Roohe behre sakha aliakbar

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    02/04/2020
Roohe behre sakha aliakbar

Naazishe ambiya ali akbar.
Akse khairul wara ali akbar
 
Tod de jo sinaN ko seene se.
Aysa hai soorma ali akbar
 
Husne yoosuf ka bhi hai yeh naghma.
Aap par mai fida aliakbar
 
Momino hai wiladat aaj unki.
Keh do salle ala ali akbar
 
Karbala me teri azaN sunkar.
Hur ne haq paa liya ali akbar
 
Failti hai fiza me teri bo.
Chalti hai jab hava ali akbar
 
Jispe abbas naaz karte ho.
Tu hai woh bawafa aliakbar
 
Haatime waqt ki sada hai yeh.
Roohe behre sakha aliakbar
 
Husn jis par fida ho aysa hai.
Umme layla tera aliakbar
 
Deene islaam hai tera mashkur.
Tu hai deeN ki baka aliakbar
 
Aaye shamsho qamar tere dar par.
Tujhse lene ziya aliakbar
 
Ran me dushman bhi dekh kar bole.
Hai hamaari kaza aliakbabr
 
Teri midhat me choor hai Naushad.
Tu hi dena sila alikabar

Naushad Bijani
+46 704 852 187