Gham madeene me hai chaaya maadre abbas ka.
Mubtela gham me hai kunba maadre abbas ka.
Ro rahe the apne sar ko peet kar beemaar imaam.
Uth raha tha jab janaaza maadre abbas ka
Chaar bete kar diye qurbaan raahe deen me.
Gham se chhalni tha kaleja maadre abbas ka
Bhul kar ghaazi ka gham Sarwar pe royi umr bhar
Kyu kare maatam na zehra maadre abbas ka.
Yaad kar ke faatema ke laal ka sukha gala.
Gham se dil hai paara paara maadre abbas ka.
Qaaside sughra se sheh bole ke yeh dena khabar.
Nehr par soya hai beta maadare abbaas ka.
Zainabe kubra se sunkar karbala ka waaqea.
Ho gaya dushwaar jeena maadare abbaas ka.
Jab karam mummul baniN ka ho gaya Naushad par.
Likh diya purdard nawha maadre abbas ka.
Naushad Bijani
+46 704 852 187