Koi nahi husain ke qaatil se bekhabar.

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    05/12/2019
Koi nahi husain ke qaatil se bekhabar.

Koi nahi husain ke qaatil se bekhabar.

Naushad Bijani
 
Hai jo ali ke zikr ki mehfil se bekhabar.
Kashti me woh sawaar hai saahil se bekhabar.
 
 
Dushman aza ke hai sabhi shakle yazeed me.
Rehna na aayse zehre hilaahil se bekhabar
 
 
Mehshar me uski hogi na bakhshis yeh jaanlo.
Jo bhi raha husain ke qaatil se bekhabar
 
 
Kashti ki jiske hote nahi na-khuda ali.
Rehte hai ta-hayaat woh manzil se be khabar
 
 
Qable savaal dete hai mushkilkusah javaab.
Rehte nahi imaam kisi dil se bekhabar.
 
 
Maine to aadatan tha kaha ya ali mada.
Maula ne mujhko kar diya mushkil se bekhabar.
 
 
Daste khuda se putla jo aadam ka tha bana.
Haidar nahi us aab ya us gil se bekhabar
 
 
Ladne jamal me aai thi haq ke khilaafe woh
Kyu hai tu bughze saahibe mehmil se bekhabar.
 
 
Bunyaad jiski ahle sakeefa hai ba-khuda.
Koi nahi husain ke qaatil se bekhabar
 
 
Karte hai fat'h jang tabassum ke waar se.
Asghar nahi the taaqate baatil se bekhabar.
 
 
Zikre ali ko sunke munafiq ka kafela.
Jalta hai dil me ho ke woh fil fil (mirchi) se bekhabar
 
 
Taareef khud ki, gheebateN momin ki jo kare.
Rehna kabhi na ayse tu jaahil se bekhabar.
 
 
Hai maut par yaqeen to kar nek tu amal.
Kyu hai andheri qabr ki manzil se be khabar
 
 
Zainab ki beridaai pe roye haiN raahe shaam.
Sajjad ho ke tauqo salaasil se khabar
 
 
Aakar ali ne qabr me Naushad se kaha.
Hargiz nahi hu mai teri mushkil se bekhabar.

Naushad Bijani
+46 704 852 187