Daste zainab me jo dekhi rassiyaN sajjad ne

( By 1. Khadim Hussain. 2. Naushad Bijani. 3. Imran Shandhawali. 4. Asmee Kanodari. 5. Kausar Sitapuri. 6. Hasnain Maroofi. 7. Jafar Ali Dehradun. 8. Aikar Jalalpuri. 9. Kaifi Kalkattvi. 10. Ashfaq Husain. 11. Ali Abbas Faseeh.

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    21/09/2021
Daste zainab me jo dekhi rassiyaN sajjad ne

Bazme Shoara
Tarhi misra by Naushad Bijani
Daste zainab me jo dekhi rassiyaN sajjad ne.
Shahadat imam Sajjad a.s.
 
 
1. Khadim Hussain.
2. Naushad Bijani.
3. Imran Shandhawali.
4. Asmee Kanodari.
5. Kausar Sitapuri.
6. Hasnain Maroofi.
7. Jafar Ali Dehradun.
8. Aikar Jalalpuri.
9. Kaifi Kalkattvi.
10. Ashfaq Husain.
11. Ali Abbas Faseeh.
 
 
 
 
1
RO RAHI HAIN BEDIYAAÑ AUR KAR RAHI HAI YE FUGAAÑ.
ZAKHM KITNE KHAAYE HAI EK NAATAWAÑ SAJJAD NE.
.
 
PAR BAHAAYE KHOON KE AAÑSU IMAM-E-WAQT NE.
DAST-E-ZAINAB MAIN JO DEKHI RASSIYAÑ SAJJAD NE.
Khadim Hussain.
 
 
 
 
2
Sabr ka har ayk de kar imtehaN sajjad ne.
Sar kiye toofaaN sitam ke naatawaaN sajjad ne.
 
Ayk din me lut gai aabaad gulshan ki bahaar.
Apni aankhoN se woh dekhi hai khizaN sajjad ne
 
Jhuk gaya ghayrat se sar or khoon roye umr bhar.
Daste zainab me jo dekhi rassiyaN sajjad ne.
 
Rote rote ho gaye behosh ran me jis ghadi.
Bhaai ke seene me dekhi barchhiyaN sajjad ne.
 
Thak ke so jaate to zaalim kheenchte zanjeer ko.
Shaam tak aaraam hi paaya kahaN sajjad ne.
 
Fenkta angare koi, koi patthar maarta.
Shaam me jheli hai kya kya sakhtiyaN sajjad ne.
 
AasmaN bhi fat pade jis baare gham se toot kar
Shaam me bardasht ki woh khwaariyaN sajjad ne.
 
Tanz logo se sune Naushad har ik mod par.
Jab bhi aankhoN se kiye aansu ravaN sajjad ne.
Naushad Bijani.
 
 
 
 
3
Karbalaa ki jab raqm ki daastaaN Sajjad ne 
Ranjo gham dil par uthaye naatawaaN Sajjad ne 
 
Yaad aaye bawafaa Abbas haaye us ghadee 
Daste Zainab me jo dekhi rassiyaaN Sajjad ne 
Imran Shandhawali.
 
 
 
 
4
*_Sabr ka dikhlaaya jaa ke AasmaN sajjad ne.._*
*_Baad e Sheh deeN par Kiya hai SaaybaN sajjad ne.._*
 
*_Dasht me Zakhmi Kaleja, Aur Gala,Baju Juda.._*
*_Dekhi hai Tooti huwi bhi PasliyaN Sajjad ne.._*
 
*_Maut aayi Der se Par mar to ye tab hi gaya.._*
*_Dast e Zainab me jo dekhi RassiyaN sajjad ne.._*
 
*_Hai Musalsal ye Sakina pe Tamacho ka asar..._*
*_Bachhi ki GaaloN pa dekhi JurriaaN sajjad ne.._*
 
*_Rooh e Akbar keh Rahi thi Dekh kar Nauke SinaaN.._*
*_Mujhse bhi jyada hain Khaayi BarchhiyaN sajjad ne.._*
 
*_MezbaaN ghar me Hua jab Qaatile akbar jawaaN..._*
*_HaathoN se Usko Khilayi RotiyaN sajjad ne.._*
 
*_Kya Guzar jayegi Zainab par yahi to Soch kar.._*
*_Dard tha phir bhi na li hain SiskiyaN sajjad ne.._*
 
*_Shimr ne jab naam e zainab le liya darbaar me.._*
*_Sath aankhoN ke kari Bandh MuththiyaN sajjad ne..._*
 
*_Khakh par mujh ko sulado Ye kaha Waqt e kaza.._*
*_Haaye baba keh ke Ragdi EdiyaaN sajjad ne.._*
 
*_Der tak rote rahe asmee Sakina ko WahaN_*
*_Paayi hai Asbab me jab BaaliyaN sajjad ne.._*
Asmee Kanodari.
 
