Jazba e shabbeer baatil ko dikhaaya nimr ne
Naushad Bijani
Seerate meesam ko zinda kar dikhaaya nimr ne.
Daar par zikre ali maula sunaaya nimr ne
Sabr ka izhaar se or sabr ki talwaar se.
Jazba e shabbeer baatil ko dikhaaya nimr ne.
Ishqe haidar kis qadar hai qeemati mere liye.
Daar par yeh dars dunya ko padhaaya nimr ne
Maar di rishvat ko thokar haq pe rah kar qayd me.
Shamme haq dil me hai yuN apne jalaaya nimr ne
Apne maalik ki ibaadat raat din karte rahe.
Jitna arsa qayd khaane me guzaara nimr ne
Saamne haq ke kabhi baatil na hoga kaamyaab
Fir yehi payghaam dunya ko sunaaya nimr ne.
Ronda hai qadmo tale har dam ghuroore hukmaraN.
Yu rukhe baatil pe hai maara tamaacha nimr ne.
Karbala ke dars ko Naushad apnate huve
Marke jeena is jahaN ko fir sikhaaya nimr ne.
Naushad Bijani
+46 704 852 187
Haider Jafri sirsiwi
Sajde e Khaliq mein jab sar ko jhukaya nimr ne
Housla apne khuda Se Aisa paya nimr ne
Samne na Zulm ke sar ko jhukaya Nimr ne
Jazba e Shabbir Zalim Ko Dikhaya Nimr ne
Har ghadi bas sath haq ka hi nibhaya nimr ne
Waste haq ke hi apna sar kataya Nimr ne
Samna jab haq se batil ka karaya nimr ne
Apne kadmo mein sitam ko phir jhukaya nimr ne
Dekh kar jazbe ko inke zulm haira`n ho gya
Khoon ke phir Ashq Zalim ko Rulaya nimr ne
Jaan dedi haq ki khatir par na Na baiyat Qubool
Maqsad e shabbir duniya ko dikhaya nimr ne
Bas inhi ka Tazkara hai Ahle Haq ke Darmiyaan
Martaba dekho shahadat se wo paya nimr ne
Haq ki Awaazo Se Awaaze milayi Ja Sake
Is liye awaz,e shia,at ko uthaya nimr ne
Inke dil mein har ghadi khuff e khuda Moujood tha
Khuff Zalim se Zara Sa Bhi Na khaya Nimr ne
Na ajal ke khuff se paamaal ho hukm e khuda
Bandagi ka Farz kuch aise Nibhaya nimr ne
Hausle na past inke ye hukumat kar saki
Sabr se Yun Qaid mein Zalim ko mara Nimr ne
Kon aaya Saamne mazloom ki imdad ko
Qaid mein sab dekha hai apna paraya nimr ne
Zulm Sehte hi Rahe Insanyat ke Waste
Qarz apne Khoon ka Aise Chukaya Nimr ne
Sabr e abid ne diya haider ajab wo housla
Zulm ke sare Chiragho ko buchaya nimr ne
Haider Jafri sirsiwi