1. Naushad Bijani
Mustafa ka hai pyara Mohammad Taqi (a.s.)
Hai ali ka dulaara Mohammad Taqi (a.s.)
Shaafie yaume uqba Mohammad Taqi (a.s.)
Ibne shaahe madeena Mohammad Taqi (a.s.)
Aayega meri baali pe waqte kaza.
Dene mujhko dilaasa Mohammad Taqi (a.s.)
Yeh hai shaahe khuraasaan ka laadla.
Chashme zehra ka taara Mohammad Taqi (a.s.)
Hai musalsal labe hooro gilmaan par.
Aap hi ka qaseeda Mohammad Taqi (a.s.)
Kashtie nooh jaisi hai inki misaal.
Deen ka hai safeena Mohammad Taqi (a.s.)
Mai hu Navshad adna sa unka ghulaam.
Or woh hai mera aaqa Mohammad Taqi (a.s.)
2. BOBER NAWAB, MADRASI
*KUL JAHAA'N KA SAHARA MOHD. TAQI*
*"HAI ALI KA DULARA MOHD. TAQI"*
*KAMSINI ME HI RAB SE IMAAMAT MILI*
*BANKE THA SAB KA PYARA MOHD. TAQI*
*SAB SE AALA BOHOT APNE JAD KI TARHA*
*MARTABA HAI TUMHARA MOHD. TAQI*
*ILM SE KARKE ROWSHAN YE DUNYA SABHI*
*TUMNE SAB KO NIKHAARA MOHD TAQI
*ZIKR JAD KA TUMHARE MAI KARTA RAHUN*
*MUJPE KARDO ISHARA MOHD. TAQI*
*ZARRE ZARRON EK PAL ME BUS AAPNE*
*ZIBDAGI ME UBHAARA MOHD. TAQI*
*FOWRAN AAHI GAYE USKI IMDAD KO*
*JISNE TUMKO PUKARA MOHD. TAQI*
*HUMKO ROWZE PE BULVAKE TUM KHULD KA*
*PHIR DIKHADO NAZARA MOHD. TAQI*
*AB SAWAARO USEY KAB SE BIGDA HUVA*
*HAI MUQADDAR HAMARA MOHD. TAQI*
*DOOBI HAI KABSE KASHTI BHAWAR ME MERI*
*AB LAGADO KINARA MOHD. TAQI*
*DOOR KARDO BOBER KI SABHI MUSHKILEN*
*WO HAI NAUKAR TUMHARA MOHD. TAQI
3. Syed Gulzar Hasnain Faizabadi
Saare Jag se hai pyara Mohammad Taqi,
Hai hamara Sahara Mohammad Taqi.
Jaise Musa ki jaa'n hain Raza waise hi,
Hai Ali ka dulara Mohammad Taqi.
4. Syed Ali Abbas Naqvi(fasi)
Hai ali ka dulara mohd taqi.
Deen e haq ka sahara mohd taqi.
Doobta Phir se ubhrega suraj suno.
Karde'n gar ek ishara mohd taqi
Maine ki jab tilawat to dil ne kaha.
Hai qaseeda tumhara mohd taqi.
Leke aagosh me bole maula raza.
Janashi'n hai humara mohd taqi.