BayaN laase biradar pe yeh karti thi bahan zainab.
Rida bhi lut chuki laaye kahaN se ab kafan zainab
Janaaza tukde ho ke aaya hai khayme me qaasim ka.
Gale kayse lagaae laasha e ibne hasan zainab
Fakat ik din me atthara janaze ghar se nikle the.
Na kyu roye woh apna dekh kar ujda chaman zainab
Chali hai karbala se shaam ke zindaN talak haye.
Utha kar daste ummat se har ik ranjo mahan zainab
Navaasi peet ke sar turbate naana pe kehti thi.
Luta kar apni dunya bhaai par aai watan zaynab
Laaeeno ne thi baandhi baazuo me rassiyaN kas kar.
Dikhaaye kis tarah naana tuhe daaghe rasan zainab
Firaya zaalimo ne darbadar beparda itrat ko.
Madeena laut kar mehsoos karti hai thakan zainab.
Bahan hasnain ki dukhtar ali o faatema ki hai.
Mujhe kehne do ke hai maalike mulke adan zainab
Na chal paai yazeede waqt ki pabandiyaN Naushad.
Azaadari ka sab ko aai hai de kar chalan zainab
Naushad Bijani
+46 704 852 187