Alam paane ki thi jiski tamanna jange khaybar me.
Woh sab takte rahe haidar ka chehra jange khaibar me
ParoN ka saath me karte huve saaya chale jibrerl.
Ali ne jab alam deeN ka uthaya jange khaybar me
Ali ko di sada naade ali pad kar Mohammad ne.
Huve naakaam jab saare sahaaba jange khaybar me
Zameeno aasmaN me ho raha hai aaj yeh charcha.
Huva faateh abutaalib ka beta jange khaybar me
Sadaa e naara e takbeer gunji dono aalam me.
Ali ne jab hai marhab ko pachhaada jange khaybar me
Yadudi dar ke maare jaN bachaane ke liye bhaage.
Ali ne jab dare khaybar ukhaada jange khaybar me
MusalmaN ta qayaamat jo na kar paate sabhi mil kar.
Ali ne kar dikhaaya woh karishma jange khaybar me
KhizaN chhaai huvi thi haar ki chaaro taraf lekin.
Kiya gulzaar haidar ne nazaara jange khaybar me
Rakha hai naam mera maaN ne haidar sunle ay marhab.
Ali ne kehke usko cheer daala jange khaybar me
Nahi uska koi dunya me ab naam o nishaN baaki
Jise haidar ne mitti me milaaya jange khaybar me.
Kaha salmaan ne Naushad paakar khuld Ahmad se.
Meri kismat ka bhi chamka sitaara jange khaybar me.
Naushad Bijani
+46 704 852 187