( By Ghalibzama Mirza, Anees Abr, Rizwan Karbalayi, raheman ali, ASMEE Kanodari, Faseeh Naqvi, Shahid Mirza, Chaman Rahmati, kaamyaab kaami, Navab bober, saif Kanodari, Paikar Jalalpuri, Altaf Maroofi, Navshad Bijani, Mansoor Raza Jafri, taher, Kaifi Kalkatwi, Mukhtar Ali Malpara
in BazmeShoara )
بزم شعراء
BAZM-E-SHOARA
TARHI Misra
Ho BaHo Ahmed e Mokhtar Mohammed Baqir (a.s)
*Qafiya....... Mokhtar*
*Radeef......Mohammed Baqir*
Misra by
Janb Chaman Alipuri sahab
1. Janab Ghalibzama Mirza
*Ilm ke Saiyado Sardaar Mohammad Baqir.*
*Hilm me Haider e Karrar Mohammad Baqir.*
*Dekh ke kehte the "Ghalib" ye zamaane waale.*
*Hu ba hu Ahmed e Mukhtaar Mohammad Baqir.*
Ghalibzama Mirza
2. Janab Anees Abr
waris e hyder e karraar Muhammad Baqir(as)
hu ba hu Ahmed e mukhtaar(saw) Muhammad Baqir(as)
jehl se bar sar e paikaar rahe har lamha
ilm hai aapki talwaar Muhammad Baqir(as)
Sheh(as) ki qurbaniyaaN ta-hashr rahegi zinda,
Karbala ke haiN nigehdaar Muhammad Baqir(as)
Jehl phirta tha bada sir ko uthaaye lekin
aapne toda ye pindaar Muhammad Baqir(as)
kis tarah hashr me dikhlayega muh Ahmed(saw) ko
aapse hoga jo be-zaar Muhammad Baqir(as)
teen sooraj tere mehmaan bane karbobala
shah e deeN(as), Aabide e beemaar(as), Muhammad Baqir(as)
usko haq hai ke kahe maine Nabi(saw) ko dekha,
jo kare aapka deedaar Muhammad Baqir(as)
eyk jumbish se hi kham karde kamar dushman ki
aapka abruu e khamdaar Muhammad Baqir(as)
aapki shaan me phuloN se saja laya huN,
toote phoote ye kuchh ashaar Muhammad Baqir(as)
ilm ki dijiyoN khairaat har ik momin ko
ilteja karta huN sarkaar Muhammad Baqir(as)
khun roti huwi Sajjad(as) ki aankoN ne kaha
haiN shah e deeN ke azadaar Muhammad Baqir(as)
aapke chahnewaale sada aabaad rahe,
na kisi gam se ho do-chaar Muhammad Baqir(as)
aapki nasl se haiN aapke hamnaam hai jo
jald aa jaaye wo sardaar Muhammad Baqir(as)
Abr ke khaame se aane lage khusboo e sana
fikr ka dasht ho gulzaar Muhammad Baqir(as)
Anees Abr
3. Janab Rizwan Karbalayi
DEENE AHMAD KE MADADGAAR MOHAMMAD BAKIR
KUFR KE WASTE TALWAAR MOHAMMAD BAKIR
AY MERE MALIKO MUKHTAAR MOHAMMAD BAKIR
TUM PE KURBAAN ME SO BAAR MOHAMMAD BAKIR
KAR KE HAKIM KO GIRAFTAAR MOHAMMAD BAKIR
DHA GAYE ZULM KI SARKAAR MOHAMMAD BAKIR
QAID ME REH KE BHI HAR WAQT KHILAFE BATIL
SABR SE KARTE RAHE WAAR MOHAMMAD BAKIR
AAPKE BABA NE MIMBUR PE QADAM RAKHKHA HAI
HOGA AB HASR NAMUDAAR MOHAMMAD BAKIR
ILM KI SHAKL ME BU JEHL KI OULAADO PAR
CHALTI HAI AAPKI TALWAAR MOHAMMAD BAKIR
WAQT KE MARHABO ANTAR KI KAMAR TODENGE
WAQT KE HAIDERE KARRAR MOHAMMAD BAKIR
ROZe MEHSHAR TUMHE MIL JAYEGI TAGDI KEEMAT
ASHQE GAM KE HAIN KHARIDAAR MOHAMMAD BAKIR
AAP KE REHTE JAHANNUM ME NAHI JAA SAKTA
AK BHI SHEH KA AZADAR MOHAMMAD BAKIR
AAP SE UNKI WAFADARI KI UMMID NAHI
JIN KE AJDAD THE GADDAR MOHAMMAD BAKIR
BAABE FIRDOS KI PESHANI PE YE LIKH'KHA HAI
BAAGE JANNAT KE HAIN SARDAAR MOHAMMAD BAKIR
AASHIKE HAIDERE KARRAR KE HAR DUSHMAN KO
KAR DO DUNIYA SE TADIPAAR MOHAMMAD BAKIR
AAP KO CHODA TO PASTI ME CHALA JAUNGA
HU MAI ITNA TO SAMAJDAAR MOHAMMAD BAKIR
AASMA WALE BHI SUN'NE KE LIYE BAITHE HAIN
AAPKI SHAAN ME ASH'AAR MOHAMMAD BAKIR
AAP KI DADI KA DAR WO HAI JAHA PAR AA KAR
THAM GYI MOUT KI RAFTAAR MOHAMMAD BAKIR
HAKIME SHAM KI BAIYYAT KA GALA KAAT GAYA
AAPKE DADA KA INQAAR MOHAMMAD BAKIR
HAM HAIN JANNAT KE DHANI HAM SE ADAWAT N KARO
KAR GAYE SAB KO KHABARDAAR MOHMMAD BAKIR
AAPKI MAD'H KA KIS TARHA KARENGE HAQ ADA
HAM KAHA ITNE SAMAJDAAR MOHAMMAD BAKIR
AAJ YE KEH KE DO AABID KO MUBARAK BAADI
HU B HU AHMADE MUKHTAAR MOHAMMAD BAKIR
CHAHNE WALO KI NUSRAT KE LIYE AY RIZWA'N
HAR GHADI REHTE HAIN TAYYAR MOHAMMAD BAKIR
RIZWAN KARBALAI
4. Janab raheman ali Chaudhary
Kufr ke liye hai talvaar mohammad baqir*
*Deen ke paanchve sardaar mohammad baqir*
*Gaud me leke ali ibne shahe deen bole*
*Hu ba hu ahmade mukhtar mohammad baqir*
Raheman ali Chaudhary
5. Janab ASMEE Kanodari
Deen ka karne ko Parchar mohammad Baqir...
Aaye hai Panchve Sarkar mohmmad baqir...
shehr ilm khud hai muhammad to ali baab uske...
aur isi shehr ke saalaar muhammad baqir...
Hai baqayya me Hasan, jafar o zahra bhi yahi...
Soye hai aabide beemar mohammad baqir...
Karne tameer mazaroN ki ay mere moula...
Jald bhejo koi sardar mohammad baqir...
Ilm ko apne samandar me dobokar moula...
Jehl ki todi hai deewar mohmmad baqir...
Misle baba hi woh dushman ko hara dete the...
Hai bahot sabr ka kohsaar mohamad baqir...
*Qata bandh*
Khud se jabir ne KAHA Deke mohammad ka salaam...
Hai mohammad ki hi guftaar Mohammed baqir..
Sun ke woh bol uthe lagte hai mujko moula...
*Hubhoo Ahmde Mukhtar Mohmmad baqir...*
Madhkhani ke liye baitha hai jab bhi asmee..
Bakshte hain use afkaar muhammad baqir..
ASMEE Kanodari
6. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Faseeh
Aapse jisko hua pyaar mohammed baqir.
Uska dil hogaya zau baar mohammed baqir.
Gulshan e ismat o hikmat ke gulo'n ki saf me.
Saathwe'n aap hain sarkar mohammed baqir.
Aapke aane se khush syed e sajjad hain aur.
Shaad hain syed e abrar mohammed baqir.
Bole jabir ke salam aapko aay shahzaade.
Kah gaye ahmed e muhktar mohammed baqir.
Ilm se apne imarat ko jehl ki pal me.
Aapne kardiya mismaar mohammed baqir.
7. Janab Shahid Mirza
Deen e khaliq ke madadgaar Mohammed Baqir
Hu ba hu Ahmed e Muqtaar Mohammed Baqir
Munkashif deen e Mohammed ko jaha'n me karne
Ilm ke agaye sardaar Mohammed Baqir
Aapke naam ka hai koun o makaa'n me charcha
Aapki chalti hai sarkar Mohammed Baqir
dekh ker kahte thay hasrath se pisar ko Abid
Tujh pe qurbaan aye dildaar Mohammed Baqir
Aapki madho sana ke liye iss mehfil mein
Aaye hain Shah ke Azadaar Mohammed Baqir
Aapke jad ki fazilat ko bayaa'n karti hai
Khana e kaba ki deewar Mohammed Baqir
Bole jaber se Nabi kehna salam usko mera
Aaye jab paanchwa sardaar Mohammed Baqir
Karbala mein ho ke ho sham mein ya kufa mein
Sabr tha aapka hathyaar Mohammed Baqir
Aapke qadmo'n pe sir apna rakhega shahid
Hoga jab aapka deedaar Mohammed Baqir
Ahmed Ali Shahid (Riyadh)
8. Janab Chaman Rahmati
Likhne baitha houn Mai Ashyaar Mohammed Baqir..
Fikr ko kijiye Bedaar Mohammed Baqir..
Ay mere Syed-o-Sardaar Mohammed Baqir..
Do jahan'oun ke hain Mukhtar Mohammed Baqir..
Phool muskaaye, Chaman mehka, Fizaa'ien boli,,
Aagaye Panch'vien Sarkaar Mohammed Baqir..
Sajda-e-Shukr baja laake ye Aabid ne kaha,
Aap Khudrat ka hain shehkaar Mohammed Baqir..
Surat o Seerat o Kirdaar o Amal may dekho,,
Ho baho Ahmed e Mukhtar Mohammed Baqir..
Aap ke ilm-o-kamalaat ke asjaar sabhi,,
Hain zamaney may samarbaar Mohammed Baqir..
Aap Qhatray ko ager chahien samandaar kardien,
Aut muflis bhi ho zarr-daar Mohammed Baqir..
Aapke saamney khamosh khaday daykhay hain,
Haakim e Waqt kayien baar Mohammed Baqir..
Deen-e-islaam bachane ke liye karbal may,,
Aap qhurbaa'n kiye Ghar- baar Mohammed Baqir..
Kis liye qhouf ho tarik-e-marqhad ka Chaman..
Aapka hoga Jo deedaar Mohammed Baqir..
CHAMAN REHMATHI..
9. Janab kaamyaab kaami (kakoshi)
Mere Ban jao Madadghar mohammad baqir..
Mujko de do koi afkaar Mohammad baqir..
Diya hai dada ne sar bap ne bedi pehni...
Gaye ho aap bhi darbar Mohammad baqir..
Teri aamad pe saji duniya hai dulhan ki tarah...
Hai khushi ka yahi tyohaar mohammad baqir..
Mazaar jab bhi baqqya me banega moula...
Chalke aayenge azadaar mohmmad baqir...
Thak gaya zulm bhi ab to hai woh Gutne teke...
Aap hai sabr ka kohsaar Mohammed baqir...
Khuda ne aapko KYa khub hai izzat bakhshi...
Hu bahu ahemad e mukhtar mohammad baqir...
Khun shabeer pe Rote hai mussalle pe sada
Ek hai Aabid e beemar mohammad baqir...
Har gadi "kaami" PE moula ye Karam hota rahe...
Mai likhu aapke ashaar Mohammad baqir...
Kamiyab Ali "kaami" (kakoshi)
10. Janab mir Navab bober
*WARISE SAYYADE ABRAAR MOHAMMAD BAQAR*
*TUM HO SAJJAAD KE DILDAAR MOHAMMAD BAQAR*
*AAP KI DAHR ME TAARERQE VILADAT HAI QAREEB*
*LIKTA HAI HAR KOYI ASH'AAR MOHAMMAD BAQAR*
*ISLIYE AAP HAIN MASH'HOOR BOHOT AAP ME EUN*
*ILM KI TEZ HAI RAFTAAR MOHAMMAD BAQAR*
*APNE BACHPAN SE KIYA KARTE HAIN SAB AHLE VILA*
*AAP SE ISHQ KA IZHAAR MOHAMMAD BAQAR*
*JAHL KO DOOR KIYA DAUR ME APNE TUMNE*
*BHOOLENGE KAISE YE UPKAAR*
*ZIKR KISTARHA ZABAA'N SE HO KE OONCHA HAI BOHOT*
*AAP KE ILM KA MEYAAR MOHAMMAD BAQAR*
*DEEN KI AAP BHI KARTE RAHE BEHAD TABLEEG*
*"HOOBAHU AHMADE MUQTAAR MOHAMMAD BAQAR"*
*AAP KE BABA NE BUS SABR SE AUR HIMMAT SE*
*KARDIYA ZULM KO MISMAAR MOHAMMAD BAQAR*
*ILMO HIKMAT SE KIYA TUMNE ZAMANA ROWSHAN*
*ISLIYE LOG HAIN BEDAAR MOHAMMAD BAQAR*
*HUM NA CHORENGE KABHI AAP KE DAR KO MOULA*
*CHAAHE HUMPAR CHALE TALWAAR MOHAMMAD BAQAR*
*BAQSHWAYENGE HAME KARKE SIFARISH JAD SE*
*KAHTE HAIN SAARE AZADAAR MOHAMMAD BAQAR*
*ZARYE JABIR KE TUME BHEJA HAI AHMAD NE SALAAM*
*HO TUM IS AZM KE HUQDAAR MOHAMMAD BAQAR*
*MAANGNE AATI HAI DUNYA HI TUMARE DAR PAR*
*TUM BHI HO KUL KE MADADGAAR MOHAMMAD BAQAR*
*AAPKI QABR KO AB PHIRSE BANAANE KE LIYE*
*AAYEGA AAQRI SARKAAR MOHAMMAD BAQAR*
*ILM KI BHEEK BOBER LENE TUMHARE DAR SE*
*KAB SE BAITHA HAI WO TAYYAAR MOHAMMAD BAQAR*
MIR BOBER ALI
( BOBER NAWAB, MADRASI )
11. Janab saif Kanodari
*Dada hai haider e karrar mohammad bakir*
*Farzand e abid e beemaar mohammad bakir*
*Apne akhlaq se karte the woh dushman pa fateh*
*Hu bahu ahmed e mukhtar mohammad bakir*
*Apne dada ke liye subh o masa rote the*
*Aise hote the woh ghamkhwar mohammad bakir*
*Sabr karte hai musibat me misale aabid*
*Aisa hai aapka kirdaar mohammad bakir*
*Parda e gaib se aayega tumhara beta*
*Hogi insaf ki sarkaar mohammad bakir*
*Jab banayega haram aap ka moula mehdi*
*Tab sajega Tera darbar mohammad bakir*
*Likh raha hu mai teri manqbat ke nazraane*
*Saif ka tu hai madadghar mohammad bakir*
Saif sunasara
12. Janab Paikar Jalalpuri
ثانٸی حیدرِ کرار محمد باقر
مومنوں کے ہیں مددگار محمد باقر
فرشِ مجلس پہ سدا علم کی باتیں کرنا
شہ کے پہلے ہیں عزادار محمد باقر
نام احمد کا علی کی ہے شجاعت پاٸی
علم و حکمت کی ہیں دیوار محمد باقر
آپ کی مدح و ثنا کیسے کروں اے مولا
ہو کرم آپ کا سرکار محمد باقر
آٸے آغوشِ امامت میں تو بولے عابد
*ہو بہو احمدِ مختار محمد باقر*
آپکے بابا سے ہے شام کا حاکم ہارا
سن کے زنجیر کی جھنکار محمد باقر
کربلا کا ہے ابھی نام لیا ذاکر نے
اشک آنکھوں پہ ہے تیار محمد باقر
بہہ کے آنکھوں سے کہاں پر یہ بنےگا گوہر
ہے مرا اشک سمجھدار محمد باقر
پھر تو آرام سے میں سوٸے جناں تک جاٶں
حر سا بن جاٸے جو کردار محمد باقر
کر نا پا ٸیگا ثنا آپ کی پیکر مولا
علم سے کر دو خبردار محمد باقر
Sani e haidar e karrar mohammad bakir
momino ke hain madadgaar mohammad bakir
Frsh e majlish pe sada ilm ki baate.n karna
Sah ke pahle hain azadaar mohammad bakir
Naam ahmad ka ali ki hai sujaat payi
ilm o hikmat ki hain diwaar mohammad bakir
Aapki mad ho sana kaise karu ay maula
Ho karam aapka sarkaar mohammad bakir
Aaye aagosh e imamat me to bole aabid
*hu ba hu ahmad e mukhtaar mohammad bakir*
aapke baba se hai shaam ka hakim hara
Sun ke zanjeer ki jhankaar mohammad bakir
Karbala ka hai abhi naam liya zakir ne
ashk aankho.n pe hain tayyar mohammad bakir
Bah ke aankho.n se kahan par yeh banega gohar
hai mera ashk samajhdaar mohammad bakir
Fir to aaram se mai suye jina tak jaavo
hur sa ban jaay jo kirdaar mohammad bakir
Kar na payega sana aapki paikar maula
Ilm se kar do khabardaar mohammad bakir
(پیکر جلالپوری)
13. Janab Altaf Maroofi
Daman e waqt me gunjaish nhi rahi lehaza
*Misra e hazera pr filbadeeh chand tootr foote Ash,Aar*
Fikr hai hai ap se darkaar Mohammad Baqir
Taki main likh sakuN ash,Aar Mohammad Baqir
Kam se kam Qalb mera misl e Farazdaq ho jaye
To karuN jur,ate izhar Mohammad Baqir
Ap ki shaan bayaN mujh se nahi ho sakti
Chahiye Meesam e Tammar Mohammad Baqir
Ap shaafi bhi hain Shaafe bhi hain Mukhtar bhi hain
Aur main Bekas o lachaar Mohammad Baqir
Altaf Haidari Maroofi
14. Navshad Bijani
Ay mere sayyado sardaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Aap hain mere madadgaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Mere maula mai gunaahgaar hu, lekin tum se.
Bakhshisho ka hu talabgaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Noore imaa'n se ise aap munawwar kar do.
Nafs yeh mera hai beemaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Muntazir aap ka manjdhaar me hu mai maula.
Bayth ke kashti me laachaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Yeh bhi Navshad pe kar dena karam waqte qaza.
Aap dena use deedaar Mohammad Baqir. (a.s.)
Navshad Bijani
15. Janab Mansoor Raza Jafri
Deene khaliq k nigehdaar Mohammed Baqir
Warise Ahmede Mukhtaar Mohammed Baqir
Naam mera bhi sana khwano,n Shamil rakhna
jab saje aapka Darbar Mohammed Baqir
Kabae ilm ka Mehrab Ali hai,n Dekho
Kabae ilm ka Meenar Mohammed Baqir
Hai yaqee,n sahile ummeed pe pahoncho,n ga mai,n
Nakhuda Hai,n mere Sarkar Mohammed Baqir
Chahe jis rukh se bhi dekho ge nazar aae,n ge
Hobaho Ahmade Mukhtar Mohammed Baqir
Gair bhi aap ki tazeem ko jhuk jate hai,n
Dekh kr Aap ka kirdar Mohammad Baqir
Q na Mansoor kare Aap ki midhat maula
Aap hain madeh ke haqdaar Mohammed Baqir
Mansoor Raza Jafri
16. Janab taher
DIN KE PANCH'VE SARDAR MOHAMMAD BAQIR
WARISE HAIDARE KARRAR MOHAMMED BAQIR
KIYA HAI ILM KA IZHAA'R MOHAMMAD BAQIR.
HUBAHU AHMADE MUKHTAR MOHAMMAD BAQIR.
17. Janab Kaifi Kalkatwi
Aap hai'n haq ke tarafdaar mohammed baqir
Paanchwae'n haider e karraar mohammed baqir
Ilm o hikmat mei'n shuja'at mei'n aur danayi mei'n
Hu ba hu ahmed e mukhtar mohammed baqir
Hukm e khaliq se muqaabil mei'n sitamgaro'n ke
Le chale sabr ki talwaar mohammed baqir
Har qadam sath sakina ke rahe mushkil mei'n
You'n phupi ke hai'n wafadaar mohammed baqir
Dushmani jis ne rakhi aap se zehra ki qasam
Hai wohi deen ka gaddaar mohammed baqir
Jisne kham sar hai'n kiye apne teri chaukhat par
Hai'n wohi log samajhdaar mohammed baqir
Ye ataa aap ki ye lutf o karam aap ka hai
Ho gaye hai'n jo ye ashaar mohammed baqir
Kaifi kalkatwi
18. Janab Mukhtar Ali Malpara
Ay shahenshaah mere sardaar Mohammad baaqir,
Dijiye thode se ash'aar Mohammad baaqir...
Deen-e-islaam ke salaar Mohammad baaqir,
Hoobahoo ahmad-e-Mukhtar Mohammad baaqir...
Aap ke ilm ka charcha hai jahaañ mai ab tak,
Mere sarkaar, madadgaar Mohammad baaqir...
Aap ke ilm se itna sa karam kar dena,
Sare gumraah ho deeñdaar Mohammad baaqir...
Aapki madh-o-sana aasi se Kya ho sakti,
Gar n ho aap ka upkaar Mohammad baaqir...
De do 'Mukhtar" ko lafzo ka khazana mola,
Kar do upkaar ay dildaar Mohammad baaqir...
Mukhtar Ali A Malpara...