AkbarAli khanusiya (Surpur)
Rahe haq ki bat hogi us Khuda ke samane*
*Aala jiska hai karam sab ki ata ke samane*
*sochata Raheta raha hur zanu e shabbir pe*
*malo zar to Rakh honge is Ata ke samane*
*Kitani unchayo pe Pohchhi Shaah ki Qurbaaniya*
*har bashar Jukta dikha hai karbala ke samane*
*Jo tabrruk pate hai Farse game shabbir se*
*Rashq karte hai Farishte ye Giza ke samane*
*Itani himmat kis mai badhkar Rokale Abbas KO*
*kabza karke vo khade hai Alkma ke samane*
*Din ki Nusrat ke khaateer muskuraa kar dasht mai*
*Asgare beshir Aaye Hurmla ke samane*
*har namazo mai khuda se bat karne ke liye*
*Rakhate hai Apani nazar Khake shifaa ke samane*
*Khwaab mai Dekhi hai maine khuld teri ay hussain*
*Aas le betha hu javu karbala ke samane*
*isliye chaht par lagata hu Alam abbas ka*
*ghar mera mahefuz Raheta hai bala ke samane*
*Ay khuda akbar ke Laheze Mai tu ye tasir De*
*Haq baya karta rahe vo har jafa ke samne*
AkbarAli khanusiya (Surpur)