BayaN ki mustafa ne mard ki tafseer khaybar me
Naushad Bijani
Nayi taareekh fir ik ho gai tehreer khaybar me.
Chali jab haydare karrar ki shamsheer khaybar me
Sifaate faatehe khaybar bata kar saari dunya ko.
BayaN ki mustafa ne mard ki tafseer khaybar me
Ali ke haath me dekha alam islaam ka jis dam.
Sahaaba ki to jayse lut gai jaagir khaybar me
Nahi haqdaare parcham chhor kar maydaN ko jo bhage.
Nabi ne chhode the lafzo ke ayse teer khaybar me
Meri maane rakha hai naam mera haydare karrar.
Rajaz ke taur par haydar ne ki taqreer kaybar me
ZameeN ke hote do tukde ali ki tegh se beshak.
Nahi gar rokte jibreel woh shamsheer khaybar me
Banaya pul ali ne jab dare khaybar utha kar to.
Nazar aaye fiza me shaahe khaybargeer khaybar me
Yaqeenan cheer daala cheerne vaale ne marham ko.
Huvi is tarh zaahir khwaab ki taabeer khaybar me
Dare khaybar ke saath aajaati sab jab kheechte haydar.
Laga dete agar tum aahni zanjeer kaybar m
Uchaala barq ki raftaar se jis dam dare khaybar.
Gira tha door aakar ke woh misle teer khaybar me
Yeh bole zulfiqare haydare karrar se jibreel.
Ke jaakar ran me marhab ka kaleja cheer khaybar me
Jo ik naamard ki maanind roya ghaar me jaakar.
Alam bhi fenk kar bhaga bhaga woh khoosat peer khaybar me
Kaha ghodo ne ham to bhaagte hai raat din lekin.
Bhagode ayk din me pagaye tash'heer khaybar me
Loaabe mustafa haydar me tifli me to choosa tha.
Hay ab wo aankh me ban kar dava akseer khaybar me
BayaN ki mustafa ne mard ki tafseer khaybar me.
Ali ne kar diya saabit ye ban kar veer khaybar m
Alam jab mustafa ne de diya haydar ke haatho me.
Sabhi ashaab ki mudra huvi ghambheer khaybar me
Labe hooraane jannar par yahi hai dambadam naghma.
Huvi hai aaj fat'he shaahe aalamgeer khaybar me
Agar Naushad hote asghare besheer khaybar me.
To chashme kufr beh jaata beshak neer khaybar me
Naushad Bijani
+46 704 852 187