Sogwaar apna sar peet'te haiN.
Gham hai taaza yeh jinno malak me.
Dono aalam me maatam hai barpa.
Uth raha hai janaaza naqi ka
Gham me dooba hai har ayk shiya
Uth raha hai janaaza naqi ka.
Dono aalam me maatam hai barpa.
Uth raha hai janaaza naqi ka.
Thaam kar apna pahelu shikasta.
Haye lekar asa ka sahaara.
Aagai khuld se rone zehra.
Uth raha hai janaaza naqi ka.
Roye maula najaf me tadapkar.
Aur rote hai shabbeero shabbar.
Roye turbat me shaahe madeena.
Uth raha hai janaaza naqi ka
Chaak apna girebaan kar ke.
Gham se behosh hai nange sar hai.
Haal hai yeh hasan askari ka.
Uth raha hai janaza naqi ka
Haaye kaysa falak ne sataaya.
Zehre qaari se hai zulm dhaaya.
Haaye aale nabi ko rulaaya.
Uth raha hai janaaza naqi ka
Naushad Bijani
+46 704 852 187