 
 
 
 
5
Karbalaa ta Shaam jheli,n Sakhhtiyaa,n Sajjad ne
Par Diye Hai,n Imtehaa,n Par Imtehaa,n Sajjad ne
 
Aablo,n se Rah guzar par Karbala se Shaam tak 
Fath,e Sh-h ki yu,n Raqam ki Daastaa,n Sajjad ne
 
Naam  Baiyat ka Rahaa Na Taalib,e Baiyat koi
Aisi Baiyat ki Udaai Dhajjiyaa,n Sajjad ne
Kausar Sitapuri.
 
 
 
 
 
6
اپنے پاٶں میں پہن کر بیڑیاں سجاد نے
شام و کوفہ سر کیا ہے ناتواں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
apne paanw me pahen kar bediyaa.n sajjad ne 
Shaam o kofaa sar kiya hai naatwaa.n sajjad ne 
.............
تھک گٸیں زنجیرِ ظالم چلتے چلتے راہ میں 
صبر  کا  روکا  نہیں  پر  کارواں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔
thak gayee.n zanjeer e zaalim chalte chalte raah me 
Sabr ka roka nahi par kaarwaa.n sajjad ne 
...........
مقصدِ  دینِ  محمد   کو    بچانے  کیلٸے 
رکھ دیا سانسیں ستم کے درمیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
maqsad e deene mohammad ko bachaane ke liye 
Rakh diya saansee.n  sitam ke darmiyaa.n sajjad ne 
........
ناتوانی میں ستم کی قید سے چھٹنے کے بعد 
پشت پر رکھ کر ہے بانٹی روٹیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
naatawaani me sitam ki qaid se chhutne ke baad 
Pusht par rakh kar hai baanti rotiyaa.n sajjad ne 
..........
تھام کر دل قیدِ زنداں میں تڑپ کر رہ گٸے 
اپنی خواہر کی سنی جب ہچکیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔
thaam kar dil qaide zinda.n me tadap kar reh gaye 
Apni khawaahar ki suni jab hijkiyaa.n sajjad ne 
...........
جب سوال آیا  حسین ابن علی کے صبر کا
طٸے کیا رستہ پہن کر بیڑیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔
jab sawaal aaaya husain ibne ali ke sabr ka 
Tai kiya rasta pahen kar bediya.n sajjad ne 
..........
دیکھ کر اپنی پھوپھی کو بے ردا دربار میں 
روک لیں سینے میں اپنے سسکیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Dekh kar apni phophi ko be reda darbar me 
Rok li.n seene me apne siskiya.n sajjad 
..........
غربتِ   بنتِ     شہِ والا  پہ   آنسو آ  گٸے
خون میں رخسار جب دیکھا نہاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔
ghurbat e binte shehe waala pa aansoo aa gaye 
Khoon me rukhsaar jab dekha nehaa.n sajjad ne 
..........
سر شہِ  والا کا دیکھا نوک نیزہ پر بلند
بازوۓ زینب میں دیکھی رسّیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔
sar shehe Wala ka dekha noke naiza par boland 
Baazo e zainab me dekhi rassiya.n sajjad ne 
........
خطبہءحق دے کے اے حسنین ملک شام میں 
قصر باطل پر گرا دی بجلیاں سجاد نے
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
khutba e haq de ke aiy hasnain mulke sham me 
Qasr e baatil par gira di bijliya.n sajjad ne 
حسنین حیدری معروفی
 
 
 
 
7
Baade Aashoora sahi hain sakhtiya'n Sajjad a.s. ne
Pusht per paaye the durro'n ke Nisha'n Sajjad a.s. ne
                 
Ki hifazat Deen ki sehte rahe zulmo'n Sitam 
Paao'n me lohe ki pehni bedhiya'n Sajjad a.s. ne
                   
Sar jhuka kar ro rahe the haye Gairat se Imam 
Dast-e-Zainab me jo dekhi Rassiya'n Sajjad a.s. ne
                   
Aable the Paao'n me phir bhi magar chalte rehe
Tay kiya  mushkil safar Yu'n Naatawa'n Sajjad a.s. ne
 
Dhoop ki tezi thi din me aur Shab me oas thi 
Per kiya Sajdo'n se roshan ye jaha'n Sajjad a.s. ne
 
