Naushad Bijani
Azeezo ho gaye ham se juda qasim sulaimani.
Gaye maare jahaN se bekhata qasim sulaimani.
Karam tujh par huva shabbeer ka qasim sulaimani.
Hai tere haq me zehra ki dua qasim sulaimani.
Lade baatil se hardam leke parcham haath me haq ka.
Rakhenge yaad tum ko ham sada qasim sulaimani.
Dile baatil hamesha kaanpta tha naam se tere.
Tha ahle keeN pe tera dabdaba qasim sulaimani.
Khilaafe zulm tu hardam raha maidaan me dat kar.
Na hargiz tu sitamgar se dara qasim sulaimani.
Na daakhil ho sake karbobala me deen ke dushman.
Kiya hai tune daaish ko fana qasim sulaimani.
Yaqeenan inteqaam ik din tere qaatil se ham lenge
Na jaayega tera khooN raaega qasim sulaimani.
Shaheede zinda ab tujh ko jahaN kehkar pukaarega.
Laqab rehbar ne hai tujh ko diya qasim sulaimani.
Tumhaare khooN ka har qatra jo haq ke kaam aaya hai.
JahaaN me ban ke failega ziya qasim sulaimani.
Hamesha aap ne ki hai madad mazloomo bekas ki.
Tha dil me aap ke khaufe khuda qasim sulaimani.
Raha faanoos banke shamme haq ka aakhri dam tak.
Qareeb aai na baatil hava qasim sulaimani
Na kotaahi kabhi mausoof ne hukme khuda me ki.
Rahe ban kar ghulaame mustafa qasim sulaimani
Ghazab allah ka barsega ik din dekhna un par.
Jinhone aap par dhaai jafa qasim sulaimani
JahaN me aaj tere naam ka parcham hai lehrata.
Kiya hai kaam tune woh bada qasim sulaimani
Shahaadat se teri dunya me shiyyat jaag utthi hai.
Diya hai aysa josho valvala qasim sulaimani
Sambhalega yaqqeenan koi to ohda tera lekin.
Nazar aata nahi saani tera qasim sulaimani
Khuda ki raah me "Naushad" ladte ladte baatil se.
Fida jaaN apni haq pe kar gaya qasim suleimani
Tere dushman pe ho kehre khuda qasim sullaimani.
Tere qaatil pe ho laanat sada qasim sulaimani
Tumhaari laash ki tasveer ko mai dekhta hu jab.
To roke padta hu mai masmrsya qasim sullaimani
Khabar teri shahaadat ki hai paai jab se ham sab ne.
Hai tab se ham sabhi behwe buka qasim sulaimani
Gala sheh ka kata or chhin gai chaadar bhi zainab ki.
Nahi naamoos teri berida qasim sulaimani
Yateem ab tere bacche hai, sakeena yaad aati hai.
Na hogi tere baccho pe jafa qasim sulaimani
Tere laashe ke tukde ho gaye afsos sad afsos.
Yeh sunkar dil hai mera ghamzada qasim sulaimani
Shahaadat se teri har ayk shiya aaj hai ghamgeeN
Hay har ik ghar me tera tazkera qasim sulaimani.