HaiN aap waarise mehboobe zuljalaal taqi. (a.s.)
Adam se aap haiN dunya me bemisaal taqi. (a.s.)
The waaledayn mere aap par fida maula.
Rahegi aap pe qurbaan meri aal taqi. (a.s.)
Madad ke waste baali pe meri aajaana.
Jahaane faani jab ho mera visaal taqi. (a.s.)
DiloN me paali hai hamne fakat yahi khwaahish.
Sajaaye aap ki mehfil harek saal taqi. (a.s.)
Nahi hai iske siva zindgi meri Naushad.
Hai mera maazi o mustaqbil aur haal taqi. (a.s.)
Tumhaara zikr hai zikre khuda o zikre rasool.
Tumhaara wasf bayaN karna hai muhaal taqi (a.s.)
Naushad Bijani
+46 704 852 187
khuda k Deen ka Muhafiz, Raza ka Lal Taqi
Ali ki jan, Mohammad ka Ham Khyal Taqi
Wo Mat Khagaey Tm Sey, Jo They Barey Aalim
Kamal ye he Abhi Sin Aath Saal Taqi
Manazrey Ko Bhi Aaya Hey Wo biney Aksam
Jo Kar Na Paae Abhi Theek Sey Sawal Taqi
Dikha Key Ilmey Imamat Key Ap Ney Johar
Kya He Maqsad e Batil Ko Paaemal Taqi
Fida Ho Ap Pe So Bar Husne Yousof Bhi
Ata kiya Tumhee Khaliq Ne Wo Jamal Taqi
Darakht e Khusk Bhi Mewoo.n Sey Lad Gya Aik Dam
Faqat Ye Ap ke Jane Ka Tha Kamal Taqi
Main Sirf Hirz e Imam e Jawad Bandh Aaya
To Ban Gae Mere Bachoun Ki Aik Dhal Taqi
Misaal Jab Na Mili Moosa e Mubarqa Ki
Kahan Se Laae Zamana Teri Misaal Taqi
Isi Lie Tujhey Babul Muraad Kehtey Hain
Gaya Na Khali Kya Jis Ney Bhi Sawal Taqi
Wo Beti De To Raha Hey Magar Samjhta Hey
Kisi Tarah Meri Galne Na Dende Daal Taqi
Tumhare Hath Ka Dhuwan Bana H Lal o Gohar
Tumari Zat Ka Phir Hoga kya Kamal Taqi
Jahan Bhi AaeGi Taqwe Ki Bat Khud Barh Kar
Khuda Bhi Dega Yaqenan Teri Misaal Taqi
Yahan Wahan Bhala Ab Jaaey Kis Lye Haidar
Tera Ghulaam Hey Tu Khoud Isey Sambhaal Taqi
Haidar Ali Jafri
Qum Al Muqaddas Iran
Salaam Aap per lakho'n Ali ke Laal Taqi s.a.
Hai kainaat me bemisl bakamal Taqi s.a.
Tumhare sadqe me qayam hai arsh aur falak
Zamana laaye kaha'n se teri misaal Taqi
Oloome Ilme Nabi aur Ali ke waris ho
Tum hi Imame Raza ke ho naunihaal Taqi
Tumhare ishq me jisko Orooj milta hai
Nahi naseeb me unke kabhi zawaal Taqi
Mila hai apno ko ghairo'n ko aapke dar se
Sakhi hain ibne sakhi aap bemisaal Taqi
Mitane waalo'n ki nasle hi mit gayi lekin
Hai baaqi ab bhi jaha'n me Nabi ki Aal Taqi
Ye bhai bhai me nafrat hasad ki deeware'n
Gira ke jald ho'n rishte sabhi bahaal Taqi
Tumhari dil me hai ulfat sharaf hai Jafar ka
Zamana chheen le mujhse kaha'n majaal Taqi
Jafar Dehraduni