Dil phata jaata tha gham se bekaso laachaar ka 
Jab suni zakhmi Behan ki siskiya'n Sajjad a.s. ne
 
Kheench li Dilgeer ne Paao'n ke neeche ki Zamee'n 
Sar se kheencha hai sitam ke Aasma'n Sajjad a.s. ne      
 
Maqsade Shabbir ko Karke aya'n Darbaar me 
Phoonk dala Zulm ka har Aashiya'n Sajjad a.s. ne
 
Na kiya shikwa kabhi Jafar masayab per magar
Hamde khaliq me faqat kholi Zuba'n Sajjad a.s. ne
Jafar Ali Dehradun.
 
 
 
 
 
8
جانے کیسے ہے سنبھالی بیڑیاں سجاد نے 
دستِ زینب میں جو دیکھی رسیاں سجاد نے
 
صبح سے تا شام سید ظلم سہتے ہی رہے
لاشئہ بے شیر جو دیکھی تو روتے ہی رہے
سینئے اکبر میں دیکھی برچھیاں سجاد نے
 
بیکسی سجاد کی کیسے سناٶں آپکو 
قتل ہوتے دیکھا جس نے رن میں اپنے باپ کو 
جلتے خیموں کا بھی دیکھا ہے دھواں سجاد نے
 
کربلا سے شام تک قیدی بنا کر لے گئے 
عترتِ اطہار پر ایسے ستم ڈھائے گئے 
خون کے آنسو بہائے ناتواں سجاد نے
 
ہتھکڑی ہے ہاتھ میں اور پاٶں میں ہیں بیڑیاں 
طوق ڈالا ہے گلے میں اور رسن میں بی بیاں 
بعدِ شہہ کیا کیا سہی ہے سختیاں سجاد نے
 
قافلہ اہلِ حرم کا شام تک جب آ گیا 
سیدِ سجاد کو بازار ہے تڑپا گیا 
یا علی کہہ کے سنبھالی بیڑیاں سجاد نے
 
پھٹ گیا اس دم کلیجہ عابدِ بیمار کا
جب نظر آیا ہے منظر شام کے بازار کا
دیکھ کے غازی کا سر لی سسکیاں سجاد نے
 
غیرتِ سجاد پیکر ہو بھلا کیسے بیاں 
دیکھ کے غازی کے سر کو رو رہا ہے ناتواں
سر برہنہ جب سے  دیکھی بی بیاں سجاد نے
پیکرجلالپوری
 
 
 
 
9
Deen ki khatir pehan kar bediyaa'n sajjad ne
Har qadam par ik diya hai imtehaa'n sajjad ne
 
*دین کی خاطر پہن کر بیڑیاں سجّاد نے*
*ہر قدم  پر اک دیا ہے امتحاں سجّاد نے*
 
Ghairat e Sajjad ke moo'nh ko kaleja aa gaya
Dast e zainab mei'n jo dekhei'n rassiya'n sajjad ne
 
*غیرتِ   سجّاد   کے   مُنہ   کو   کلیجہ  آ    گیا*
*دستِ زینب میں جو دیکھیں رسّیاں سجّاد نے*
 
Ghash pe ghash khate rahe rote rahe girte rahe
Par rakha jaari Hussaini karwaa'n sajjad ne
 
*غش پے غش کھاتے رہے روتے رہے گرتے رہے*
*پر  رکھا  جاری  حسینی  کارواں  سجّاد نے*
 
Khoo'n fisha'n kyu'n kar na ho sajjad e muztar ki nazar
Be-khata jab chhinti dekhei'n baliya'n sajjad ne
 
*خوں فشاں کیوں کرنہ ہوسجّادِ مضطرکی نظر*
*بے خطا جب چھنتی دیکھیں بالیاں سجّاد نے*
 
Yaad Ghazi ko kiya hoga yaqeenan baraha
Dukhtar e Sarwar ki sunkar siskiya'n sajjad ne
 
*یا د  غازی  کو  کیا  ہو گا   یقینًا   با ر ہا*
*دخترِسرور کی سنکر سسکیاں سجّاد نے*
 
Ahl e shar ko haidery jurrat dikhayi ja-baja
Sabr ka nayaab ban kar aasma'n sajjad ne
 
*اہلِ شر کو حیدری جرأت دکھایٔ جا بجا*
*صبر کا  نایاب  بن کر  آسماں  سجّاد نے*
 
Be-kasi ka be-basi ka be-ridayi' zulm ka
Sar kiya hai maarka har naatawa'n sajjad ne
 
