Hai karbobala shaah ke ansaar ka maydaaN
Naushad Bijani
Aashoor talak tha shahe abraar ka maydaN.
Tha shaam talak zainabe naachaar ka maydaN
Khaali nazar aane laga aghyaar ka maydaN.
Saahil to hai ab ghaazi alamdaar ka maydaN
Gulzaare iram kar diya shabbeer ne usko.
Tha dasht jo nabiyoN ke liye khaar ka maydaaN
Gulhaaye shahedeeN ki hai khusbo se moattar
Hai karbobala shaah ke ansaar ka maydaaN.
Zaynab ne diye lehja e haidar me jo khutbe.
Tab fat'h huva shaam me aghyaar ka maydaaN
Saaye me sabhi parchame haydar tale honge.
Maydaane qayaamat hai azaadar ka maydaN
Hai yaume kaza yaume jaza ahle wila ka.
Banti hai saza qabr gunehgaar ka maydaaN
Do ghaz hi lahad ke liye milti hai zameeN bas.
Kitna ho bada chaahe zameedaar ka maydaN
Har dushmane zehra se hai Naushad ka kehna.
Dozakh me milega tujhe ab naar ka maydaaN
Naushad Bijani
+46 704 852 187