Pyaasa hai karbala me gharaana rasool ka.
Zulmo sitam ki zad me hai kunba rasool ka.
Khanjar ravaN hai shimr ka gardan pe shaah ki.
Fat'ta hai dekh kar yeh kaleja rasool ka.
Jalti huvi zameen pe sajde me hai husain.
Hota hai zab'h pyaasa nawaasa rasool ka.
MehmaN bulake aale mohammad pe dasht me.
Dhaate hai zulm padke yeh kalma rasool ka.
Pyaasa hai teen din se tadapta hai khaak par.
Bistar tha jiske vaaste seena rasool ka.
Sajde me sar kata ke husaine ghareeb ne.
ToofaN se hai bachaaya safeena rasool ka.
Har ayk zulm seh bhi ummat ke vaaste.
Rab se duaaeN karta hai pyaara rasool ka.
Dushman woh hai nabi ka jo hai dushmane husain.
Naushaad ne suna hai yeh khutba rasool ka.
Naushad Bijani
Pyasa hai Karbala me Nawasa Rasool ka
Ghere me Ashqiya ke hai kunba Rasool ka
Jaana watan se door tha mushkil bahut magar
Dee'n ki baqa ke waaste karna pada safar
Chora hai Haye kaise Madina Rasool ka
Karbobala Hussain a.s. basani hai aapko
Khulde baree'n zami pe sajani hai aapko
Har Zulm seh ke Deen bachana Rasool ka
Pabandiya'n hain aab per hye hye huwa Sitam
Baccho'n ki pyaas dekh ke Aankhe'n huyi hain nam
Ummat ne Aaj Dil hai Dukhaya Rasool ka
Tumko Habeeb yaad kiya hai Hussain ne
Maula Ali a.s. ke laal ne Zehra a.s. ke chain ne
Tanha hai Aaj goad ka Pala Rasool ka
Karbobala ke ghere hai aada ne raaste
Fauje adu se Hur ko bulana ke waaste
Akbar azaa'n ko dete hain lehja Rasool ka
Asghar ki pyas dekh Kar rote the ahle shar
Ek Teer hurmula ne chalaya sageer per
Ghalta tha khoo'n me hansliyo wala Rasool ka
Girya kuna jaha'n hai shahe mashraqain per
Jafar bhi ro raha hai Imame Hussain a.s. per
Narghe me hai Sitam ke gharana Rasool ka
Jafar Ali Dehradun
अल्लाह कह रहा है कसीदा रसूल का
ये कुल ही कायनात है सदका रसूल का
Allah keh rha hai qaseeda rasool ka.
Ye kul hi qaayenaat hai sadqa rasool ka
कुरआं यूं पढ़ रहा है वजीफा रसूल का
करबोबला रसूल की काबा रसूल का
Quraa,n yu,n padh rha hai wazifa rasool ka
Karbobla rasool ki kaba rasool ka
अल्लाह से है हबीब सा रिश्ता रसूल का
दुनिया समझ ना पाई है रुबता रसूल का
Allah se hai habib sa rishta rasool ka
Duniya samajh na paayi hai rutba rasool ka
आई मुबाहिले मैं है शहज़ादी इस तरह
पीछे इमाम आगे है साया रसूल का
Aayi mubahile mai hain shehzadi is trah
Piche imaam aage hai saya rasool ka
बे हुब्बे अहले बेत ना जाएगा कोई खुल्द
पहले से फैसला है ये अल्लाह रसूल का
Be hubbe aehlebait na jaayega koi khuld
Pehle se faisla hai ye allah rasool ka
उसको निजात नार से किस तरह से मिले
ज़ैहरा के घर को जो नहीं समझा रसूल का
Usko nijaat naar se kis trah se mile
Zehra k ghar ko jo nahi samjha rasool ka
बाबे मुराद उनके लिए बंद ही रहा
मांगा ना जिसने दे के वसीला रसूल का
Baabe muraad unke liye band hi raha
Maanga na jisne deke vaseela rasool ka
आए मलक भी सुनने को मकतल में यूं अज़ा
अकबर अज़ा को देते है लहजा रसूल का
Aaye malk bhi sunne ko maktal me yu,n azaa,n
Akbar azaa,n ko dete hai lehja rasool ka
अपने हरीफ को भी जो सेराब कर सके
जावेद वो है सिर्फ नवासा रसूल का
Apne hareef ko bhi jo seraab kar sake
Javed vo hai sirf nawaasa rasool ka
Javed Akhtar "Javed"