaam ki jaanib woh chal pada.

Lekar gaya tha fauje sitam ko woh apne saath.
Neze chubhaye jaate the reti me ashkiya.

Kheencha jo neza maar ke zaalim ne zor se.
Neze ke saath laasha e asghar bhi agaya.

Yeh dekh kar rubaab ki haalat huvi tabaah.
Sar apna peet'ti thi woh ro ro ke gham zada.

Sun kar sare husain se purdard daastaN.
Zaaro qataar rone laga sar safeer ka.

Nauha qubool kijiye ay maadare husain.
*Naushad* ki hai aap ke dar pe yeh ilteja.
Naushad Bijani.





*ڈوبا   ہوا  ہے  سوگ  میں  کنبہ بتول کا*
*کوفہ میں سخت ظلم ہے مسلم پہ بے خطا*
*گھر سے بلا کے جس کو لعینوں نے کی دغا*
*سینے میں  شاہِ والا  کے  برپا ہے اک عزا*

*سر پیٹتی ہیں روتی ہیں مرقد میں سیّدہ* 
*مسلم کے خوں سے لال ہوا شہرِ مرتضٰی*

حسنین معروفی





Koofe mai sakht zulm hai muslim pe be khta
Tanha bhatk rha hai musibat me gumzda
Jis jaa,n gya safeere shehan shaahe karabala
Angaare chat se  barse hua zulm ye nya

Hai shor har taraf k ye sheh ka fidaai hai 
Muslim ko mot kheech k koofe mai laayi hai
Syed Javed



 

                  
Hye hye safeere Shah pe kaisa Sitam huwa
Hai shor koofiyo'n ne ki mehmaan se Dagha

Pyasa bhatak raha hai koi aasra nahi
Dushman bana huwa hai zamana ghareeb ka

Toaa ne badh ke paani pilaya Safeer ko
Bibi ne ghar bula ke unhe aasra diya

Ghar me jo dekha bete ne ibne Aqeel ko
Ibne ziyad ka Hi tha mukhbir wo Be haya

Ghera sipahiyo'n ne bas aake  toaa ka ghar 
Muslim pe char simt se hamla shuru huwa
                   
Patthar utha raha hai koi tegh aur tabar 
Angare phenkta hai koi chhat se ashkiya
                   
Dhoke se ek gadhe me giraya diler ko
Zakhmo'n se choor choor the Muslim the Ghamzada
               
Phenka Laee'n ne darul Amara ki chhat se jab
Galiyo'n me kheencha laashae Muslim ghazab huya
                 
Jafar sunae kaise ke kya kya huwe Sitam 
Koofe me sakht zulm hai Muslim pe Be khata                 
Jafar Ali Dehradun

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

koofe me zulm hote hai muslim pe be khata ( By 1. Naushad Bijani 2. Hasnain Maroofi 3. Syed Javed 4. Jafar ali Dehradun in )

27/07/2021

Shahadat Hazrat Muslim bin aqeel a.s.
VIEW WRITE UP