Rote haiN Shabbeer o Shabbar Fatima ki qabr par

( By 1.Bober Nawab, Madrasi 2.Mansur Raza Jafari 3.Sibtain Sayyadi 4.Khadim Hussain. 5.Rabdi yusuf ali i 6.Paikar Jalalpuri 7.Sibtain Sayyadi 8.SAFDAR ALI KHARODIYA 9.Imran Sandhawali 10.Gaazi Abbas Zainabi 11.Saiyad Javed 12.Sarkhil Nagri 13.Naushad Bijani 14.Naushad Bijani 15.Zehra Naqvi Amrohvi 16.Jafar Ali Dehradun 17.Mohammad ali Saabir 18.Ashfaq Husain 19.Sajjad Haider Naqvi

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    26/12/2021
Rote haiN Shabbeer o Shabbar Fatima ki qabr par

BAZM-E-SHOARA  بزم شعراء

Shahadat Bibi Fatema s.a.

Tarhi misra by Naushad Bijani
Rote haiN Shabbeer o Shabbar Fatima ki qabr par.


Qafiya....Shabbar
Radeef.......Fatima ki qabr par


Shoara
1.Bober Nawab, Madrasi
2.Mansur Raza Jafari
3.Sibtain Sayyadi
4.Khadim Hussain.
5.Rabdi yusuf ali i
6.Paikar Jalalpuri
7.Sibtain Sayyadi
8.SAFDAR ALI KHARODIYA
9.Imran Sandhawali
10.Gaazi Abbas Zainabi
11.Saiyad Javed
12.Sarkhil Nagri
13.Naushad Bijani
14.Naushad Bijani
15.Zehra Naqvi Amrohvi
16.Jafar Ali Dehradun
17.Mohammad ali Saabir
18.Ashfaq Husain
19.Sajjad Haider Naqvi


1
Pad Rahe hain Nowha Hydar - Fatima ki Qabr Par
Rote hain Shabbeero Shabbar - Fatima ki Qabr Par

Kahte hain Hasnain Haye Jeeke Ab Hum Kya Karen
Payenti Rakhey Huve Sar - Fatima ki Qabr Par

Ghar me Veeraani hai Chaayi Chingaya hai Chain bhi
Aaye hain Kahne ko Dilbar - Fatima ki Qabr Par

Ghash Pe Ghash Aata hai Har Pal Zainab O Kulsoom Ko
Aake Kya Dekhen Wo Manzar Fatima ki Qabr Par

Neend Kab Aayi hai Mujko Aapke Bin Amma Jaa'n
Rote hain Ye Kahke Sarwar - Fatima ki Qabr Par

Apni Turbat Se Nikalkar Sayyada ki Yaad me
Aati hai Roohe Payambar Fatima ki Qabr Par

Kya Gayi Tum Chordkar Mujko Mai Tanha Hogaya
Kahte hain Hydar Tadapkar - Fatima ki Qabr Par

Haajaten Apni Jo Dil me Leke Jaate hi Wahaa'n
Poori Ho jaati hain Aksar - Fatima ki Qabr Par

Chaahne Walon Ko Apne Milte hi Mauqa Agar
Jaake Wo Banjaayen Naukar - Fatima ki Qabr Par

Hai Lahad Ab bhi Andheri Us Pe Saaya bhi Nahin
Dekhiye Kaisa hai Mahshar - Fatima ki Qabr Par

Jaake Tum Nauha Padho Gham me Bober Phirse Wahaa'n
Ashk ke Barsaavo Gauhar - Fatima ki Qabr Par
Bober Nawab, Madrasi


                                                              2
  ہے بپا کہرامِ محشر فاطمہ کی قبر پر
روتے ہیں شبیّر و شبّر فاطمہ کی قبر پر

فاتحِ خیبر کی آنکھوں سے ہیں اشکِ خوں رواں
ہے قیامت خیز منظر فاطمہ کی قبر پر

ہر غلامِ پنجتن کی آرزو ہے بس یہی
اک دیا دیکھیں منوّر فاطمہ کی قبر پر

دیکھنے والوں دیکھا بارہا  روتے ہوئے
پڑھتے ہیں قرآن حیدر  فاطمہ کی قبر پر

ہائے زائر فاتحہ بھی پڑھ نہیں سکتے وہاں
 پہرا دیتے ہیں ستمگر فاطمہ کی قبر پر

اے خدا پہنچا دے مجھ کو بھی مدینہ تاکہ میں
ڈال دوں پھولوں کی چادر فاطمہ کی قبر پر

آرزو منصور کی پوری ہو یا رب ایک بار
ایک سجدہ ہو میسّر فاطمہ کی قبر پر
منصور رضا جعفری



3
Yaade madar me tadakar Fatima ki qabr par
Rote hai'n Shabbir o Shabbar Fatima ki qabr par

Aasma larzaa zamee'N par Qayamat aagayi
HAL chalaye jab Sitamgar Fatima ki qabr par
Sibtain Sayyadi



4
FATEMA KE RANJ SUNKAR FATEMA KI QABR PAR.
HAAYE GIRTE ASHK-E-HAIDER FATEMA KI QABR PAR.

PASLIYAAÑ MAAÑ KI SALAMAT NA RAHI KEHTE HUWE.
ROTE HAIN SHABBIR O SHABBAR FATEMA KI QABR PAR.
Khadim Hussain.



5
Hai Doobe Haidar Fatema Ki Qabr Par
Rote Hain Shabbir-O-Shabbar Fatema Ki Qabr Par

Ki Vasiyat Waqt-E-rehlat Murtuza Se Aap Ne
Koi Na Aaye Sitamgar Fatema Ki Qabr Par

AasmaaN rehmat Ka Chhoota Zainab-O-Kulsoom Se
Kehte Hai Jibreel Rokar Fatema Ki Qabr Par

Ghamzadaa Shabbir-O-Shabbar, Ro Rahe Hai Murtuza
Hai Qayaamat Ka Ye Manzar Fatema Ki Qabr Par

De Dilaasa Kis Tarhaa Se Shabbar-O-Shabbir Ko
Kis Tarha Samjaaye Hamsar Fatema Ki Qabr Par

Bij'ato Minni Ko Rone Aaj Bhi Sham-O-Sahar
Aati Hai Rooh-E-Payambar Fatema Ki Qabr Par

Gumbad-E-Khijra Ka Saaya Is Liye "Yusuf" NahiN
Saaya Karta Hai Wo Jaakar Fatema Ki Qabr Par
Rabdi yusuf ali i




                                                         6
ہے بپا دیکھو یہ محشر فاطمؐہ کی قبر پر
پیٹ کر سر روئے حیدؑر فاطمؐہ کی قبر پر

دفن کرکے خاک میں بنتِ پیمبرؐ کو علیؑ 
روتے ہیں ہائے تڑپ کر فاطمؐہ کی قبر پر

یاد کرکے فاطمؐہ کی پسلیاں ٹوٹی ہوئیں 
روتے ہیں شبیؑر و شبؑر فاطمؐہ کی قبر پر

دیکھنی ہے جو تمہیں اُجڑی ہوئی باغِ جناں 
دو قدم آٶ تو چل کر فاطمؐہ کی قبر پر

چین آجائے نبیؐ کو شاد ہو مولا علیؑ 
اک دِیا گر ہو منور فاطمؐہ کی قبر پر

ہائے ٹوٹی قبر کا پُردرد منظر دیکھ کر
روتی ہے روحِ پیمبرؐ فاطمؐہ کی قبر پر

غم زدہ ہیں چاہنے والے یہ منظر دیکھ کر
پہرہ دیتے ہیں ستمگر فاطمؐہ کی قبر پر

باخدا صدیوں سے جاری ہے بقیہ پر ستم 
رو نہیں سکتے ہیں کُھل کر فاطمہؐ کی قبر پر

دیکھ کر ٹوٹی لحد ٹکڑے ہوا میرے جگر 
ہے بہت پُر درد منظر فاطمؐہ کی قبر پر

آرزو ہے دل کی یہ جب بھی مدینہ جاٶں میں 
اک شمع روشن ہو پیکر فاطمؐہ کی قبر پر
پیکر جلالپوری



7
Yaade madar me tadapkar Fatema ki qabr par
Rote hai'n Shabbir o Shabbar Fatema ki qabr par

Aasma'N larzaa zamee'N par bhi Qayamat aagayi
HAL chalaye jab Sitamgar Fatema ki qabr par

Dekhkar mismaar turbat Sayada ki haye haye
Roti hai roohe payamber Fatima ki qabr par

Gurbate binte nabi ki yaad me subho masa
Bil bila kar roye haidar Fatema ki qabr par

Hota hai rukhsat watan se deene haq ka paasba,n
Ashqko'n ki chadar chadakar Fatema ki qabr par

Daastaane gham sunati hai ali ki laadli
Zaqm bazu ke dikha kar Fatima ki qabr par

Ya ilahi ilteja"Sibtain"ki hai bas yehi
Phir se rauza ho munawwar Fatema ki qabr par
Sibtain Sayyadi



8
Need kaise aaye gi  bin aapke   amma mujhe
Kehthi hai zainab tadapkar  fatima ki qabr par

Pad rahe hai nohwa  "safdar" fatima ki qabr  par
Rothe hai sabbir o sabbar fatima ki qabr par
SAFDAR ALI KHARODIYA




                                                       9
تھا بپا کیسا وہ محشر فاطمہ ع کی قبر پر
دل دکھاتا تھا وہ منظر فاطمہ ع کی قبر پر

ہائے زہرا ع ہائے زہرا ع کی صدائیں لب پہ تھیں 
جب گرے غش کھا کے حیدر فاطمہ ع کی قبر پر
              عمران سندھاولی



10
Chaar soo ghum ka hai Manzar Fatema ki qabr par
Roti hai rooh e payambar Fatema ki qabr par

Khoon aankho'n se bahaakar Fatema ki qabr par
Rotey hai Shabbir o Shabbar Fatema ki qabr par

Kyu'n na tharraaye zamee'n kyu'n naa falak larzey ke jab
Marsiya khwa'n hai payambar Fatema ki qabr par

Haath seeney par hai aankho'n se lahoo ruktaa nahi
Nauha yu'n padhtey hai Hyder Fatema ki qabr par

Haath se moo ko dabaakar raat ki taareeq mey
Betiyaa'n rotii hai aakar Fatema ki qabr par

Sabz gumbad se nikalkar dekhiye ya Mustafa
Hai nahi saaya mayassar Fatema ki qabr par

Kartey hai saaya abaa se aaj bhi Kaazim ke saath
Baaqar o Sajjad o Jaafar Fatema ki qabr par

Misl e kunfuz taaziyaana haath mey hai ley khadey
Aaj bhi aadaa ke lashkar Fatema ki qabr par

Chauda sadiyaa'n baad bhi mazloomi e Zehra pey hum
Ro nahi saktey hai khulkar Fatema ki qabr par

Fatemiyyah misl e ayyaam e aza hogi bapaa
Aayega jab ibney hyder Fatema ki qabr par

Khismat e *"Gaazi"* mey likhdey ya khuda ke dekhley
Aansuo'n ka ek samandar Fatema ki qabr par
Gaazi Abbas Zainabi



11
Bhukhe piyase bete din bhar Fatima ki qbar par
Rote hai shabbeer o shbaar Fatima ki qabr pr

Aap k bin kis tarah jee paayega Amma hussain
Keh k ye tadpe hain Sarwar Fatima ki qabr par

Gum zda kulsoom o zainab or ali hain be qarar
Ashak ankho mai hai bharkar Fatima ki qabr pr

Be Kali baba ko hai or chain zainab ko nahi
Roi ye kulsum kehakar Fatima ki qbar par

Sari duniya to hai roshan qabre zehra be charag 
Kehte hai,n rokar paymbar Fatima ki qabr par

Kis tarah taameer roza ho bhla javed ab
Jab k hai,n qabiz sitamgar Fatima ki qbar par
Saiyad Javed



12
ROTE HAIN SHABBER O SHABBAR FATIMA KI QABR PAR
DEKHKAR TADPE HAIN *HAIDER* FATIMA KI QABR PAR

KHULD SE SAR PEET THI ROOHE PAYAMBAR AA GAYI
ZULM JAB DHAYE SITAMGHAR FATIMA KI QABR PAR
Sarkhil Nagri



13/14
Dil ki aankhoN se nazar kar Faatema ki qabr par.
Noor ke udte haiN paykar Fatema ki qabr par

Dhoop me milkar malak apne paroN se dam-ba-dam.
Karte haiN saaya woh din bhar Faatema ki qabr par.

Raat hote hi falak par chaand bhi misle chiraagh.
Noor failaata hai shab bhar Faatema ki qabr par.

Hoor jab jannat se aati hai ziyaarat ke liye.
Karti hai mas apna zewar Faatema ki qabr par.

Har sitaara noor se ho kar muzayyan raat bhar.
Jilmilata hai baraabar Faatema ki qabr par.

GauharoN se kam nahi *Naushad* woh mere liye 
Jo nazar aate haiN kankar Faatema ki qabr par.
Naushad Bijani


13/14
Ashk ki chaadar chad'ha kar Faatema ki qabr par.
Rote haiN shabbeero shabbar Faatema ki qabr par.

Dard tooti pasliyoN ka kaash tu kehti mujhe.
Padte hai nauha yeh haidar Faatema ki qabr par.

Gumbade khizra ka saaya chhor kar roohe nabi.
Dhoop me roti hai aksar Faatema ki qabr par.

Munhadim zaalim ne kar ke is qadar loota mazaar.
Reh gaya bas ayk patthar Faatema ki qabr par.

Khoon rotehaiN sada *Naushad* aakar ghayb se.
Naasire binte payambar Faatema ki qabr par.
Naushad Bijani




15
Noha ye pdhte hain haider fatema ki qabr pr
Rote hain shabeer o shabber fatema ki qabr pr

Bad mere Kitna ummat ne sataya hai tumhe 
Ro k ye bole payambar Fatema ki qabr pr

Ro rahi hain maa k gham m betiyaN sr peet kr
Hai bda pursoz mnzar fatema ki qabr pr

Aap k bin sehne Kahana m udasi h bht
Fizza ye boli tadap kr Fatema ki qabr pr

Bad Amma aap k Jina bda dushwar hai
Gir gaye hasnain keh kr Fatema ki qabr pr

Mere dil mai aakhri khahish hai bs zehra yehi 
M padhu noha ye jakr Fatema ki qabr pr
Zehra Naqvi Amrohvi



 16
Hai qayamat ka ye manzar faatema ki qabr par
Rote haiñ shabbeero shabbar faatema ki qabr par

Tujhpe dar jalta gira pehlu shikasta ho gayaa
Karte hai noha ye haider faatema ki qabr par
Mohammad ali (saabir).



17
Ghamzada hain Aale Athar Fatima a.s. ki qabr par 
Rote hain shabbir o Shabbar Fatima ki qabr par

Chhin gaya Amma ka Saya Zainab-o-Kulsoom se
Bain ye karti hain dukhtar Fatima a.s. ki qabr par

Baade paighambar uthae hain masayab behisaab keh rahe hain ro ke Haider Fatima a.s. ki Qabr per

Sog me doobi khadija pursa lene ke liye 
Khuld se aayi hai maadar Fatima a.s. ki Qabr per

Muztarib hain Aaj Turbat me Mohammed Mustafa s.a.
Khak hain daale saro'n per fatima s.a. ki qabr par

Qaatilane Zehra per laanat kare'nge umrbhar 
Ye Ahad  kerta hai zaayer Fatima a.s. ki qabr par

Dil phata jaata hai manzar Aaj bhi ye dekhker 
Na koi Saya hai ooper Fatima a.s. ki qabr par

Jald hi roza banaenge zamane ke Imam 
Ye Yaqee'n hai Dil ko Jafar Fatima a.s. ki qabr par                 
Jafar Ali Dehradun



18
girpade gash khake Haider Fatemah ki Qabr par
agayi rooh-e- payamber 
Fatemah ki Qabr par

waqt - e - rukhshat Zainab-o- kulsoom tadpi khaak par 
jis tarha Shabbir-o- shabbar Fatemah ki Qabr par

aap ke bin zindagi pe khaak hai amma meri
 kehte the hasnain rokar  fatemah ki Qabr par 

 jab Baqqaia mei padha sher-e- khuda ne marsiya
 tha bohot Dilsooz manzar fatemah ki Qabr par   
 
 sab ke sab girya kuna the Arsh se aakar malak 
mus kiya Jibreel ne par Fatemah ki Qabr par

Dekh kar hasnain ko maa ki lehad par yeh laga
 girgaye mehraab o mimbar Fatemah ki Qabr par.

Gar khuda taufeek de tujhko ziyarat ka kabhi
 Daal de Ashfaque chadar Fatemah ki Qabr par



19
Zulm karte hain sitamgar Fatima ki qabr par
Na koi saya na Chadar Fatima ki qabr par

Kar diya mismaar roza malka e konain ka
Dil phata jata hai manzar dekh kar Hasnain ka
Bole rokar haye Madar Fatima ki qabr par

Ya khuda Khairunissa par kesi aafat aai hai
Suni hai qabr e mubarak gurabat o tanhai hai
Ehle haq rooe na kyun kar fatima ki qabr par

Be kafan lasha pada tha dhoop mai Shabeer ka
Dhoop mai hai haye roza madar e Shabeer ka
Boli Zainab peet kar sar Fatima ki qabr par

Dekh kar mismaar roza kese aayega sukoo'n
Aahq ban kar raat din behta rahe aankhon se khoo'n
Behte hain Ashaqo'n ke sagar Fatima ki qabr par

Karte the taazem jis beti ki fakhr e Ambiya
Zailmo ne haye us ko chain na lene diya
Ghamzada Ruh e Payamber Fatima ki qabr par

Jis ghadi utha janaza Mustafa ki Jaai ka
Dil tadap kar reh gaya Hasnain ki Maa Jaai ka
Rote hain Shabeer o Shabeer Fatima ki qabr par

Ya Imam e Muntazir ab to madad ko aaiye
Marqad e Zehra pe Roza shaan se Banwaiye
Hai bohot pursoz manzar Fatima ki qabr par

Ek ghadi ummat ne mujko chain na lene diya
Zulm itne dhaaye Mujh par dil mera chali kiya
Bain ye karte the Haider Fatima ki qabr par

Kehte hain Ahle Aza Sajjad ro kar subh o shaam
Hai bohot mazaboor bibi aap ke ham sab gulaam
Royenge ek roze jaa kar Fatima ki qabr par
Sajjad Haider Naqvi

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP