Hai tujh ko waasta pyaare husain ka ya rab
Tu momino ki har ayk door kar bala ya rab
Padi hai masjide veeraan saari dunya me.
Tu door karde CORONA ki yeh waba ya rab
Waba e maut se momin har ik rahe mehfooz
Hai yeh duaa e azaadare karbala ya rab.
Hai aasara hame ab sirf teri rehmat ka.
Muaaf karde hamaari har ik khata ra rab
Azaan hoti nahi ab kisi bhi masjid me.
Tu karde jaari azaano ka silsila ya rab
Na rakh khudaaya azaakhaano se hame mehroom.
Hai tujko chaadare zainab ka vaasta ya rab
JahaN me pahele bapa tha husain ka maatam.
Woh maashra tu hame fir se kar ata yarab
Waseela zehra ka deke tu kar dua "Naushad"
Har ik mareez ko tu bakhsh de shifa ya rab.
Naushad Bijani
+46 704 852 187