Gham kyu na kare aaj azaadare abuzar.
Hai haidaro hasnain bhi ghamkhwaare abuzar
Maut aagai Rabza me gaye pyaase jahaN se.
Koi na tha sehra me madadgaare abuzar
Dafnaaya javaN laal ke laashe ko bhi tanha.
Tha ishqe ali me bhi yeh iisaare abuzar
Be jurm nikaala tha hukumat ne watan se.
Bay'at se magar tab bhi tha inkaare abuzar
Allah na bakhshega kabhi ahle sitam ko.
Jaayenge jahannam me gunahgaare abuzar
Ham seerate haidar ko na chhorenge kabhi bhi.
Hai unki tarah ham bhi tarafdaare abuzar
YuN deen se na khelta sufyaan ka beta.
Do chaar fakat hote jo ansaare abuzar
Ay haakime dauraN tujhe ruswaai mili hai.
Ban paaya na hargiz tu khareeddare abuzar
Ya rab ho mujhe turbate buzar ki ziyaarat.
"NAUSHAD" bhi ho jaayega zawware abuzar
Naushad Bijani
+46 704 852 187