*بے کسی کا بے بسی کا بے ردایٔ ظلم کا*
*سر کیا  ہے معرکہ  ہر  ناتواں سجّاد نے*
 
Gham' alaalat' be-ridayi' sakhtiya'n' zulm o sitam
Sabr se sab ki bana lie'n bediyaa'n sajjad ne
 
*غم' علالت' بےردایٔ' سختیاں' ظلم  و ستم*
*صبر سے سب کی بنا لیں بیڑیاں سجّاد نے*
 
Kya raqam ho kaise dekhie'n Kaifi shehr e shaam mei'n
Majma e mae-khwaar mei'n saidaniyaa'n sajjad ne
 
*کیا رقم ہو کیسے دیکھیں کیفٓی شہرِ شام میں*
*مجمعِ  مے خوار  میں  سید ا نیاں   سجّاد نے*
کیفٓی کلکتوی
 
 
 
 
 
10
Aalame ghurbat me jhelee'n sakhtiyaa'n Sajjad ne
Berida Zainab ko dekha natawaa'n Sajjad ne.
 
Qasime naushah ke tukdoo'n ko dekha dasht me
Dekhi hai Akbar ke lagte barchiya'n sajjad ne
 
Bazoe Abbas daste shah me dekha kiye
Khoon me besheer ko dekha neha'n Sajjad ne
 
Istegasa e shahe dee'n ko suna bimaar ne
Or suni besheer ki bhi hichkiya'n Sajjad ne
 
Thi rasan basta Nabi ki aal dasht e zaar me
Tauq gardan me thi pahni bediya'n Sajjad ne
 
Ghash se zindaa'n me gira shere ghazanfar shah ka
Zakhmo ke khwahar pe dekhe jo nishas'n Sajjad ne
 
Yaad manzar karke ye roe hain 40 saal tak
Dast e Zainab me jo dekhi rassiya'n Sajjad ne
 
Kyun raha baqi khuda Qumber ye tab kehne lage
Binte Sarwar ki suni jab siskiya'n Sajjad ne
[20/9 08:30] ZSyed Ali Abbas Naqvi(fasi)
Hyderabad: 786/110
 
 
Har sitam pa sabr karke natawa'n sajjad ne.
Maqsad e shae ko kiya hai jaweeda'n sajjad ne.
 
Sar khule saidaaniya'n thi qaid me islam tha .
jab sambhala shahedee'n ka karwa'n sajjad ne.
 
haay re shaam e ghariba'n ye qayamat bhi hui.
chinnti dekhi hai behan ki baliya'n sajjad ne.
 
karbala se shaam tak zanjeero'n me jakde hue.
imtihano'n par diye hain imtiha'n sajjad ne.
 
Zulm ke darbaar me batil parishan kyun na ho.
Haq ke qutbo'n se udaai dhaajiya'n sajjad ne.
 
Sunke haal e zaar jabir khaye ghash Aay momino.
Karbala ki jab sunaai daasta'n sajjad ne
Ashfaq Husain
 
 
 
 
 
11
Har qadam zulmat ki sah kar sakhtiyaN Sajjad ne
Sabr ke badal se chatiN badliyaN sajjad ne. 
 
Khoon aankho se rawan tha ghush  pe ghush khate the jub
Shimr ke haatoN pe dekhi baliyaN Sajjad ne. 
 
Har ghadi har lamha har pal Karbala se sham tuk
Sah liya julm o sitam ki sakhtiyaN Sajjad ne. 
 
Hai majburi ka aalam ye asiri ye sitam
Bap ki dekhi shikasta pasliyaN Sajjad ne
 
Khun ke aansu bahaye tub Imam e waqt ne
Dast e Zainab me jo dekhi RasiyaN Sajjad ne. 
 
Yad me Akbar ki tadpe aur kabhi besheer ki
Jub sitam ke hath dekhi barchiyaN Sajjad ne. 
 
Karbala se shaam tak Bazar me Darbar me
Zubt ki hai shimr ki har ghidkiyaN Sajjad ne. 
 
Aye phupi Amma SAKINA ji nahi payegi ab
Qaid khane me suni jub hichkiyaN Sajjad ne. 
 
Pit ke sar rote rahe jub tak madine me jiye
Yad ki  jub  bhi bahan ki siskiyaN Sajjad ne. 
 
Chut gaya Ashfaque badal zulm ke darbar ka
Apne khutbe se girai bijliyaN Sajjad ne.
Ali Abbas Faseeh

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP