Qadmo me samandar

( By Naushad Bijani

in HazratAliAsghar )
  • Name:
  • Section:
    HazratAliAsghar
  • Number of pages:
  • Date Added:
    01/01/2019
Qadmo me samandar

Har mauj keh rahi hai ghazanfar ko dekhiye..
Qadmo me aagaya hai samandar ko dekhiye.
 
Ji te ji dekhni hai agar khuld aap ko.
To karbala ki vaadiye anwar ko dekhiye
 
Hai do jaha'n me qeemati us zar ko dekhiye.
Roomaale fatema ke woh gauhar ko dekhiye
 
Sikka woh hoga khuld ki qeemat baroze hashr
Farshe aza pe aakho'n ke zevar ko dekhiye
 
Fitrus falak pe udke hai kehta har ayk se.
Sheh ke ata kiye huve is par ko dekhiye
 
Besheer ke woh husne tabassum pe ham nisaar.
Khilte huve khizaa'n me gule tar ko dekhiye
 
Romaal fatema ka kaha de ke shaah ne.
Lo hur ise, na taaje sikandar ko dekhiye
 
Mimbar se sun ke qaydi ko bole yeh ashkiya.
Bedi me hurriyat ke sukhanvar ko dekhiye.
 
Turbat me bole dekh ke Navshad ko malak.
Maula e kaayenaat ke naukar ko dekhiye