Begor bekafan hai janaza husain ka

( By 1. Khadim Hussain. 2. Mohammad Palsaniya Saabir 3. Imraan Sandhawali 4. Rizwan karbalai 5. Sibtain Sayyady 6. Sajjad Haidar Naqvi 7. Bober Nawab, Madrasi 8. Aabid-mredya 9. Paikar Jalalpuri 10.Jafar Ali Dehradun 11. Saiyad Javed Akhtar 12. Mustafa Moosvi 13. Gaazi Abbas Zainabi 14. Sibtain Syyadi 15. Naushad Bijani

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    31/08/2021
Begor bekafan hai janaza husain ka

Bazm-e-Shoara
Tarhi misra......Begor bekafan hai janaza husain ka
Misra by Naushad Bijani
 
1. Khadim Hussain.
2. Mohammad Palsaniya Saabir
3. Imraan Sandhawali 
4. Rizwan karbalai
5. Sibtain Sayyady
6. Sajjad Haidar Naqvi
7. Bober Nawab, Madrasi
8. Aabid-mredya
9. Paikar Jalalpuri
10.Jafar Ali Dehradun
11. Saiyad Javed Akhtar
12. Mustafa Moosvi
13. Gaazi Abbas Zainabi
14. Sibtain Syyadi
15. Naushad Bijani
 
 
1
*KASHTI KHUDA KE DEEÑ KI BACHAANE KE VAASTEY,*
*QURBAAÑ HUWA HAIN DEEÑ PE GHARAANA HUSSAIN KA,*
 
*RO RO KE KEH RAHI THI YAHIÑ KHAAK-E-KARBALA,*
*BE-GOR BE-KAFAN HAI JANAAZA HUSSAIN KA...*
 Khadim Hussain.
 
 
 
2
गुरबत का वक्त आया ये कैसा हुसैन का
बे गोरो बे कफन है जनाज़ा हुसैन का
 
बहती रही फुरात तो करबल में एक समंत
एक समंत प्यासा तड़पा है कुनबा हुसैन का
Mohammad Palsaniya Saabir
 
 
 
3
Sar ko jhukaye rotaa hai baita Hussain ka
Jakdaa huwa hai qaeid me kunba Hussain ka
 
Zainab se roke kehti hai laila ye baar baar
Be gor be kafan hai janaaza Hussain ka 
Imraan Sandhawali 
 
 
 
 
4
BATLA RAHA HAI DAST ME LEHJA HUSAIN KA
KHANJAR KO KAAT DALEGA SAJDA HUSAIN KA
 
ZERE KAMA BHI MAATHE PE KOI SHIKAN NAHI
AYYOOB AA KE DEKH LO CHEHRA HUSAIN KA
 
HAMLA JARI KA ROK LIYA SHAAH NE MAGAR 
KOI N ROK PAYEGA HAMLA HUSAIN KA 
 
KAR DENGE AK LAMHE ME ZINDA HABEEB KO
AY MOUT TU BHI DEKH LE JALWA HUSAIN KA
 
KYU KAR N HOGA SHEH KA WAFADAAR JULZANAAH
ABBAS KA MUREED HAI GHODA HUSAIN KA
 
DEHSHAT GARO SE MERA KOI WASTA NAHI
RIZWAN ME HU CHAAHNE WALA HUSAIN KA
Rizwan karbalai
 
 
 
5
Pad ti hai nauha saniye Zehra husain ka
Be gor be kafan hai janaaza husain ka
 
Binte Ali ne saare masayeb suna diye
Rakh Kar Nabi ke qabr pe Khurta husain ka
Sibtain Sayyady
 
 
 
 
6
عریاں پڑا ہے دھوپ میں لاشہ حسین کا
محوِ بکا ہے  روضے میں  نانا حسین کا
 
لاشے پہ دن کی دھوپ ہے اور شب کی اوث ہے
روتا ہے سر کو پیٹ کے کنبہ حسین کا
 
ٹکڑے پڑے ہیں خاک پہ زہرا کے لال کے
،،نوحہ کناں ہے غیب میں بیٹا حسین کا،،
 
مقتل میں شاہ دیں کا تنِ پاش پاش ہے
کیسے اٹھے گا ہائے جنازہ حسین کا
 
لرزی زمین و عرش قیامت ہوئی بپا
جس دم گلا لعیں نے کاٹا حسین کا
 
چلائی سر کو پیٹ کے زینب دہائی ہے
لاشہ پڑا ہے دھوپ میں بھیا حسین کا
 
مارا ہے یوں نبی کے نواسے کو شمر نے
خوں میں بھرا ہے خاک پہ چہرہ حسین کا
 
کربوبلا کے دشت میں زہراء کے تھے یہ بین
بے گور  بے کفن ہے جنازہ حسین کا
 
لاکھوں سلام فاطمہ زہرا کے نورِ عین
دین خدا بچا گیا سجدہ حسین کا
 
سجاد روکے بولے عزادار یا امام
پرسہ قبول کیجئے مولا حسین کا
سجاد حیدر نقوی
 
 
 
7
*Paamaal Run me Hogaya Lasha Hussain ka*
*" Be Goro Be Kafan hai Janaza Hussain ka "*
 
*Bhaayi ko Qatl Kardiya Khaahar ke Saamne*
*Zainab ke Dil ko Zaqm hai Gahra Hussain ka*
 
*Ab Be Sahara Ho gayi Aulaade Fatima*
*Darya Pe Jab Se Sogaya Shaida Hussain ka*
 
*Lashe Pidar ko Dekh ke Maqtal me Bekafan*
*Aankhon Se Khoon Rota hai Beta Hussain ka*
 
*Qaidi Banake Haye Phiraate hain Darbadar*
*Jakda Huva Rasan me hai Kunba Hussain ka*
 
*Pyasa Shaheed Hogaya Run me Mera Pisar*
*Sar Peet ta hai Qabr me Baba Hussain ka*
 
*Turbat Me Kieun Na Qaak Udaayenge Mustafa*
*Qabre Nabi Hilaata hai Sadma Hussain ka*
 
*Lene ko Ashk Aati hain Majlis me Fatima*
*Do Momino Batool ko Pursa Hussain ka*
 
*Kieun Sha'h Ke Gham me Roye Na Besaaqta Bober*
*Hai Uske Lab Pe Har Ghadi Nowha Hussain ka*
Bober Nawab, Madrasi
 
 
 
 
8
Ghash me pada beemar Hai beta Hussain ka
Bistar pe Hai soya Huwa taara Hussain ka
 
Be gor Be kafan Me janaza ko dekhkar
Barso Talak wo roya Hai beta Hussain ka
Aabid-mredya
 
 
 
9
کربل میں لٹ گیا ہے گھرانا حسین کا
بے گور بے کفن ہے جنازہ حسین کا
 
بہرے مدد کو آئیے مقتل میں یاعلی 
ایڑی رگڑ رہا ہے دولارا حسین کا
پیکرجلالپوری
 
 
 
 
10
Pursa qabool kijiye Zehra a.s. Hussain ka
Honto'n pe hai Sakina ke noha Hussain ka
 
Aale Nabi pe taaza musibat ye aayi hai
Gul Kar diya Charaghe hidayat duhai hai 
Matam hai do jahan me barpa Hussain ka
 
Baade Hussain Dil hai Sakina ka ghamzada
Kheme bhi jal gaye hain Haram bhi hain berida
Jangal me dhoondhti hai wo saaya Hussain ka
 
Kaano'n se chheen li hai sitamgar ne baaliya'n 
Daman jala hai bacchi ke lab per hai ye fugha'n 
Laasha dikha de koi to Baba Hussain ka
 
Bikhre huwe the laashe shahido'n ke is qadar 
Baba ko dhoondhe kaise nahi tan per koi sar
Seena wo kaise paaye Sakina Hussain ka
 
Maqtal se aayi halqe buridaa'n ki ye sada
Aaja idhar Sakina hai Baba Yaha'n tera 
Gurbat pe Dil sakina ki tadpa Hussain ka
 
Zainab a.s. ye poochti hain hazina kaha'n gayi
Bhayya ki meri pyari Sakina kaha'n gayi
Dil pe hai daagh uske ye sadma Hussain ka
                  
Dekha ke so rahi hai sakina ek laash per 
Mayyat hai choor Zakhmo'n se tan per nahi hai sar 
Be gor Be kafan hai janaza Hussain ka
                  
Jafar Salaam Laakho'n  hain Zehra ke laal per
Dee'n ki baqa ke waaste jisne diya hai sar
Ehsaan ham na bhoolenge maula Hussain ka
Jafar Ali Dehradun
 
 
 
11
Padhti hai,n Fatima yahi noha hussain ka
Uryaa,n pada hai dasht me lasha hussain ka
 
Abbas qasim o ali akbar k saath saath
Be goro be kafan hai janaza hussain ka
Saiyad Javed Akhtar
 
 
 
 
12
*Kaabah Hussain ka hai Madina Hussain ka*
*Hai Moosvi yeh saara zamaana Hussain ka*
 
*Qur’aan padhkey dekh samajh aayega tujhey*
*Maa’bood ka wahi hai jo man’sha Hussain ka*
 
*Aawaaz sunkey betey ki har gaam dosto*
*Wo girna aur uthekey sanbhalna Hussain ka*
 
*Ayub dung hai dekh key pyasey ki jung ko*
*Wo teen din ki pyaas mein ladna Hussain ka*
 
*Shaamil Ali ka zikr bhi yaad-e-Khuda mein hai*
*Pygaam dey raha hai yeh sajdah Hussain ka*
 
*Na haq layeeN ney pyasey pa khanjar chala diya*
*Sar kaata aur khoon bahaya Hussain ka*
 
*Khanjar sey kat raha tha Shah-e-deeN ka jab gala*
*Kysey raqam karooN wo tadapna Hussain ka*
 
*Betey ko dafn karney ko aajao Buturaab*
*Bey gor-o-bey kafan hai janaza Hussain ka 
 
*Chadar nahin hai sar pa udaney key waastey*
*Dekha bahen ney dhoop mein laasha Hussain ka*
 
*Qur’aaN kitab-e-Haq hai to mafhoom Ahlebait*
*Nok-e-sinaN sey dekha hai kehna Hussain ka*
 
*Dil hai gum-e-Hussain ki azmat liye huvey*
*Is waastey hai qalb mein rouza Hussain ka*
 
*Dushman ki terey chaal na kuch kaam aayegi*
*Sar par hai terey Moosvi saaya Hussain ka*
Mustafa Moosvi
 
 
 
13
Koi uthaaney aaya na laasha' Husain ka
Maqtal mey saara sogaya kunba' Husain ka
 
Zikr e khuda mey sarr ko jhukaaya tha waqt e asr
Jaarii hai aaj tak bhi wo sajda' Husain ka
 
Maqtal mey laash godh mey rakhkar Husain ki
Padhti hai rokey Fatema' nauha' Husain ka
 
Farsh e aza pey mehwey bukaa hai imam e waqt
Deejey imam e asr ko pursa' Husain ka
 
Ummat ney haaye Ajr Mohammad ko yuu diyaa
*Bey gor o bey kafan hai janaaza' Husain ka*
 
Daudaaye chaar simt se rehwaar ashkiyaa'n
Tukdo'n mey batgaya hai bhateeja' Husain ka
 
Zainab ko beyridaa koi dekhey na isliye
Qur'a'n padha hai sarr sarr e naiza' Husain ka
 
Paani pilaaney laaye they Rann mey jisey Husain
Wo teer khaakey margaya baccha' Husain ka
 
Beysheer ke lahoo ka thikaana na tha koi
Rangee'n huwa hai isliye Chehra' Husain ka
 
Dhoondey to kaisey dhoondey Sakina' pisar ki laash
Maqtal mey paara' paara' tha laasha' Husain ka
 
Aabed pukaarey aao madad ko aye ammujaa'n
Dafnaa rahaa hoon tanha janaaza' Husain ka
 
*"Gaazi"* tadapkey aansu bahaayegi Fatema'
Jab bhi padheyga koi ye nauha' Husain ka
Gaazi Abbas Zainabi
 
 
 
 
14
Makhlook pe karam hai ye kitna husain ka
Dono jahan khate hain sadqa husain ka 
 
"Sibtain" uski aankho ka kuch fayeda nahi
Dekha nahi hai jisne bhi rouza husain ka
Sibtain Syyadi
 
 
 
 
15
Sar hai sinaN ki nauk pe maula husain ka.
Or khaak par hai jism-e-bureeda husain ka.
 
Roomaal hur ke sar pe bataure kafan to hai.
Begor bekafan hai janaza husain ka
Naushad Bijani

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP