Diladi qayd se deeN ko najaat Abid ne

( By 1.Naushad Bijani 2. Sibtain Sayyadi 3.Jafar Ali Dehradun 4.Shaker Sayyadi 5.Imran Sabdhavali 6. Mohammad Ali Saabir 7.Sajjad Haider Naqvi 8.Safdar ali Kharodia 9.Sarkhil Nagri 10.Mansoor Raza Jafri 11.Bober Nawab, Madrasi 12.Ashfaq Hussain 13.Rizwan Karbalai 14.Zehra Naqvi Amrohvi

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    07/01/2022
Diladi qayd se deeN ko najaat Abid ne

 
بزم شعراء BAZM-E-SHOARA
Tarhi misra.
Diladi qayd se deeN ko najaat Abid ne
Misra by Naushad Bijani.
 
 
 
1.Naushad Bijani
2. Sibtain Sayyadi
3.Jafar Ali Dehradun
4.Shaker Sayyadi
5.Imran Sabdhavali
6. Mohammad Ali Saabir
7.Sajjad Haider Naqvi
8.Safdar ali Kharodia
9.Sarkhil Nagri
10.Mansoor Raza Jafri
11.Bober Nawab, Madrasi
12.Ashfaq Hussain
13.Rizwan Karbalai
14.Zehra Naqvi Amrohvi
 
 
 
 
1
Banake apne lahoo se dawaat Abid ne.
Likhe haiN sabr ke kaamil lughaat Abid ne.
 
Luta di deen pe kul kaaenaat Abid ne.
Magar di taalibe bay'at ko maat Abid ne.
 
Sare sitam juda shamseere sabr se kar ke.
Fane vigha ke nikhaare nikaat Abid ne.
 
Atash husain ki har waqt yaad rakhte huve.
Kabhi nazar na ki soo e furaat Abid ne.
 
Pade the laashe azeezoN ke ja-b-ja ran me.
Padi hai waqt pe fir bhi salaat Abid ne
 
Aza ka farsh ata kar ke saari dunya ko.
Sikhaaye tarze hayaat o mamaat Abid ne.
 
Nabi ki misl hai wahdaniyat ko de ke farogh
Diladi qayd se deeN ko najaat Abid ne.
 
Lutaai maine hai daulat aza pe jab Naushad.
Ada kiye haiN woh sab akhrajaat aAbid ne.
Naushad Bijani
 
 
 
2
Mita ke zulmo Sitam ki Hayaat Abid ne
Diladi Qayd se dee'N ko Najaat Abid ne
 
Yazeediyat ki hukumat mita ke Khudbo'n se
Dikhaaye sab ko Ali ke Sifaat Abid ne
 
Furaat e sabr me har Daastan e Baiyat ke
Bahaaye phaad ke sab kaghazaat Abid ne
 
Ameere Shaam ka Chehra jhulas gaya dekho
Khilaaf  e zulm uthaayi hai Baat Abid ne
 
Yazeedi fiqr ko paamal karne Duniya me
Sunaaye Shaah ke kul Waaqi,aat Abid ne
 
Dayare Shaam Talak Pabarehna kar ke Safaar
Masal di Pairo'n se baiyat ki Zaat Abid ne
 
Pehen ke Bediaya'n zinda'n me karke sajda ye Sukur
Bachaye dher me Saum o Salaat Abid ne
 
Bas ak khutbe se darbaare Shaam me "Sibtain"
Dikha di zulm ko Din me hi Raat Abid ne
Sibtain Sayyadi
 
 
 
3
Hamesha hal ki meri mushkilaat Aabid a.s. ne
Suni hai Dil ki mere jab bhi baat Aabid a.s. ne
                 
Utha sakega na koi sawaal baiyat ka 
Sitam ko sabr se di aesi maat Aabid a.s. ne
 
Salakhe'n aahini pighlake apne Sajdo'n se
Diladi qaid se Dee'n ko najat Abid ne
 
Gale me tauq thi pao'n me bediya'n Phir bhi
Na tark koi kiya wajibaat  Aabid a.s. ne
 
Bade jo maqsade Shabbir ko mitane ko 
Be tegh kaate hain wo saare hath Aabid a.s. ne
 
Khuda se raabta karne ke waaste hamko 
Duao'n ke hain Diye maujuzaat Aabid a.s. ne
 
Suna ke khutbe bina khauf qasre shahi me
Mi
Bacha liya hai Dee'n Zainab a.s. ke sath Aabid a.s. ne
 
Khuda ke deen ko koi mita nahi sakta
Ise pilaya hai aabe hayaat Aabid a.s. ne
 
Kaha'n ye Zikre imamat kaha'n pe tu Jafar 
Kiya hai ye bhi magar Mumkinaat Aabid a.s. ne
Jafar Ali Dehradun
 
 
 
4
LUTA KE KUNBE KO ZAINAB KE SAATH ABID NE,,,,,
DILAADI KHAID SE DEE,N KO NAJAATH ABID NE,,,,,,
 
JAHAA''N ME KARBOBALA SE DAYARE SHAAM TALAK,,,,,
BANAADI SABRE KI EK KAYENAATH ABID NE,,,,,
 
BA SHAKLE FARSHE AZA HUM HUSSAIN WALON KO,,,,,
ATAA JAHA,N ME KI RAAHE NAJAATH ABID NE,,,,,
 
YAZEEDI FIQRE KO JAAKAR YAZEED KE GHAR ME,,,,,
KHUD APNI KHUTBON SE MAARI HAI LAATH ABID NE,,,,,
 
BACHANE DEEN E KHUDA KO BANI UMAYYA SE,,,,,
BAHAADI JISME SE KHOO,N KI FURAATH ABID NE,,,,,
 
ISI LIYE THO ZUBAA,N PAR NAZAR NAHI AATA,,,,,
KUCHALDI PAAWON SE BAYYATH KI BAATH ABID NE,,,,,
 
NA HUM KO CHAHIYE MUFTI TUMHARE TAALIMAATH,,,,,
SIKHA DIYA HAI HAME DEENIYAATH ABID NE,,,,,
 
FARISHTA MOUTH KA MUJHSE YE KHWAAB ME BOLA,,,,,,
BADHA   DI   SAYYADI   TERI    HAYAATH  ABID  NE,,,,,
SHAKER SAYYADI
 
 
 
                                        5
مٹا کے راہ کی سب مشکلات عابد ع نے 
دلادی قید سے دیں کو نجات عابد ع نے 
 
کیا جو شاہ نے جلتی زمین پر سجدہ
اُس ایک سجدے کو بخشی حیات عابد ع نے 
عمران سندھاولی
 
 
 
6
Khuda ke deeñ ko hai bakhshi hayaat aabid ne
Dilaadi qayd se deeñ ko nijaat aabid ne
 
Baland kar diye yuñ! Haq ke naare karbal meiñ
Ke de di zulmo sitam ko haiñ maat aabid ne
Mohammad ali saabir
 
 
 
7
Ibaadato'n mai guzari Hayaat Abid ne
Kabhi na choda Namazo'n ka sath Abid ne
 
Husainiyat ka deher mai nikal kar suraj
Yazidiyat ki sada kar di Raat Abid ne
 
Yadeez e shaam ka darbaar misle khaibar ke
Ulat ke rakh diya Haider sifaat Abid ne
 
Zami'n kheekas gai dushman ke paao'n se jese
Khuda Rasool ki chedi jo baat Abid ne
 
Namaz o Roza o Sajde gawahi dete hain
Saja ke rakh di hai ye Kayenaat Abid ne
 
Janab e Saniye Zehra ko sath mai lekar
Dila di Qaid se Dee'n ko najaat Abid ne
 
Bicha raha tha jo islam ko mitane mai
Palat ke rakh di Yazidi besaat Abid ne
 
Alam ke saaye mai Sajjab jab dua mangi
Kari'n hain dur sabhi mushkilaat Abid ne
Sajjad Haider Naqvi
 
 
 
 
8
Ada. Kiya Hai. namazo. ko. Pushte Naqa par
Kabhi. na Choda namazo. Ka Sath abhid Ne
 
Na Inka Rasta Tufaane Zulm Rok Saka
Dila Di Qaid Se Di ko Nijaat Aabid Ne
Safdar ali Kharodia
 
 
 
 
9
HAMARI EK BHI TAALI NA  *BAAT* ABID NE
KIYA HAI DOOR HAR EK *MUSHKILAAT* ABID NE
 
KUL AMBIYA KE LABO'N PAR SADA HAI YE AB BHI
IBADATO'N KI BADAYI *HAYAAT* ABID NE
 
TALAB NA KAR SAKA BAIYAT KOI BHI BAADE HUSSAIN
ZUBAAN KHAINCH LI NIKLI JO *BAAT*  ABID NE
 
AMEER SHAAM TO LAGTA THA HO GAYA GOONGA
DIKHAYe AISE HAIN KUCH MOUJUZAAT ABID NE
 
AMEERE SHAAM NA AB HOGA DUSARA PAIDA
USI KE GHAR ME HI DEDI  HAI *MAAT* ABID NE
 
MITTA KE ZULM KI HASTI JAHAAN SE SARKHIL
DILADI QAYD SE DEEN KO *NAJAAT* ABID NE
Sarkhil Nagri
 
 
 
 
10
Saja k sajdo,n ki ik kaynat Aabid ne
Ibadato,n Ko ata ki Hayat Aabid ne
 
Nishan tak nahi aata Nazar Kahi,n  os ka
Yazid e nahs Ko di aisi Maat Aabid ne
 
Khusha sahifaye sajjadiya ke unwa,n se
Baha di aik Dua ki Furaat Aabid ne
 
Qubool kr ke aseeri ki sari taklife,n
Dila di qaid se dee,n Ko Najat Aabid ne
 
Yazid ke liye karbobala se sham talak
Qadam qadam kee,n khadi Mushkilaat Aabid ne
 
Hazaar zulm sahe dam ba dam mager Mansoor
Diya na hath me zalim ke hath Aabid ne
Mansoor Raza Jafri
 
 
 
 
11
Kuch Aise Sajdon Ko Baqshi Hayaat Abid Ne
Dilaadi Qaid Se Dee’n Ko Najaat Abid Ne 
 
Bus Eik Sabr Se Har Zulmo Jor Ke Aage
Badal Ke Rakdi Hai Ye Kaayenaat Abid Ne
 
Bachaane Maqsade Sarwar Wo Kaamiyaab Huvin
Diya Phupee Ka Kuch Istarha Saath Abid Ne
 
Wo Tap me Woas me Karbobala  se Shaam Talak
Safar ki Kaati hai Har Eik Raat Abid Ne
 
Imame Waqt They 40 Saal Baap ke Baad.
Dikhaaye Apne Kayee Moujizaat Abid Ne
 
Shaqi Ke Ghar me Khud Uska hi Poochkar Shajra
Bataayi Dunya Ko Zalim Ki Zaat Abid Ne
 
Pasey Namaz Baraa'at Jo Karke Dushman Se
Hame Sikhayi hai Laanat ki Baat Abid Ne
 
Bober Ghira Tha Badee Mushkilon me Jab Islam
Diya hai Showq Se Tab Uska Saath Abid Ne
Bober Nawab, Madrasi
 
 
 
 
12
EbadatoN me guzari hayat Abid ne
Guzari shukr ke sajdo mei raat Abid ne.
                   
sahifa Baksha duaaon ka momino ke liye 
mita di Quom ki yun mushkilat abid ne.
               
yeh deen e haq jo bacha hashr tak mila humko
Sikhadi iski har ek ahtiyat abid ne. 
                 
sakina deke zamanat Aseer hai abtak 
diladi Qaid se deen ko nijaat abid ne
             
sulake maut ki aaghosh mei Sakina ko 
badhayi tab kahin deen ki hayat abid ne.
                  
Dilake sabr ko mehraaj sham o kufa mei
ulat di zulm ki saari bisat abid ne.
                   
ek inkhelab tha darbar e sham mei barpa 
sunayi karbobala ki jo baat abid ne.
                   
bachaya zainab e mustar ne deen baad e Hussain 
diya hai asle mei bas unka sath abid ne.
              
Nabi sa Hilm ali sa jalal sabr e Hussain
dikhadi zulm ko saari sifaat abid ne.
                   
aseeri ahl-e- haram ki wo mushkilon ka safar
sahi hai dum ba Qadam mushkilat abid ne.
                  
lahu ke ashq imam e zaman roote hai
jo imtehaan diya teri zaat abid ne. 
                   
is hi tarha raho Ashfaque zulmaato ke Khilaaf 
Diya hai zulm ko jis tarha maat abid ne.
ZAshfaq Hussain
 
 
 
 
13
SITAM KI QAID ME PADH KAR SALAAT AABID ME 
BATA DI AHMIYATE  WAJIBAAT AABID NE
 
KAHA HUSAIN NE DEE,N KO HAYAAT BAKSHI HAI
SUNA SUNA KE MERI WAARDAAT AABID NE 
 
KISAAS LENE KO ME SHAAM JA RAHA HU CHACHA 
KAHA YE DEKH KE SUYE FURAAT AABID NE
 
JIGAR TO DEKHIYE INKA GIRFT HOKAR BHI 
ADU SE KI HAI KAHA,N DAR KE BAAT AABID NE
 
PINA KE KHUTBE KE LAFZO KO HATHKADI KA LIBAAS
SITAM SHIYAAR KE BANDHE HAIN HATH AABID NE
 
YAZEED QAIDI SE THAK HAAR KAR YE KEHNE LAGA
KHARAAB KAR DI MERI KAYENAAT AABID NE
 
THA IMTEHAAN YE AYYOOB SE BHI SAKHT MAGAR 
KAHI PE SABR KA CHODA N SATH AABID NE
 
ADU NAMAAZ KA HUKME AZAAN DENE LAGA
BADHA KE RAKHKHI HAI YU MUSHKILAAT AABID NE
 
KIYA HAI DIN KE UJALO ME BAAP PE GIRYA 
GUZAARI SHUKR KE SAJDE ME RAAT AABID NE
 
AZA E SHAAHE SHAHEEDA KI SHAQL ME RIZWA
HAME DIKHAI HAI RAAHE NAJAAT AABID NE
Rizwan Karbalai
 
 
 
14
Ye boli paishe khuda. haq ki zaat aabid ne
Qadam qadam pa diya mera sath aabid ne
 
Dila di qaid se deeN ko nijaat abid ne
Pilaya sajdo ko aabe hayat abid ne
 
Zra ye soncho charago tumhare hote hue
Guzari kitne andhero mai rat aabid ne
 
Ye koi jhuta muaarriq bta nhi skta
Agr badaya ho baiyat ko hath aabid ne
 
Payambaro ki ibadat nisar hoti hai
Kiye wo qaid mai somo salaat abid ne 
 
Jinhe guroor tha khnjr Ki tez dharooN pr
Hmesha di unhe khutboN se maat abid ne
 
Falak se aake RasooloN ne daad di zehra
Ult di Zulm ki jb kaayenaat abid ne
Zehra Naqvi Amrohvi

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP