Wiesdaare baaghe zehra haiN imaame askari. (a.s.)
Naushad Bijani
Qalbe haydar qalbe zehra haiN imaame askari. (a.s.)
Waarise shaahe madeena haiN imaame askari. (a.s.)
Jaane imraN jaane haashim lakhte qalbe panjetan.
Qurrate ayne khadeeja haiN imaame askari. (a.s.)
Dehr ke sardaaro aaqa haiN imaame askari. (a.s.)
Shaahe aalam shaahe batha haiN imaame askari. (a.s.)
Mere rehbar mere haadi mere quraane kareem
Mere maalik mere maula haiN imaame askari. (a.s.)
Na-khuda kashti ka meri aue haiN mere imaam
Mera uqba me sahaara haiN imaame askari. (a.s.)
Ta abad larayb aayega nahi jisko zavaal.
Aysa noorani sitaara haiN imaame askari. (a.s.)
Jo na murjhaaye kabhi aysa gule hasnain haiN.
Wirsdaare baaghe zehra haiN imaame askari. (a.s.)
Haamile ilme ladunni waarise nabi.
Fakhre moosa fakhre isa haiN imaame askari
Hoor o gilmaan o malaaik kyu na ho inke ghulaam.
Maalike firdause aala haiN imaame askari.
Dushmane zehra ko inka laal hi dega saja.
Hasrate umme abeeha haiN imaame askari
Mamba e noore nabi haiN haadi e deene khuda.
Baadshaahe ahle dunya haiN imaame askari.
Hai muzayyan inka lashakar taaqate ghaffar se
Saahebe ahle zamaana haiN imaame askari
Kis me dam hai tazkera inki ibaadat ka kare.
Raat or din mehve sajdda haiN imaame askari.
Kyu na dunya se kahuN Naushaad maj ye fakhr se.
Mere shaafi roze uqba haiN imaame askari
Naushad Bijani
+46 704 852 187
Jafar Dehraduni
Be saharo'n ka sahara hain Imame Askari
Martabe me sabse Aala hain Imame Askari
Kya Bataoo'n aapko azmat Naqi a.s. ke Laal ki
Warsadaar e baaghe zahra hain Imame Askari
Hai ziya se jiske roshan chand taare kehkasha'n
Noor ka aisa khazana hain Imame Askari
Hai sanad maqboolitat ki aazma ker dekh lo
Jin duao'n ka waseela hain Imame Askari
Wo kabhi raahe hidayat se bhatak sakte nahi
Jinke Haadi aur Maula hain Imame Askari
Parda-e-gaibat me hai ek aapka noor-e-nazar
Muntazir jiska Zamana hain Imame Askari
Aapke Roze ki chaukhat choom le Jafar Ali
Ap hi Dil ki tamanna hain Imame Askari
Jafar Dehraduni